الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ دُخُولِ مَكَّةَ نَهَارًا أَوْ لَيْلاً:
Bab: Makkah mein raat aur din mein dakhil hona
Show diacritics
Hadith Number: 1574
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" بات النبي صلى الله عليه وسلم بذي طوى حتى اصبح، ثم دخل مكة"، وكان ابن عمر رضي الله عنهما يفعله.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya Qattan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ubaidullah Umari ne byaan kiya , un se Nafi ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se byaan kiya , Aap razi Allahu anhu ne farmaya ke ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Di-Tuwa mein raat guzari . Phir jab subah hui to Aap salla Allahu alaihi wasallam Makka mein dakhil hue . Ibn Umar razi Allahu anhuma bhi isi tarah karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِنْ أَيْنَ يَدْخُلُ مَكَّةَ:
Bab: Makkah mein kidhar se dakhil ho
Show diacritics
Hadith Number: 1575
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثني معن، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخل من الثنية العليا، ويخرج من الثنية السفلى".
Hum se Ibrahim bin Al-Munzir ne byaan kiya , un se Maan bin Isa ne byaan kiya , un se Imam Malik rahmatullah alaihi ne byaan kiya , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Makka mein buland ghati (yani Jannat-ul-Ma'alla) ki taraf se dakhil hote aur nikalte ”Thaniya-e-Sufla“ ki taraf se yani neeche ki ghati (Baab-e-Shubaika) ki taraf se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِنْ أَيْنَ يَخْرُجُ مِنْ مَكَّةَ:
Bab: Makkah se jate waqt kon si rah se jaye
Show diacritics
Hadith Number: 1576
حدثنا مسدد بن مسرهد البصري، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم دخل مكة من كداء من الثنية العليا التي بالبطحاء، وخرج من الثنية السفلى"، قال ابو عبد الله: كان يقال هو مسدد كاسمه، قال ابو عبد الله: سمعت يحيى بن معين، يقول: سمعت يحيى بن سعيد، يقول: لو ان مسددا اتيته في بيته فحدثته لاستحق ذلك، وما ابالي كتبي كانت عندي او عند مسدد.
Hum se Musaddad bin Musarhad Basri ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya Qattan ne byaan kiya , un se Ubaidullah Umari ne , un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam «ath-thaniyyatal-ulya» yani maqam-e-Kada ki taraf se dakhil hote jo Batha mein hai aur «ath-thaniyyatas-sufla» ki taraf se nikalte thay yani neeche wali ghati ki taraf se . Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha Musaddad ism-e-ba-musamma thay yani Musaddad ke maani Arabi zaban mein mazboot aur durust ke hain to hadees ki riwayat mein mazboot aur durust thay aur maine Yahya bin Mu'een se suna woh kehte hain maine Yahya Qattan se suna , woh kehte thay agar main Musaddad ke ghar ja kar in ko hadees sunaya karta to woh is ke laiq thay aur meri kitabein hadees ki mere paas rahein ya Musaddad ke paas mujhe kuch parwah nahi . Goya Yahya Qattan ne Musaddad ki be-had tareef ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1577
حدثنا الحميدي ومحمد بن المثنى، قالا: حدثنا سفيان بن عيينة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" ان النبي صلى الله عليه وسلم لما جاء إلى مكة دخل من اعلاها وخرج من اسفلها".
Hum se Humaidi aur Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne , un se in ke walid ne , un se Aisha razi Allahu anha ne ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Makka mein tashreef laye to oopar ki buland jaanib se shehar ke andar dakhil hue aur (Makka se) wapas jab gaye to neeche ki taraf se nikal gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1578
حدثنا محمود بن غيلان المروزي، حدثنا ابو اسامة، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل عام الفتح من كداء وخرج من كدا من اعلى مكة".
Hum se Mahmood bin Ghailan Marwazi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Usama ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya . Un se in ke walid Urwah bin Zubayr ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam fatah Makka ke mauqe par shehar mein Kada ki taraf se dakhil hue aur Kuda ki taraf se nikle jo Makka ke buland jaanib hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1579
حدثنا احمد، حدثنا ابن وهب، اخبرنا عمرو، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل عام الفتح من كداء اعلى مكة"، قال هشام: وكان عروة يدخل على كلتيهما من كداء وكدا، واكثر ما يدخل من كداء، وكانت اقربهما إلى منزله.
Hum se Ahmad bin Isa ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah ibn Wahab ne byaan kiya , kaha ke humein Amru bin Harith ne khabar di aur unhein Hisham bin Urwah ne , unhein in ke walid Urwah bin Zubayr ne aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam fatah Makka mauqe par dakhil hote waqt Makka ke balayi ilaqa Kada se dakhil hue . Hisham ne byaan kiya ke Urwah agarchay Kada aur Kuda dono taraf se dakhil hote thay lekin aksar Kuda se dakhil hote kyunke yeh rasta in ke ghar se qareeb tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1580
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا حاتم، عن هشام، عن عروة،" دخل النبي صلى الله عليه وسلم عام الفتح من كداء من اعلى مكة، وكان عروة اكثر ما يدخل من كداء، وكان اقربهما إلى منزله".
Hum se Abdullah bin Abdul Wahab ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hatim bin Ismail ne Hisham se byaan kiya , un se Urwah ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam fatah Makka ke mauqe par Makka ke balayi ilaqa Kada ki taraf se dakhil hue thay . Lekin Urwah aksar Kuda ki taraf se dakhil hote thay kyunke yeh rasta in ke ghar se qareeb tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1581
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن ابيه،" دخل النبي صلى الله عليه وسلم عام الفتح من كداء، وكان عروة يدخل منهما كليهما، وكان اكثر ما يدخل من كداء اقربهما إلى منزله"، قال ابو عبد الله: كداء وكدا موضعان.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya kaha ke hum se Hisham ne apne baap se byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam fatah Makka ke mauqe par Kada se dakhil hue thay . Urwah khud agarchay dono taraf se (Kada aur Kuda) dakhil hote lekin aksar Aap Kuda ki taraf se dakhil hote thay kyunke yeh rasta in ke ghar se qareeb tha . Abu Abdullah (Imam Bukhari rahmatullah alaihi) ne kaha ke Kada aur Kuda do maqamaat ke naam hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ مَكَّةَ وَبُنْيَانِهَا:
Bab: Fazail makkah aur kaaba ki bana ka byan
Show diacritics
Hadith Number: Q1582
وقوله تعالى: وإذ جعلنا البيت مثابة للناس وامنا واتخذوا من مقام إبراهيم مصلى وعهدنا إلى إبراهيم وإسماعيل ان طهرا بيتي للطائفين والعاكفين والركع السجود {125} وإذ قال إبراهيم رب اجعل هذا بلدا آمنا وارزق اهله من الثمرات من آمن منهم بالله واليوم الآخر قال ومن كفر فامتعه قليلا ثم اضطره إلى عذاب النار وبئس المصير {126} وإذ يرفع إبراهيم القواعد من البيت وإسماعيل ربنا تقبل منا إنك انت السميع العليم {127} ربنا واجعلنا مسلمين لك ومن ذريتنا امة مسلمة لك وارنا مناسكنا وتب علينا إنك انت التواب الرحيم {128} سورة البقرة آية 125-128.
Aur Allah Ta'ala ka irshad ”aur jab ke bana diya Hum ne Khana-e-Kaaba ko baar baar loutne ki jagah logon ke liye aur kar diya us ko aman ki jagah aur (hukm diya Hum ne) ke Maqam-e-Ibrahim ko namaaz parhne ki jagah banao aur Hum ne Ibrahim aur Ismail se ehad liya ke woh dono paak kar dein Mere makaan ko tawaf karne walon aur i'tikaf karne walon aur ruku sajda karne walon ke liye . Ae Allah! Kar de is shehar ko aman ki jagah aur yahan ke in rehne walon ko phalon se rozi de jo Allah aur yaum-e-aakhirat par imaan layein sirf un ko , is ke jawab mein Allah Ta'ala ne farmaya aur jis ne kufr kiya us ko main duniya mein chand roz maze karne doon ga phir usay dozakh ke azaab mein kheench laon ga aur woh bura thikaana hai . Aur jab Ibrahim wa Ismail alaihimas-salam Khana-e-Kaaba ki buniyaad utha rahe thay (to woh yun dua kar rahe thay) «rabbana taqabbal minna innaka antas-samee'ul-aleem * rabbana waj'alna muslimaini laka wa-min zurriyyatina ummatam-muslimatan laka wa-arina manasikana wa-tub alaina innaka antat-tawwabur-raheem» ae hamare Rabb! Hamari is koshish ko qabool farma . Tu hi hamari (dua'on ko) sunne wala aur (hamari niyat'on ka) jaanne wala hai . Ae hamare Rabb! Humein apna farman-bardar bana aur hamari nasal se ek jamaat banaiyo jo Teri farman-bardar ho . Hum ko ahkaam-e-Hajj sikha aur hamare haal par tawajjo farma ke Tu bahut hi tawajjo farmane wala hai . Aur bara raheem hai .


Show diacritics
Hadith Number: 1582
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابو عاصم، قال: اخبرني ابن جريج، قال: اخبرني عمرو بن دينار، قال: سمعت جابر بن عبد اللهرضي الله عنهما، قال:" لما بنيت الكعبة ذهب النبي صلى الله عليه وسلم وعباس ينقلان الحجارة، فقال العباس للنبي صلى الله عليه وسلم: اجعل إزارك على رقبتك، فخر إلى الارض وطمحت عيناه إلى السماء، فقال: ارني إزاري، فشده عليه".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Asim Nabeel ne byaan kiya , kaha ke mujhe Ibn Juraij ne khabar di , kaha ke mujhe Amru bin Dinar ne khabar di , kaha ke maine Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke (zamana-e-jahiliyat mein) jab Kaaba ki tameer hui to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Abbas razi Allahu anhu bhi patthar utha kar la rahe thay . Abbas razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke apna tehband utaar kar kandhe par daal lo (taake patthar uthane mein takleef na ho) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kiya to nange hote hi behosh ho kar Aap zameen par gir pare aur Aap ki aankhein aasman ki taraf lag gayin . Aap kehne lage mujhe mera tehband de do . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay mazboot baandh liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة