الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يُذَابُ شَحْمُ الْمَيْتَةِ وَلاَ يُبَاعُ وَدَكُهُ:
Bab: Murdar ki charbi galana aur is ka bechna jaiz nahi.
Hadith Number: 2223
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو بن دينار، قال: اخبرني طاوس، انه سمع ابن عباس رضي الله عنه، يقول: بلغ عمر بن الخطاب ان فلانا باع خمرا، فقال: قاتل الله فلانا، الم يعلم ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" قاتل الله اليهود، حرمت عليهم الشحوم، فجملوها، فباعوها".
Hum se Humaidi ne bayan kiya, un se Sufyan ne, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, kaha ke mujhe Tawus ne khabar di, unhon ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, aap farmate thay ke Umar (Radi Allahu Anhu) ko maloom hua ke falan shakhs ne sharab farokht ki hai, to aap ne farmaya ke ise Allah Ta'ala tabah-o-barbad kar day. Kya ise maloom nahi ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha, Allah Ta'ala Yahood ko barbad kare ke charbi un par haram ki gayi thi lekin un logon ne ise pighla kar farokht kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2224
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن ابن شهاب، سمعت سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" قاتل الله يهود، حرمت عليهم الشحوم، فباعوها واكلوا اثمانها".
Hum se Abdan ne bayan kiya, unhein Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, unhein Yunus ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne ke mein ne Saeed Bin Musayyib se suna, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah Yahoodiyon ko tabah kare, zalimon par charbi haram kar di gayi thi, lekin unhon ne ise bech kar is ki qeemat khayi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ التَّصَاوِيرِ الَّتِي لَيْسَ فِيهَا رُوحٌ وَمَا يُكْرَهُ مِنْ ذَلِكَ:
Bab: Ghair jandar cheezon ki tasweer bechna aur is mein kon si tasweer haram hai.
Hadith Number: 2225
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا يزيد بن زريع، اخبرنا عوف، عن سعيد بن ابي الحسن، قال: كنت عند ابن عباس رضي الله عنه، إذ اتاه رجل، فقال: يا ابا عباس، إني إنسان، إنما معيشتي من صنعة يدي، وإني اصنع هذه التصاوير، فقال ابن عباس: لا احدثك إلا ما سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول، سمعته يقول:" من صور صورة فإن الله معذبه حتى ينفخ فيها الروح، وليس بنافخ فيها ابدا، فربا الرجل ربوة شديدة واصفر وجهه"، فقال: ويحك إن ابيت إلا ان تصنع، فعليك بهذا الشجر كل شيء ليس فيه روح، قال ابو عبد الله: سمع سعيد بن ابي عروبة، من النضر بن انس هذا الواحد.
Hum se Abdullah Bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Yazid Bin Zuraie ne bayan kiya, unhein Auf Bin Abi Humaid ne khabar di, unhein Saeed Bin Abi Hasan ne, kaha ke mein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ki khidmat mein hazir tha ke ek shakhs un ke paas aya, aur kaha ke ay Abu Abbas! mein un logon mein se hoon, jin ki rozi apne hath ki sana'at par mauqoof hai aur mein ye mooratein banata hoon. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne is par farmaya ke mein tumhe sirf wahi baat batlaonga jo mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suni hai. Unhon ne kaha ke mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye farmate hue suna tha ke jis ne bhi koi moorat banayi to Allah Ta'ala ise us waqt tak azab karta rahega jab tak wo shakhs apni moorat mein jaan na daal day aur wo kabhi is mein jaan nahi daal sakta (ye sun kar) is shakhs ka saans charh gaya aur chehra zard par gaya. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke afsos! agar tum mooratein banani hi chahte ho to in darakhton ki aur har us cheez ki jis mein jaan nahi hai mooratein bana sakte ho. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Saeed Bin Abi Arubah ne Nadhr Bin Anas se sirf yahi ek hadees suni hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَحْرِيمِ التِّجَارَةِ فِي الْخَمْرِ:
Bab: Sharab ki tijarat karna haram hai.
Hadith Number: Q2226
وقال جابر رضي الله عنه: حرم النبي صلى الله عليه وسلم بيع الخمر.
Aur Jabir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sharab ka bechna haram farma diya hai
.
.
Hadith Number: 2226
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، لما نزلت آيات سورة البقرة عن آخرها، خرج النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" حرمت التجارة في الخمر".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya, un se Abu Duha ne, un se Masruq ne, un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab Surah Al-Baqarah ki tamam aayatein nazil ho chukin to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) bahar tashreef laye aur farmaya ke sharab ki saudagari haram qarar di gayi hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِثْمِ مَنْ بَاعَ حُرًّا:
Bab: Azad shakhs ko bechna kaisa gunah hai?
Hadith Number: 2227
حدثني بشر بن مرحوم، حدثنا يحيى بن سليم، عن إسماعيل بن امية، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: قال الله:" ثلاثة انا خصمهم يوم القيامة، رجل اعطى بي ثم غدر، ورجل باع حرا فاكل ثمنه، ورجل استاجر اجيرا فاستوفى منه ولم يعط اجره".
Mujh se Bishr Bin Marhoom ne bayan kiya, kaha ke hum se Yahya Bin Saleem ne bayan kiya, un se Ismail Bin Umayyah ne, un se Saeed Bin Abi Saeed ne, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah Ta'ala ka irshad hai ke teen tarah ke log aise honge jin ka Qiyamat ke din mein mudayi banunga, ek wo shakhs jis ne mere naam par ahad kiya aur wo tor diya, wo shakhs jis ne kisi azad insan ko bech kar is ki qeemat khayi aur wo shakhs jis ne koi mazdoor ujrat par rakkha, us se poori tarah kaam liya, lekin is ki mazdoori nahi di
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَمْرِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْيَهُودَ بِبَيْعِ أَرَضِيهِمْ حِينَ أَجْلاَهُمْ:
Bab: Yahudiyon ko jala watan karte waqt Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ka unhein apni zameen bech dene ka hukm.
Hadith Number: Q2228-2
عن ابي هريرة.
Is silsile mein Maqbari ki Riwayat Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se hai
.
.
بَابُ بَيْعِ الْعَبِيدِ وَالْحَيَوَانِ بِالْحَيَوَانِ نَسِيئَةً:
Bab: Ghulam ko ghulam ke badle aur kisi janwar ko janwar ke badle udhaar bechna.
Hadith Number: Q2228
واشترى ابن عمر راحلة باربعة ابعرة مضمونة عليه، يوفيها صاحبها بالربذة، وقال ابن عباس: قد يكون البعير خيرا من البعيرين، واشترى رافع بن خديج بعيرا ببعيرين فاعطاه احدهما، وقال: آتيك بالآخر غدا رهوا إن شاء الله، وقال ابن المسيب: لا ربا في الحيوان البعير بالبعيرين والشاة بالشاتين إلى اجل، وقال ابن سيرين: لا باس بعير ببعيرين نسيئة.
Aur Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ek oont chaar oonton ke badle mein khareeda tha. Jin ke mutalliq ye taye hua tha ke Maqam-e-Rabadhah mein wo unhein ise day denge. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke kabhi ek oont, do oonton ke muqable mein behtar hota hai. Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) ne ek oont do oonton ke badle mein khareeda tha. Ek to ise day diya tha, aur doosre ke mutalliq farmaya tha ke wo kal Insha Allah kisi takheer ke baghair tumhare hawale kar donga. Saeed Bin Musayyib ne kaha ke janwaron mein sood nahi chalta. Ek oont do oonton ke badle, aur ek bakri do bakriyon ke badle udhaar bechi ja sakti hai Ibn Sirin ne kaha ke ek oont do oonton ke badle udhaar bechne mein koi haraj nahi
.
.
Hadith Number: 2228
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه، قال:" كان في السبي صفية، فصارت إلى دحية الكلبي، ثم صارت إلى النبي صلى الله عليه وسلم".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, kaha ke hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Sabit ne, un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke qaidiyon mein Safiyyah (Radi Allahu Anha) bhi theen. Pehle to wo Dihyah Kalbi (Radi Allahu Anhu) ko mileen phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke nikah mein aaeen
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الرَّقِيقِ:
Bab: Laundi ghulam bechna.
Hadith Number: 2229
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابن محيريز: ان ابا سعيد الخدري رضي الله عنه اخبره، انه بينما هو جالس عند النبي صلى الله عليه وسلم، قال: يا رسول الله،" إنا نصيب سبيا فنحب الاثمان، فكيف ترى في العزل؟ فقال: اوإنكم تفعلون ذلك، لا عليكم ان لا تفعلوا ذلكم، فإنها ليست نسمة كتب الله ان تخرج إلا هي خارجة".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha ke hum ko Shuayb ne khabar di, un se Zuhair ne bayan kiya ke mujhe Ibn Muhairiz ne khabar di aur unhein Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne khabar di, ke wo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir thay. (Ek Ansari Sahabi ne) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha ke Ya Rasul Allah! larayi mein hum laundiyon ke paas jima ke liye jate hain. Humara irada unhein bechne ka bhi hota hai. To Aap azl kar lene ke mutalliq kya farmate hain ? Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, accha tum log aisa karte ho ? Agar tum aisa na karo phir bhi koi haraj nahi. Is liye ke jis rooh ki bhi paidaish Allah Ta'ala ne qismat mein likh di hai wo paida ho kar hi rahegi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة