الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ بَيْعِ الْمُخَاضَرَةِ:
Bab: Bay' mukhadara ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2208
حدثنا قتيبة، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن حميد، عن انس رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم" نهى عن بيع ثمر التمر حتى يزهو"، فقلنا لانس: ما زهوها، قال: تحمر وتصفر، ارايت إن منع الله الثمرة بم تستحل مال اخيك.
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Ismail Bin Jafar ne bayan kiya, un se Humaid ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne darakht ko «zahwa.» se pehle torri hui khajoor ke badle bechne se mana farmaya. Hum ne poocha ke «zahwa.» kya hai ? unhon ne farmaya ke wo pak ke surkh ho jaye ya zard ho jaye. Tum hi batao ke agar Allah ke hukm se phal na aa saka to tum kis cheez ke badle mein apne bhai (khareedar) ka mal apne liye halal karo ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الْجُمَّارِ وَأَكْلِهِ:
Bab: Khajoor ka gabha bechna ya khana (jo safed safed andar se nikalta hai).
Show diacritics
Hadith Number: 2209
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن مجاهد، عن ابن عمر رضي الله عنه، قال:" كنت عند النبي صلى الله عليه وسلم وهو ياكل جمارا، فقال: من الشجر شجرة كالرجل المؤمن، فاردت ان اقول هي النخلة، فإذا انا احدثهم، قال: هي النخلة".
Hum se Abu-al-Walid Hisham Bin Abdul Malik se bayan kiya, kaha ke hum se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Abu Bishr ne, un se Mujahid ne, aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) khajoor ka gabha kha rahe thay. Isi waqt Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke darakhton mein ek darakht mard-e-momin ki misal hai mere dil mein aaya ke kahoon ke ye khajoor ka darakht hai, lekin hazireen mein, mein hi sab se chhoti umr ka tha (is liye bator-e-adab mein chup raha) phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne khud hi farmaya ke wo khajoor ka darakht hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَجْرَى أَمْرَ الأَمْصَارِ عَلَى مَا يَتَعَارَفُونَ بَيْنَهُمْ فِي الْبُيُوعِ وَالإِجَارَةِ وَالْمِكْيَالِ، وَالْوَزْنِ، وَسُنَنِهِمْ عَلَى نِيَّاتِهِمْ وَمَذَاهِبِهِمِ الْمَشْهُورَةِ:
Bab: Khareed o farokht aur ijare mein har mulk ke dastur ke mutabiq hukm diya jaye ga isi tarah maap aur tol aur doosre kamon mein un ki niyat aur rasm o riwaj ke mutabiq.
Show diacritics
Hadith Number: Q2210
وقال شريح للغزالين: سنتكم بينكم ربحا، وقال عبد الوهاب: عن ايوب، عن محمد، لا باس العشرة باحد عشر وياخذ للنفقة ربحا، وقال النبي صلى الله عليه وسلم لهند: خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف، وقال تعالى: ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6 واكترى الحسن من عبد الله بن مرداس حمارا، فقال: بكم؟ قال: بدانقين، فركبه ثم جاء مرة اخرى، فقال: الحمار الحمار فركبه ولم يشارطه، فبعث إليه بنصف درهم.
Aur Qazi Shuraih ne soot bechne walon se kaha jaise tum logon ka riwaj hai isi ke muwafiq hukm diya jaye ga aur Abdul Wahhab ne Ayyub se riwayat ki, unhon ne Muhammad Bin Sireen se ke das ka mal gyarah mein bechne mein koi qabahat nahi. Aur jo kharcha para hai is par bhi yehi nafa le aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Hinda (Abu Sufyan ki aurat) se farmaya, tu apna aur apne bachon ka kharch dastoor ke muwafiq nikal le. Aur Allah Ta'ala ne farmaya ke jo koi muhtaj ho wo (yateem ke mal mein se) naik niyate ke sath kha le. Aur Imam Hasan Basri (Rahimahullah) ne Abdullah Bin Mirdas se gadha kiraye par liya to un se is ka kiraya poocha, to unhon ne kaha ke do waniq hai. (ek waniq dirham ka chhatta hissa hota hai) is ke baad wo gadhe par sawar hue, phir doosri martaba ek zaroorat par aap aaye aur kaha ke mujhe gadha chahiye. Is martaba aap is par kiraya muqarrar kiye baghair sawar hue aur un ke paas aadha dirham bhej diya
.


Show diacritics
Hadith Number: 2210
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن حميد الطويل، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" حجم رسول الله صلى الله عليه وسلم ابو طيبة" فامر له رسول الله صلى الله عليه وسلم بصاع من تمر، وامر اهله ان يخففوا عنه من خراجه".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Humaid Taweel ne aur unhein Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Abu Taiba ne pacha-na lagaya to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein ek saa khajoor (mazdoori mein) dene ka hukm farmaya. Aur is ke malikon se farmaya ke wo is ke kharaj mein kuch kami kar dein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2211
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن هشام، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت هند ام معاوية لرسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن ابا سفيان رجل شحيح، فهل علي جناح ان آخذ من ماله سرا؟ قال: خذي انت وبنوك ما يكفيك بالمعروف".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Muawiyah (Radi Allahu Anhu) ki walida Hinda (Radi Allahu Anha) ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kaha ke Abu Sufyan bakheel aadmi hai. To kya agar mein un ke mal se chupa kar kuch le liya karoon to koi haraj hai ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum apne liye aur apne beton ke liye naik niyate ke sath itna le sakti ho jo tum sab ke liye kafi ho jaya kare
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2212
حدثني إسحاق، حدثنا ابن نمير، اخبرنا هشام. ح وحدثني محمد بن سلام، قال: سمعت عثمان بن فرقد، قال: سمعت هشام بن عروة يحدث، عن ابيه، انه سمع عائشة رضي الله عنها، تقول:" ومن كان غنيا فليستعفف ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6، انزلت في والي اليتيم الذي يقيم عليه، ويصلح في ماله، إن كان فقيرا اكل منه بالمعروف".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Numair ne bayan kiya, kaha ke humein Hisham ne khabar di (doosri sanad) aur mujh se Muhammad ne bayan kiya kaha ke mein ne Usman Bin Farqad se suna, unhon ne kaha ke mein ne Hisham Bin Urwah se suna, wo apne baap se bayan karte thay ke unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se suna, wo farmatein theen ke (Quran ki ayat) «Wa-man kana ghaniyyan falyas-ta'fif wa-man kana faqeeran falya'kul bil-ma'roof» jo shakhs maldar ho wo (apni zir-e-parwarish yateem ka mal hazam karne se) apne ko bachaye. Aur jo faqeer ho wo naik niyate ke sath is mein se kha le.“ Ye ayat yateemon ke un sarparaston ke mutaliq nazil hui thi jo un ki aur un ke mal ki nigrani aur dekh bhaal karte hon ke agar wo faqeer hain to (is khidmat ke awaz) naik niyate ke sath is mein se kha sakte hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الشَّرِيكِ مِنْ شَرِيكِهِ:
Bab: Ek sajhi apna hissa doosre sajhi ke haath bech sakta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2213
حدثني محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، عن جابر رضي الله عنه،" جعل رسول الله صلى الله عليه وسلم الشفعة في كل مال لم يقسم، فإذا وقعت الحدود وصرفت الطرق فلا شفعة".
Hum se Mahmood ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Razzaq ne bayan kiya, unhein Mamar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Abu Salma ne aur unhein Jabir (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne shufa ka haqq har is mal mein qarar diya tha jo taqseem na hua ho, lekin is ki had-bandi ho jaye aur raste bhi pher diye jayein to ab shufa ka haqq baqi nahi raha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الأَرْضِ وَالدُّورِ وَالْعُرُوضِ مُشَاعًا غَيْرَ مَقْسُومٍ:
Bab: Zameen, makaan, asbab ka hissa agar taqseem na hua ho to is ka bechna durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2214
حدثنا محمد بن محبوب، حدثنا عبد الواحد، حدثنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن جابر بن عبد اللهرضي الله عنه، قال:" قضى النبي صلى الله عليه وسلم بالشفعة في كل مال لم يقسم، فإذا وقعت الحدود وصرفت الطرق فلا شفعة".
Hum se Muhammad Bin Mahbub ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahid ne bayan kiya, un se Mamar ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Abu Salma Bin Abdur Rahman ne aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne har aise mal mein shufa ka haqq qayam rakkha jo taqseem na hua ho, lekin jab is ki hudood qayam ho gayi hon aur rasta bhi pher diya gaya ho to ab shufa ka haqq baqi nahi raha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: Q2215
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد بهذا، وقال: في كل ما لم يقسم، تابعه هشام، عن معمر، قال عبد الرزاق: في كل مال، رواه عبد الرحمن بن إسحاق، عن الزهري.
Hum se Musaddad ne aur un se Abdul Wahid ne isi tarah bayan kiya, aur kaha ke har is cheez mein (shufa hai) jo taqseem na hui ho. Is ki mutabiat Hisham ne Mamar ke wasita se ki hai aur Abdul Razzaq ne ye lafz kahe ke ”har mal mein“ is ki riwayat Abdur Rahman Bin Ishaq ne Zuhri se ki hai
.


بَابُ إِذَا اشْتَرَى شَيْئًا لِغَيْرِهِ بِغَيْرِ إِذْنِهِ فَرَضِيَ:
Bab: Kisi ne koi cheez doosre ke liye is ki ijazat ke baghair khareed li phir woh razi ho gaya to ye muamla jaiz hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2215
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابو عاصم، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خرج ثلاثة نفر يمشون فاصابهم المطر، فدخلوا في غار في جبل، فانحطت عليهم صخرة، قال: فقال بعضهم لبعض: ادعوا الله بافضل عمل عملتموه، فقال احدهم: اللهم إني كان لي ابوان شيخان كبيران فكنت اخرج فارعى، ثم اجيء فاحلب فاجيء بالحلاب فآتي به ابوي فيشربان، ثم اسقي الصبية واهلي وامراتي، فاحتبست ليلة فجئت فإذا هما نائمان، قال: فكرهت ان اوقظهما والصبية يتضاغون عند رجلي، فلم يزل ذلك دابي ودابهما حتى طلع الفجر، اللهم إن كنت تعلم اني فعلت ذلك ابتغاء وجهك، فافرج عنا فرجة نرى منها السماء، قال: ففرج عنهم، وقال الآخر: اللهم إن كنت تعلم اني كنت احب امراة من بنات عمي كاشد ما يحب الرجل النساء، فقالت: لا تنال ذلك منها حتى تعطيها مائة دينار، فسعيت فيها حتى جمعتها، فلما قعدت بين رجليها، قالت: اتق الله ولا تفض الخاتم إلا بحقه، فقمت وتركتها، فإن كنت تعلم اني فعلت ذلك ابتغاء وجهك فافرج عنا فرجة، قال: ففرج عنهم الثلثين، وقال الآخر: اللهم إن كنت تعلم اني استاجرت اجيرا بفرق من ذرة، فاعطيته وابى ذاك ان ياخذ، فعمدت إلى ذلك الفرق فزرعته، حتى اشتريت منه بقرا وراعيها، ثم جاء فقال: يا عبد الله اعطني حقي، فقلت: انطلق إلى تلك البقر وراعيها، فإنها لك، فقال: اتستهزئ بي، قال: فقلت: ما استهزئ بك، ولكنها لك اللهم إن كنت تعلم اني فعلت ذلك ابتغاء وجهك فافرج عنا، فكشف عنهم".
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Asim ne bayan kiya kaha ke hum ko Ibn Juraij ne khabar di, kaha ke mujhe Musa Bin Uqba ne khabar di, unhein Nafay ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, teen shakhs kahin bahar ja rahe thay ke achanak barish hone lagi. Unhon ne ek pahar ke ghar mein ja kar panah li. Ittefaq se pahar ki ek chattan oopar se larkhi (aur is ghar ke munh ko band kar diya jis mein ye teenon panah liye hue thay) ab ek ne doosre se kaha ke apne sab se achay amal ka jo tum ne kabhi kiya ho, naam le kar Allah Ta'ala se dua karo. Is par un mein se ek ne ye dua ki ”Ae Allah! mere maan baap bahut hi boodhay thay. Mein bahar le ja kar apne maweshi charata tha. Phir jab sham ko wapas aata to un ka doodh nikalta aur bartan mein pehle apne walidain ko pesh karta. Jab mere walidain pee chukte to phir bachon ko aur apni biwi ko pilata. Ittefaq se ek raat wapsi mein dair ho gayi aur jab mein ghar lauta to walidain so chuke thay. Is ne kaha ke phir mein ne pasand nahi kiya ke unhein jagaoon bacche mere qadmon mein bhookay pare ro rahe thay. Mein barabar doodh ka piyala liye walidain ke samne isi tarah khara raha yahan tak ke subah ho gayi. Ae Allah! agar tere nazdeek bhi mein ne ye kaam sirf teri raza hasil karne ke liye kiya tha, to hamare liye is chattan ko hata kar itna rasta to bana de ke hum aasman ko to dekh sakein“ Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya. Chunanche wo patthar kuch hat gaya. Doosre shakhs ne dua ki ”Ae Allah! tu khoob janta hai ke mujhe apne chacha ki ek larki se itni zyada mohabbat thi jitni ek mard ko kisi aurat se ho sakti hai. Is larki ne kaha tum mujh se apni khwahish is waqt tak poori nahi kar sakte jab tak mujhe sau ashrafi na de do. Mein ne un ke hasil karne ki koshish ki, aur aakhir itni ashrafi jama kar li. Phir jab mein is ki donon ranon ke darmiyan baitha. To wo boli, Allah se dar, aur mahr ko najayiz tareeqe par na torr. Is par mein khara ho gaya aur mein ne usay chor diya. Ab agar tere nazdeek bhi mein ne ye amal teri hi raza ke liye kiya tha to hamare liye (nikalne ka) rasta bana de“ Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya. Chunanche wo patthar do tihayi hat gaya. Teesri shakhs ne dua ki ”Ae Allah! tu janta hai ke mein ne ek mazdoor se ek farq jawar par kaam karaya tha. Jab mein ne is ki mazdoori usay de di to is ne lene se inkar kar diya. Mein ne is jawar ko le kar bo diya (kheti jab kati to is mein itni jawar paida hui ke) is se mein ne ek bail aur ek charwaha khareed liya. Kuch arsa baad phir is ne aa kar mazdoori mangi ke Allah ke bande mujhe mera haqq dede. Mein ne kaha ke is bail aur is ke charwahe ke paas jao ke ye tumhare hi milk hain. Is ne kaha ke mujh se mazak karte ho. Mein ne kaha ”mein mazak nahi karta“ waqai ye tumhare hi hain. To ae Allah! agar tere nazdeek ye kaam mein ne sirf teri raza hasil karne ke liye kiya tha to yahan hamare liye (is chattan ko hata kar) rasta bana de. Chunanche wo ghar poora khul gaya aur wo teenon shakhs bahar aa gaye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة