الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ زَكَاةِ الإِبِلِ:
Oonton ki zakat ka bayaan.
Hadith Number: 1452
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا الاوزاعي , قال: حدثني ابن شهاب، عن عطاء بن يزيد، عن ابي سعيد الخدريرضي الله عنه،" ان اعرابيا سال رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الهجرة، فقال: ويحك، إن شانها شديد، فهل لك من إبل تؤدي صدقتها؟ , قال: نعم، قال: فاعمل من وراء البحار، فإن الله لن يترك من عملك شيئا".
Hum se Ali bin Abdullah bin Madini ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Waleed bin Muslim ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Imam Awzai ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Ibn Shihab ne byaan kiya ‘ un se Ata bin Yazid ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke ek dehati ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se hijrat ke mutalliq poocha (yani yeh ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ijazat dein to main Madina mein hijrat kar aaon) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Afsos! Is ki to shaan bari hai . Kya tere paas zakat dene ke liye kuch oont hain jin ki tu zakat diya karta hai ? Us ne kaha ke haan! Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir kya hai samundaron ke is paar (jis mulk mein tu rahe wahan) amal karta reh Allah tere kisi amal ka sawab kam nahi kare ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ بَلَغَتْ عِنْدَهُ صَدَقَةُ بِنْتِ مَخَاضٍ وَلَيْسَتْ عِنْدَهُ:
Jis ke paas itne oont hon ke zakat mein ek bars ki oontni deni ho aur woh us ke paas na ho.
Hadith Number: 1453
حدثنا محمد بن عبد الله , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة، ان انسا رضي الله عنه حدثه،" ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له فريضة الصدقة التي امر الله رسوله صلى الله عليه وسلم من بلغت عنده من الإبل صدقة الجذعة وليست عنده جذعة وعنده حقة، فإنها تقبل منه الحقة ويجعل معها شاتين إن استيسرتا له او عشرين درهما، ومن بلغت عنده صدقة الحقة وليست عنده الحقة وعنده الجذعة، فإنها تقبل منه الجذعة ويعطيه المصدق عشرين درهما او شاتين، ومن بلغت عنده صدقة الحقة وليست عنده إلا بنت لبون، فإنها تقبل منه بنت لبون ويعطي شاتين او عشرين درهما، ومن بلغت صدقته بنت لبون وعنده حقة، فإنها تقبل منه الحقة ويعطيه المصدق عشرين درهما او شاتين، ومن بلغت صدقته بنت لبون وليست عنده وعنده بنت مخاض، فإنها تقبل منه بنت مخاض ويعطي معها عشرين درهما او شاتين".
Hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Sumamah ne byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne un ke paas farz zakat ke in fareezon ke mutalliq likha tha jin ka Allah ne apne Rasool salla Allahu alaihi wasallam ko hukm diya hai . Yeh ke jis ke oonton ki zakat ”jaz'ah“ tak puhanch jaye aur woh ”jaz'ah“ us ke paas na ho balke ”hiqqah“ ho to us se zakat mein ”hiqqah“ hi le liya jaye ga lekin is ke saath do bakriyan bhi li jayeingi ‘ agar un ke dene mein usay aasani ho warna bees dirham liye jayeinge . (Taake ”hiqqah“ ki kami poori ho jaye) aur agar kisi par zakat mein ”hiqqah“ wajib ho aur ”hiqqah“ us ke paas na ho balke ”jaz'ah“ ho to us se ”jaz'ah“ hi le liya jaye ga aur zakat wasool karne wala zakat dene wale ko bees dirham ya do bakriyan de ga aur agar kisi par zakat ”hiqqah“ ke barabar wajib ho gayi aur us ke paas sirf ”bint-e-laboon“ hai to us se ”bint-e-laboon“ le li jaye gi aur zakat dene wale ko do bakriyan ya bees dirham saath mein aur dene pareinge aur agar kisi par zakat ”bint-e-laboon“ wajib ho aur us ke paas ”hiqqah“ ho to ”hiqqah“ hi us se le liya jaye ga aur is soorat mein zakat wasool karne wala bees dirham ya do bakriyan zakat dene wale ko de ga aur kisi ke paas zakat mein ”bint-e-laboon“ wajib hua aur ”bint-e-laboon“ us ke paas nahi balke ”bint-e-makhad“ hai to us se ”bint-e-makhad“ hi le liya jaye ga . Lekin zakat dene wala is ke saath bees dirham ya do bakriyan de ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ زَكَاةِ الْغَنَمِ:
Bakriyon ki zakat ka bayaan.
Hadith Number: 1454
حدثنا محمد بن عبد الله بن المثنى الانصاري , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة بن عبد الله بن انس، ان انسا حدثه،" ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له هذا الكتاب لما وجهه إلى البحرين،" بسم الله الرحمن الرحيم هذه فريضة الصدقة التي فرض رسول الله صلى الله عليه وسلم على المسلمين والتي امر الله بها رسوله، فمن سئلها من المسلمين على وجهها فليعطها، ومن سئل فوقها فلا يعط في اربع وعشرين من الإبل فما دونها من الغنم من كل خمس شاة إذا بلغت خمسا وعشرين إلى خمس وثلاثين ففيها بنت مخاض انثى فإذا بلغت ستا وثلاثين إلى خمس واربعين ففيها بنت لبون انثى، فإذا بلغت ستا واربعين إلى ستين ففيها حقة طروقة الجمل، فإذا بلغت واحدة وستين إلى خمس وسبعين ففيها جذعة، فإذا بلغت يعني ستا وسبعين إلى تسعين ففيها بنتا لبون، فإذا بلغت إحدى وتسعين إلى عشرين ومائة ففيها حقتان طروقتا الجمل، فإذا زادت على عشرين ومائة ففي كل اربعين بنت لبون وفي كل خمسين حقة، ومن لم يكن معه إلا اربع من الإبل فليس فيها صدقة إلا ان يشاء ربها، فإذا بلغت خمسا من الإبل ففيها شاة وفي صدقة الغنم في سائمتها إذا كانت اربعين إلى عشرين ومائة شاة، فإذا زادت على عشرين ومائة إلى مائتين شاتان، فإذا زادت على مائتين إلى ثلاث مائة ففيها ثلاث شياه، فإذا زادت على ثلاث مائة ففي كل مائة شاة، فإذا كانت سائمة الرجل ناقصة من اربعين شاة واحدة فليس فيها صدقة إلا ان يشاء ربها وفي الرقة ربع العشر فإن لم تكن إلا تسعين ومائة فليس فيها شيء إلا ان يشاء ربها".
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Musanna Ansari ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se mere walid ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh Sumamah bin Abdullah bin Anas ne byaan kiya ‘ un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne jab unhein Bahrain (ka haakim bana kar) bheja to un ko yeh parwana likh diya . Shuroo Allah ke naam se jo bara meharbaan nihayat rehm karne wala hai . Yeh zakat ka woh fareezah hai jisay Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne musalmanon ke liye farz qarar diya hai aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Allah Ta'ala ne is ka hukm diya . Is liye jo shakhs musalmanon se is parwana ke mutabiq zakat maange to musalmanon ko usay de dena chahiye aur agar koi is se zyada maange to hargiz na de . Chaubees ya is se kam oonton mein har paanch oont par ek bakri deni ho gi . (Paanch se kam mein kuch nahi) lekin jab oonton ki tadaad pacchees tak puhanch jaye to pacchees se paintis tak ek ek baras ki oontni wajib ho gi jo mada hoti hai . Jab oont ki tadaad chhattis tak puhanch jaye (to chhattis se) paintalis tak do baras ki mada wajib ho gi . Jab tadaad chhiyalis tak puhanch jaye (to chhiyalis se) saath tak mein teen baras ki oontni wajib ho gi jo jufti ke qabil hoti hai . Jab tadaad iksath tak puhanch jaye (to iksath se) pachattar tak chaar baras ki mada wajib ho gi . Jab tadaad chhihattar tak puhanch jaye (to chhihattar se) nawway tak do do baras ki do oontniyan wajib hon gi . Jab tadaad ikyaanway tak puhanch jaye to (ikyaanway se) ek sau bees tak teen teen baras ki do oontniyan wajib hon gi jo jufti ke qabil hon . Phir ek sau bees se bhi tadaad aage barh jaye to har chalis par do baras ki oontni wajib ho gi aur har pachaas par ek teen baras ki . Aur agar kisi ke paas chaar oont se zyada nahi to us par zakat wajib na ho gi magar jab un ka maalik apni khushi se kuch de aur in bakriyon ki zakat jo (saal ke aksar hisse jangal ya maidan waghera mein) char kar guzarti hain agar un ki tadaad chalis tak puhanch gayi ho to (chalis se) ek sau bees tak ek bakri wajib ho gi aur jab ek sau bees se tadaad barh jaye (to ek sau bees se) se do sau tak do bakriyan wajib hon gi . Agar do sau se bhi tadaad barh jaye to (to do sau se) teen sau tak teen bakriyan wajib hon gi aur jab teen sau se bhi tadaad aage nikal jaye to ab har ek sau par ek bakri wajib ho gi . Agar kisi shakhs ki charne wali bakriyan chalis se ek bhi kam hon to un par zakat wajib nahi ho gi magar apni khushi se maalik kuch dena chahe to de sakta hai . Aur chandi mein zakat chaliswaan hissa wajib ho gi lekin agar kisi ke paas ek sau nawway (dirham) se zyada nahi hain to us par zakat wajib nahi ho gi magar khushi se kuch agar maalik dena chahiye to aur baat hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تُؤْخَذُ فِي الصَّدَقَةِ هَرِمَةٌ وَلاَ ذَاتُ عَوَارٍ وَلاَ تَيْسٌ إِلاَّ مَا شَاءَ الْمُصَدِّقُ:
Zakat mein boodha ya aib daar ya nar janwar na liya jaayega magar jab zakat wasool karne wala munasib samjhe to le sakta hai.
Hadith Number: 1455
حدثنا محمد بن عبد الله , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة، ان انسا رضي الله عنه حدثه،" ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له الصدقة التي امر الله رسوله صلى الله عليه وسلم ولا يخرج في الصدقة هرمة، ولا ذات عوار ولا تيس إلا ما شاء المصدق".
Hum se Muhammad bin Abdullah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha mujh se Sumamah ne byaan kiya ‘ un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne unhein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke byaan karda ahkaam-e-zakat ke mutabiq likha ke zakat mein boorhe , aibi aur nar na liye jayein ‘ albatta agar sadqa wasool karne wala munasib samjhe to le sakta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَخْذِ الْعَنَاقِ فِي الصَّدَقَةِ:
Bakri ka bacha zakat mein lena.
Hadith Number: 1456
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري. ح وقال الليث: حدثني عبد الرحمن بن خالد، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، ان ابا هريرة رضي الله عنه , قال: قال ابو بكر رضي الله عنه:" والله لو منعوني عناقا كانوا يؤدونها إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم لقاتلتهم على منعها.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya ke humein Shuayb ne khabar di aur unhein Zuhri ne (doosri sanad) aur Layth bin Saad ne byaan kiya ke mujh se Abdul Rahman bin Khalid ne byaan kiya ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ un se Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah bin Masood ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne batlaya ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ke fauran baad zakat dene se inkar karne walon ke mutalliq farmaya tha) qasam Allah ki agar yeh mujhe bakri ke ek bacche ko bhi dene se inkar kareinge jisay yeh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko diya karte thay to main in ke is inkar par in se jihad karoon ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1457
قال عمر رضي الله عنه: فما هو إلا ان رايت ان الله شرح صدر ابي بكر رضي الله عنه بالقتال فعرفت انه الحق".
Umar razi Allahu anhu ne farmaya is ke siwa aur koi baat nahi thi jaisa ke main samajhta hoon ke Allah Ta'ala ne Abu Bakr razi Allahu anhu ko jihad ke liye «sharhe sadar» ata farmaya tha aur phir maine bhi yahi samjha ke faisla unhein ka haq tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تُؤْخَذُ كَرَائِمُ أَمْوَالِ النَّاسِ فِي الصَّدَقَةِ:
Zakat mein logon ke umdah aur chhante hue maal na liye jaayenge.
Hadith Number: 1458
حدثنا امية بن بسطام، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا روح بن القاسم، عن إسماعيل بن امية، عن يحيى بن عبد الله بن صيفي، عن ابي معبد، عن ابن عباس رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم لما بعث معاذا رضي الله عنه على اليمن , قال: إنك تقدم على قوم اهل كتاب، فليكن اول ما تدعوهم إليه عبادة الله، فإذا عرفوا الله فاخبرهم ان الله قد فرض عليهم خمس صلوات في يومهم وليلتهم، فإذا فعلوا فاخبرهم ان الله فرض عليهم زكاة من اموالهم وترد على فقرائهم، فإذا اطاعوا بها فخذ منهم وتوق كرائم اموال الناس".
Hum se Umayyah bin Bustam ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Zaid bin Zuray ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Rooh bin Qasim ne byaan kiya ‘ un se Ismail bin Umayyah ne ‘ un se Yahya bin Abdullah bin Saifi ne ‘ un se Abu Mabad ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Maaz razi Allahu anhu ko Yemen bheja to un se farmaya ke dekho! Tum ek aisi qaum ke paas ja rahe ho jo Ahle Kitab (Isayi Yahudi) hain . Is liye sab se pehle unhein Allah ki ibadat ki dawat dena . Jab woh Allah Ta'ala ko pehchan lein (yani Islam qabool kar lein) to unhein batana ke Allah Ta'ala ne un ke liye din aur raat mein paanch namazein farz ki hain . Jab woh isay bhi ada karein to unhein batana ke Allah Ta'ala ne un par zakat farz qarar di hai jo in ke sarmayadaroon se li jaye gi (jo sahib-e-nisab honge) aur unhein ke faqiroon mein taqseem kar di jaye gi . Jab woh isay bhi maan lein to un se zakat wasool kar . Albatta un ki umda cheezein (zakat ke taur par lene se) parhez karna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لَيْسَ فِيمَا دُونَ خَمْسِ ذَوْدٍ صَدَقَةٌ:
Panch oonton se kam mein zakat nahin.
Hadith Number: 1459
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن محمد بن عبد الرحمن بن ابي صعصعة المازني، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" ليس فيما دون خمسة اوسق من التمر صدقة، وليس فيما دون خمس اواق من الورق صدقة، وليس فيما دون خمس ذود من الإبل صدقة".
Hum Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne khabar di ‘ unhein Muhammad bin Abdul Rahman bin Abi Sasah Mazni ne ‘ unhein un ke baap ne aur unhein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke paanch wasaq se kam khajooron mein zakat nahi aur paanch oqiyah se kam chandi mein zakat nahi . Isi tarah paanch oonton se kam mein zakat nahi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ زَكَاةِ الْبَقَرِ:
Gaay bail ki zakat ka bayaan.
Hadith Number: Q1460
وقال ابو حميد , قال النبي صلى الله عليه وسلم: لاعرفن ما جاء الله رجل ببقرة لها خوار ويقال: جؤار تجارون ترفعون اصواتكم كما تجار البقرة.
Aur Abu Humaid Saidi ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya main tumhein (Qayamat ke din is haal mein) woh shakhs dikhla doon ga jo Allah ki bargah mein gaaye ke saath is tarah aaye ga ke woh gaaye bolti hui ho gi . (Surah Moominoon mein lafz) «ju'aar» ( «khuwar» ke hum-maani) «taja'roon» (is waqt kehte hain jab) is tarah log apni awaaz buland karein jaise gaaye bolti hai .
Hadith Number: 1460
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن المعرور بن سويد، عن ابي ذر رضي الله عنه , قال: انتهيت إلى النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" والذي نفسي بيده او والذي لا إله غيره او كما حلف، ما من رجل تكون له إبل او بقر او غنم لا يؤدي حقها، إلا اتي بها يوم القيامة اعظم ما تكون واسمنه تطؤه باخفافها وتنطحه بقرونها، كلما جازت اخراها ردت عليه اولاها حتى يقضى بين الناس"، رواه بكير، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se mere baap ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Aamash ne Maroor bin Suwaid se byaan kiya ‘ un se Abu Zar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke qareeb puhanch gaya tha aur Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay . Is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai ya (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne qasam is tarah khayi) is zaat ki qasam jis ke siwa koi mabood nahi . Ya jin alfaaz ke saath bhi Aap ne qasam khayi ho (is takeed ke baad farmaya) koi bhi aisa shakhs jis ke paas oont gaaye ya bakri ho aur woh is ka haq ada na karta ho to Qayamat ke din usay laya jaye ga . Duniya se zyada bari aur moti taaza kar ke . Phir woh apne maalik ko apne khuroon se raunde gi aur seeng maare gi . Jab aakhri jaanwar us par se guzar jaye ga to pehla jaanwar phir lout kar aaye ga . (Aur usay apne seeng maare ga aur khuroon se raunde ga) is waqt tak (yeh silsila barabar qaim rahe ga) jab tak logon ka faisla nahi ho jata . Is hadees ko Bukair bin Abdullah ne Abu Salih se riwayat kiya hai ‘ unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se aur unhon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se . Baab apne rishtadaron ko zakat dena aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Zainab ke haq mein farmaya jo Abdullah bin Masood ki biwi thi) is ko do guna sawab mile ga ‘ naata jorne aur sadqe ka .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة