الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ أَخْذِ صَدَقَةِ التَّمْرِ عِنْدَ صِرَامِ النَّخْلِ، وَهَلْ يُتْرَكُ الصَّبِيُّ فَيَمَسُّ تَمْرَ الصَّدَقَةِ؟
Khajoor ke phal torne ke waqt zakat li jaaye aur zakat ki khajoor ko bache ka haath lagana ya us mein se kuch kha lena.
Show diacritics
Hadith Number: 1485
حدثنا عمر بن محمد بن الحسن الاسدي، حدثنا ابي، حدثنا إبراهيم بن طهمان، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يؤتى بالتمر عند صرام النخل فيجيء هذا بتمره وهذا من تمره حتى يصير عنده كوما من تمر، فجعل الحسن والحسين رضي الله عنهما يلعبان بذلك التمر فاخذ احدهما تمرة فجعلها في فيه، فنظر إليه رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخرجها من فيه، فقال: اما علمت ان آل محمد صلى الله عليه وسلم لا ياكلون الصدقة".
Hum se Umar bin Muhammad bin Hasan Asadi ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se mere baap ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya ‘ un se Muhammad bin Ziyad ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas torne ke waqt zakat ki khajoor layi jati , har shakhs apni zakat laata aur naubat yahan tak puhanchti ke khajoor ka ek dher lag jata . (Ek martaba) Hasan aur Husain razi Allahu anhuma aisi hi khajooron se khel rahe thay ke ek ne ek khajoor utha kar apne munh mein rakh li . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne joonhi dekha to in ke munh se woh khajoor nikaal li . Aur farmaya ke kya tumhein maloom nahi ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki aulaad zakat ka maal nahi kha sakti .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ بَاعَ ثِمَارَهُ أَوْ نَخْلَهُ أَوْ أَرْضَهُ أَوْ زَرْعَهُ، وَقَدْ وَجَبَ فِيهِ الْعُشْرُ أَوِ الصَّدَقَةُ فَأَدَّى الزَّكَاةَ مِنْ غَيْرِهِ أَوْ بَاعَ ثِمَارَهُ وَلَمْ تَجِبْ فِيهِ الصَّدَقَةُ:
Jo shakhs apna mewa ya khajoor ka darakht ya khet bech daale halaanke us mein daswaan hissa ya zakat waajib ho chuki ho ab woh apne dusre maal se yeh zakat ada kare to yeh durust hai ya woh mewa beche jis mein sadaqa waajib hi na hua ho.
Show diacritics
Hadith Number: Q1486
وقول النبي صلى الله عليه وسلم: لا تبيعوا الثمرة حتى يبدو صلاحها فلم يحظر البيع بعد الصلاح على احد ولم يخص من وجب عليه الزكاة ممن لم تجب.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , mewa is waqt tak na baicho jab tak is ki pukhtagi na maloom ho jaye . Aur pukhtagi maloom ho jaane ke baad kisi ko baichne se Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mana nahi farmaya . Aur yun nahi farmaya ke zakat wajib ho gayi ho to na baiche aur wajib na hui ho to baiche .


Show diacritics
Hadith Number: 1486
حدثنا حجاج، حدثنا شعبة، اخبرني عبد الله بن دينار، سمعت ابن عمر رضي الله عنهما" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيع الثمرة حتى يبدو صلاحها , وكان إذا سئل عن صلاحها، قال: حتى تذهب عاهته".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya ‘ kaha ke mujhe Abdullah bin Dinar ne khabar di ‘ kaha ke maine Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khajoor ko (darakht par) is waqt tak baichne se mana farmaya hai jab tak is ki pukhtagi zahir na ho . Aur Ibn Umar razi Allahu anhuma se jab poochte ke is ki pukhtagi kya hai , woh kehte ke jab yeh maloom ho jaye ke ab yeh phal aafat se bach rahe ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1487
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثني الليث، حدثني خالد بن يزيد، عن عطاء بن ابي رباح، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيع الثمار حتى يبدو صلاحها".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se Layth ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se Khalid bin Yazid ne byaan kiya ‘ un se Ata bin Abi Rabah ne byaan kiya aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne phal ko is waqt tak baichne se mana farmaya jab tak in ki pukhtagi khul na jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1488
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن حميد، عن انس بن مالك رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن بيع الثمار حتى تزهي، قال حتى تحمار".
Hum se Qutaibah ne Imam Malik se byaan kiya ‘ un se Humaid ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne jab tak phal par surkhi na aa jaye ‘ unhein baichne se mana farmaya hai . Unhon ne byaan kiya ke muraad yeh hai ke jab tak woh pak kar surkh na ho jayein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يَشْتَرِي صَدَقَتَهُ:
Kya aadmi apni cheez ko jo sadaqa mein di ho phir khareed sakta hai?
Show diacritics
Hadith Number: Q1489
لان النبي صلى الله عليه وسلم: إنما نهى المتصدق خاصة عن الشراء ولم ينه غيره.
Aur doosre ka diya hua sadqa khareedne mein to koi haraj nahi kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khaas sadqa dene wale ko phir is ke khareedne se mana farmaya . Lekin doosre shakhs ko mana nahi farmaya .


Show diacritics
Hadith Number: 1489
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن سالم، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما كان يحدث ," انعمر بن الخطاب تصدق بفرس في سبيل الله، فوجده يباع، فاراد ان يشتريه"، ثم اتى النبي صلى الله عليه وسلم فاستامره، فقال: لا تعد في صدقتك، فبذلك كان ابن عمر رضي الله عنهما لا يترك ان يبتاع شيئا تصدق به إلا جعله صدقة".
Hum se Yahya bin Bukair ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Layth ne byaan kiya ‘ un se Aqeel ne ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ un se Salim ne ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma byaan karte thay ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne ek ghora Allah ke raste mein sadqa kiya . Phir isay Aap ne dekha ke woh bazaar mein farokht ho raha hai . Is liye un ki khwahish hui ke isay woh khud hi khareed lein . Aur ijazat lene Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hue . To Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apna sadqa wapas na lo . Isi wajah se agar Ibn Umar razi Allahu anhuma apna diya hua koi sadqa khareed lete ‘ to phir isay sadqa kar dete thay . (Apne istemal mein na rakhte thay . Baab aur hadees mein mutabiqut zahir hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1490
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك بن انس، عن زيد بن اسلم، عن ابيه، قال: سمعت عمر رضي الله عنه، يقول:" حملت على فرس في سبيل الله فاضاعه الذي كان عنده فاردت ان اشتريه وظننت انه يبيعه برخص، فسالت النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: لا تشتري ولا تعد في صدقتك، وإن اعطاكه بدرهم فإن العائد في صدقته كالعائد في قيئه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Imam Malik bin Anas ne khabar di ‘ unhein Zaid bin Aslam ne aur un se in ke baap ne byaan kiya ‘ ke maine Umar razi Allahu anhu ko yeh kehte suna ke unhon ne ek ghora Allah Ta'ala ke raste mein ek shakhs ko sawari ke liye de diya . Lekin is shakhs ne ghore ko kharab kar diya . Is liye maine chaha ke isay khareed loon . Mera yeh bhi khayal tha ke woh isay saste damon baich dale ga . Chunanche maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq poocha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apna sadqa wapas na lo . Khwah woh tumhein ek dirham hi mein kyun na de kyunke diya hua sadqa wapas lene wale ki misal qay kar ke chaatne wale ki si hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُذْكَرُ فِي الصَّدَقَةِ لِلنَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam aur Aap Sallallahu alaihi wasallam ki Aal par sadaqa ka haraam hona.
Show diacritics
Hadith Number: 1491
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محمد بن زياد، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، قال:" اخذ الحسن بن علي رضي الله عنهما تمرة من تمر الصدقة فجعلها في فيه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: كخ كخ، ليطرحها، ثم قال: اما شعرت انا لا ناكل الصدقة".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Muhammad bin Ziyad ne byaan kiya ‘ kaha ke maine Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne byaan kiya ke Hasan bin Ali razi Allahu anhuma ne zakat ki khajooron ke dher se ek khajoor utha kar apne munh mein daal li to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Chhee chhee! Nikalo isay . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tumhein maloom nahi ke hum log sadqa ka maal nahi khate .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّدَقَةِ عَلَى مَوَالِي أَزْوَاجِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ki biwiyon ki londiyon aur ghulamon ko sadaqa dena durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1492
حدثنا سعيد بن عفير، حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، حدثني عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" وجد النبي صلى الله عليه وسلم شاة ميتة اعطيتها مولاة لميمونة من الصدقة، قال النبي صلى الله عليه وسلم: هلا انتفعتم بجلدها، قالوا: إنها ميتة، قال: إنما حرم اكلها".
Hum se Saeed bin Afair ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdullah bin Wahab ne byaan kiya ‘ un se Yunus ne ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ kaha ke mujh se Ubaidullah bin Abdullah ne byaan kiya ‘ aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Maimoonah razi Allahu anha ki baandi ko jo bakri sadqa mein kisi ne di thi woh mari hui dekhi . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum log is ke chamre ko kyun nahi kaam mein laye . Logon ne kaha ke yeh to murda hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haraam to sirf is ka khana hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة