الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّ اجْعَلْ هَذَا الْبَلَدَ آمِنًا وَاجْنُبْنِي وَبَنِيَّ أَنْ نَعْبُدَ الأَصْنَامَ رَبِّ إِنَّهُنَّ أَضْلَلْنَ كَثِيرًا مِنَ النَّاسِ فَمَنْ تَبِعَنِي فَإِنَّهُ مِنِّي وَمَنْ عَصَانِي فَإِنَّكَ غَفُورٌ رَحِيمٌ رَبَّنَا إِنِّي أَسْكَنْتُ مِنْ ذُرِّيَّتِي بِوَادٍ غَيْرِ ذِي زَرْعٍ عِنْدَ بَيْتِكَ الْمُحَرَّمِ رَبَّنَا لِيُقِيمُوا الصَّلاَةَ فَاجْعَلْ أَفْئِدَةً مِنَ النَّاسِ تَهْوِي إِلَيْهِمْ} الآيَةَ:
Bab: Allah taala ne soorat ibrahim mein farmaya aur jab ibrahim ne kaha mere rab is shehr ko aman ka shehr bana aur mujhe aur meri aulad ko is se mahfooz rakhiyo ke hum buton ki ibadat karen mere rab in buton ne bohoton ko gumrah kiya hai allah taala ke farman la’allahum yashkuroon tak
(Note: Is baab mein hadees nahi hai)
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {جَعَلَ اللَّهُ الْكَعْبَةَ الْبَيْتَ الْحَرَامَ قِيَامًا لِلنَّاسِ وَالشَّهْرَ الْحَرَامَ وَالْهَدْيَ وَالْقَلاَئِدَ ذَلِكَ لِتَعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ يَعْلَمُ مَا فِي السَّمَوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ وَأَنَّ اللَّهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ}:
Bab: Allah taala ne soorat al-maida mein farmaya allah ne kaaba ko izzat wala ghar aur logon ke qiyam ki jagah banaya hai aur is tarah hurmat wale mahina ko banaya allah taala ke farman wa anna allaha bikulli shay’in aleem tak
Hadith Number: 1591
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا زياد بن سعد، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يخرب الكعبة ذو السويقتين من الحبشة".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ziyad bin Saad ne byaan kiya , un se Zuhri ne byaan kiya , un se Saeed bin Musayyab ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ”Kaaba ko do patli pindliyon wala ek haqueer Habshi tabah kar de ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1592
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب , عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها. ح وحدثني محمد بن مقاتل، قال: اخبرني عبد الله هو ابن المبارك، قال: اخبرنا محمد بن ابي حفصة، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كانوا يصومون عاشوراء قبل ان يفرض رمضان، وكان يوما تستر فيه الكعبة، فلما فرض الله رمضان، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: من شاء ان يصومه فليصمه، ومن شاء ان يتركه فليتركه".
Hum se Yahya bin Bukair ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya (doosri sanad Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha) aur mujh se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha ke humein Muhammad bin Abi Hafsah ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Urwah ne aur un se Umm-ul-Moomineen Aisha razi Allahu anha ne byaan farmaya ke Ramzan (ke roze) farz hone se pehle musalman Ashura ka roza rakhte thay . Ashura hi ke din (jahiliyat mein) Kaaba par ghilaf charhaya jata tha . Phir jab Allah Ta'ala ne Ramzan farz kar diya to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne logon se farmaya ke ”Ab jis ka jee chahe Ashura ka roza rakhe aur jis ka jee chahe chhor de .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1593
حدثنا احمد، حدثنا ابي، حدثنا إبراهيم، عن الحجاج بن حجاج، عن قتادة، عن عبد الله بن ابي عتبة، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ليحجن البيت وليعتمرن بعد خروج ياجوج وماجوج" , تابعه ابان، وعمران، عن قتادة، وقال عبد الرحمن: عن شعبة، قال:" لا تقوم الساعة حتى لا يحج البيت والاول اكثر"، سمع قتادة عبد الله، وعبد الله ابا سعيد.
Hum se Ahmad bin Hafs ne byaan kiya , kaha ke hum se mere walid ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , un se Hajjaj bin Hajjaj Aslami ne , un se Qatada ne , un se Abdullah bin Abi Utbah ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya Baitullah ka Hajj aur Umrah Yajooj aur Majooj ke nikalne ke baad bhi hota rahe ga . Abdullah bin Abi Utbah ke saath is hadees ko Aban aur Imran ne Qatada se riwayat kiya aur Abdul Rahman ne Shubah ke wasta se yun byaan kiya ke Qayamat is waqt tak qaim nahi ho gi jab tak Baitullah ka Hajj band na ho jaye . Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha ke pehli riwayat zyada rawiyon ne ki hai aur Qatada ne Abdullah bin Utbah se suna aur Abdullah ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كِسْوَةِ الْكَعْبَةِ:
Bab: Kaaba par ghilaf charhana
Hadith Number: 1594
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا سفيان، حدثنا واصل الاحدب، عن ابي وائل، قال: جئت إلى شيبة. ح وحدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن واصل، عن ابي وائل، قال:" جلست مع شيبة على الكرسي في الكعبة، فقال: لقد جلس هذا المجلس عمر رضي الله عنه، فقال: لقد هممت ان لا ادع فيها صفراء ولا بيضاء إلا قسمته، قلت: إن صاحبيك لم يفعلا، قال: هما المرءان اقتدي بهما".
Hum se Abdullah bin Abdul Wahab ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid bin Harith ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya , kaha ke hum se Wasil Ahdab ne byaan kiya aur un se Abu Wa'il ne byaan kiya ke main Shaiba ki khidmat mein hazir hua (doosri sanad) aur hum se Qabisah ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan ne Wasil se byaan kiya aur un se Abu Wa'il ne byaan kiya ke main Shaiba ke saath Kaaba mein kursi par baitha hua tha to Shaiba ne farmaya ke isi jagah baith kar Umar razi Allahu anhu ne (ek martaba) farmaya ke mera irada yeh hota hai ke Kaaba ke andar jitna sona chandi hai usay na chhoroon (jisay zamana-e-jahiliyat mein kuffar ne jama kiya tha) balke sab ko nikaal kar (musalmanon mein) taqseem kar doon . Maine arz ki ke Aap ke saathiyon (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr razi Allahu anhu) ne to aisa nahi kiya . Unhon ne farmaya ke main bhi unhein ki pairwi kar raha hoon (isi liye main is ke haath nahi lagata) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَدْمِ الْكَعْبَةِ:
Bab: Kaaba ke girane ka byan
Hadith Number: Q1595
قالت عائشة رضي الله عنها: قال النبي صلى الله عليه وسلم: يغزو جيش الكعبة فيخسف بهم.
Aur Umm-ul-Moomineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ek fauj Baitullah par charhayi kare gi aur woh zameen mein dhansa di jaye gi .“
Hadith Number: 1595
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا عبيد الله بن الاخنس، حدثني ابن ابي مليكة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كاني به اسود افحج يقلعها حجرا حجرا".
Hum se Amru bin Ali Fallas ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha ke hum se Ubaidullah bin Akhnas ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibn Abi Malaikah ne byaan kiya , un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Goya meri nazron ke saamne woh patli taangon wala siyah aadmi hai jo Khana-e-Kaaba ke ek ek patthar ko ukhaar phenke ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1596
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يخرب الكعبة ذو السويقتين من الحبشة".
Hum se Yahya bin Bukair ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Yunus ne , un se Ibn Shihab ne , un se Saeed bin Musayyab ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Kaaba ko do patli pindliyon wala Habshi kharab kare ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا ذُكِرَ فِي الْحَجَرِ الأَسْوَدِ:
Bab: Hajar aswad ka byan
Hadith Number: 1597
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن عابس بن ربيعة، عن عمر رضي الله عنه،" انه جاء إلى الحجر الاسود فقبله، فقال: إني اعلم انك حجر لا تضر ولا تنفع، ولولا اني رايت النبي صلى الله عليه وسلم يقبلك ما قبلتك".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , unhon ne kaha ke humein Sufyan Thauri ne khabar di , unhein Aamash ne , unhein Ibrahim ne , unhein Aabis bin Rabiah ne ke Umar razi Allahu anhu Hajr-e-Aswad ke paas aaye aur usay bosa diya aur farmaya ”Main khoob jaanta hoon ke tu sirf ek patthar hai , na kisi ko nuqsan puhancha sakta hai na nafa . Agar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko tujhe bosa dete hue main na dekhta to main bhi kabhi tujhe bosa na deta .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِغْلاَقِ الْبَيْتِ، وَيُصَلِّي فِي أَيِّ نَوَاحِي الْبَيْتِ شَاءَ:
Bab: Kaaba ka darwaza andar se band kar lena aur us ke har kone mein namaz parhna jidhar chahe
Hadith Number: 1598
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن ابن شهاب، عن سالم، عن ابيه، انه قال:" دخل رسول الله صلى الله عليه وسلم البيت هو , واسامة بن زيد وبلال وعثمان بن طلحة فاغلقوا عليهم، فلما فتحوا كنت اول من ولج، فلقيت بلالا فسالته هل صلى فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ , قال: نعم، بين العمودين اليمانيين".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Salim ne aur un se in ke baap ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam aur Usama bin Zaid aur Bilal wa Uthman bin Abi Talhah razi Allahu anhum chaaron Khana-e-Kaaba ke andar gaye aur andar se darwaza band kar liya . Phir jab darwaza khola to main pehla shakhs tha jo andar gaya . Meri mulaqat Bilal razi Allahu anhu se hui . Maine poocha ke kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (andar) namaaz parhi hai ? Unhon ne batlaya ke ”Haan! Dono Yamani sutoonon ke darmiyan Aap salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz parhi hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة