الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ نَقْضِ شَعَرِ الْمَرْأَةِ:
Bab: Mayyit aurat ho to ghusl ke waqt us ke baal kholna.
Hadith Number: 1260
حدثنا احمد، حدثنا عبد الله بن وهب، اخبرنا ابن جريج، قال ايوب: وسمعت حفصة بنت سيرين , قالت: حدثتنا ام عطية رضي الله عنها" انهن جعلن راس بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم ثلاثة قرون نقضنه، ثم غسلنه، ثم جعلنه ثلاثة قرون".
Hum se Ahmad bin Salih ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya unhein Ibn Jurayj ne khabar di , un se Ayub ne byaan kiya ke main ne Hafsa bint Sirin se suna , unhon ne kaha ke Umm Atiya razi Allahu anha ne hum se byaan kiya ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki saahibzadi ke baalon ko teen latton mein taqseem kar diya tha . Pehle baal khole gaye phir unhein dho kar un ki teen chotiyaan kar di gayein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَيْفَ الإِشْعَارُ لِلْمَيِّتِ:
Bab: Mayyit par kapra kyun kar lapetna chahiye.
Hadith Number: Q1261
وقال الحسن: الخرقة الخامسة تشد بها الفخذين والوركين تحت الدرع.
Aur Hasan Basri rahimahullah ne farmaya ke aurat ke liye ek paanchwan kapra chahiye jis se qamees ke talle raanein aur sureen baandhi jaye .
Hadith Number: 1261
حدثنا احمد، حدثنا عبد الله بن وهب، اخبرنا ابن جريج، ان ايوب اخبره , قال: سمعت ابن سيرين , يقول: جاءت ام عطية رضي الله عنها امراة من الانصار من اللاتي بايعن قدمت البصرة تبادر ابنا لها فلم تدركه، فحدثتنا , قالت:" دخل علينا النبي صلى الله عليه وسلم , ونحن نغسل ابنته , فقال: اغسلنها ثلاثا , او خمسا , او اكثر من ذلك إن رايتن ذلك بماء , وسدر , واجعلن في الآخرة كافورا، فإذا فرغتن فآذنني , قالت: فلما فرغنا القى إلينا حقوه , فقال: اشعرنها إياه"، ولم يزد على ذلك ولا ادري اي بناته، وزعم ان الإشعار الففنها فيه، وكذلك كان ابن سيرين يامر بالمراة ان تشعر ولا تؤزر.
Hum se Ahmad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , unhein Ayub ne khabar di , kaha ke main ne Ibn Sirin se suna , unhon ne kaha ke Umm Atiya razi Allahu anha ke yahan Ansar ki in khawateen mein se jinhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se baiyat ki thi , ek aurat aayi , Basra mein unhein apne ek bete ki talash thi . Lekin woh na mila . Phir us ne hum se yeh hadees byaan ki ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki saahibzadi ko ghusl de rahi thin ke Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye aur farmaya ke teen ya paanch martaba ghusl de do aur agar munasib samjho to is se bhi zyada de sakti ho . Ghusl paani aur beri ke patton se hona chahiye aur aakhir mein kafoor bhi istemal kar lena . Ghusl se farigh ho kar mujhe khabar kara dena . Unhon ne byaan kiya ke jab hum ghusl de chakein (to itla di) aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne izaar inayat kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ise andar badan se lapait do . Is se zyada Aap salla Allahu alaihi wasallam ne kuch nahin farmaya . Mujhe yeh nahin maloom ke yeh Aap salla Allahu alaihi wasallam ki kaun si beti thin (yeh Ayub ne kaha) aur unhon ne bataya ke «ish-aar» ka matlab yeh hai ke is mein naash lapait di jaye . Ibn Sirin rahimahullah bhi yehi farmaya karte thay ke aurat ke badan par ise lapaita jaye izaar ke taur par na baandha jaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يُجْعَلُ شَعَرُ الْمَرْأَةِ ثَلاَثَةَ قُرُونٍ:
Bab: Is bayan mein ke kya aurat mayyit ke baal teen laton mein taqseem kar diye jayen?
Hadith Number: 1262
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ام الهذيل، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت:" ضفرنا شعر بنت النبي صلى الله عليه وسلم , تعني ثلاثة قرون"، وقال وكيع: قال سفيان: ناصيتها وقرنيها.
Hum se Qubaysah ne hadees byaan ki , un se Sufyan ne byaan kiya , un se Hisham ne , un se Umm Huzayl ne aur un se Umm Atiya ne , unhon ne kaha ke hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki beti ke sar ke baal goondh kar un ki teen chotiyaan kar dein aur Wakee ne Sufyan se yoon riwayat kiya , ek peshani ki taraf ke baalon ki chotiya aur do idhar udhar ke baalon ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يُلْقَى شَعَرُ الْمَرْأَةِ خَلْفَهَا:
Bab: Aurat ke baalon ki teen laten bana kar us ke peechhe daal di jayen.
Hadith Number: 1263
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد، عن هشام بن حسان , قال: حدثتنا حفصة، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت:" توفيت إحدى بنات النبي صلى الله عليه وسلم، فاتانا النبي صلى الله عليه وسلم , فقال: اغسلنها بالسدر وترا ثلاثا او خمسا او اكثر من ذلك إن رايتن ذلك واجعلن في الآخرة كافورا او شيئا من كافور، فإذا فرغتن فآذنني، فلما فرغنا آذناه فالقى إلينا حقوه فضفرنا شعرها ثلاثة قرون والقيناها خلفها".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan ne byaan kiya , kaha ke hum se Hafsa ne byaan kiya , un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki ek saahibzadi ka intiqal ho gaya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye aur farmaya ke in ko paani aur beri ke patton se teen ya paanch martaba ghusl de do . Agar tum munasib samjho to is se zyada bhi de sakti ho aur aakhir mein kafoor ya (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya ke) thori si kafoor istemal karo phir jab ghusl de chako to mujhe khabar do . Chunanche farigh ho kar hum ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko khabar di to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne (un ke kafan ke liye) apna izaar inayat kiya . Hum ne is ke sar ke baalon ki teen chotiyaan kar ke unhein peeche ki taraf daal diya tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الثِّيَابِ الْبِيضِ لِلْكَفَنِ:
Bab: Is bare mein ke kafan ke liye safed kapre hone munasib hain.
Hadith Number: 1264
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله بن المبارك، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كفن في ثلاثة اثواب يمانية بيض سحولية من كرسف ليس فيهن قميص ولا عمامة".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum ko Abdullah ne khabar di , unhon ne kaha ke humein Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein un ke baap Urwah bin Zubayr ne aur unhein (un ki khala) Umm al-Mumineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Yemen ke teen safaid soti dhulay huay kapron mein kafan diya gaya un mein na qamees thi na amama .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْكَفَنِ فِي ثَوْبَيْنِ:
Bab: Do kapron mein kafan dena.
Hadith Number: 1265
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهم , قال:" بينما رجل واقف بعرفة إذ وقع عن راحلته فوقصته او قال: فاوقصته، قال النبي صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء وسدر وكفنوه في ثوبين، ولا تحنطوه ولا تخمروا راسه، فإنه يبعث يوم القيامة ملبيا".
Hum se Abu al-Numan ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad ne , un se Ayub ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke ek shakhs maidan-e-Arafah mein (ihram baandhe huay) khara hua tha ke apni sawari se gir para aur sawari ne unhein kuchal diya . Ya ( «waqasathu» ke bajaye yeh lafz) «awqasathu» kaha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke liye farmaya ke paani aur beri ke patton se ghusl de kar do kapron mein unhein kafan do aur yeh bhi hidayat farmayi ke unhein khushbu na lagao aur na un ka sar chhupao . Kyonke yeh Qayamat ke din Labbaik kehta hua uthe ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَنُوطِ لِلْمَيِّتِ:
Bab: Mayyit ko khushboo lagana.
Hadith Number: 1266
حدثنا قتيبة، حدثنا حماد، عن ايوب، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" بينما رجل واقف مع رسول الله صلى الله عليه وسلم بعرفة إذ وقع من راحلته فاقصعته او قال فاقعصته، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء وسدر وكفنوه في ثوبين، ولا تحنطوه ولا تخمروا راسه، فإن الله يبعثه يوم القيامة ملبيا".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ayub ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke ek shakhs Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath maidan-e-Arafah mein waqoof kiye huay tha ke woh apne ounth se gir para aur ounth ne unhein kuchal diya . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein paani aur beri ke patton se ghusl de kar do kapron ka kafan do , khushbu na lagao aur na sar dhako kyonke Allah Ta'ala Qayamat ke din unhein Labbaik kehte huay uthaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَيْفَ يُكَفَّنُ الْمُحْرِمُ:
Bab: Muharram ko kyun kar kafan diya jaye.
Hadith Number: 1267
حدثنا ابو النعمان، اخبرنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهم،" ان رجلا وقصه بعيره ونحن مع النبي صلى الله عليه وسلم وهو محرم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء , وسدر وكفنوه في ثوبين، ولا تمسوه طيبا ولا تخمروا راسه، فإن الله يبعثه يوم القيامة ملبدا".
Hum se Abu al-Numan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum ko Abu Awanah ne khabar di , unhein Abu Bishr Jafar ne , unhein Saeed bin Jubayr ne , unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne ke ek martaba hum log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath ihram baandhe huay thay ke ek shakhs ki gardan is ke ounth ne tor daali . To Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein paani aur beri ke patton se ghusl de do aur kapron ka kafan do aur khushbu na lagao na un ke sar ko dhako . Is liye ke Allah Ta'ala unhein uthaye ga . Is haalat mein ke woh Labbaik pukarta ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1268
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو وايوب , عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهم , قال:" كان رجل واقف مع النبي صلى الله عليه وسلم بعرفة فوقع عن راحلته، قال ايوب: فوقصته، وقال عمرو: فاقصعته فمات فقال: اغسلوه بماء وسدر وكفنوه في ثوبين، ولا تحنطوه ولا تخمروا راسه، فإنه يبعث يوم القيامة"، قال ايوب: يلبي، وقال عمرو: ملبيا.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , un se Hammad bin Zayd ne , un se Amr aur Ayub ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke ek shakhs Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath maidan-e-Arafat mein khara hua tha , achanak woh apni sawari se gir para . Ayub ne kaha ountni ne us ki gardan tor daali . Aur Amr ne yoon kaha ke ountni ne us ko girte hi maar daala aur is ka intiqal ho gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ise paani aur beri ke patton se ghusl do aur do kapron ka kafan do aur khushbu na lagao na sar dhako kyonke Qayamat mein yeh uthaya jaye ga . Ayub ne kaha ke (yani) talbiya kehte huay (uthaya jaye ga) aur Amr ne (apni riwayat mein «mulabbi» ke bajaye) «mulabbiyan» ka lafz naqal kiya . (yani Labbaik kehta hua uthe ga) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة