الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الرَّجُلِ يَنْعَى إِلَى أَهْلِ الْمَيِّتِ بِنَفْسِهِ:
Bab: Aadmi apni zaat se maut ki khabar mayyit ke warisoon ko suna sakta hai.
Hadith Number: 1245
حدثنا إسماعيل , قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نعى النجاشي في اليوم الذي مات فيه خرج إلى المصلى فصف بهم وكبر اربعا".
Hum se Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Malik ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Saeed bin Musayyib ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Najashi ki wafat ki khabar isi din di jis din us ki wafat hui thi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz parhne ki jagah gaye . Aur logon ke saath saff baandh kar (janaza ki namaaz mein) chaar takbirain kahein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1246
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا ايوب، عن حميد بن هلال، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اخذ الراية زيد فاصيب، ثم اخذها جعفر فاصيب، ثم اخذها عبد الله بن رواحة فاصيب، وإن عيني رسول الله صلى الله عليه وسلم لتذرفان، ثم اخذها خالد بن الوليد من غير إمرة ففتح له".
Hum se Abu Mamar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Warith ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Humayd bin Bilal ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Zayd ne jhanda sanbhala lekin woh shaheed ho gaye . Phir Jafar ne sanbhala aur woh bhi shaheed ho gaye . Phir Abdullah bin Rawahah ne sanbhala aur woh bhi shaheed ho gaye . Is waqt Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki aankhon mein aansu beh rahe thay . (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya) aur phir Khalid bin Waleed ne khud apne taur par jhanda utha liya aur un ko fatah haasil hui .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِذْنِ بِالْجَنَازَةِ:
Bab: Janaza tayyar ho to logon ko khabar dena.
Hadith Number: Q1247
وقال ابو رافع عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم: الا آذنتموني.
Aur Abu Rafi ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se riwayat kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum logon ne mujhe khabar kyon na di .
Hadith Number: 1247
حدثنا محمد، اخبرنا ابو معاوية، عن ابي إسحاق الشيباني، عن الشعبي، عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" مات إنسان كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعوده فمات بالليل فدفنوه ليلا، فلما اصبح اخبروه , فقال: ما منعكم ان تعلموني؟، قالوا: كان الليل فكرهنا وكانت ظلمة ان نشق عليك فاتى قبره فصلى عليه".
Hum se Muhammad bin Salam Baikandi ne byaan kiya , unhein Abu Muawiya ne khabar di , unhein Abu Ishaq Shaybani ne , unhein Shabi ne , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya ke ek shakhs ki wafat ho gayi . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam us ki iyadat ko jaya karte thay . Kyonke un ka intiqal raat mein hua tha is liye raat hi mein logon ne unhein dafan kar diya aur jab subah hui to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko khabar di , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (ke janaza tayyar hote waqt) mujhe batane mein (kya) rukawat thi ? Logon ne kaha ke raat thi aur andhera bhi tha . Is liye hum ne munasib nahin samjha ke kahin Aap ko takleef ho . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam us ki qabr par tashreef laaye aur namaaz parhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ مَنْ مَاتَ لَهُ وَلَدٌ فَاحْتَسَبَ، وَقَالَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ: {وَبَشِّرِ الصَّابِرِينَ}:
Bab: Is shakhs ki fazilat jis ki koi aulaad mar jaye aur woh ajr ki niyyat se sabr kare.
Hadith Number: Q1248
وقال الله عز وجل: وبشر الصابرين سورة البقرة آية 155.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Baqarah mein) farmaya hai ke sabr karne walon ko khushkhabri suna .
Hadith Number: 1248
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز، عن انس رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ما من الناس من مسلم يتوفى له ثلاث لم يبلغوا الحنث إلا ادخله الله الجنة بفضل رحمته إياهم".
Hum se Abu Mamar ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Warith ne , un se Abdul Aziz ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi Musalman ke agar teen bache mar jayein jo bulughat ko na pahunche hon to Allah Ta'ala is rahmat ke natije mein jo in bachon se woh rakhta hai Musalman (bache ke baap aur maan) ko bhi Jannat mein dakhil kare ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1249
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الرحمن بن الاصبهاني، عن ذكوان، عن ابي سعيد رضي الله عنه،" ان النساء قلن للنبي صلى الله عليه وسلم: اجعل لنا يوما، فوعظهن , وقال: ايما امراة مات لها ثلاثة من الولد كانوا حجابا من النار , قالت امراة: واثنان، قال: واثنان".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne , un se Abdur Rahman bin Abdullah Isbahani ne , un se Zakwan ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke auraton ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se darkhwast ki ke humein bhi nasihat karne ke liye Aap ek din khaas farma dijiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (un ki darkhwast manzoor farmate huay ek khaas din mein) un ko waaz farmaya aur batlaya ke jis aurat ke teen bache mar jayein to woh is ke liye Jahannam se panah ban jaate hain . Is par ek aurat ne poocha: ya Rasool Allah! agar kisi ke do hi bache marein ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke do bachon par bhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1250
وقال شريك: عن ابن الاصبهاني، حدثني ابو صالح، عن ابي سعيد، وابي هريرة رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال ابو هريرة: لم يبلغوا الحنث.
Sharik ne Ibn Isbahani ne byaan kiya ke un se Abu Salih ne byaan kiya aur un se Abu Saeed aur Abu Hurairah razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne yeh bhi kaha ke woh bache murad hain jo abhi bulughat ko na pahunche hon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1251
حدثنا علي، حدثنا سفيان , قال: سمعت الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا يموت لمسلم ثلاثة من الولد فيلج النار إلا تحلة القسم"، قال ابو عبد الله: وإن منكم إلا واردها.
Hum se Ali ne byaan kiya , un se Sufyan ne , unhon ne kaha ke main ne Zuhri se suna , unhon ne Saeed bin Musayyib se suna aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi ke agar teen bache mar jayein to woh Dozakh mein nahin jaye ga aur agar jaye ga bhi to sirf qasam poori karne ke liye . Abu Abdullah Imam Bukhari rahimahullah farmate hain . (Quran ki aayat yeh hai) tum mein se har ek ko Dozakh ke oopar se guzarna ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ لِلْمَرْأَةِ عِنْدَ الْقَبْرِ اصْبِرِي:
Bab: Kisi mard ka kisi aurat se qabr ke paas ye kehna ke sabr kar.
Hadith Number: 1252
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا ثابت، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال:" مر النبي صلى الله عليه وسلم بامراة عند قبر وهي تبكي , فقال: اتقي الله واصبري".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Thabit ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek aurat ke paas se guzre jo ek qabr par baithi hui ro rahi thi , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne us se farmaya ke Allah se dar aur sabr kar .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة