الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ صَدَقَةِ الْفِطْرِ صَاعًا مِنْ تَمْرٍ:
Sadaqa fitr mein khajoor bhi ek saa nikaali jaaye.
Show diacritics
Hadith Number: 1507
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا الليث، عن نافع، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" امر النبي صلى الله عليه وسلم بزكاة الفطر صاعا من تمر او صاعا من شعير"، قال عبد الله رضي الله عنه: فجعل الناس عدله مدين من حنطة.
Hum se Ahmad bin Yunus ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Layth ne Nafi ke wasta se byaan kiya ‘ un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ek saa' khajoor ya ek saa' jau ki zakat-e-fitr dene ka hukm farmaya tha . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke phir logon ne isi ke barabar do mudd (aadha saa') gehoon kar liya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَاعٍ مِنْ زَبِيبٍ:
Sadaqa fitr mein munqaa bhi ek saa dena chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 1508
حدثنا عبد الله بن منير، سمع يزيد بن ابي حكيم العدني، حدثنا سفيان، عن زيد بن اسلم، قال: حدثني عياض بن عبد الله بن ابي سرح، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال:" كنا نعطيها في زمان النبي صلى الله عليه وسلم صاعا من طعام او صاعا من تمر او صاعا من شعير او صاعا من زبيب"، فلما جاء معاوية وجاءت السمراء، قال: ارى مدا من هذا يعدل مدين.
Hum se Abdullah bin Muneer ne byaan kiya ‘ unhon ne Yazid bin Abi Hakeem Adani se suna ‘ unhon ne kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya ‘ un se Zaid bin Aslam ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se Iyadh bin Abdullah bin Saad bin Abi Sarh ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein sadqa-e-fitr ek saa' gehoon ya ek saa' khajoor ya ek saa' jau ya ek saa' ”zabeeib“ (khushk angoor ya khushk anjeer) nikalte thay . Phir jab Muawiyah razi Allahu anhu Madina mein aaye aur gehoon ki aamdani hui to kehne lage main samajhta hoon is ka ek mudd doosre anaaj ke do mudd ke barabar hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّدَقَةِ قَبْلَ الْعِيدِ:
Sadaqa fitr namaz eid se pehle ada karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1509
حدثنا آدم، حدثنا حفص بن ميسرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما ," ان النبي صلى الله عليه وسلم امر بزكاة الفطر قبل خروج الناس إلى الصلاة".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya unhon ne kaha ke hum se Hafs bin Maisarah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se Musa bin Uqbah ne byaan kiya ‘ un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sadqa-e-fitr namaaz (Eid) ke liye jaane se pehle pehle nikalne ka hukm diya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1510
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا ابو عمر، عن زيد، عن عياض بن عبد الله بن سعد، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال:"كنا نخرج في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم الفطر صاعا من طعام"، وقال ابو سعيد: وكان طعامنا الشعير والزبيب والاقط والتمر.
Hum se Maaz bin Fadhalah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abu Amru Hafs bin Maisarah ne byaan kiya ‘ un se Zaid bin Aslam ne byaan kiya ‘ un se Iyadh bin Abdullah bin Saad ne ‘ un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein Eid-ul-Fitr ke din (khane ke ghalla se) ek saa' nikalte thay . Abu Saeed razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hamara khana (in dino) jau , zabeeib , paneer aur khajoor tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَدَقَةِ الْفِطْرِ عَلَى الْحُرِّ وَالْمَمْلُوكِ:
Sadaqa fitr aazaad aur ghulam par waajib hona.
Show diacritics
Hadith Number: Q1511
وقال الزهري في المملوكين للتجارة يزكى في التجارة ويزكى في الفطر.
Aur Zuhri ne kaha jo ghulam laundi saudagari ka maal hon to in ki salana zakat bhi di jaye gi aur in ki taraf se sadqa-e-fitr bhi ada kiya jaye .


Show diacritics
Hadith Number: 1511
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" فرض النبي صلى الله عليه وسلم صدقة الفطر او قال: رمضان على الذكر والانثى والحر والمملوك صاعا من تمر او صاعا من شعير، فعدل الناس به نصف صاع من بر"، فكان ابن عمر رضي الله عنهما يعطي التمر فاعوز اهل المدينة من التمر فاعطى شعيرا، فكان ابن عمر يعطي عن الصغير , والكبير حتى إن كان ليعطي عن بني، وكان ابن عمر رضي الله عنهما يعطيها الذين يقبلونها، وكانوا يعطون قبل الفطر بيوم او يومين. قال ابوعبدالله بني يعني بني نافع قال کانوا يعطون ليجمع لاللفقراء.
Hum se Abu Nu'man ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Ayub ne byaan kiya ‘ un se Nafi ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sadqa-e-fitr ya yeh kaha ke sadqa-e-Ramzan mard , aurat , aazad aur ghulam (sab par) ek saa' khajoor ya ek saa' jau farz qarar diya tha . Phir logon ne aadha saa' gehoon is ke barabar qarar de liya . Lekin Ibn Umar razi Allahu anhuma khajoor diya karte thay . Ek martaba Madina mein khajoor ka qahet para to Aap ne jau sadqa mein nikala . Ibn Umar razi Allahu anhuma chote bare sab ki taraf se yahan tak ke mere beton ki taraf se bhi sadqa-e-fitr nikalte thay . Ibn Umar razi Allahu anhuma sadqa-e-fitr har faqeer ko jo isay qabool karta , de diya karte thay . Aur log sadqa-e-fitr ek ya do din pehle hi de diya karte thay . Imam Bukhari rahmatullah alaihi ne kaha mere beton se Nafi ke bete muraad hain . Imam Bukhari rahmatullah alaihi ne kaha woh Eid se pehle jo sadqa de dete thay to ikhatta hone ke liye na fuqara ke liye (phir woh jama kar ke fuqara mein taqseem kar diya jata) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَدَقَةِ الْفِطْرِ عَلَى الصَّغِيرِ وَالْكَبِير
Sadaqa fitr baddon aur chhoton par waajib hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q1512
n
Aur Abu Amru ne byaan kiya ke Umar ‘ Ali ‘ Ibn Umar ‘ Jabir ‘ Aisha ‘ Ta'oos ‘ Ata aur Ibn Sireen razi Allahu anhum ka khayal yeh tha ke yateem ke maal se bhi zakat di jaye gi . Aur Zuhri deewane ke maal se zakat nikalne ke qail thay .


Show diacritics
Hadith Number: 1512
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنه، قال:" فرض رسول الله صلى الله عليه وسلم صدقة الفطر صاعا من شعير او صاعا من تمر على الصغير والكبير والحر والمملوك".
Hum se Musaddad ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Yahya Qattan ne Ubaidullah Umari ke waste se byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se Nafi ne byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne farmaya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ek saa' jau ya ek saa' khajoor ka sadqa-e-fitr , chote , bare , aazad aur ghulam sab par farz qarar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة