الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ أَحَبَّ تَعْجِيلَ الصَّدَقَةِ مِنْ يَوْمِهَا:
Khairaat karne mein jaldi karni chahiye.
Hadith Number: 1430
حدثنا ابو عاصم، عن عمر بن سعيد، عن ابن ابي مليكة، ان عقبة بن الحارث رضي الله عنه حدثه , قال:" صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم العصر فاسرع، ثم دخل البيت فلم يلبث ان خرج فقلت او قيل له: فقال: كنت خلفت في البيت تبرا من الصدقة فكرهت ان ابيته فقسمته".
Hum se Abu Asim Nabeel ne Umar bin Saeed se byaan kiya ‘ un se Ibn Abi Malaikah ne ke Uqbah bin Harith razi Allahu anhu ne un se byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Asr ki namaaz ada ki phir jaldi se Aap salla Allahu alaihi wasallam ghar mein tashreef le gaye . Thori der baad bahar tashreef le aaye . Is par maine poocha ya kisi aur ne poocha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ghar ke andar sadqa ke sone ka ek tukra chhor aaya tha mujhe yeh baat pasand nahi aayi ke isay taqseem kiye baghair raat guzaraon pas maine is ko baant diya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّحْرِيضِ عَلَى الصَّدَقَةِ وَالشَّفَاعَةِ فِيهَا:
Logon ko sadaqa ki targhib dilana aur us ke liye sifarish karna.
Hadith Number: 1431
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، حدثنا عدي، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" خرج النبي صلى الله عليه وسلم يوم عيد، فصلى ركعتين لم يصل قبل ولا بعد، ثم مال على النساء , ومعه بلال فوعظهن , وامرهن ان يتصدقن، فجعلت المراة تلقي القلب والخرص".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Adi bin Thabit ne byaan kiya ‘ un se Saeed bin Jubair ne ‘ un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Eid ke din nikle . Pas Aap salla Allahu alaihi wasallam ne (Eid gah mein) do rak'at namaaz parhayi . Na Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is se pehle koi namaaz parhi aur na is ke baad . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam auraton ki taraf aaye . Bilal razi Allahu anhu Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay . Unhein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne waaz o nasihat ki aur un ko sadqa karne ke liye hukm farmaya . Chunanche auraten kangan aur baaliyan (Bilal razi Allahu anhu ke kapre mein) daalne lagein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1432
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا ابو بردة بن عبد الله بن ابي بردة، حدثنا ابو بردة بن ابي موسى، عن ابيه رضي الله عنه , قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا جاءه السائل او طلبت إليه حاجة , قال: اشفعوا تؤجروا، ويقضي الله على لسان نبيه صلى الله عليه وسلم ما شاء".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Burdah bin Abdullah bin Abi Burdah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Burdah bin Abi Musa ne byaan kiya ‘ aur un se un ke baap Abu Musa ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas agar koi mangne wala aata ya Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saamne koi haajat pesh ki jati to Aap salla Allahu alaihi wasallam Sahaba-e-Karam se farmate ke tum sifarish karo ke is ka sawab pao ge aur Allah paak apne Nabi ki zaban se jo faisla chahe ga woh de ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1433
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا عبدة، عن هشام، عن فاطمة، عن اسماء رضي الله عنها , قالت: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" لا توكي فيوكى عليك".
Hum se Sadqa bin Fadl ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdah ne Hisham se khabar di ’ unhein un ki biwi Fatimah bint Munzir ne aur un se Asma razi Allahu anha ne byaan kiya ke mujh se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khairat ko mat rok warna tera rizq bhi rok diya jaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: Q1434
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، عن عبدة، وقال: لا تحصي فيحصي الله عليك.
Hum se Uthman bin Abi Shaiba ne byaan kiya ‘ aur un se Abdah ne yahi hadees riwayat ki ke ginne na lag jaana warna phir Allah bhi tujhe gin gin kar hi de ga .
بَابُ الصَّدَقَةِ فِيمَا اسْتَطَاعَ:
Jahan tak ho sake khairaat karna.
Hadith Number: 1434
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج. ح وحدثني محمد بن عبد الرحيم، عن حجاج بن محمد، عن ابن جريج , قال: اخبرني ابن ابي مليكة، عن عباد بن عبد الله بن الزبير اخبره، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، انها جاءت إلى النبي صلى الله عليه وسلم , فقال:" لا توعي فيوعي الله عليك، ارضخي ما استطعت".
Hum se Abu Asim (Abu Asim Dahhak) ne byaan kiya aur un se Ibn Juraij ne byaan kiya . (Doosri sanad) aur mujh se Muhammad bin Abdul Rahman ne byaan kiya ‘ un se Hajjaj bin Muhammad ne byaan kiya aur unhon ne kaha ke hum se Ibn Juraij ne byaan kiya ke mujhe Ibn Abi Malaikah ne khabar di ‘ unhein Abbad bin Abdullah bin Zubayr ne Asma bint Abi Bakr razi Allahu anhuma se khabar di ke woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke haan aayin . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (maal ko) theili mein band kar ke na rakhna warna Allah paak bhi tumhare liye apne khazane mein bandish laga de ga . Jahan tak ho sake logon mein khair khairat taqseem karti reh .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّدَقَةُ تُكَفِّرُ الْخَطِيئَةَ:
Sadaqa khairaat se gunaah maaf ho jaate hain.
Hadith Number: 1435
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن حذيفة رضي الله عنه , قال: قال عمر رضي الله عنه:" ايكم يحفظ حديث رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الفتنة، قال: قلت انا احفظه , كما قال، قال: إنك عليه لجريء، فكيف قال؟ , قلت: فتنة الرجل في اهله وولده وجاره تكفرها الصلاة , والصدقة , والمعروف، قال سليمان: قد كان يقول: الصلاة , والصدقة , والامر بالمعروف , والنهي عن المنكر، قال: ليس هذه اريد، ولكني اريد التي تموج كموج البحر، قال: قلت ليس عليك بها يا امير المؤمنين باس بينك وبينها باب مغلق، قال: فيكسر الباب او يفتح، قال: قلت لا بل يكسر، قال: فإنه إذا كسر لم يغلق ابدا، قال: قلت اجل، فهبنا ان نساله من الباب , فقلنا لمسروق سله، قال: فساله، فقالعمر رضي الله عنه: قال: قلنا فعلم عمر من تعني، قال: نعم، كما ان دون غد ليلة، وذلك اني حدثته حديثا ليس بالاغاليط".
Hum se Qutaibah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Jarir ne Aamash se byaan kiya ‘ un se Abu Wa'il ne ‘ unhon ne Huzaifah bin Yaman razi Allahu anhu se ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne farmaya ke fitnah se mutalliq Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki hadees Aap logon mein kis ko yaad hai ? Huzaifah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke maine kaha main is tarah yaad rakhta hoon jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ko byaan farmaya tha . Is par Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke tumhein is ke byaan par jurat hai . Accha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne fitnon ke baare mein kya farmaya tha ? Maine kaha ke (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha) insaan ki aazmaish (fitnah) us ke khandan ‘ aulaad aur parosiyon mein hoti hai aur namaaz ‘ sadqa aur acchi baaton ke liye logon ko hukm karna aur buri baaton se mana karna is fitne ka kaffara ban jati hain . Aamash ne kaha Abu Wa'il kabhi yun kehte thay . Namaaz aur sadqa aur acchi baaton ka hukm dena buri baat se rokna ‘ yeh is fitne ko mita dene wale naik kaam hain . Phir is fitne ke mutalliq Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke meri muraad is fitnah se nahi . Main is fitne ke baare mein poochna chahta hoon jo samundar ki tarah thaathein maarta hua phaile ga . Huzaifah razi Allahu anhu ne byaan kiya ‘ maine kaha ke Ameer-ul-Moomineen Aap is fitne ki fikr na kijiye Aap ke aur is fitnah ke darmiyan ek band darwaza hai . Umar razi Allahu anhu ne poocha ke woh darwaza tor diya jaye ga ya sirf khola jaye ga . Unhon ne batlaya nahi balke woh darwaza tor diya jaye ga . Is par Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke jab darwaza tor diya jaye ga to phir kabhi bhi band na ho sake ga Abu Wa'il ne kaha ke haan phir hum ruaab ki wajah se Huzaifah razi Allahu anhu se yeh na pooch sake ke woh darwaza kaun hai ? Is liye hum ne Masrooq se kaha ke tum poocho . Unhon ne kaha ke Masrooq rahmatullah alaihi ne poocha to Huzaifah razi Allahu anhu ne farmaya ke darwaza se muraad khud Umar razi Allahu anhu hi thay . Hum ne phir poocha to kya Umar razi Allahu anhu jaante thay ke Aap ki muraad kaun thi ? Unhon ne kaha haan jaise din ke baad raat ke aane ko jaante hain aur yeh is liye ke maine jo hadees byaan ki woh ghalat nahi thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ تَصَدَّقَ فِي الشِّرْكِ ثُمَّ أَسْلَمَ:
Is baare mein ke jis ne shirk ki haalat mein sadaqa diya aur phir Islam le aaya.
Hadith Number: 1436
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، حدثنا معمر، عن الزهري، عن عروة , عن حكيم بن حزام رضي الله عنه , قال:" قلت يا رسول الله، ارايت اشياء كنت اتحنث بها في الجاهلية من صدقة او عتاقة وصلة رحم، فهل فيها من اجر؟ فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اسلمت على ما سلف من خير".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Hisham ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Mamar ne Zuhri se khabar di ‘ unhein Urwah ne aur un se Hakeem bin Hizam razi Allahu anhu ne byaan kiya ke maine arz kiya Ya Rasool Allah! In naik kaamon se mutalliq Aap kya farmate hain jinhein main jahiliyat ke zamana mein sadqa ‘ ghulam aazad karne aur silah-e-rehmi ki soorat mein kiya karta tha . Kya un ka mujhe sawab mile ga ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum apni in tamam nekiyon ke saath Islam laye ho jo pehle guzar chuki hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَجْرِ الْخَادِمِ إِذَا تَصَدَّقَ بِأَمْرِ صَاحِبِهِ غَيْرَ مُفْسِدٍ:
Khaadim naukar ka sawab, jab woh maalik ke hukm ke mutabiq khairaat de aur koi bigaar ki niyat na ho.
Hadith Number: 1437
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا تصدقت المراة من طعام زوجها غير مفسدة كان لها اجرها، ولزوجها بما كسب، وللخازن مثل ذلك".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Jarir ne Aamash se byaan kiya ‘ un se Abu Wa'il ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab biwi apne khawand ke khane mein se kuch sadqa kare aur us ki niyat usay barbad karne ki nahi hoti to usay bhi is ka sawab milta hai aur us ke khawand ko kamane ka sawab milta hai . Isi tarah khazanchi ko bhi is ka sawab milta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1438
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد بن عبد الله، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" الخازن المسلم الامين الذي ينفذ، وربما قال: يعطي ما امر به كاملا موفرا طيب به نفسه فيدفعه إلى الذي امر له به احد المتصدقين".
Hum se Muhammad bin Alaa ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Usama ne byaan kiya ‘ un se Bureid bin Abdullah ne ‘ un se Abu Burdah ne aur un se Abu Musa razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «khazin» musalman amanatdar jo kuch bhi kharch karta hai aur baaz dafa farmaya woh cheez poori tarah deta hai jis ka usay sarmaya ke maalik ki taraf se hukm diya gaya aur us ka dil bhi is se khush hai aur isi ko diya hai jisay dene ke liye maalik ne kaha tha to woh dene wala bhi sadqa dene walon mein se ek hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة