الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ زَكَاةِ الْوَرِقِ:
Chandi ki zakat ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 1447
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عمرو بن يحيى المازني، عن ابيه , قال: سمعت ابا سعيد الخدري , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ليس فيما دون خمس ذود صدقة من الإبل، وليس فيما دون خمس اواق صدقة، وليس فيما دون خمسة اوسق صدقة".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne khabar di ‘ unhein Amru bin Yahya Mazni ne ‘ unhein un ke baap Yahya ne . Unhon ne kaha ke maine Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke paanch oont se kam mein zakat nahi aur paanch oqiyah se kam (chandi) mein zakat nahi . Isi tarah paanch wasaq se kam (ghalla) mein zakat nahi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: Q1448-2
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب , قال: حدثني يحيى بن سعيد , قال: اخبرني عمرو، سمع اباه، عن ابي سعيد رضي الله عنه، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم بهذا.
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahab Saqafi ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujhe Amru bin Yahya ne khabar di ‘ unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se isi hadees ko suna .


بَابُ الْعَرْضِ فِي الزَّكَاةِ:
Zakat mein (chandi sone ke siwa aur) asbaab ka lena.
Show diacritics
Hadith Number: Q1448
وقال طاوس , قال معاذ رضي الله عنه لاهل اليمن: ائتوني بعرض ثياب خميص او لبيس في الصدقة مكان الشعير , والذرة اهون عليكم وخير لاصحاب النبي صلى الله عليه وسلم بالمدينة وقال النبي صلى الله عليه وسلم: واما خالد فقد احتبس ادراعه واعتده في سبيل الله, وقال النبي صلى الله عليه وسلم: تصدقن ولو من حليكن فلم يستثن صدقة الفرض من غيرها فجعلت المراة تلقي خرصها وسخابها ولم يخص الذهب والفضة من العروض.
Aur Ta'oos ne byaan kiya ke Maaz razi Allahu anhu ne Yemen walon se kaha tha ke mujhe tum sadqa mein jau aur juwar ki jagah saman o asbab yani khameesah (dhaari daar chadrein) ya doosre libas de sakte ho jis mein tumhare liye bhi aasani ho gi aur Madina mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke as'haab ke liye bhi behtari ho gi aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke Khalid ne to apni zarhein aur hathiyar aur ghore sab Allah ke raste mein waqf kar diye hain . (Is liye un ke paas koi aisi cheez hi nahi jis par zakat wajib hoti . Yeh hadees ka tukra hai woh aainda tafseel se aaye gi) aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Eid ke din auraton se) farmaya ke sadqa karo khwah tumhein apne zewar hi kyun na dene par jayein to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh nahi farmaya ke asbab ka sadqa durust nahi . Chunanche (Aap salla Allahu alaihi wasallam ke is farmaan par) auraten apni baaliyan aur haar daalne lagein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (zakat ke liye) sone chandi ki bhi koi takhsees nahi farmayi .


Show diacritics
Hadith Number: 1448
حدثنا محمد بن عبد الله , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة، ان انسا رضي الله عنه حدثه، ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له التي" امر الله رسوله صلى الله عليه وسلم، ومن بلغت صدقته بنت مخاض وليست عنده وعنده بنت لبون، فإنها تقبل منه ويعطيه المصدق عشرين درهما او شاتين، فإن لم يكن عنده بنت مخاض على وجهها وعنده ابن لبون فإنه يقبل منه، وليس معه شيء".
Hum se Muhammad bin Abdullah ne byaan kiya . Kaha ke mujh se mere walid Abdullah bin Musanna ne byaan kiya . Kaha ke mujh se Sumamah bin Abdullah ne byaan kiya . Un se Anas razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ne unhein (apne daur-e-khilafat mein farz zakat se mutalliq hidayat dete hue) Allah aur Rasool ke hukm ke mutabiq yeh farmaan likha ke jis ka sadqa ”bint-e-makhad“ tak puhanch gaya ho aur us ke paas ”bint-e-makhad“ nahi balke ”bint-e-laboon“ hai . To us se wahi le liya jaye ga aur us ke badla mein sadqa wasool karne wala bees dirham ya do bakriyan zaid dede ga aur agar us ke paas ”bint-e-makhad“ nahi hai balke ”ibn-e-laboon“ hai to yeh ”ibn-e-laboon“ hi le liya jaye ga aur is soorat mein kuch nahi diya jaye ga ‘ woh mada ya nar oont jo teesre saal mein laga ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1449
حدثنا مؤمل، حدثنا إسماعيل، عن ايوب، عن عطاء بن ابي رباح , قال: قال ابن عباس رضي الله عنهما:" اشهد على رسول الله صلى الله عليه وسلم لصلى قبل الخطبة، فراى انه لم يسمع النساء فاتاهن ومعه بلال ناشر ثوبه، فوعظهن وامرهن ان يتصدقن، فجعلت المراة تلقي، واشار ايوب إلى اذنه وإلى حلقه".
Hum se Mumal bin Hisham ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Ismail ne Ayub se byaan kiya aur un se Ata bin Abi Rabah ne ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne batlaya is waqt main maujood tha jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne khutba se pehle namaaz (Eid) parhi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dekha ke auraton tak Aap salla Allahu alaihi wasallam ki awaaz nahi puhanchi ‘ is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam un ke paas bhi aaye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath Bilal razi Allahu anhu thay jo apna kapra phailaye hue thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne auraton ko waaz sunaya aur un se sadqa karne ke liye farmaya aur auraten (apna sadqa Bilal razi Allahu anhu ke kapre mein) daalne lagein . Yeh kehte waqt Ayub ne apne kaan aur gale ki taraf ishaara kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُجْمَعُ بَيْنَ مُتَفَرِّقٍ وَلاَ يُفَرَّقُ بَيْنَ مُجْتَمِعٍ:
Zakat lete waqt jo maal juda juda hon woh ikatthe na kiye jaayen aur jo ikatthe hon woh juda juda na kiye jaayen.
Show diacritics
Hadith Number: Q1450
ويذكر عن سالم عن ابن عمر رضي الله عنهما عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله.
Aur Salim ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se aisa hi riwayat kiya hai .


Show diacritics
Hadith Number: 1450
حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة، ان انسا رضي الله عنه حدثه،" ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له التي فرض رسول الله صلى الله عليه وسلم، ولا يجمع بين متفرق، ولا يفرق بين مجتمع خشية الصدقة".
Hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere walid ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Sumamah ne byaan kiya ‘ aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne unhein wahi cheez likhi thi jisay Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne zaroori qarar diya tha . Yeh ke zakat (ki zyada-ti) ke khauf se juda juda maal ko yakja aur yakja maal ko juda juda na kiya jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا كَانَ مِنْ خَلِيطَيْنِ فَإِنَّهُمَا يَتَرَاجَعَانِ بَيْنَهُمَا بِالسَّوِيَّةِ:
Agar do aadmi saajhi hon to zakat ka kharcha hisaab se barabar barabar ek dusre se le den kar len.
Show diacritics
Hadith Number: Q1451
وقال طاوس وعطاء: إذا علم الخليطان اموالهما فلا يجمع مالهما , وقال سفيان: لا يجب حتى يتم لهذا اربعون شاة ولهذا اربعون شاة.
Aur Ta'oos aur Ata rahmatullah alaihi ne farmaya ke jab do shareekon ke jaanwar alag alag hon ‘ apne apne jaanwaron ko pehchante hon to un ko ikhatta na karein aur Sufyan Thauri rahmatullah alaihi ne farmaya ke zakat is waqt tak wajib nahi ho sakti ke dono shareekon ke paas chalis chalis bakriyan na ho jayein .


Show diacritics
Hadith Number: 1451
حدثنا محمد بن عبد الله , قال: حدثني ابي , قال: حدثني ثمامة، ان انسا حدثه،" ان ابا بكر رضي الله عنه كتب له التي فرض رسول الله صلى الله عليه وسلم، وما كان من خليطين فإنهما يتراجعان بينهما بالسوية".
Hum se Muhammad bin Abdullah ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Sumamah ne byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne unhein farz zakat mein wahi baat likhi thi jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne muqarrar farmayi thi is mein yeh bhi likhwaya tha ke jab do shareek hon to woh apna hisab barabar kar lein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ زَكَاةِ الإِبِلِ:
Oonton ki zakat ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q1452
ذكره ابو بكر وابو ذر وابو هريرة رضي الله عنهم عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baab mein Abu Bakr ‘ Abu Zar aur Abu Hurairah razi Allahu anhum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayatein ki hain .