الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ التَّمَتُّعِ وَالإِقْرَانِ وَالإِفْرَادِ بِالْحَجِّ، وَفَسْخِ الْحَجِّ لِمَنْ لَمْ يَكُنْ مَعَهُ هَدْيٌ:
Bab: Hajj mein tamattu qiran aur ifrad ka byan aur jis ke sath hadi na ho usay hajj faskh kar ke umrah bana dene ki ijazat hai
Show diacritics
Hadith Number: 1564
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كانوا يرون ان العمرة في اشهر الحج من افجر الفجور في الارض، ويجعلون المحرم صفرا، ويقولون: إذا برا الدبر وعفا الاثر وانسلخ صفر حلت العمرة لمن اعتمر، قدم النبي صلى الله عليه وسلم واصحابه صبيحة رابعة مهلين بالحج فامرهم ان يجعلوها عمرة فتعاظم ذلك عندهم، فقالوا: يا رسول الله، اي الحل؟ , قال: حل كله".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Ta'oos ne byaan kiya , un se in ke baap aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Arab samajhte thay ke Hajj ke dino mein Umrah karna roye zameen par sab se bara gunah hai . Yeh log Muharram ko Safar bana lete aur kehte ke jab oont ki peeth sasta le aur us par khoob baal ug jayein aur Safar ka mahina khatam ho jaye (yani Hajj ke ayaam guzar jayein) to Umrah halal hota hai . Phir jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne as'haab ke saath chauthi ki subah ko Hajj ka ahram baandhe hue aaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne unhein hukm diya ke apne Hajj ko Umrah bana lein , yeh hukm (Arab ke purane riwaj ki bina par) aam Sahaba par bara bhaari guzra . Unhon ne poocha Ya Rasool Allah! Umrah kar ke hamare liye kya cheez halal ho gayi ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tamam cheezein halal ho jayeingi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1565
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن قيس بن مسلم، عن طارق بن شهاب، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال:" قدمت على النبي صلى الله عليه وسلم فامره بالحل".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha ke hum se Muhammad bin Jafar Ghundar ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Qais bin Muslim ne , un se Tariq bin Shihab ne aur un se Abu Musa Ashari razi Allahu anhu ne ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein (Hajjat-ul-Wada ke mauqe par Yemen se) hazir hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne (mujh ko Umrah ke baad) ahram khool dene ka hukm diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1566
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك. ح وحدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر، عن حفصة رضي الله عنهم زوج النبي صلى الله عليه وسلم، انها قالت:" يا رسول الله، ما شان الناس حلوا بعمرة ولم تحلل انت من عمرتك؟ , قال: إني لبدت راسي , وقلدت هديي، فلا احل حتى انحر".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik rahmatullah alaihi ne byaan kiya (doosri sanad) aur Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha ke hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha ke humein Imam Malik rahmatullah alaihi ne khabar di , unhein Nafi ne aur unhein Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja-e-mutahharah Hafsah razi Allahu anha ne byaan kiya ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se daryaft kiya Ya Rasool Allah! Kya baat hai aur log to Umrah kar ke halal ho gaye lekin Aap halal nahi hue ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke maine apne sar ki talbeed (baalon ko jamane ke liye ek lais-dar cheez ka istemal karna) ki hai aur apne saath hadi (qurbani ka jaanwar) laya hoon is liye main qurbani karne se pehle ahram nahi khool sakta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1567
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، اخبرنا ابو جمرة نصر بن عمران الضبعي، قال:" تمتعت، فنهاني ناس، فسالت ابن عباس رضي الله عنهما فامرني، فرايت في المنام كان رجلا يقول لي: حج مبرور وعمرة متقبلة، فاخبرت ابن عباس، فقال: سنة النبي صلى الله عليه وسلم، فقال لي: اقم عندي، فاجعل لك سهما من مالي، قال شعبة: فقلت: لم، فقال: للرؤيا التي رايت".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Jamrah Nasr bin Imran Dabayee ne byaan kiya , unhon ne kaha ke maine Hajj aur Umrah ka ek saath ahram baandha to kuch logon ne mujhe mana kiya . Is liye maine Ibn Abbas razi Allahu anhuma se is ke mutalliq daryaft kiya . Aap ne tamattu karne ke liye kaha . Phir maine ek shakhs ko dekha ke mujh se keh raha hai ”Hajj bhi mabroor hua aur Umrah bhi qabool hua“ maine yeh khwab Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko sunaya , to Aap ne farmaya ke yeh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki sunnat hai . Phir Aap ne farmaya ke mere yahan qiyam kar , main apne paas se tumhare liye kuch muqarrar kar ke diya karoon ga . Shubah ne byaan kiya ke maine (Abu Jamrah se) poocha ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne yeh kyun kiya tha ? (Yani maal kis baat par dene ke liye kaha) unhon ne byaan kiya ke isi khwab ki wajah se jo maine dekha tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1568
حدثنا ابو نعيم، حدثنا ابو شهاب، قال:" قدمت متمتعا مكة بعمرة فدخلنا قبل التروية بثلاثة ايام، فقال لي اناس من اهل مكة: تصير الآن حجتك مكية، فدخلت على عطاء استفتيه، فقال: حدثني جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، انه حج مع النبي صلى الله عليه وسلم يوم ساق البدن معه، وقد اهلوا بالحج مفردا، فقال لهم: احلوا من إحرامكم بطواف البيت وبين الصفا والمروة وقصروا، ثم اقيموا حلالا حتى إذا كان يوم التروية فاهلوا بالحج، واجعلوا التي قدمتم بها متعة، فقالوا: كيف نجعلها متعة وقد سمينا الحج؟، فقال: افعلوا ما امرتكم، فلولا اني سقت الهدي لفعلت مثل الذي امرتكم، ولكن لا يحل مني حرام حتى يبلغ الهدي محله، ففعلوا"، قال ابو عبد الله ابو شهاب: ليس له مسند إلا هذا.
Hum se Abu Nu'aim ne byaan kiya , un se Abu Shihab ne kaha ke main tamattu ki niyat se Umrah ka ahram baandh ke yaum-e-tarwiyah se teen din pehle Makka puhancha . Is par Makka ke kuch logon ne kaha ab tumhara Hajj Makki ho ga . Main Ata bin Abi Rabah ki khidmat mein hazir hua . Yahi poochne ke liye . Unhon ne farmaya ke mujh se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath woh Hajj kiya tha jis mein Aap salla Allahu alaihi wasallam apne saath qurbani ke oont laye thay (yani Hajjat-ul-Wada) Sahaba ne sirf mufrad Hajj ka ahram baandha tha . Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke (Umrah ka ahram baandh lo aur) Baitullah ka tawaf aur Safa Marwah ki sayi ke baad apne ahram khool dalo aur baal turshwa lo . Yaum-e-tarwiyah tak barabar isi tarah halal raho , phir yaum-e-tarwiyah mein Makka hi se Hajj ka ahram baandh-o aur is tarah apne Hajj-e-Mufrad ko jis ki tum ne pehle niyat ki thi , ab usay tamattu bana lo . Sahaba ne arz ki ke hum isay tamattu kaise bana sakte hain ? Hum to Hajj ka ahram baandh chuke hain . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis tarah main keh raha hoon waise hi karo . Agar mere saath hadi na hoti to khud main bhi isi tarah karta jis tarah tum se keh raha hoon . Lekin main kya karoon ab mere liye koi cheez is waqt tak halal nahi ho sakti jab tak mere qurbani ke jaanwaron ki qurbani na ho jaye . Chunanche Sahaba ne Aap ke hukm ki tameel ki . Abu Abdullah (Imam Bukhari rahmatullah alaihi) ne kaha ke Abu Shihab ki is hadees ke siwa aur koi marfoo hadees marwi nahi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1569
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حجاج بن محمد الاعور، عن شعبة، عن عمرو بن مرة، عن سعيد بن المسيب، قال:" اختلف علي وعثمان رضي الله عنهما وهما بعسفان في المتعة، فقال علي: ما تريد إلا ان تنهى عن امر فعله النبي صلى الله عليه وسلم، فلما راى ذلك علي اهل بهما جميعا".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke hum se Hajjaj bin Muhammad Awar ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Amru bin Murrah ne , un se Saeed bin Musayyab ne ke Uthman aur Ali razi Allahu anhuma Usfan aaye to in mein baaham tamattu ke silsile mein ikhtilaf hua to Ali razi Allahu anhu ne farmaya ke jis ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kiya hai us se Aap kyun rok rahe hain ? Is par Uthman razi Allahu anhu ne farmaya ke mujhe apne haal par rehne do . Yeh dekh kar Ali razi Allahu anhu ne Hajj aur Umrah dono ka ahram ek saath baandha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَبَّى بِالْحَجِّ وَسَمَّاهُ:
Bab: Agar koi labbaik mein hajj ka naam le
Show diacritics
Hadith Number: 1570
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، قال: سمعت مجاهدا، يقول: حدثنا جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" قدمنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم , ونحن نقول: لبيك اللهم لبيك بالحج، فامرنا رسول الله صلى الله عليه وسلم فجعلناها عمرة".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne , kaha ke maine Mujahid se suna , unhon ne kaha hum se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne byaan kiya unhon ne kaha ke jab hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath aaye to hum ne Hajj ki Labbaik pukari . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne humein hukm diya hum ne isay Umrah bana liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّمَتُّعِ:
Bab: Nabi kareem salla allahu alaihi wasallam ke zamana mein tamattu ka jari hona
Show diacritics
Hadith Number: 1571
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، عن قتادة، قال: حدثني مطرف، عن عمران رضي الله عنه، قال:" تمتعنا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فنزل القرآن، قال رجل: برايه ما شاء".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammam bin Yahya ne Qatada se byaan kiya kaha ke mujh se Mutarrif ne Imran bin Husain se byaan kiya , unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein hum ne tamattu kiya tha aur khud Quran mein tamattu ka hukm nazil hua tha . Ab ek shakhs ne apni rai se jo chaha keh diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {ذَلِكَ لِمَنْ لَمْ يَكُنْ أَهْلُهُ حَاضِرِي الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ}:
Bab: Allah taala ka soorat al-baqara mein ye farmana tamattu ya qurbani ka hukm un logon ke liye hai jin ke ghar wale masjid al-haram ke paas na rehte hon
Show diacritics
Hadith Number: 1572
وقال ابو كامل فضيل بن حسين البصري , حدثنا ابو معشر البراء , حدثنا عثمان بن غياث , عن عكرمة , عن ابن عباس رضي الله عنهما انه سئل عن متعة الحج , فقال اهل المهاجرون والانصار وازواج النبي صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع: واهللنا فلما قدمنا مكة , قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اجعلوا إهلالكم بالحج عمرة إلا من قلد الهدي فطفنا بالبيت وبالصفا , والمروة واتينا النساء ولبسنا الثياب , وقال: من قلد الهدي فإنه لا يحل له حتى يبلغ الهدي محله , ثم امرنا عشية التروية ان نهل بالحج فإذا فرغنا من المناسك جئنا فطفنا بالبيت , وبالصفا , والمروة فقد تم حجنا , وعلينا الهدي , كما قال الله تعالى: فما استيسر من الهدي فمن لم يجد فصيام ثلاثة ايام في الحج وسبعة إذا رجعتم سورة البقرة آية 196 إلى امصاركم الشاة تجزي فجمعوا نسكين في عام بين الحج والعمرة فإن الله تعالى انزله في كتابه وسنه نبيه صلى الله عليه وسلم واباحه للناس غير اهل مكة , قال الله: ذلك لمن لم يكن اهله حاضري المسجد الحرام واشهر الحج التي ذكر الله تعالى في كتابه شوال , وذو القعدة , وذو الحجة فمن تمتع في هذه الاشهر فعليه دم او صوم , والرفث: الجماع , والفسوق: المعاصي , والجدال: المراء.
Aur Abu Kamil Fadhail bin Husain Basri ne kaha ke hum se Abumashar Yusuf bin Yazid Bara ne byaan kiya , kaha ke hum se Uthman bin Ghiyath ne byaan kiya , un se Ikrimah ne , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne , Ibn Abbas razi Allahu anhuma se Hajj mein tamattu ke mutalliq poocha gaya . Aap ne farmaya ke Hajjat-ul-Wada ke mauqe par Muhajireen Ansar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki azwaj aur hum sab ne ahram baandha tha . Jab hum Makka aaye to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apne ahram ko Hajj aur Umrah dono ke liye kar lo lekin jo log qurbani ka jaanwar apne saath laye hain . (Woh Umrah karne ke baad halal nahi honge) chunanche hum ne Baitullah ka tawaf aur Safa o Marwah ki sayi kar li to apna ahram khool dala aur hum apni biwiyon ke paas gaye aur sile hue kapre pehne . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke jis ke saath qurbani ka jaanwar hai woh is waqt tak halal nahi ho sakta jab tak hadi apni jagah na puhanch le (yani qurbani na hole) humein (jinhon ne hadi saath nahi li thi) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aathvein tareekh ki shaam ko hukm diya ke hum Hajj ka ahram baandh lein . Phir jab hum manasik-e-Hajj se farigh ho gaye to hum ne aa kar Baitullah ka tawaf aur Safa Marwah ki sayi ki , phir hamara Hajj poora ho gaya aur ab qurbani hum par lazim hui . Jaisa ke Allah Ta'ala ka irshad hai ”jisay qurbani ka jaanwar muyassar ho (to woh qurbani kare) aur agar kisi ko qurbani ki taqat na ho to teen roze Hajj mein aur saat din ghar wapas hone par rakhe (qurbani mein) bakri bhi kaafi hai . To logon ne Hajj aur Umrah dono ibadatein ek hi saal mein ek saath ada kin . Kyunke Allah Ta'ala ne khud apni kitab mein yeh hukm nazil kiya tha aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne is par khud amal kar ke tamam logon ke liye jaiz qarar diya tha . Albatta Makka ke bashindon ka is se istithna hai . Kyunke Allah Ta'ala ka farmaan hai ”yeh hukm in logon ke liye hai jin ke ghar wale Masjid-ul-Haram ke paas rehne wale na hon“ . Aur Hajj ke jin mahino ka Quran mein zikr hai woh Shawwal , Di-ul-Qada aur Di-ul-Hijja hain . In mahino mein jo koi bhi tamattu kare woh ya qurbani de ya agar maqdoor na ho to roze rakhe . Aur «rafath» ka maani jamaa (ya fuhsh baatein) aur «fusooq» gunah aur «jidal» logon se jhagarna .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِغْتِسَالِ عِنْدَ دُخُولِ مَكَّةَ:
Bab: Makkah mein dakhil hote waqt ghusl karna
Show diacritics
Hadith Number: 1573
حدثني يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابن علية، اخبرنا ايوب، عن نافع، قال:" كان ابن عمر رضي الله عنهما إذا دخل ادنى الحرم امسك عن التلبية، ثم يبيت بذي طوى، ثم يصلي به الصبح , ويغتسل ويحدث ان نبي الله صلى الله عليه وسلم كان يفعل ذلك".
Hum se Yaqub bin Ibrahim ne byaan kiya , un se Ismail bin Alayyah ne byaan kiya , unhein Ayub Sakhtiyani ne khabar di , unhein Nafi ne , unhon ne byaan kiya ke jab Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma haram ki sarhad ke qareeb puhanchte to talbiya kehna band kar dete . Raat Di-Tuwa mein guzarte , subah ki namaaz wahin parhte aur ghusal karte (phir Makka mein dakhil hote) Aap byaan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi isi tarah kiya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة