الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِثْمِ مَانِعِ الزَّكَاةِ:
Zakat na ada karne wale ka gunaah.
Show diacritics
Hadith Number: Q1402
وقول الله تعالى: والذين يكنزون الذهب والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله فبشرهم بعذاب اليم {34} يوم يحمى عليها في نار جهنم فتكوى بها جباههم وجنوبهم وظهورهم هذا ما كنزتم لانفسكم فذوقوا ما كنتم تكنزون {35} سورة التوبة آية 34-35.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Bara'at mein) farmaya ke jo log sona aur chandi jama karte hain aur unhein Allah ki raah mein kharch nahi karte aakhir aayat «fazooqu ma kuntum taknizoon» tak . Yani apne maal ko garne ka maza chakho .


Show diacritics
Hadith Number: 1402
حدثنا الحكم بن نافع، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، ان عبد الرحمن بن هرمز الاعرج حدثه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه , يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" تاتي الإبل على صاحبها على خير ما كانت، إذا هو لم يعط فيها حقها تطؤه باخفافها وتاتي الغنم على صاحبها على خير ما كانت، إذا لم يعط فيها حقها تطؤه باظلافها وتنطحه بقرونها، وقال: ومن حقها ان تحلب على الماء، قال: ولا ياتي احدكم يوم القيامة بشاة يحملها على رقبته لها يعار، فيقول: يا محمد، فاقول: لا املك لك شيئا قد بلغت ولا ياتي ببعير يحمله على رقبته له رغاء، فيقول: يا محمد، فاقول: لا املك لك من الله شيئا قد بلغت".
Hum se Abul Yaman Hakam bin Nafi ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shuayb bin Abi Hamzah ne khabar di ‘ kaha ke hum se Abul Zinad ne byaan kiya ke Abdul Rahman bin Hurmuz Aaraj ne un se byaan kiya ke unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ‘ Aap razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke oont (Qayamat ke din) apne maalkon ke paas jinhon ne un ka haq (zakat) na ada kiya ke is se zyada mote taaze ho kar aayeinge (jaise duniya mein thay) aur unhein apne khuron se raundeinge . Bakriyan bhi apne in maalkon ke paas jinhon ne un ke haq nahi diye thay pehle se zyada moti taazi ho kar aayeingi aur unhein apne khuron se raundeingi aur apne seengon se maareingi . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ka haq yeh bhi hai ke isay paani hi par (yani jahan woh charagah mein char rahi hon) doha jaye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi shakhs Qayamat ke din is tarah na aaye ke woh apni gardan par ek aisi bakri uthaye hue ho jo chilla rahi ho aur woh (shakhs) mujh se kahe ke ae Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam)! Mujhe azaab se bacchaiye main isay yeh jawab doon ga ke tere liye main kuch nahi kar sakta (mera kaam puhanchana tha) so maine puhanchan diya . Isi tarah koi shakhs apni gardan par oont liye hue Qayamat ke din na aaye ke oont chilla raha ho aur woh khud mujh se faryad kare ‘ ae Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam)! Mujhe bacchaiye aur main yeh jawab de doon ke tere liye main kuch nahi kar sakta . Maine tujh ko (Allah ka hukm zakat) puhanchan diya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1403
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا هاشم بن القاسم، حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، عن ابيه، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من آتاه الله مالا فلم يؤد زكاته، مثل له ماله يوم القيامة شجاعا اقرع له زبيبتان يطوقه يوم القيامة، ثم ياخذ بلهزمتيه يعني شدقيه، ثم يقول انا مالك انا كنزك، ثم تلا: ولا يحسبن الذين يبخلون سورة آل عمران آية 180".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Hashim bin Qasim ne byaan kiya ke hum se Abdul Rahman bin Abdullah bin Dinar ne apne walid se byaan kiya ‘ un se Abu Salih Samman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jisay Allah ne maal diya aur us ne is ki zakat nahi ada ki to Qayamat ke din us ka maal nihayat zehrile ganje saanp ki shakal ikhtiyar kar le ga . Is ki aankhon ke paas do siyah nuqte honge . Jaise saanp ke hote hain ‘ phir woh saanp us ke dono jabron se isay pakar le ga aur kahe ga ke main tera maal aur khazana hoon . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat parhi ”aur woh log yeh gumaan na karein ke Allah Ta'ala ne unhein jo kuch apne fazl se diya hai woh is par bukhl se kaam lete hain ke un ka maal un ke liye behtar hai . Balke woh bura hai jis maal ke maamle mein unhon ne bukhl kiya hai . Qayamat mein is ka tauq bana kar un ki gardan mein dala jaye ga .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا أُدِّيَ زَكَاتُهُ فَلَيْسَ بِكَنْزٍ:
Jis maal ki zakat de di jaaye woh kanz (khazana) nahin hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q1404
لقول النبي صلى الله عليه وسلم: «ليس فيما دون خمسة اواق صدقة» .
Kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke paanch oqiyah se kam chandi mein zakat nahi hai .


Show diacritics
Hadith Number: 1404
وقال احمد بن شبيب بن سعيد، حدثنا ابي، عن يونس، عن ابن شهاب، عن خالد بن اسلم , قال:" خرجنا مع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، فقال اعرابي: اخبرني عن قول الله: والذين يكنزون الذهب والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله سورة التوبة آية 34، قال ابن عمررضي الله عنهما: من كنزها فلم يؤد زكاتها فويل له، إنما كان هذا قبل ان تنزل الزكاة، فلما انزلت جعلها الله طهرا للاموال".
Hum se Ahmad bin Shabeeb bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se mere walid Shabeeb ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Yunus ne byaan kiya ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ un se Khalid bin Aslam ne ‘ unhon ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke saath kahin ja rahe thay . Ek aarabi ne Aap se poocha ke mujhe Allah Ta'ala ke is farmaan ki tafseer batlayiye ”jo log sone aur chandi ka khazana bana kar rakhte hain .“ Ibn Umar razi Allahu anhuma ne is ka jawab diya ke agar kisi ne sona chandi jama kiya aur is ki zakat na di to us ke liye «wayl» (kharabi) hai . Yeh hukm zakat ke ahkaam nazil hone se pehle tha lekin jab Allah Ta'ala ne zakat ka hukm nazil kar diya to ab wahi zakat maal o daulat ko paak kar dene wali hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1405
حدثنا إسحاق بن يزيد، اخبرنا شعيب بن إسحاق، اخبرنا الاوزاعي، اخبرني يحيى بن ابي كثير، ان عمرو بن يحيى بن عمارة اخبره، عن ابيه يحيى بن عمارة بن ابي الحسن، انه سمع ابا سعيد رضي الله عنه , يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليس فيما دون خمس اواق صدقة، وليس فيما دون خمس ذود صدقة، وليس فيما دون خمس اوسق صدقة".
Hum se Ishaq bin Yazid ne hadees byaan ki ‘ unhon ne kaha ke humein Shuayb bin Ishaq ne khabar di ‘ unhon ne kaha ke humein Imam Awzai ne khabar di ‘ unhon ne kaha ke mujhe Yahya bin Abi Kaseer ne khabar di ke Amru bin Yahya bin Amarah ne unhein khabar di apne walid Yahya bin Amarah bin Abul Hasan se aur unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya paanch oqiyah se kam chandi mein zakat nahi hai aur paanch oonton se kam mein zakat nahi hai aur paanch wasaq se kam (ghalla) mein zakat nahi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1406
حدثنا علي، سمع هشيما، اخبرنا حصين، عن زيد بن وهب , قال:" مررت بالربذة فإذا انا بابي ذر رضي الله عنه، فقلت له: ما انزلك منزلك هذا؟ , قال: كنت بالشام فاختلفت انا ومعاوية في الذين يكنزون الذهب , والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله، قال معاوية: نزلت في اهل الكتاب , فقلت: نزلت فينا وفيهم، فكان بيني وبينه في ذاك، وكتب إلى عثمان رضي الله عنه يشكوني، فكتب إلي عثمان ان اقدم المدينة فقدمتها، فكثر علي الناس حتى كانهم لم يروني قبل ذلك، فذكرت ذاك لعثمان , فقال لي: إن شئت تنحيت فكنت قريبا فذاك الذي انزلني هذا المنزل، ولو امروا علي حبشيا لسمعت واطعت".
Hum se Ali bin Abi Hashim ne byaan kiya ‘ unhon ne Hushaim se suna ‘ kaha ke humein Husain ne khabar di ‘ unhein Zaid bin Wahab ne kaha ke main maqam-e-Rabzah se guzar raha tha ke Abu Zar razi Allahu anhu dikhayi diye . Maine poocha ke Aap yahan kyun aa gaye hain ? Unhon ne jawab diya ke main Shaam mein tha to Muawiyah razi Allahu anhu se mera ikhtilaf (Quran ki aayat) ”jo log sona aur chandi jama karte hain aur unhein Allah ki raah mein kharch nahi karte“ ke mutalliq ho gaya . Muawiyah razi Allahu anhu ka kehna yeh tha ke yeh aayat Ahle Kitab ke baare mein nazil hui hai aur main yeh kehta tha ke Ahle Kitab ke saath hamare mutalliq bhi yeh nazil hui hai . Is ikhtilaf ke natija mein mere aur un ke darmiyan kuch talkhi paida ho gayi . Chunanche unhon ne Uthman razi Allahu anhu (jo in dino Khalifat-ul-Muslimeen thay) ke yahan meri shikayat likhi . Uthman razi Allahu anhu ne mujhe likha ke main Madina chala aaon . Chunanche main chala aaya . (Wahan jab puhancha) to logon ka mere yahan is tarah hujoom hone laga jaise unhon ne mujhe pehle dekha hi na ho . Phir jab maine logon ke is tarah apni taraf aane ke mutalliq Uthman razi Allahu anhu se kaha to unhon ne farmaya ke agar munasib samjho to yahan ka qiyam chhor kar Madina se qareeb hi kahin aur jagah alag qiyam ikhtiyar kar lo . Yahi baat hai jo mujhe yahan (Rabzah) tak le aayi hai . Agar woh mere oopar ek Habshi ko bhi ameer muqarrar kar dein to main is ki bhi sunoon ga aur itaat karoon ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1407
حدثنا عياش , حدثنا عبد الاعلى، حدثنا الجريري، عن ابي العلاء، عن الاحنف بن قيس , قال: جلست. ح وحدثني إسحاق بن منصور، اخبرنا عبد الصمد , قال: حدثني ابي، حدثنا الجريري، حدثنا ابو العلاء بن الشخير، ان الاحنف بن قيس حدثهم، قال:" جلست إلى ملإ من قريش فجاء رجل خشن الشعر والثياب والهيئة حتى قام عليهم فسلم، ثم قال: بشر الكانزين برضف يحمى عليه في نار جهنم، ثم يوضع على حلمة ثدي احدهم، حتى يخرج من نغض كتفه ويوضع على نغض كتفه، حتى يخرج من حلمة ثديه يتزلزل، ثم ولى فجلس إلى سارية وتبعته وجلست إليه وانا لا ادري من هو، فقلت له: لا ارى القوم إلا قد كرهوا الذي قلت , قال: إنهم لا يعقلون شيئا.
Hum se Ayash bin Waleed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abdul Ala ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Saeed Jureiri ne Abul Ala Yazid se byaan kiya ‘ un se Ahnaf bin Qais ne ‘ unhon ne kaha ke main baitha tha (doosri sanad) aur Imam Bukhari rahmahu Allah ne farmaya ke mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abdul Samad bin Abdul Waris ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha mujh se Saeed Jureiri ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abul Ala bin Shikhir ne byaan kiya ‘ un se Ahnaf bin Qais ne byaan kiya ke main Quraish ki ek majlis mein baitha hua tha . Itne mein sakht baal ‘ mote kapre aur moti jhooti haalat mein ek shakhs aaya aur khare ho kar salam kiya aur kaha ke khazana jama karne walon ko is patthar ki bisharat ho jo Jahannam ki aag mein tapaya jaye ga aur is ki chhati ki bhitni par rakh diya jaye ga jo mondhe ki taraf se paar ho jaye ga . Is tarah woh patthar barabar dhalakta rahe ga . Yeh keh kar woh sahib chale gaye aur ek sutoon ke paas taik laga kar baith gaye . Main bhi un ke saath chala aur un ke qareeb baith gaya . Ab tak mujhe yeh maloom na tha ke yeh kaun sahib hain . Maine un se kaha ke mera khayal hai ke Aap ki baat qaum ne pasand nahi ki . Unhon ne kaha yeh sab to be-waqoof hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1408
قال لي خليلي: قال: قلت: من خليلك؟ , قال: النبي صلى الله عليه وسلم: يا ابا ذر، اتبصر احدا؟ , قال: فنظرت إلى الشمس ما بقي من النهار وانا ارى ان رسول الله صلى الله عليه وسلم يرسلني في حاجة له، قلت: نعم، قال: ما احب ان لي مثل احد ذهبا انفقه كله إلا ثلاثة دنانير، وإن هؤلاء لا يعقلون إنما يجمعون الدنيا، لا والله لا اسالهم دنيا ولا استفتيهم عن دين حتى القى الله".
Mujh se mere khaleel ne kaha tha maine poocha ke Aap ke khaleel kaun hain ? Jawab diya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ae Abu Zar! Kya Uhud pahaar tu dekhta hai . Abu Zar razi Allahu anhu ka byaan tha ke is waqt maine sooraj ki taraf nazar utha kar dekha ke kitna din abhi baaqi hai . Kyunke mujhe (Aap ki baat se) yeh khayal guzra ke Aap apne kisi kaam ke liye mujhe bheinjeinge . Maine jawab diya ke ji haan (Uhud pahaar maine dekha hai) Aap ne farmaya ke agar mere paas Uhud pahaar ke barabar sona ho main is ke siwa dost nahi rakhta ke sirf teen deenaar bacha kar baaqi tamam ka tamam (Allah ke raste mein) de daloon (Abu Zar razi Allahu anhu ne phir farmaya ke) in logon ko kuch maloom nahi yeh duniya jama karne ki fikr karte hain . Hargiz nahi Allah ki qasam na main in ki duniya un se mangta hoon aur na deen ka koi masla un se poochta hoon ta-aanke main Allah Ta'ala se ja miloon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِنْفَاقِ الْمَالِ فِي حَقِّهِ:
Allah ki raah mein maal kharch karne ki fazeelat ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 1409
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، عن إسماعيل , قال: حدثني قيس، عن ابن مسعود رضي الله عنه , قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم , يقول:" لا حسد إلا في اثنتين، رجل آتاه الله مالا فسلطه على هلكته في الحق، ورجل آتاه الله حكمة فهو يقضي بها ويعلمها".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Yahya bin Saeed ne Ismail bin Abi Khalid se byaan kiya , kaha ke mujh se Qais bin Abi Hazim ne byaan kiya aur un se Ibn Masood razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke hasad (rashk) karna sirf do hi aadmiyon ke saath jaiz ho sakta hai . Ek to is shakhs ke saath jisay Allah ne maal diya aur usay haq aur munasib jaghon mein kharch karne ki taufique di . Doosre is shakhs ke saath jisay Allah Ta'ala ne hikmat (aqal ilm Quran o hadees aur maamla fahmi) di aur woh apni hikmat ke mutabiq haq faisle karta hai aur logon ko is ki taleem deta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة