الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ رَفْعِ الصَّوْتِ بِالإِهْلاَلِ:
Labbaik buland awaaz se kehna.
Show diacritics
Hadith Number: 1548
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن انس رضي الله عنه، قال:" صلى النبي صلى الله عليه وسلم بالمدينة الظهر اربعا، والعصر بذي الحليفة ركعتين، وسمعتهم يصرخون بهما جميعا".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , un se Abu Ayub ne , un se Abu Qilabah ne aur un se Anas bin Malik ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz-e-Zohr Madina Munawwarah mein chaar rak'at parhi . Lekin namaaz-e-Asr Zul Hulaifah mein do rak'at parhi . Maine khud suna ke log buland awaaz se Hajj aur Umrah dono ke liye Labbaik keh rahe thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّلْبِيَةِ:
Talbiah ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 1549
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما،" ان تلبية رسول الله صلى الله عليه وسلم لبيك اللهم لبيك، لبيك لا شريك لك لبيك، إن الحمد والنعمة لك والملك، لا شريك لك".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne khabar di , unhein Nafi ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ka talbiya yeh tha «labbaik allahumma labbaik , labbaika la shareeka laka labbaik , innal hamda wan-ni'mata laka wal-mulk , la shareeka lak» ”Haazir hoon ae Allah! Haazir hoon main , Tera koi shareek nahi . Haazir hoon , tamam hamd Tere hi liye hai aur tamam nematon Teri hi taraf se hain , baadshahat Teri hi hai Tera koi shareek nahi .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1550
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن عمارة، عن ابي عطية، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" إني لاعلم كيف كان النبي صلى الله عليه وسلم يلبي، لبيك اللهم لبيك، لبيك لا شريك لك لبيك، إن الحمد والنعمة لك" تابعه ابو معاوية، عن الاعمش، وقال شعبة، اخبرنا سليمان، سمعت خيثمة، عن ابي عطية، سمعت عائشة رضي الله عنها.
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne Aamash se byaan kiya , un se Amarah ne un se Abu Atiyyah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke main jaanti hoon ke kis taraf Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam talbiya kehte thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam talbiya yun kehte thay «labbaik allahumma labbaik , labbaika la shareeka laka labbaik , innal hamda wan-ni'mata laka» (tarjuma guzar chuka hai) is ki mutaba'at Sufyan Thauri ki tarah Abu Muawiyah ne Aamash se bhi ki hai . Aur Shubah ne kaha ke mujh ko Sulayman Aamash ne khabar di ke maine Khaithamah se suna aur unhon ne Abu Atiyyah se , unhon ne Aisha razi Allahu anha se suna . Phir yahi hadees byaan ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّحْمِيدِ وَالتَّسْبِيحِ وَالتَّكْبِيرِ قَبْلَ الإِهْلاَلِ عِنْدَ الرُّكُوبِ عَلَى الدَّابَّةِ:
Bab: Ihram bandhte waqt jab janwar par sawar hone lage to labbaik se pehle alhamdulillah subhanallah allahu akbar kehna
Show diacritics
Hadith Number: 1551
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، عن انس رضي الله عنه، قال:" صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم , ونحن معه بالمدينة الظهر اربعا، والعصر بذي الحليفة ركعتين، ثم بات بها حتى اصبح، ثم ركب حتى استوت به على البيداء , حمد الله , وسبح , وكبر، ثم اهل بحج وعمرة واهل الناس بهما، فلما قدمنا امر الناس فحلوا حتى كان يوم التروية اهلوا بالحج , قال: ونحر النبي صلى الله عليه وسلم بدنات بيده قياما، وذبح رسول الله صلى الله عليه وسلم بالمدينة كبشين املحين"، قال ابو عبد الله: قال بعضهم: هذا عن ايوب، عن رجل، عن انس.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , kaha ke hum se Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya un se Abu Qilabah ne aur un se Anas ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne , Madina mein hum bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay Zohr ki namaaz chaar rak'at parhi aur Zul Hulaifah mein Asr ki namaaz do rak'at . Aap salla Allahu alaihi wasallam raat ko wahin rahe . Subah hui to maqam-e-Baida se sawari par baithte hue Allah Ta'ala ki hamd , us ki tasbeeh aur takbeer kahi . Phir Hajj aur Umrah ke liye ek saath ahram baandha aur logon ne bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath dono ka ek saath ahram baandha (yani qiran kiya) jab hum Makka aaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ke hukm se (jin logon ne Hajj-e-Tamattu ka ahram baandha tha un) sab ne ahram khool diya . Phir aathvein tareekh mein sab ne Hajj ka ahram baandha . Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne haath se khare ho kar bahut se oont nahar kiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Eid-ul-Adha ke din) Madina mein bhi do chit-kabre seengon wale meindhe zibah kiye thay . Abu Abdullah (Imam Bukhari rahmatullah alaihi) ne kaha ke baaz log is hadees ko yun riwayat karte hain Ayub se , unhon ne ek shakhs se , unhon ne Anas se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَهَلَّ حِينَ اسْتَوَتْ بِهِ رَاحِلَتُهُ:
Bab: Jab sawari seedhi le kar khari ho us waqt labbaik pukarna
Show diacritics
Hadith Number: 1552
حدثنا ابو عاصم، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني صالح بن كيسان، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" اهل النبي صلى الله عليه وسلم حين استوت به راحلته قائمة".
Hum se Abu Asim ne byaan kiya , kaha ke humein Ibn Juraij ne khabar di , kaha ke mujhe Salih bin Kaisan ne khabar di , unhein Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko le kar Aap salla Allahu alaihi wasallam ki sawari poori tarah khari ho gayi thi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is waqt Labbaik pukara .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِهْلاَلِ مُسْتَقْبِلَ الْقِبْلَةِ:
Bab: Qibla rukh ho kar ihram bandhte hue labbaik pukarna
Show diacritics
Hadith Number: 1553
وقال ابو معمر , حدثنا عبد الوارث , حدثنا ايوب , عن نافع , قال: كان ابن عمر رضي الله عنهما إذا صلى بالغداة بذي الحليفة امر براحلته فرحلت , ثم ركب فإذا استوت به استقبل القبلة قائما , ثم يلبي حتى يبلغ الحرم , ثم يم سك حتى إذا جاء ذا طوى بات به حتى يصبح , فإذا صلى الغداة اغتسل , وزعم ان رسول الله صلى الله عليه وسلم فعل ذلك تابعه إسماعيل , عن ايوب في الغسل.
Aur Abu Mamar ne kaha ke hum se Abdul Waris ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ayub Sakhtiyani ne Nafi se byaan kiya , unhon ne kaha ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma jab Zul Hulaifah mein subah ki namaaz parh chuke to apni oontni par palan lagane ka hukm farmaya , sawari layi gayi to Aap is par sawar hue aur jab woh Aap ko le kar khari ho gayi to Aap khare ho kar qibla-ru ho gaye aur phir Labbaik kehna shuroo kiya ta-aanke haram mein dakhil ho gaye . Wahan puhanch kar Aap ne Labbaik kehna band kar diya . Phir Di-Tuwa mein tashreef la kar raat wahin guzarte subah hoti to namaaz parhte aur ghusal karte (phir Makka mein dakhil hote) Aap yaqeen ke saath yeh jaante thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bhi isi tarah kiya tha . Abdul Waris ki tarah is hadees ko Ismail ne bhi Ayub se riwayat kiya . Is mein ghusal ka zikr hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1554
حدثنا سليمان بن داود ابو الربيع، حدثنا فليح , عن نافع، قال:" كان ابن عمر رضي الله عنهما إذا اراد الخروج إلى مكة ادهن بدهن ليس له رائحة طيبة، ثم ياتي مسجد ذي الحليفة فيصلي، ثم يركب , وإذا استوت به راحلته قائمة احرم، ثم قال: هكذا رايت النبي صلى الله عليه وسلم يفعل".
Hum se Abul Rabee Sulayman bin Dawood ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Fulaih bin Sulayman ne byaan kiya , un se Nafi ne byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma jab Makka jaane ka irada karte thay pehle khushbu ke baghair tail istemal karte . Is ke baad Masjid-e-Zul Hulaifah mein tashreef laate yahan subah ki namaaz parhte , phir sawar hote , jab oontni Aap ko le kar poori tarah khari ho jati to ahram baandhte . Phir farmate ke maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko is tarah karte dekha tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّلْبِيَةِ إِذَا انْحَدَرَ فِي الْوَادِي:
Bab: Naale mein utarte waqt labbaik kahe
Show diacritics
Hadith Number: 1555
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثني ابن ابي عدي، عن ابن عون، عن مجاهد، قال:" كنا عند ابن عباس رضي الله عنهما فذكروا الدجال، انه قال: مكتوب بين عينيه كافر، فقال ابن عباس: لم اسمعه، ولكنه قال: اما موسى كاني انظر إليه إذ انحدر في الوادي يلبي".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibn Adi ne byaan kiya , un se Abdullah bin Aun ne un se Mujahid ne byaan kiya , kaha ke hum Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein hazir thay . Logon ne Dajjal ka zikr kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke us ki dono aankhon ke darmiyan kafir likha hua ho ga . To Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya ke maine to yeh nahi suna . Haan Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya tha ke goya main Musa alaihis-salam ko dekh raha hoon ke jab Aap naale mein utre to Labbaik keh rahe hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَيْفَ تُهِلُّ الْحَائِضُ وَالنُّفَسَاءُ:
Bab: Haiz wali aur nafas wali auraten kis tarah ihram bandhen
Show diacritics
Hadith Number: Q1556
اهل تكلم به , واستهللنا , واهللنا الهلال كله من الظهور واستهل المطر خرج من السحاب , وما اهل لغير الله به وهو من استهلال الصبي.
Arab log kehte hain «ahalla» yani baat munh se nikaal di «wa-istahlalna wa-ahlalnal-hilala» in sab se lafzon ka maani zahir hona hai aur «wa-istahlal-mataru» maani paani abr mein se nikla . Aur Quran Shareef (Surah Al-Ma'idah) mein jo «wa-ma uhilla li-ghairillahi bihi» hai is ke maani jis jaanwar par Allah ke siwa doosre ka naam pukara jaye aur baccha ke «istihlaal» se nikla hai . Yani paida hote waqt is ka awaaz karna .


Show diacritics
Hadith Number: 1556
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" خرجنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع فاهللنا بعمرة، ثم قال النبي صلى الله عليه وسلم: من كان معه هدي فليهل بالحج مع العمرة، ثم لا يحل حتى يحل منهما جميعا، فقدمت مكة وانا حائض ولم اطف بالبيت ولا بين الصفا والمروة، فشكوت ذلك إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: انقضي راسك وامتشطي واهلي بالحج ودعي العمرة، ففعلت، فلما قضينا الحج ارسلني النبي صلى الله عليه وسلم مععبد الرحمن بن ابي بكر إلى التنعيم فاعتمرت، فقال: هذه مكان عمرتك، قالت: فطاف الذين كانوا اهلوا بالعمرة بالبيت وبين الصفا والمروة، ثم حلوا، ثم طافوا طوافا آخر بعد ان رجعوا من منى، واما الذين جمعوا الحج والعمرة فإنما طافوا طوافا واحدا".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , kaha ke humein Imam Malik ne Ibn Shihab se khabar di , unhein Urwah bin Zubayr ne , un se Nabi Karim ki zauja-e-mutahharah Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke hum Hajjat-ul-Wada mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath rawana hue . Pehle hum ne Umrah ka ahram baandha lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ke saath qurbani ho to usay Umrah ke saath Hajj ka bhi ahram baandh lena chahiye . Aaisa shakhs darmiyan mein halal nahi ho sakta balke Hajj aur Umrah dono se ek saath halal ho ga . Main bhi Makka aayi thi is waqt main ha'iza ho gayi , is liye na Baitullah ka tawaf kar saki aur na Safa aur Marwah ki sayi . Maine is ke mutalliq Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se shikwa kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apna sar khool daal , kangha kar aur Umrah chhor kar Hajj ka ahram baandh le . Chunanche maine aisa hi kiya phir jab hum Hajj se farigh ho gaye to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe mere bhai Abdul Rahman bin Abi Bakr ke saath Tan'eem bheja . Maine wahan se Umrah ka ahram baandha (aur Umrah ada kiya) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh tumhare is Umrah ke badle mein hai . (Jisay tum ne chhor diya tha) Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jin logon ne (Hajjat-ul-Wada mein) sirf Umrah ka ahram baandha tha , woh Baitullah ka tawaf Safa aur Marwah ki sayi kar ke halal ho gaye . Phir Mina se wapas hone par doosra tawaf (yani tawaf-e-ziyarat) kiya lekin jin logon ne Hajj aur Umrah ka ek saath ahram baandha tha , unhon ne sirf ek hi tawaf kiya yani tawaf-e-ziyarat kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة