الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْكَفَنِ فِي الْقَمِيصِ الَّذِي يُكَفُّ أَوْ لاَ يُكَفُّ، وَمَنْ كُفِّنَ بِغَيْرِ قَمِيصٍ:
Bab: Qamees mein kafan dena aur us ka hashiya sila hua ho ya baghair silay hua ho aur baghair qamees ke kafan dena.
Hadith Number: 1269
حدثنا مسدد , قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله , قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان عبد الله بن ابي لما توفي جاء ابنه إلى النبي صلى الله عليه وسلم , فقال:" يا رسول الله اعطني قميصك اكفنه فيه وصل عليه واستغفر له، فاعطاه النبي صلى الله عليه وسلم قميصه , فقال: آذني اصلي عليه فآذنه، فلما اراد ان يصلي عليه جذبه عمر رضي الله عنه , فقال: اليس الله نهاك ان تصلي على المنافقين، فقال: انا بين خيرتين، قال الله تعالى: استغفر لهم او لا تستغفر لهم إن تستغفر لهم سبعين مرة فلن يغفر الله لهم سورة التوبة آية 80 , فصلى عليه , فنزلت: ولا تصل على احد منهم مات ابدا سورة التوبة آية 84".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ubaydullah Umari ne kaha ke mujh se Nafi ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se byaan kiya ke jab Abdullah bin Ubayy (munafiq) ki maut hui to is ka beta (Abdullah sahabi) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aaya aur arz ki ke ya Rasool Allah! waalid ke kafan ke liye Aap apni qamees inayat farmaiye aur un par namaaz parhiye aur maghfirat ki dua kijiye . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apni qamees (ghayat-e-muruwat ki wajah se) inayat ki aur farmaya ke mujhe batana main namaaz-e-janaza parhoon ga . Abdullah ne itla bhijwayi . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz parhane ke liye aage barhay to Umar razi Allahu anhu ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko peeche se pakar liya aur arz kiya ke kya Allah Ta'ala ne Aap ko munafiqeen ki namaaz-e-janaza parhne se mana nahin kiya hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe ikhtiyar diya gaya hai jaisa ke irshad-e-Baari hai ”to un ke liye istighfar kar ya na kar aur agar tu sattar martaba bhi istighfar kare to bhi Allah unhein hargiz maaf nahin kare ga“ chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz parhayi . Is ke baad yeh aayat utri ”kisi bhi munafiq ki maut par is ki namaaz-e-janaza kabhi na parhana“ .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1270
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا ابن عيينة، عن عمرو، سمع جابرا رضي الله عنه , قال:" اتى النبي صلى الله عليه وسلم عبد الله بن ابي بعد ما دفن، فاخرجه فنفث فيه من ريقه والبسه قميصه".
Hum se Malik bin Ismail ne byaan kiya , un se Ibn Uyaynah ne byaan kiya , un se Amr ne , unhon ne Jabir razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye to Abdullah bin Ubayy ko dafan kiya ja raha tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ise qabr se nikalwaya aur apna luaab-e-dahan is ke munh mein dala aur apni qamees pehnayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْكَفَنِ بِغَيْرِ قَمِيصٍ:
Bab: Baghair qamees ke kafan dena.
Hadith Number: 1271
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن هشام، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" كفن النبي صلى الله عليه وسلم في ثلاثة اثواب سحول كرسف ليس فيها قميص ولا عمامة".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya ‘ un se Hisham bin Urwah ne ‘ un se Urwah bin Zubayr ne ‘ un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko teen soti dhulay huay kapron ka kafan diya gaya tha Aap salla Allahu alaihi wasallam ke kafan mein na qamees thi aur na amama .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1272
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن هشام، حدثني ابي، عن عائشة رضي الله عنها،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كفن في ثلاثة اثواب ليس فيها قميص ولا عمامة".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , un se Yahya ne un se Hisham ne un se un ke baap Urwah bin Zubayr ne un se Umm al-Mumineen Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko teen kapron mein kafan diya gaya tha jin mein na qamees thi aur na amama tha . Imam Abu Abdullah Bukhari rahimahullah farmate hain ke Abu Naeem ne lafz «thalathah» nahin kaha aur Abdullah bin Waleed ne Sufyan se lafz «thalathah» naqal kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْكَفَنِ وَلاَ عِمَامَةٌ:
Bab: Umamah ke baghair kafan dene ka bayan.
Hadith Number: 1273
حدثنا إسماعيل , قال: حدثني مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كفن في ثلاثة اثواب بيض سحولية ليس فيها قميص ولا عمامة".
Hum se Ismail ne byaan kiya kaha ke mujh se Malik ne byaan kiya ‘ un se Hisham bin Urwah ne ‘ un se un ke baap Urwah bin Zubayr ne ‘ un se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Suhool ke teen safaid kapron ka kafan diya gaya tha na un mein qamees thi aur na amama tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْكَفَنِ مِنْ جَمِيعِ الْمَالِ:
Bab: Kafan ki tayyari mayyit ke saare maal mein se karna chahiye.
Hadith Number: Q1274
وبه قال عطاء والزهري وعمرو بن دينار وقتادة وقال عمرو بن دينار الحنوط من جميع المال وقال إبراهيم يبدا بالكفن ثم بالدين ثم بالوصية وقال سفيان اجر القبر , والغسل هو من الكفن.
Aur Ata aur Zuhri aur Amr bin Dinar aur Qatadah razi Allahu anhu ka yehi qaul hai . Aur Amr bin Dinar ne kaha khushbudar ka kharch bhi saare maal se kiya jaye . Aur Ibrahim Nakhai ne kaha pehle maal mein se kafan ki tayyari karein ‘ phir qarz ada karein . Phir wasiyat poori karein aur Sufyan Thauri ne kaha qabr aur ghassal ki ujrat bhi kafan mein dakhil hai .
Hadith Number: 1274
حدثنا احمد بن محمد المكي، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن سعد، عن ابيه , قال:" اتي عبد الرحمن بن عوف رضي الله عنه يوما بطعامه , فقال: قتل مصعب بن عمير وكان خيرا مني فلم يوجد له ما يكفن فيه إلا بردة، وقتل حمزة او رجل آخر خير مني فلم يوجد له ما يكفن فيه إلا بردة، لقد خشيت ان يكون قد عجلت لنا طيباتنا في حياتنا الدنيا، ثم جعل يبكي".
Hum se Ahmad bin Muhammad Makki ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Ibrahim bin Saad ne ‘ un se un ke baap Saad ne aur un se un ke waalid Ibrahim bin Abdur Rahman ne byaan kiya ke Abdur Rahman bin Awf razi Allahu anhu ke saamne ek din khana rakkha gaya to unhon ne farmaya ke Musab bin Umair razi Allahu anhu (Ghazwa-e-Uhud mein) shaheed huay ‘ woh mujh se afzal thay . Lekin un ke kafan ke liye ek chadar ke siwa aur koi cheez muhayya na ho saki . Isi tarah jab Hamza razi Allahu anhu shaheed huay ya kisi doosre sahabi ka naam liya ‘ woh bhi mujh se afzal thay . Lekin un ke kafan ke liye bhi sirf ek hi chadar mil saki . Mujhe to dar lagta hai ke kahin aisa na ho ke hamare chain aur aaram ke saman hum ko jaldi se dunya hi mein de diye gaye hon phir woh rone lage .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَمْ يُوجَدْ إِلاَّ ثَوْبٌ وَاحِدٌ:
Bab: Agar mayyit ke paas ek hi kapra nikle.
Hadith Number: 1275
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، عن ابيه إبراهيم،" ان عبد الرحمن بن عوف رضي الله عنه اتي بطعام وكان صائما , فقال: قتل مصعب بن عمير وهو خير مني كفن في بردة إن غطي راسه بدت رجلاه وإن غطي رجلاه بدا راسه، واراه قال: وقتل حمزة وهو خير مني ثم بسط لنا من الدنيا ما بسط او , قال: اعطينا من الدنيا ما اعطينا وقد خشينا ان تكون حسناتنا عجلت لنا، ثم جعل يبكي حتى ترك الطعام".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya ‘ kaha ke hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ kaha ke hum ko Shubah ne khabar di ‘ unhein Saad bin Ibrahim ne ‘ unhein un ke baap Ibrahim bin Abdur Rahman ne ke Abdur Rahman bin Awf razi Allahu anhu ke saamne khana hazir kiya gaya . Woh roza se thay is waqt unhon ne farmaya ke haye! Musab bin Umair razi Allahu anhu shaheed kiye gaye ‘ woh mujh se behtar thay . Lekin un ke kafan ke liye sirf ek chadar muyassar aa saki ke agar is se un ka sar dhaanka jata to paon khul jaate aur paon dhaanke jaate to sar khul jata aur main samajhta hoon ke unhon ne yeh bhi farmaya aur Hamza razi Allahu anhu bhi (isi tarah) shaheed huay woh bhi mujh se achhe thay . Phir un ke baad dunya ki kushadagi hamare liye khoob hui ya yeh farmaya ke dunya humein bohat di gayi aur humein to is ka dar lagta hai ke kahin aisa na ho ke hamari nekiyon ka badla isi dunya mein hum ko mil gaya ho phir Aap is tarah rone lage ke khana bhi chhor diya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَمْ يَجِدْ كَفَنًا إِلاَّ مَا يُوَارِي رَأْسَهُ أَوْ قَدَمَيْهِ غَطَّى رَأْسَهُ:
Bab: Jab kafan ka kapra chhota ho ke sar aur paaon dono na dhak saken to sar chhupa den (aur paaon par ghaas waghera daal den).
Hadith Number: 1276
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، حدثنا خباب رضي الله عنه , قال:" هاجرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم نلتمس وجه الله فوقع اجرنا على الله، فمنا من مات لم ياكل من اجره شيئا منهم مصعب بن عمير، ومنا من اينعت له ثمرته فهو يهدبها قتل يوم احد فلم نجد ما نكفنه إلا بردة إذا غطينا بها راسه خرجت رجلاه وإذا غطينا رجليه خرج راسه , فامرنا النبي صلى الله عليه وسلم اننغطي راسه، وان نجعل على رجليه من الإذخر".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se mere waalid ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Amash ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shaqiq ne byaan kiya ‘ kaha hum se Khabbab bin Arat razi Allahu anhu ne byaan kiya ‘ ke hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath sirf Allah ke liye hijrat ki . Ab humein Allah Ta'ala se ajr milna hi tha . Hamare baaz sathi to intiqal kar gaye aur (is dunya mein) unhon ne apne kiye ka koi phal nahin dekha . Musab bin Umair razi Allahu anhu bhi unhein logon mein se thay aur hamare baaz sathiyon ka mewa pak gaya aur woh chun chun kar khata hai . (Musab bin Umair razi Allahu anhu) Uhud ki larayi mein shaheed huay hum ko un ke kafan mein ek chadar ke siwa aur koi cheez na mili aur woh bhi aisi ke agar is se sar chhupate hain to paon khul jata hai aur agar paon dhakte to sar khul jata . Aakhir yeh dekh kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke sar ko chhupa dein aur paon par sabz ghaas izkhir nami daal dein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اسْتَعَدَّ الْكَفَنَ فِي زَمَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَلَمْ يُنْكَرْ عَلَيْهِ:
Bab: Un ke bayan mein jinhon ne Nabi Kareem ﷺ ke zamane mein apna kafan khud hi tayyar rakha aur Aap ﷺ ne is par kisi tarah ka aitraaz nahi farmaya.
Hadith Number: 1277
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل رضي الله عنه،" ان امراة جاءت النبي صلى الله عليه وسلم ببردة منسوجة فيها حاشيتها، اتدرون ما البردة؟ , قالوا: الشملة، قال: نعم، قالت: نسجتها بيدي فجئت لاكسوكها، فاخذها النبي صلى الله عليه وسلم محتاجا إليها، فخرج إلينا وإنها إزاره فحسنها فلان , فقال: اكسنيها ما احسنها؟ , قال: القوم ما احسنت لبسها النبي صلى الله عليه وسلم محتاجا إليها، ثم سالته وعلمت انه لا يرد، قال: إني والله ما سالته لالبسه إنما سالته لتكون كفني؟" , قال سهل: فكانت كفنه.
Hum se Abdullah bin Maslamah al-Qanabi ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdul Aziz bin Abi Hazim ne byaan kiya ‘ un se un ke baap ne aur un se Sahl razi Allahu anhu ne ke ek aurat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein ek bani hui hashiya daar chadar Aap salla Allahu alaihi wasallam ke liye tohfa laayi . Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne (hazirin se) poocha ke tum jaante ho chadar kya ? Logon ne kaha ke jee han! shimlah . Sahl razi Allahu anhu ne kaha han shimlah (tum ne theek bataya) khair is aurat ne kaha ke main ne apne haath se ise buna hai aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ko pehnane ke liye laayi hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne woh kapra qabool kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ko is ki is waqt zaroorat bhi thi phir ise izaar ke taur par baandh kar Aap salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laaye to ek saahib (Abdur Rahman bin Awf razi Allahu anhu) ne kaha ke yeh to bari achhi chadar hai ‘ yeh Aap salla Allahu alaihi wasallam mujhe pehna dijiye . Logon ne kaha ke Aap ne (maang kar) kuch achha nahin kiya . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ise apni zaroorat ki wajah se pehna tha aur tum ne yeh maang liya halanke tum ko maloom hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi ka sawal radd nahin karte . Abdur Rahman bin Awf razi Allahu anhu ne jawab diya ke Allah ki qasam! main ne apne pehnne ke liye Aap salla Allahu alaihi wasallam se yeh chadar nahin maangi thi . Balkay main ise apna kafan banaoon ga . Sahl razi Allahu anhu ne byaan kiya ke wahi chadar un ka kafan bani .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة