الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَفِي الرِّقَابِ}، {وَفِي سَبِيلِ اللَّهِ}:
Allah Taala ke farmaan (zakat ke masaarif bayaan karte hue ke zakat) ghulam azaad karane mein, maqroozon ke qarz ada karne mein aur Allah ke raaste mein kharch ki jaaye.
Hadith Number: 1468
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال:" امر رسول الله صلى الله عليه وسلم بالصدقة، فقيل منع ابن جميل وخالد بن الوليد وعباس بن عبد المطلب، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: ما ينقم ابن جميل إلا انه كان فقيرا فاغناه الله ورسوله، واما خالد فإنكم تظلمون خالدا قد احتبس ادراعه واعتده في سبيل الله، واما العباس بن عبد المطلب فعم رسول الله صلى الله عليه وسلم فهي عليه صدقة ومثلها معها" تابعه ابن ابي الزناد، عن ابيه، وقال ابن إسحاق: عن ابي الزناد هي عليه ومثلها معها، وقال ابن جريج: حدثت عن الاعرج بمثله.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shuayb ne khabar di ‘ kaha ke hum se Abul Zinad ne Aaraj se khabar di aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne zakat wasool karne ka hukm diya . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya ke Ibn Jamil aur Khalid bin Waleed aur Abbas bin Abdul Muttalib ne zakat dene se inkar kar diya hai . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibn Jamil yeh shukr nahi karta ke kal tak woh faqeer tha . Phir Allah ne apne Rasool ki dua ki barkat se usay maaldar bana diya . Baaqi rahe Khalid ‘ to in par tum log zulm karte ho . Unhon ne to apni zarhein Allah Ta'ala ke raste mein waqf kar rakhi hain . Aur Abbas bin Abdul Muttalib ‘ to woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke chacha hain . Aur in ki zakat unhi par sadqa hai . Aur itna hi aur unhein meri taraf se dena hai . Is riwayat ki mutaba'at Abul Zinad ne apne walid se ki aur Ibn Ishaq ne Abul Zinad se yeh alfaaz byaan kiye . «hiya alaihi wa-mislaha ma'aha» (sadqa ke lafz ke baghair) aur Ibn Juraij ne kaha ke mujh se Aaraj se isi tarah yeh hadees byaan ki gayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِسْتِعْفَافِ عَنِ الْمَسْأَلَةِ:
Sawaal se bachne ka bayaan.
Hadith Number: 1469
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عطاء بن يزيد الليثي، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، إن ناسا من الانصار سالوا رسول الله صلى الله عليه وسلم فاعطاهم، ثم سالوه فاعطاهم، ثم سالوه فاعطاهم، حتى نفد ما عنده , فقال: ما يكون عندي من خير فلن ادخره عنكم، ومن يستعفف يعفه الله، ومن يستغن يغنه الله، ومن يتصبر يصبره الله، وما اعطي احد عطاء خيرا واوسع من الصبر".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Imam Malik ne ‘ Ibn Shihab se khabar di ‘ unhein Ata bin Yazid Laythi ne aur unhein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Ansar ke kuch logon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se sawal kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne unhein diya . Phir unhon ne sawal kiya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne phir diya . Yahan tak ke jo maal Aap salla Allahu alaihi wasallam ke paas tha . Ab woh khatam ho gaya . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar mere paas jo maal o daulat ho to main isay bacha kar nahi rakhoon ga . Magar jo shakhs sawal karne se baccha hai to Allah Ta'ala bhi usay sawal karne se mehfooz hi rakhta hai . Aur jo shakhs be-niyazi bartata hai to Allah Ta'ala usay be-niyaz bana deta hai aur jo shakhs apne oopar zor daal kar bhi sabr karta hai to Allah Ta'ala bhi usay sabr o istiqlal de deta hai . Aur kisi ko bhi sabr se zyada behtar aur is se zyada be-payan khair nahi mili . (Sabr tamam nematon se barh kar hai) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1470
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" والذي نفسي بيده لان ياخذ احدكم حبله فيحتطب على ظهره خير له من ان ياتي رجلا فيساله اعطاه او منعه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Imam Malik rahmatullah alaihi ne khabar di ‘ unhein Abul Zinad ne ‘ unhein Aaraj ne ‘ unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai agar koi shakhs rassi se lakriyon ka bojh baandh kar apni peeth par jangal se utha laye (phir unhein bazaar mein baich kar apna rizq haasil kare) to woh is shakhs se behtar hai jo kisi ke paas aa kar sawal kare . Phir jis se sawal kiya gaya hai woh usay de ya na de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1471
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن ابيه، عن الزبير بن العوام رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:"لان ياخذ احدكم حبله فياتي بحزمة الحطب على ظهره فيبيعها فيكف الله بها وجهه، خير له من ان يسال الناس اعطوه او منعوه".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya ‘ un se un ke walid ne ‘ un se Zubayr bin Awwam razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum mein se koi bhi agar (zaroorat mand ho to) apni rassi le kar aaye aur lakriyon ka gatha baandh kar apni peeth par rakh kar laye . Aur isay baiche . Is tarah Allah Ta'ala is ki izzat ko mehfooz rakh le to yeh is se accha hai ke woh logon se sawal karta phire ‘ usay woh dein ya na dein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1472
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، عن عروة بن الزبير وسعيد بن المسيب، ان حكيم بن حزام رضي الله عنه قال:" سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم فاعطاني، ثم سالته فاعطاني، ثم سالته فاعطاني , ثم قال: يا حكيم إن هذا المال خضرة حلوة، فمن اخذه بسخاوة نفس بورك له فيه، ومن اخذه بإشراف نفس لم يبارك له فيه، كالذي ياكل ولا يشبع اليد العليا خير من اليد السفلى، قال حكيم: فقلت: يا رسول الله، والذي بعثك بالحق لا ارزا احدا بعدك شيئا حتى افارق الدنيا، فكان ابو بكر رضي الله عنه يدعو حكيما إلى العطاء فيابى ان يقبله منه، ثم إن عمر رضي الله عنه دعاه ليعطيه فابى ان يقبل منه شيئا، فقال عمر: إني اشهدكم يا معشر المسلمين على حكيم، اني اعرض عليه حقه من هذا الفيء فيابى ان ياخذه، فلم يرزا حكيم احدا من الناس بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى توفي".
Hum se Abdan ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ kaha ke humein Yunus ne khabar di ‘ unhein Zuhri ne ‘ unhein Urwah bin Zubayr aur Saeed bin Musayyab ne ke Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu ne kaha ke maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kuch manga . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ata farmaya . Maine phir manga aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne phir ata farmaya . Maine phir manga Aap salla Allahu alaihi wasallam ne phir bhi ata farmaya . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne irshad farmaya . Ae Hakeem! Yeh daulat bari sarsabz aur bahut hi shireen hai . Lekin jo shakhs isay apne dil ko sakhi rakh kar le to is ki daulat mein barkat hoti hai . Aur jo lalach ke saath leta hai to is ki daulat mein kuch bhi barkat nahi ho gi . Is ka haal is shakhs jaisa ho ga jo khata hai lekin aasooda nahi hota (yaad rakho) oopar ka haath neeche ke haath se behtar hai . Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu ne kaha ‘ ke maine arz ki is zaat ki qasam! Jis ne Aap ko sacchayi ke saath mab'oos kiya hai . Ab is ke baad main kisi se koi cheez nahi loon ga . Ta-aanke is duniya hi se main juda ho jaon . Chunanche Abu Bakr razi Allahu anhu Hakeem razi Allahu anhu ko un ka mamool dene ko bulate to woh lene se inkar kar dete . Phir Umar razi Allahu anhu ne bhi unhein un ka hissa dena chaha to unhon ne is ke lene se inkar kar diya . Is par Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke musalmano! Main tumhein Hakeem bin Hizam ke maamle mein gawah banata hoon ke maine un ka haq unhein dena chaha lekin unhon ne lene se inkar kar diya . Gharaz Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke baad isi tarah kisi se bhi koi cheez lene se hamesha inkar hi karte rahe . Yahan tak ke wafat pa gaye . Umar razi Allahu anhu ”maal-e-fay“ yani mulki aamdani se un ka hissa un ko dena chahte thay magar unhon ne woh bhi nahi liya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَعْطَاهُ اللَّهُ شَيْئًا مِنْ غَيْرِ مَسْأَلَةٍ وَلاَ إِشْرَافِ نَفْسٍ:
Agar Allah Pak kisi ko bin maange aur bin dil lagaaye aur ummeedwaar rahe koi cheez dila de (to us ko le le).
Hadith Number: Q1473
وفي اموالهم حق للسائل والمحروم.
Allah Ta'ala ne mein farmaya . Un ke maalon mein mangne wale aur khamosh rehne wale dono ka hissa hai .
Hadith Number: 1473
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن الزهري، عن سالم، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , قال: سمعت عمر , يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعطيني العطاء، فاقول اعطه من هو افقر إليه مني، فقال: خذه إذا جاءك من هذا المال شيء وانت غير مشرف ولا سائل فخذه، وما لا فلا تتبعه نفسك".
Hum se Yahya bin Bukair ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya ‘ un se Yunus ne ‘ un se Zuhri ne ‘ un se Salim ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke maine Umar razi Allahu anhu se suna woh kehte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam mujhe koi cheez ata farmate to main arz karta ke Aap salla Allahu alaihi wasallam mujh se zyada muhtaj ko de dijaiye . Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate ke le lo ‘ agar tumhein koi aisa maal mile jis par tumhara khayal na laga hua ho aur na tum ne isay manga ho to isay qabool kar liya karo . Aur jo na mile to is ki parwah na karo aur is ke peeche na paro .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ سَأَلَ النَّاسَ تَكَثُّرًا:
Agar koi shakhs apni daulat barhaane ke liye logon se sawaal kare?
Hadith Number: 1474
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عبيد الله بن ابي جعفر , قال: سمعت حمزة بن عبد الله بن عمر , قال: سمعت عبد الله بن عمر رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ما يزال الرجل يسال الناس حتى ياتي يوم القيامة ليس في وجهه مزعة لحم.
Hum se Yahya bin Bukair ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya ‘ un se Ubaidullah bin Abi Jafar ne kaha ‘ ke maine Hamzah bin Abdullah bin Umar se suna ‘ unhon ne kaha ke maine Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: aadmi hamesha logon ke saamne haath phailata rehta hai yahan tak ke woh Qayamat ke din is tarah uthe ga ke us ke chehre par zara bhi gosht na ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1475
وقال: إن الشمس تدنو يوم القيامة حتى يبلغ العرق نصف الاذن فبينا هم كذلك استغاثوا بآدم، ثم بموسى، ثم بمحمد صلى الله عليه وسلم"، وزاد عبد الله بن صالح، حدثني الليث، حدثني ابن ابي جعفر، فيشفع ليقضى بين الخلق فيمشي حتى ياخذ بحلقة الباب، فيومئذ يبعثه الله مقاما محمودا يحمده اهل الجمع كلهم، وقال معلى، حدثنا وهيب، عن النعمان بن راشد، عن عبد الله بن مسلم اخي الزهري، عن حمزة، سمع ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم في المسالة.
Aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din sooraj itna qareeb ho jaye ga ke paseena aadhe kaan tak puhanch jaye ga . Log isi haal mein apni mukhlisi ke liye Adam alaihis-salam se faryad kareinge . Phir Musa alaihis-salam se . Aur phir Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se . Abdullah ne apni riwayat mein yeh zyada-ti ki hai ke mujh se Layth ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Ibn Abi Jafar ne byaan kiya ‘ ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam shafa'at kareinge ke makhlooq ka faisla kiya jaye . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam barheinge aur Jannat ke darwaze ka halqa thaam leinge . Aur isi din Allah Ta'ala Aap ko ”maqam-e-mahmood“ ata farmaye ga . Jis ki tamam ahle mahshar tareef kareinge . Aur Mualla bin Asad ne kaha ke hum se Wuhaib ne Numan bin Rashid se byaan kiya ‘ un se Zuhri ke bhai Abdullah bin Muslim ne ‘ un se Hamzah bin Abdullah ne ‘ aur unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se phir itni hi hadees byaan ki jo sawal ke baab mein hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {لاَ يَسْأَلُونَ النَّاسَ إِلْحَافًا} وَكَمِ الْغِنَى:
(Surat Al-Baqarah mein) Allah Taala ka irshaad ke "jo logon se chimat kar nahin maangte" aur kitne maal se aadmi maaldar kehlata hai.
Hadith Number: Q1476
وقول النبي صلى الله عليه وسلم: «ولا يجد غنى يغنيه» . {للفقراء الذين احصروا في سبيل الله} إلى قوله: {فإن الله به عليم}.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh farmana ke woh shakhs jo baqadar-e-kifayat nahi paata (goya us ko ghani nahi keh sakte) aur (Allah Ta'ala ne isi Surah mein farmaya hai ke) sadqa khairat to in fuqara ke liye hai jo Allah ke raste mein ghir gaye hain . Kisi mulk mein ja nahi sakte ke woh tijarat hi kar lein . Nawaqif log unhein sawal na karne ki wajah se ghani samajhte hain . Aakhir aayat «fa-innallaha bihi aleem» tak (yani woh had kya hai jis se sawal najaiz ho) .