الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الصَّدَقَةِ بِالْيَمِينِ:
Khairaat daahine haath se deni behtar hai.
Hadith Number: 1423
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله , قال: حدثني خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" سبعة يظلهم الله تعالى في ظله يوم لا ظل إلا ظله، إمام عدل وشاب نشا في عبادة الله، ورجل قلبه معلق في المساجد، ورجلان تحابا في الله اجتمعا عليه وتفرقا عليه، ورجل دعته امراة ذات منصب وجمال , فقال: إني اخاف الله، ورجل تصدق بصدقة فاخفاها حتى لا تعلم شماله ما تنفق يمينه، ورجل ذكر الله خاليا ففاضت عيناه".
Hum se Musaddad ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya Ubaidullah Umari se , unhon ne kaha ke mujh se Khubaib bin Abdul Rahman ne Hafs bin Asim se byaan kiya , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya saat qism ke aadmiyon ko Allah Ta'ala apne (Arsh ke) saye mein rakhe ga jis din us ke siwa aur koi saya na ho ga . Insaf karne wala haakim ‘ woh naujawan jo Allah Ta'ala ki ibadat mein jawan hua ho ‘ woh shakhs jis ka dil har waqt masjid mein laga rahe ‘ do aise shakhs jo Allah ke liye mohabbat rakhte hain ‘ isi par woh jama hue aur isi par juda hue ‘ aisa shakhs jisay kisi khoobsurat aur izzat daar aurat ne bulaya lekin us ne yeh jawab diya ke main Allah se darta hoon ‘ woh insaan jo sadqa kare aur usay is darja chhupaye ke bayein haath ko bhi khabar na ho ke dahne haath ne kya kharch kiya aur woh shakhs jo Allah ko tanhai mein yaad kare aur us ki aankhein aansuon se behne lag jayein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1424
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة , قال: اخبرني معبد بن خالد , قال: سمعت حارثة بن وهب الخزاعي رضي الله عنه , يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم , يقول:" تصدقوا، فسياتي عليكم زمان يمشي الرجل بصدقته، فيقول الرجل لو جئت بها بالامس لقبلتها منك، فاما اليوم فلا حاجة لي فيها".
Hum se Ali bin Jad ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shubah ne khabar di ‘ kaha ke mujhe Ma'bad bin Khalid ne khabar di ‘ kaha ke maine Harithah bin Wahab Khuzai razi Allahu anhu se suna . Unhon ne kaha ke maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna ‘ Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sadqa kiya karo pas anqareeb ek aisa zamana aane wala hai jab aadmi apna sadqa le kar nikle ga (koi usay qabool kar le magar jab woh kisi ko de ga to woh) aadmi kahe ga ke agar isay tum kal laye hote to main le leta lekin aaj mujhe is ki haajat nahi rahi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَمَرَ خَادِمَهُ بِالصَّدَقَةِ وَلَمْ يُنَاوِلْ بِنَفْسِهِ:
Is ke baare mein ke jis ne apne khidmatgaar ko sadaqa dene ka hukm diya aur khud apne haath se nahin diya.
Hadith Number: Q1425
وقال ابو موسى , عن النبي صلى الله عليه وسلم , هو احد المتصدقين.
Aur Abu Musa razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yun byaan kiya ke khadim bhi sadqa dene walon mein samjha jaye ga .
Hadith Number: 1425
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن شقيق، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا انفقت المراة من طعام بيتها غير مفسدة كان لها اجرها بما انفقت، ولزوجها اجره بما كسب، وللخازن مثل ذلك لا ينقص بعضهم اجر بعض شيئا".
Hum se Uthman bin Abi Shaiba ne byaan kiya ‘ kaha hum se Jarir ne byaan kiya ‘ un se Mansoor ne . Un se Shaqeeq ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya agar aurat apne shauhar ke maal se kuch kharch kare aur us ki niyat shauhar ki poonji barbad karne ki na ho to usay kharch karne ka sawab mile ga aur shauhar ko bhi us ka sawab mile ga us ne kamaya hai aur khazanchi ka bhi yahi hukm hai . Ek ka sawab doosre ke sawab mein koi kami nahi karta .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ صَدَقَةَ إِلاَّ عَنْ ظَهْرِ غِنًى:
Sadaqa wahi behtar hai jis ke baad bhi aadmi maaldar hi reh jaaye (bilkul khaali haath na ho baithe).
Hadith Number: Q1426
ومن تصدق وهو محتاج او اهله محتاج او عليه دين، فالدين احق ان يقضى من الصدقة والعتق والهبة وهو رد عليه ليس له ان يتلف اموال الناس، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: من اخذ اموال الناس يريد إتلافها اتلفه الله إلا ان يكون معروفا بالصبر فيؤثر على نفسه، ولو كان به خصاصة كفعل ابي بكر رضي الله عنه حين تصدق بماله وكذلك آثر الانصار المهاجرين، ونهى النبي صلى الله عليه وسلم عن إضاعة المال فليس له ان يضيع اموال الناس بعلة الصدقة"، وقال كعب بن مالك رضي الله عنه: قلت يا رسول الله: إن من توبتي ان انخلع من مالي صدقة إلى الله وإلى رسوله صلى الله عليه وسلم؟ , قال: امسك عليك بعض مالك فهو خير لك"، قلت: فإني امسك سهمي الذي بخيبر.
Aur jo shakhs khairat kare ke khud muhtaj ho jaye ya us ke baal bacche muhtaj hon (to aisi khairat durust nahi) isi tarah agar qarzdar ho to sadqa aur aazadi aur hiba par qarz ada karna muqaddam ho ga aur us ka sadqa us par pher diya jaye ga aur us ko yeh durust nahi ke (qarz na ada kare aur khairat de kar) logon (qarz khwahon) ki raqam tabah kar de aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs logon ka maal (bataur qarz) talaf karne (yani na dene) ki niyat se le to Allah us ko barbad kar de ga . Albatta agar sabr aur takleef uthane mein mash'hoor ho to apni khaas haajat par (faqeer ki haajat ko) muqaddam kar sakta hai . Jaise Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ne apna saara maal khairat mein de diya aur isi tarah Ansar ne apni zaroorat par Muhajireen ki zarooriyat ko muqaddam kiya . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne maal ko tabah karne se mana farmaya hai to jab apna maal tabah karna mana hua to paraye logon ka maal tabah karna kisi tarah se jaiz na ho ga . Aur Kaab bin Malik ne (jo jang-e-Tabook se peeche reh gaye thay) arz ki Ya Rasool Allah! Main apni tauba ko is tarah poora karta hoon ke apna saara maal Allah aur Rasool par tasadduq kar doon . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi kuch thora maal rehne bhi de woh tere haq mein behtar hai . Kaab ne kaha bahut khoob main apna Khaibar ka hissa rehne deta hoon .
Hadith Number: 1426
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري , قال: اخبرني سعيد بن المسيب، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" خير الصدقة ما كان عن ظهر غنى وابدا بمن تعول".
Hum se Abdan ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ unhein Yunus ne , unhein Zuhri ne , unhon ne kaha mujhe Saeed bin Musayyab ne khabar di ‘ unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya behtareen khairat woh hai jis ke dene ke baad aadmi maaldar rahe . Phir sadqa pehle unhein do jo tumhari zair-e-parwarish hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1427
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا هشام، عن ابيه، عن حكيم بن حزام رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" اليد العليا خير من اليد السفلى، وابدا بمن تعول، وخير الصدقة عن ظهر غنى، ومن يستعفف يعفه الله، ومن يستغن يغنه الله".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hisham bin Urwah ne apne baap se byaan kiya ‘ un se Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya oopar wala haath neeche wale haath se behtar hai aur pehle unhein do jo tumhare baal bacche aur azeez hain aur behtareen sadqa woh hai jisay de kar aadmi maaldar rahe aur jo koi sawal se bacchna chahe ga usay Allah Ta'ala bhi mehfooz rakhta hai aur jo doosron (ke maal) se be-niyaz rehta hai ‘ usay Allah Ta'ala be-niyaz hi bana deta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1428
Aur Wuhaib ne byaan kiya ke hum se Hisham ne apne walid se byaan kiya ‘ un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa hi byaan farmaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1429
حدثنا ابو النعمان , قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال وهو على المنبر:" وذكر الصدقة , والتعفف , والمسالة اليد العليا خير من اليد السفلى، فاليد العليا هي المنفقة، والسفلى هي السائلة".
Hum se Abu Nu'man ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya ‘ un se Ayub ne ‘ un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke maine Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna . (Doosri sanad) aur hum se Abdullah bin Maslamah ne byaan kiya ‘ un se Malik ne ‘ un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab ke Aap mimbar par tashreef rakhte thay . Aap ne sadqa aur kisi ke saamne haath na phailane ka aur doosron se mangne ka zikr farmaya aur farmaya ke oopar wala haath neeche wale haath se behtar hai . Oopar ka haath kharch karne wale ka hai aur neeche ka haath mangne wale ka .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَنَّانِ بِمَا أَعْطَى:
Jo de kar ehsaan jataye us ki muzammat.
Hadith Number: Q1430
لقوله: الذين ينفقون اموالهم في سبيل الله ثم لا يتبعون ما انفقوا منا ولا اذى سورة البقرة آية 262.
Kyunke Allah Ta'ala ne farmaya ke jo log apna maal Allah ke raste mein kharch karte hain aur jo kuch unhon ne kharch kiya hai is ki wajah se na ehsan jatlate hain aur na takleef dete hain .