الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ بَيْعِ التَّمْرِ بِالتَّمْرِ:
Bab: Khajoor ko khajoor ke badle mein bechna.
Show diacritics
Hadith Number: 2170
حدثنا ابو الوليد، حدثنا الليث، عن ابن شهاب، عن مالك بن اوس، سمع عمر رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" البر بالبر ربا إلا هاء وهاء، والشعير بالشعير ربا إلا هاء وهاء، والتمر بالتمر ربا إلا هاء وهاء".
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha ke hum se Liath ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Malik Bin Aus ne, unhon ne Umar (Radi Allahu Anhu) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, gehun ko gehun ke badla mein bechna sood hai, lekin ye ke sauda hathon hath ho. Jau ko jau ke badla mein bechna sood hai, lekin ye ke hathon hath ho. Aur khajoor ko khajoor ke badla mein bechna sood hai lekin ye ke sauda hathon hath, naqda naqd ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الزَّبِيبِ بِالزَّبِيبِ وَالطَّعَامِ بِالطَّعَامِ:
Bab: Munqaa ko munqaa ke badal aur anaaj ko anaaj ke badal bechna.
Show diacritics
Hadith Number: 2171
حدثنا إسماعيل، حدثنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن المزابنة والمزابنة بيع الثمر بالتمر كيلا، وبيع الزبيب بالكرم كيلا".
Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Nafay ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne muzabana se mana farmaya, muzabana ye ke darakht par lagi hui khajoor khushk khajoor ke badla maap kar ke bechi jaye. Isi tarah bail par lage hue angoor ko munaqqa ke badal bechna
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2172
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم" نهى عن المزابنة"، قال: والمزابنة ان يبيع الثمر بكيل إن زاد فلي وإن نقص فعلي.
Hum se Abu-al-Numan ne bayan kiya, kaha ke hum se Hammad Bin Zaid ne, un se Ayyub ne, un se Nafay ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne muzabana se mana farmaya. Unhon ne bayan kiya ke muzabana ye hai ke koi shakhs darakht par ki khajoor sookhi khajoor ke badal maap tol kar beche. Aur khareedar kahe agar darakht ka phal is sookhe phal se zyada nikle to wo is ka hai aur kam nikle to wo nuqsan bhar de ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2173
قال: وحدثني زيد بن ثابت، ان النبي صلى الله عليه وسلم، رخص في العرايا بخرصها.
Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya, ke mujh se Zaid Bin Thabit (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe araya ki ijazat de di thi jo andaze hi se bai ki ek soorat hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الشَّعِيرِ بِالشَّعِيرِ:
Bab: Jau ke badle jau ki bay' karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2174
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن مالك بن اوس اخبره: انه التمس صرفا بمائة دينار، فدعاني طلحة بن عبيد الله فتراوضنا حتى اصطرف مني، فاخذ الذهب يقلبها في يده، ثم قال: حتى ياتي خازني من الغابة، وعمر يسمع ذلك، فقال: والله لا تفارقه حتى تاخذ منه، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الذهب بالذهب ربا إلا هاء وهاء، والبر بالبر ربا إلا هاء وهاء، والشعير بالشعير ربا إلا هاء وهاء، والتمر بالتمر ربا إلا هاء وهاء".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, aur unhein Malik Bin Aus (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke unhein sau ashrafiyan badalni theen. (Unhon ne bayan kiya ke) phir mujhe Talha Bin Ubaidullah (Radi Allahu Anhuma) ne bulaya. Aur hum ne (apne mamla ki) baat cheet ki. Aur un se mera mamla tay ho gaya. Wo sone (ashrafiyon) ko apne hath mein le kar ulatne palatne lage aur kehne lage ke zara mere khazanchi ko Ghaba se aa lene do. Umar (Radi Allahu Anhu) bhi hamari baatein sun rahe thay, aap ne farmaya: Allah ki qasam! jab tak tum Talha se rupiya le na lo, un se juda na hona kyunke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya hai ke sona sone ke badla mein agar naqd na ho to sood ho jata hai. Gehun, gehun ke badle mein agar naqd na ho to sood ho jata hai. Jau, jau ke badla mein agar naqd na ho to sood ho jata hai aur khajoor, khajoor ke badla mein agar naqd na ho to sood ho jati hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الذَّهَبِ بِالذَّهَبِ:
Bab: Sone ko sone ke badle mein bechna.
Show diacritics
Hadith Number: 2175
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا إسماعيل بن علية، قال: حدثني يحيى بن ابي إسحاق، حدثنا عبد الرحمن بن ابي بكرة، قال: قال ابو بكرة رضي الله عنه، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تبيعوا الذهب بالذهب إلا سواء بسواء، والفضة بالفضة إلا سواء بسواء، وبيعوا الذهب بالفضة والفضة بالذهب كيف شئتم".
Hum se Sadaqa Bin Fazal ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Ismail Bin Aliyyah ne khabar di, kaha ke mujhe Yahya Bin Abi Ishaq ne khabar di, un se Abdur Rahman Bin Abi Bakrah ne bayan kiya, un se Abu Bakrah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, sona sone ke badle mein is waqt tak na becho jab tak (donon taraf se) barabar barabar (ki lein dein) na ho. Isi tarah chandi, chandi ke badla mein is waqt tak na becho jab tak (donon taraf se) barabar barabar na ho. Albatta sona, chandi ke badal aur chandi sone ke badal mein jis tarah chaho becho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الْفِضَّةِ بِالْفِضَّةِ:
Bab: Chandi ko chandi ke badle mein bechna.
Show diacritics
Hadith Number: 2176
حدثنا عبيد الله بن سعد، حدثنا عمي، حدثنا ابن اخي الزهري، عن عمه، قال: حدثني سالم بن عبد الله، عن عبد الله بن عمررضي الله عنه، ان ابا سعيد الخدري حدثه مثل ذلك حديثا، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلقيه عبد الله بن عمر، فقال: يا ابا سعيد، ما هذا الذي تحدث عن رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ فقال ابو سعيد: في الصرف سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" الذهب بالذهب مثلا بمثل، والورق بالورق مثلا بمثل".
Hum se Ubaidullah Bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere chacha ne bayan kiya, kaha hum se Zuhri ke bhatije ne bayan kiya, un se un ke chacha ne bayan kiya ke mujh se Salim Bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne isi tarah ek hadees Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawala se bayan ki (jaise Abu Bakrah Radi Allahu Anhu ya Umar Radi Allahu Anhu se guzri) phir ek martaba Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ki un se mulaqat hui to unhon ne poocha, Ae Abu Saeed! aap Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawala se ye kaun si hadees bayan karte hain ? Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne farmaya ke hadees bai-e-sarf (yaani rupiya ashrafiyan badalne ya turwane) se mutaliq hai. Mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka farman suna tha ke sona sone ke badle mein barabar barabar hi becha ja sakta hai aur chandi, chandi ke badla mein barabar barabar hi bechi ja sakti hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2177
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تبيعوا الذهب بالذهب إلا مثلا بمثل، ولا تشفوا بعضها على بعض، ولا تبيعوا الورق بالورق إلا مثلا بمثل، ولا تشفوا بعضها على بعض، ولا تبيعوا منها غائبا بناجز".
Hum se Abdullah Bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Nafay ne aur unhein Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, sona sone ke badle is waqt tak na becho jab tak donon taraf se barabar barabar na ho, donon taraf se kisi kami ya ziyati ko rawa na rakkho, aur chandi ko chandi ke badle mein is waqt tak na becho jab tak donon taraf se barabar barabar na ho. Donon taraf se kisi kami ya ziyati ko rawa na rakkho aur na udhaar ko naqd ke badle mein becho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الدِّينَارِ بِالدِّينَارِ نَسْأً:
Bab: Ashrafi ashrafi ke badle udhaar bechna.
Show diacritics
Hadith Number: 2178
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا الضحاك بن مخلد، حدثنا ابن جريج، قال: اخبرني عمرو بن دينار، ان ابا صالح الزيات اخبره، انه سمع ابا سعيد الخدري رضي الله عنه، يقول: الدينار بالدينار، والدرهم بالدرهم، فقلت له: فإن ابن عباس لا يقوله، فقال ابو سعيد: سالته، فقلت: سمعته من النبي صلى الله عليه وسلم، او وجدته في كتاب الله، قال: كل ذلك لا اقول، وانتم اعلم برسول الله صلى الله عليه وسلم مني، ولكن اخبرني اسامة، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا ربا إلا في النسيئة.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Dahhak Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha ke hum se Ibn Juraij ne bayan kiya, kaha ke mujhe Amr Bin Dinar ne khabar di, unhein Abu Salih Zayyat ne khabar di, aur unhon ne Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke dinar, dinar ke badle mein aur dirham, dirham ke badle mein (becha ja sakta hai) is par mein ne un se kaha ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) to is ki ijazat nahi dete. Abu Saeed (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke phir mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se is ke mutaliq poocha ke aap ne ye Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna tha ya Kitab-ul-Lah mein aap ne usay paya hai ? Unhon ne kaha ke in mein se kisi baat ka mein daway-dar nahi hoon. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) (ki ahadees) ko aap log mujh se zyada jante hain. Albatta mujhe Usama (Radi Allahu Anhu) ne khabar di thi ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (madhkoora soorat-on mein) sood sirf udhaar ki soorat mein hota hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2179
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا الضحاك بن مخلد، حدثنا ابن جريج، قال: اخبرني عمرو بن دينار، ان ابا صالح الزيات اخبره، انه سمع ابا سعيد الخدري رضي الله عنه، يقول: الدينار بالدينار، والدرهم بالدرهم، فقلت له: فإن ابن عباس لا يقوله، فقال ابو سعيد: سالته، فقلت: سمعته من النبي صلى الله عليه وسلم، او وجدته في كتاب الله، قال: كل ذلك لا اقول، وانتم اعلم برسول الله صلى الله عليه وسلم مني، ولكن اخبرني اسامة، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا ربا إلا في النسيئة.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Dahhak Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha ke hum se Ibn Juraij ne bayan kiya, kaha ke mujhe Amr Bin Dinar ne khabar di, unhein Abu Salih Zayyat ne khabar di, aur unhon ne Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke dinar, dinar ke badle mein aur dirham, dirham ke badle mein (becha ja sakta hai) is par mein ne un se kaha ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) to is ki ijazat nahi dete. Abu Saeed (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke phir mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se is ke mutaliq poocha ke aap ne ye Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna tha ya Kitab-ul-Lah mein aap ne usay paya hai ? Unhon ne kaha ke in mein se kisi baat ka mein daway-dar nahi hoon. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) (ki ahadees) ko aap log mujh se zyada jante hain. Albatta mujhe Usama (Radi Allahu Anhu) ne khabar di thi ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (madhkoora soorat-on mein) sood sirf udhaar ki soorat mein hota hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة