الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ لَمْ يَسْتَلِمْ إِلاَّ الرُّكْنَيْنِ الْيَمَانِيَيْنِ:
Bab: Is shakhs se mutalliq jis ne sirf dono arkan yamani ka istalam kiya
Show diacritics
Hadith Number: 1608
وقال محمد بن بكر، اخبرنا ابن جريج، اخبرني عمرو بن دينار، عن ابي الشعثاء، انه قال: ومن يتقي شيئا من البيت، وكان معاوية يستلم الاركان، فقال له ابن عباس رضي الله عنهما: إنه لا يستلم هذان الركنان، فقال: ليس شيء من البيت مهجورا، وكان ابن الزبير رضي الله عنهما يستلمهن كلهن.
Aur Muhammad bin Bakr ne kaha ke humein Ibn Juraij ne khabar di , unhon ne kaha mujh ko Amru bin Dinar ne khabar di ke Abul Shatha ne kaha Baitullah ke kisi bhi hissa se bhala kaun parhez kar sakta hai . Aur Muawiyah razi Allahu anhu chaaron rukno ka istilam karte thay , is par Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne in se kaha ke hum in do arkaan-e-shami aur iraqi ka istilam nahi karte to Muawiyah razi Allahu anhu ne farmaya ke Baitullah ka koi juz aisa nahi jisay chhor diya jaye aur Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma bhi tamam arkaan ka istilam karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1609
حدثنا ابو الوليد، حدثنا ليث، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه رضي الله عنهما، قال:" لم ار النبي صلى الله عليه وسلم يستلم من البيت، إلا الركنين اليمانيين".
Hum se Abul Waleed Tayalisi ne byaan kiya , un se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Salim bin Abdullah ne , un se in ke walid Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke maine Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko sirf dono Yamani arkaan ka istilam karte dekha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَقْبِيلِ الْحَجَرِ:
Bab: Hajar aswad ko bosa dena
Show diacritics
Hadith Number: 1610
حدثنا احمد بن سنان , حدثنا يزيد بن هارون، اخبرنا ورقاء، اخبرنا زيد بن اسلم، عن ابيه، قال: رايت عمر بن الخطاب رضي الله عنه قبل الحجر، وقال:" لولا اني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم قبلك ما قبلتك".
Hum se Ahmad bin Sinan ne byaan kiya , un se Yazid bin Haroon ne byaan kiya , unhein Warqa ne khabar di , unhein Zaid bin Aslam ne khabar di , un se in ke walid ne byaan kiya ke maine dekha ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne Hajr-e-Aswad ko bosa diya aur phir farmaya ke ”Agar main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko tujhe bosa dete na dekhta to main kabhi tujhe bosa na deta .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1611
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن الزبير بن عربي، قال:" سال رجل ابن عمر رضي الله عنهما عن استلام الحجر، فقال: رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يستلمه ويقبله، قال: قلت: ارايت إن زحمت، ارايت إن غلبت، قال: اجعل ارايت باليمن رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يستلمه ويقبله".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , un se Zubayr bin Arabi ne byaan kiya ke ek shakhs ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se Hajr-e-Aswad ke bosa dene ke mutalliq poocha to unhon ne batlaya ke ”Maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko us ko bosa dete dekha hai .“ Is ke baad us shakhs ne kaha agar hujoom ho jaye aur main aajiz ho jaon to kya karoon ? Ibn Umar razi Allahu anhuma ne farmaya ke ”Is agar magar ko Yemen mein ja kar rakho maine to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke Aap us ko bosa dete thay .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَشَارَ إِلَى الرُّكْنِ إِذَا أَتَى عَلَيْهِ:
Bab: Hajar aswad ke samne pahunch kar is ki taraf ishara karna (jab choomna na ho sake)
Show diacritics
Hadith Number: 1612
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" طاف النبي صلى الله عليه وسلم بالبيت على بعير، كلما اتى على الركن اشار إليه".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Wahab ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid Hazza ne Ikrimah se byaan kiya , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek oontni par (sawar ho kar Kaaba ka) tawaf kar rahe thay aur jab bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam Hajr-e-Aswad ke saamne puhanchte to kisi cheez se us ki taraf ishaara karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّكْبِيرِ عِنْدَ الرُّكْنِ:
Bab: Hajar aswad ke samne aa kar takbeer kehna
Show diacritics
Hadith Number: 1613
حدثنا مسدد، حدثنا خالد بن عبد الله، حدثنا خالد الحذاء، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" طاف النبي صلى الله عليه وسلم بالبيت على بعير، كلما اتى الركن اشار إليه بشيء كان عنده وكبر" تابعه إبراهيم بن طهمان، عن خالد الحذاء.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid bin Abdullah ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid Hazza ne byaan kiya , un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Baitullah ka tawaf ek oontni par sawar reh kar kiya . Jab bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam Hajr-e-Aswad ke saamne puhanchte to kisi cheez se us ki taraf ishaara karte aur takbeer kehte . Khalid Tahhan ke saath is hadees ko Ibrahim bin Tahman ne bhi Khalid Hazza se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ طَافَ بِالْبَيْتِ إِذَا قَدِمَ مَكَّةَ، قَبْلَ أَنْ يَرْجِعَ إِلَى بَيْتِهِ، ثُمَّ صَلَّى رَكْعَتَيْنِ، ثُمَّ خَرَجَ إِلَى الصَّفَا:
Bab: Jo shakhs (hajj ya umrah ki niyat se) makkah mein aaye to apne ghar laut jane se pehle tawaf kare phir dogana tawaf ada kare phir safa pahar par jaye
Show diacritics
Hadith Number: 1614
حدثنا اصبغ، عن ابن وهب، اخبرني عمرو، عن محمد بن عبد الرحمن، ذكرت لعروة، قال: فاخبرتني عائشة رضي الله عنها،"ان اول شيء بدا به حين قدم النبي صلى الله عليه وسلم، انه توضا، ثم طاف، ثم لم تكن عمرة، ثم حج ابو بكر وعمر رضي الله عنهما مثله، ثم حججت مع ابي الزبير رضي الله عنه، فاول شيء بدا به الطواف، ثم رايت المهاجرين , والانصار يفعلونه، وقد اخبرتني امي انها اهلت هي , واختها والزبير وفلان وفلان بعمرة، فلما مسحوا الركن حلوا.
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya , un se Abdullah bin Wahab ne byaan kiya ke mujhe Amru bin Harith ne Muhammad bin Abdul Rahman Abul Aswad se khabar di , unhon ne kaha ke maine Urwah se (Hajj ka masla) poocha to unhon ne farmaya ke Aisha razi Allahu anha ne mujhe khabar di thi ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab (Makka) tashreef laye to sab se pehla kaam Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh kiya ke wazu kiya phir tawaf kiya aur tawaf karne se Umrah nahi hua . Is ke baad Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ne bhi isi tarah Hajj kiya . Phir Urwah ne kaha ke maine apne walid Zubayr razi Allahu anhu ke saath Hajj kiya , unhon ne bhi sab se pehle tawaf kiya . Muhajireen aur Ansar ko bhi maine isi tarah karte dekha tha . Meri walida (Asma bint Abi Bakr razi Allahu anhuma) ne bhi mujhe bataya ke unhon ne apni behen (Aisha razi Allahu anha) aur Zubayr aur falan falan ke saath Umrah ka ahram baandha tha . Jab in logon ne Hajr-e-Aswad ko bosa de liya to ahram khool dala tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1615
حدثنا اصبغ، عن ابن وهب، اخبرني عمرو، عن محمد بن عبد الرحمن، ذكرت لعروة، قال: فاخبرتني عائشة رضي الله عنها،"ان اول شيء بدا به حين قدم النبي صلى الله عليه وسلم، انه توضا، ثم طاف، ثم لم تكن عمرة، ثم حج ابو بكر وعمر رضي الله عنهما مثله، ثم حججت مع ابي الزبير رضي الله عنه، فاول شيء بدا به الطواف، ثم رايت المهاجرين , والانصار يفعلونه، وقد اخبرتني امي انها اهلت هي , واختها والزبير وفلان وفلان بعمرة، فلما مسحوا الركن حلوا.
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya , un se Abdullah bin Wahab ne byaan kiya ke mujhe Amru bin Harith ne Muhammad bin Abdul Rahman Abul Aswad se khabar di , unhon ne kaha ke maine Urwah se (Hajj ka masla) poocha to unhon ne farmaya ke Aisha razi Allahu anha ne mujhe khabar di thi ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab (Makka) tashreef laye to sab se pehla kaam Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh kiya ke wazu kiya phir tawaf kiya aur tawaf karne se Umrah nahi hua . Is ke baad Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ne bhi isi tarah Hajj kiya . Phir Urwah ne kaha ke maine apne walid Zubayr razi Allahu anhu ke saath Hajj kiya , unhon ne bhi sab se pehle tawaf kiya . Muhajireen aur Ansar ko bhi maine isi tarah karte dekha tha . Meri walida (Asma bint Abi Bakr razi Allahu anhuma) ne bhi mujhe bataya ke unhon ne apni behen (Aisha razi Allahu anha) aur Zubayr aur falan falan ke saath Umrah ka ahram baandha tha . Jab in logon ne Hajr-e-Aswad ko bosa de liya to ahram khool dala tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1616
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة انس، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا طاف في الحج او العمرة، اول ما يقدم سعى ثلاثة اطواف ومشى اربعة، ثم سجد سجدتين، ثم يطوف بين الصفا والمروة".
Hum se Ibrahim bin Al-Munzir ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Damrah Anas bin Iyadh ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Musa bin Uqbah ne byaan kiya , unhon ne Nafi se byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (Makka) aane ke baad sab se pehle Hajj aur Umrah ka tawaf kiya tha . Is ke teen chakron mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne sayi (raml) ki aur baaqi chaar mein hasb-e-mamool chale . Phir tawaf ki do rak'at namaaz parhi aur Safa Marwah ki sayi ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1617
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان إذا طاف بالبيت الطواف الاول يخب ثلاثة اطواف , ويمشي اربعة، وانه كان يسعى بطن المسيل إذا طاف بين الصفا والمروة".
Hum se Ibrahim bin Al-Munzir ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Anas bin Iyadh ne byaan kiya , un se Ubaidullah Umari ne , un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab Baitullah ka pehla tawaf (yani tawaf-e-qudoom) karte to us ke teen chakron mein Aap salla Allahu alaihi wasallam dour kar chalte aur chaar mein mamool ke muwafiq chalte phir jab Safa aur Marwah ki sayi karte to ”batan-e-maseel“ (wadi) mein dour kar chalte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة