الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّا بِكَ لَمَحْزُونُونَ» :
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka farmana ke aye Ibrahim! hum tumhari judai par ghamgeen hain.
Show diacritics
Hadith Number: 1303
حدثنا الحسن بن عبد العزيز، حدثنا يحيى بن حسان، حدثنا قريش هو ابن حيان، عن ثابت، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال:" دخلنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم على ابي سيف القين، وكان ظئرا لإبراهيم عليه السلام فاخذ رسول الله صلى الله عليه وسلم إبراهيم فقبله وشمه، ثم دخلنا عليه بعد ذلك وإبراهيم يجود بنفسه، فجعلت عينا رسول الله صلى الله عليه وسلم تذرفان , فقال له عبد الرحمن بن عوف رضي الله عنه: وانت يا رسول الله , فقال: يا ابن عوف إنها رحمة ثم اتبعها باخرى، فقال صلى الله عليه وسلم: إن العين تدمع والقلب يحزن ولا نقول إلا ما يرضى ربنا وإنا بفراقك يا إبراهيم لمحزونون"، رواه موسى، عن سليمان بن المغيرة، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Hasan bin Abdul Aziz ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Hassan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Quraysh ne jo Hayyan ke bete hain , ne byaan kiya , un se Thabit ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan ki ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Abu Sayf lohaar ke yahan gaye . Yeh Ibrahim (Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saahibzade razi Allahu anhu) ko doodh pehlane wali ana ke khawand thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ibrahim razi Allahu anhu ko god mein liya aur pyar kiya aur soongha . Phir is ke baad hum un ke yahan phir gaye . Dekha ke is waqt Ibrahim razi Allahu anhu dam tor rahe hain . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki aankhein aansuon se bhar aayin . To Abdur Rahman bin Awf razi Allahu anhu bol pare ke ya Rasool Allah! aur Aap bhi logon ki tarah be-sabri karne lage ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ‘ Ibn Awf! yeh be-sabri nahin yeh to rahmat hai . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam dobara roye aur farmaya . Aankhon se aansu jaari hain aur dil gham se nidhaal hai par zaban se hum kahein ge wahi jo hamare Parvardigar ko pasand hai aur ae Ibrahim! hum tumhari judayi se ghamgeen hain . Isi hadees ko Musa bin Ismail ne Sulayman bin Mughira se ‘ un se Thabit ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْبُكَاءِ عِنْدَ الْمَرِيضِ:
Bab: Mareez ke paas rona kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1304
حدثنا اصبغ، عن ابن وهب , قال: اخبرني عمرو، عن سعيد بن الحارث الانصاري، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , قال:" اشتكى سعد بن عبادة شكوى له فاتاه النبي صلى الله عليه وسلم يعوده مع عبد الرحمن بن عوف، وسعد بن ابي وقاص، وعبد الله بن مسعود رضي الله عنهم، فلما دخل عليه فوجده في غاشية اهله , فقال: قد قضى؟ , قالوا: لا يا رسول الله، فبكى النبي صلى الله عليه وسلم، فلما راى القوم بكاء النبي صلى الله عليه وسلم بكوا , فقال: الا تسمعون إن الله لا يعذب بدمع العين ولا بحزن القلب ولكن يعذب بهذا واشار إلى لسانه او يرحم، وإن الميت يعذب ببكاء اهله عليه، وكان عمر رضي الله عنه يضرب فيه بالعصا ويرمي بالحجارة ويحثي بالتراب".
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya ‘ un se Abdullah bin Wahb ne kaha ke mujhe khabar di Amr bin Harith ne ‘ unhein Saeed bin Harith Ansari ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Saad bin Ubadah razi Allahu anhu kisi marz mein mubtala huay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam iyadat ke liye Abdur Rahman bin Awf ‘ Saad bin Abi Waqqas aur Abdullah bin Masood razi Allahu anhum ke saath un ke yahan tashreef le gaye . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam andar gaye to teamar daron ke hujoom mein unhein paya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke kya wafat ho gayi ? Logon ne kaha nahin ya Rasool Allah! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (un ke marz ki shiddat ko dekh kar) ro pare . Logon ne jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko rote huay dekha to woh sab bhi rone lage . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke suno! Allah Ta'ala aankhon se aansu nikalne par bhi azab nahin kare ga aur na dil ke gham par . Han is ka azab is ki wajah se hota hai ‘ Aap salla Allahu alaihi wasallam ne zaban ki taraf ishaara kiya (aur agar is zaban se achhi baat nikle to) yeh is ki rahmat ka bhi baais banti hai aur mayyat ko is ke ghar walon ke nuha o maatam ki wajah se bhi azab hota hai . Umar razi Allahu anhu mayyat par maatam karne par dande se maarte ‘ patthar phainkte aur rone walon ke munh mein mitti jhoonk dete .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُنْهَى عَنِ النَّوْحِ وَالْبُكَاءِ وَالزَّجْرِ عَنْ ذَلِكَ:
Bab: Kis tarah ke nauha-o-buka se mana’ karna aur us par jhirkna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 1305
حدثنا محمد بن عبد الله بن حوشب، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا يحيى بن سعيد , قال: اخبرتني عمرة قالت: سمعت عائشة رضي الله عنها , تقول: لما جاء قتل زيد بن حارثة، وجعفر وعبد الله بن رواحة جلس النبي صلى الله عليه وسلم يعرف فيه الحزن، وانا اطلع من شق الباب فاتاه رجل , فقال: يا رسول الله إن نساء جعفر وذكر بكاءهن , فامره بان ينهاهن , فذهب الرجل ثم اتى , فقال: قد نهيتهن وذكر انهن لم يطعنه , فامره الثانية ان ينهاهن , فذهب ثم اتى , فقال: والله لقد غلبنني او غلبننا الشك من محمد بن عبد الله بن حوشب، فزعمت ان النبي صلى الله عليه وسلم , قال: فاحث في افواههن التراب , فقلت: ارغم الله انفك فوالله ما انت بفاعل وما تركت رسول الله صلى الله عليه وسلم من العناء".
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Haushab ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abdul Wahhab Saqafi ne ‘ un se Yahya bin Saeed Ansari ne , kaha ke mujhe Umrah bint Abdur Rahman Ansari ne khabar di , unhon ne byaan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se suna , Aap ne farmaya ke jab Zayd bin Harithah ‘ Jafar bin Abi Talib aur Abdullah bin Rawahah razi Allahu anhum ki shahadat ki khabar aayi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is tarah baithe ke gham ke aasaar Aap salla Allahu alaihi wasallam ke chehre par numayan thay main darwaze ke ek surakh se Aap salla Allahu alaihi wasallam ko dekh rahi thi . Itne mein ek saahib aaye aur kaha ke ya Rasool Allah! Jafar ke ghar ki auratein nuha aur maatam kar rahi hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne rokne ke liye kaha . Woh saahib gaye lekin phir wapas aa gaye aur kaha ke woh nahin maantein . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dobara rokne ke liye bheja . Woh gaye aur phir wapas chale aaye . Kaha ke bakhuda woh to mujh par ghalib aa gayi hain ya yeh kaha ke hum par ghalib aa gayi hain . Shak Muhammad bin Haushab ko tha . (Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke) mera yaqeen yeh hai ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir un ke munh mein mitti jhoonk de . Is par meri zaban se nikla ke Allah teri naak khaak aalooda kare tu na to woh kaam kar saka jis ka Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hukm diya tha aur na Aap salla Allahu alaihi wasallam ko takleef dena chhor-ta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1306
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ايوب، عن محمد، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت:" اخذ علينا النبي صلى الله عليه وسلم عند البيعة ان لا ننوح فما وفت منا امراة غير خمس نسوة ام سليم وام العلاء وابنة ابي سبرة امراة معاذ وامراتين او ابنة ابي سبرة وامراة معاذ وامراة اخرى".
Hum se Abdullah bin Abdul Wahhab ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya ‘ un se Ayub Sakhtiyani ne ‘ un se Muhammad ne aur un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne baiyat lete waqt hum se yeh ehad bhi liya tha ke hum (mayyat par) nuha nahin karein gi . Lekin is iqrar ko paanch auraton ke siwa aur kisi ne poora nahin kiya . Yeh auratein Umm Sulaym ‘ Umm Ala ‘ Abu Sabrah ki saahibzadi jo Ma'az ke ghar mein thin aur is ke alawa do auratein ya (yeh kaha ke) Abu Sabrah ki saahibzadi , Ma'az ki biwi aur ek doosri khatoon (razi Allahu anhun) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِيَامِ لِلْجَنَازَةِ:
Bab: Janaza dekh kar khare ho jana.
Show diacritics
Hadith Number: 1307
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، عن سالم، عن ابيه، عن عامر بن ربيعة، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا رايتم الجنازة فقوموا حتى تخلفكم"، قال سفيان: قال الزهري: اخبرني سالم، عن ابيه , قال: اخبرنا عامر بن ربيعة، عن النبي صلى الله عليه وسلم , زاد الحميدي حتى تخلفكم او توضع.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ‘ kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ‘ un se Zuhri ne ‘ un se Salim ne ‘ un se un ke baap Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ‘ un se عامر bin Rabeeah razi Allahu anhu ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum janaza dekho to kharay ho jao aur kharay raho yahan tak ke janaza tum se aage nikal jaye . Sufyan ne byaan kiya ‘ un se Zuhri ne byaan kiya ke mujhe Salim ne apne baap Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di . Aap ne farmaya ke humein عامر bin Rabeeah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se khabar di thi . Humaydi ne yeh ziyaadati ki hai . ”Yahan tak ke janaza aage nikal jaye ya rakkha diya jaye .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَتَى يَقْعُدُ إِذَا قَامَ لِلْجَنَازَةِ:
Bab: Agar koi janaza dekh kar khara ho jaye to usay kab baithna chahiye?
Show diacritics
Hadith Number: 1308
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن عامر بن ربيعة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا راى احدكم جنازة فإن لم يكن ماشيا معها، فليقم حتى يخلفها او تخلفه او توضع من قبل ان تخلفه".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Layth bin Saad ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne عامر bin Rabeeah razi Allahu anhu ke hawala se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se koi janaza dekhe to agar is ke saath nahin chal raha hai to khara hi ho jaye ta-aanke janaza aage nikal jaye ya aage jaane ki bajaye khud janaza rakh diya jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ تَبِعَ جَنَازَةً فَلاَ يَقْعُدُ حَتَّى تُوضَعَ عَنْ مَنَاكِبِ الرِّجَالِ، فَإِنْ قَعَدَ أُمِرَ بِالْقِيَامِ:
Bab: Jo shakhs janaze ke sath ho woh us waqt tak na baithe jab tak janaza logon ke kandhon se utaar kar zameen par na rakh diya jaye aur agar pehle baith jaye to us se khara hone ke liye kaha jaye.
Show diacritics
Hadith Number: 1309
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابيه , قال:" كنا في جنازة فاخذ ابو هريرة رضي الله عنه بيد مروان، فجلسا قبل ان توضع فجاء ابو سعيد رضي الله عنه فاخذ بيد مروان , فقال: قم فوالله لقد علم هذا ان النبي صلى الله عليه وسلم نهانا عن ذلك" , فقال ابو هريرة: صدق.
Hum se Ahmad bin Yunus ne byaan kiya ‘ un se Ibn Abi Zi'b ne ‘ un se Saeed Maqburi ne aur un se un ke waalid ne ke hum ek janaza mein shareek thay ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Marwan ka haath pakra aur yeh donon saahib janaza rakkhe jaane se pehle baith gaye . Itne mein Abu Saeed razi Allahu anhu tashreef laaye aur Marwan ka haath pakar kar farmaya ke utho! Allah ki qasam! yeh (Abu Hurairah razi Allahu anhu) jaante hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne humein is se mana farmaya hai . Abu Hurairah razi Allahu anhu bole ke Abu Saeed razi Allahu anhu ne sach kaha hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1310
حدثنا مسلم يعني ابن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا رايتم الجنازة فقوموا، فمن تبعها فلا يقعد حتى توضع".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Hisham Dastuwai ne byaan kiya ‘ un se Yahya bin Abi Kaseer ne , un se Abu Salamah aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum log janaza dekho to kharay ho jao aur jo shakhs janaza ke saath chal raha ho woh is waqt tak na baithe jab tak janaza rakh na diya jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ قَامَ لِجَنَازَةِ يَهُودِيٍّ:
Bab: Is shakhs ke bare mein jo yahoodi ka janaza dekh kar khara ho gaya.
Show diacritics
Hadith Number: 1311
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن عبيد الله بن مقسم، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , قال:" مر بنا جنازة، فقام لها النبي صلى الله عليه وسلم وقمنا به، فقلنا: يا رسول الله إنها جنازة يهودي، قال: إذا رايتم الجنازة فقوموا".
Hum se Ma'az bin Fadalah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Hisham ne byaan kiya ‘ un se Yahya bin Abi Kaseer ne byaan kiya , un se Ubaydullah bin Miqsam ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke hamare saamne se ek janaza guzra to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kharay ho gaye aur hum bhi kharay ho gaye . Phir hum ne kaha ke ya Rasool Allah! yeh to Yahudi ka janaza tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum log janaza dekho to kharay ho jaya karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1312
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عمرو بن مرة , قال: سمعت عبد الرحمن بن ابي ليلى , قال: كان سهل بن حنيف، وقيس بن سعد قاعدين بالقادسية فمروا عليهما بجنازة فقاما، فقيل لهما: إنها من اهل الارض اي من اهل الذمة، فقالا:" إن النبي صلى الله عليه وسلم مرت به جنازة فقام , فقيل له: إنها جنازة يهودي، فقال: اليست نفسا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Amr bin Murrah ne byaan kiya ke main ne Abdur Rahman bin Abi Layla se suna . Unhon ne kaha ke Sahl bin Hunayf aur Qays bin Saad razi Allahu anhuma Qadisiya mein kisi jagah baithe huay thay . Itne mein kuch log idhar se ek janaza le kar guzre to yeh donon buzurg kharay ho gaye . Arz kiya gaya ke janaza to zimmiyon ka hai (jo kafir hain) is par unhon ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas se isi tarah se ek janaza guzra tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam is ke liye kharay ho gaye . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya ke yeh to Yahudi ka janaza tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya Yahudi ki jaan nahin hai ?


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة