الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ غُسْلِ الْمَيِّتِ وَوُضُوئِهِ بِالْمَاءِ وَالسِّدْرِ:
Bab: Mayyit ko pani aur ber ke pattay se ghusl dena aur wudu karana.
Hadith Number: Q1253
وحنط ابن عمر رضي الله عنهما ابنا لسعيد بن زيد وحمله وصلى ولم يتوضا , وقال ابن عباس رضي الله عنهما المسلم لا ينجس حيا ولا ميتا , وقال سعيد لو كان نجسا ما مسسته وقال النبي صلى الله عليه وسلم المؤمن لا ينجس.
Aur Ibn Umar razi Allahu anhuma ne Saeed bin Zayd razi Allahu anhu ke bache (Abdur Rahman) ke khushbu lagayi phir us ki naash utha kar le gaye aur namaaz parhi , phir wuzu nahin kiya . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya ke Musalman najis nahin hota , zinda ho ya murda , Saad razi Allahu anhu ne farmaya ke agar (Saeed bin Zayd razi Allahu anhu) ki naash najis hoti to main ise chhoota hi nahin . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka irshad hai ke Momin napak nahin hota .
Hadith Number: 1253
حدثنا إسماعيل بن عبد الله , قال: حدثني مالك، عن ايوب السختياني، عن محمد بن سيرين، عن ام عطية الانصارية رضي الله عنها , قالت:" دخل علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم حين توفيت ابنته , فقال: اغسلنها ثلاثا او خمسا او اكثر من ذلك، إن رايتن ذلك بماء , وسدر واجعلن في الآخرة كافورا او شيئا من كافور، فإذا فرغتن فآذنني، فلما فرغنا آذناه فاعطانا حقوه , فقال: اشعرنها إياه تعني إزاره".
Hum se Ismail bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne aur un se Muhammad bin Sirin ne , un se Umm Atiya Ansari razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki beti (Zaynab ya Umm Kulsoom razi Allahu anhuma) ki wafat hui Aap salla Allahu alaihi wasallam wahan tashreef laaye aur farmaya ke teen ya paanch martaba ghusl de do aur agar munasib samjho to is se bhi zyada de sakti ho . Ghusl ke paani mein beri ke patte mila lo aur aakhir mein kafoor ya (yeh kaha ke) kuch kafoor ka istemal kar lena aur ghusl se farigh hone par mujhe khabar de dena . Chunanche hum ne jab ghusl de liya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ko khabar dedi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne humein apna izaar diya aur farmaya ke ise un ki qamees bana do . Aap salla Allahu alaihi wasallam ki murad apne izaar se thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُسْتَحَبُّ أَنْ يُغْسَلَ وِتْرًا:
Bab: Mayyit ko taaq martaba ghusl dena mustahab hai.
Hadith Number: 1254
حدثنا محمد، حدثنا عبد الوهاب الثقفي، عن ايوب، عن محمد، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت:" دخل علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم ونحن نغسل ابنته , فقال: اغسلنها ثلاثا او خمسا او اكثر من ذلك بماء , وسدر واجعلن في الآخرة كافورا، فإذا فرغتن فآذنني، فلما فرغنا آذناه فالقى إلينا حقوه , فقال: اشعرنها إياه".
Hum se Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahhab Saqafi ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Muhammad ne , un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki beti ko ghusl de rahi thin ke Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye aur farmaya ke teen ya paanch martaba ghusl do ya is se bhi zyada , paani aur beri ke patton se aur aakhir mein kafoor bhi istemal karna . Phir farigh ho kar mujhe khabar de dena . Jab hum farigh huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ko khabar kar di . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna izaar inayat farmaya aur farmaya ke yeh andar is ke badan par lapait do .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: Q1255
فقال ايوب: وحدثتني حفصة بمثل حديث محمد، وكان في حديث حفصة اغسلنها وترا وكان فيه ثلاثا , او خمسا , او سبعا، وكان فيه , انه قال: ابدان بميامنها ومواضع الوضوء منها"، وكان فيه ان ام عطية , قالت: ومشطناها ثلاثة قرون.
Ayub ne kaha ke mujh se Hafsa ne bhi Muhammad bin Sirin ki hadees ki tarah byaan kiya tha . Hafsa ki hadees mein tha ke taaq martaba ghusl dena aur is mein yeh tafseel thi ke teen ya paanch ya saat martaba (ghusl dena) aur is mein yeh bhi byaan tha ke mayyat ke dayein taraf se aaza-e-wuzu se ghusl shuru kiya jaye . Yeh bhi isi hadees mein tha ke Umm Atiya razi Allahu anha ne kaha ke hum ne kanghi kar ke un ke baalon ko teen latton mein taqseem kar diya tha .
بَابُ يُبْدَأُ بِمَيَامِنِ الْمَيِّتِ:
Bab: Is bayan mein ke (ghusl) mayyit ki daayen taraf se shuru kiya jaye.
Hadith Number: 1255
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، حدثنا خالد، عن حفصة بنت سيرين، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم في غسل ابنته:" ابدان بميامنها ومواضع الوضوء منها".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ismail bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Khalid ne byaan kiya , un se Hafsa bint Sirin ne aur un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apni beti ke ghusl ke waqt farmaya tha ke dayein taraf se aur aaza-e-wuzu se ghusl shuru karna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَوَاضِعِ الْوُضُوءِ مِنَ الْمَيِّتِ:
Bab: Is bare mein ke pehle mayyit ke a’za-e-wudu ko dhoya jaye.
Hadith Number: 1256
حدثنا يحيى بن موسى، حدثنا وكيع، عن سفيان، عن خالد الحذاء، عن حفصة بنت سيرين، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت:" لما غسلنا بنت النبي صلى الله عليه وسلم قال لنا ونحن نغسلها: ابدان بميامنها ومواضع الوضوء".
Hum se Yahya bin Musa ne byaan kiya , kaha ke hum se Wakee ne byaan kiya , un se Sufyan ne , un se Khalid Hazza ne , un se Hafsa bint Sirin ne aur un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki saahibzadi ko hum ghusl de rahi thin . Jab hum ne ghusl shuru kar diya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghusl dayein taraf se aur aaza-e-wuzu se shuru karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ تُكَفَّنُ الْمَرْأَةُ فِي إِزَارِ الرَّجُلِ:
Bab: Is bayan mein ke kya aurat ko mard ke izaar ka kafan diya ja sakta hai?
Hadith Number: 1257
حدثنا عبد الرحمن بن حماد، اخبرنا ابن عون، عن محمد، عن ام عطية , قالت:" توفيت بنت النبي صلى الله عليه وسلم فقال لنا:اغسلنها ثلاثا , او خمسا , او اكثر من ذلك إن رايتن، فإذا فرغتن فآذنني، فلما فرغنا آذناه فنزع من حقوه إزاره , وقال: اشعرنها إياه".
Hum se Abdur Rahman bin Hammad ne byaan kiya , kaha ke hum ko Ibn Awn ne khabar di , unhein Muhammad ne , un se Umm Atiya razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek saahibzadi ka intiqal ho gaya . Is mauqe par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne humein farmaya ke tum ise teen ya paanch martaba ghusl do aur agar munasib samjho to is se zyada martaba bhi ghusl de sakti ho . Phir farigh ho kar mujhe khabar dena . Chunanche jab hum ghusl de chakein to Aap salla Allahu alaihi wasallam ko khabar di aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna izaar inayat farmaya aur farmaya ke ise is ke badan se lapait do .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يَجْعَلُ الْكَافُورَ فِي آخِرِهِ:
Bab: Mayyit ke ghusl mein kafur ka istimal aakhir mein ek baar kiya jaye.
Hadith Number: 1258
حدثنا حامد بن عمر، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، عن ام عطية , قالت:" توفيت إحدى بنات النبي صلى الله عليه وسلم فخرج النبي صلى الله عليه وسلم , فقال:" اغسلنها ثلاثا , او خمسا او اكثر من ذلك إن رايتن بماء , وسدر واجعلن في الآخرة كافورا او شيئا من كافور، فإذا فرغتن فآذنني، قالت: فلما فرغنا آذناه فالقى إلينا حقوه فقال: اشعرنها إياه"، وعن ايوب، عن حفصة، عن ام عطية رضي الله عنهما , بنحوه.
Hum se Hamid bin Amr ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Muhammad ne aur un se Umm Atiya razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek beti ka intiqal ho gaya tha . Is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laaye aur farmaya ke ise teen ya paanch martaba ghusl de do aur agar tum munasib samjho to is se bhi zyada paani aur beri ke patton se nehlao aur aakhir mein kafoor ya (yeh kaha ke) kuch kafoor ka bhi istemal karna . Phir farigh ho kar mujhe khabar dena . Umm Atiya razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab hum farigh huay to hum ne kehla bhijwaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna tehband humein diya aur farmaya ke ise andar jism par lapait do . Ayub ne Hafsa bint Sirin se riwayat ki , un se Umm Atiya ne isi tarah hadees byaan ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1259
وقالت: إنه قال: اغسلنها ثلاثا , او خمسا , او سبعا , او اكثر من ذلك إن رايتن، قالت حفصة: قالت ام عطية رضي الله عنها: وجعلنا راسها ثلاثة قرون.
Aur Umm Atiya razi Allahu anha ne is riwayat mein yoon kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke teen ya paanch ya saat martaba ya agar tum munasib samjho to is se bhi zyada ghusl de sakti ho . Hafsa razi Allahu anha ne byaan kiya ke Umm Atiya razi Allahu anha ne farmaya ke hum ne un ke sar ke baal teen latton mein taqseem kar diye thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَقْضِ شَعَرِ الْمَرْأَةِ:
Bab: Mayyit aurat ho to ghusl ke waqt us ke baal kholna.
Hadith Number: Q1260
وقال ابن سيرين لا باس ان ينقض شعر الميت.
Aur Ibn Sirin rahimahullah ne kaha ke mayyat (aurat) ke sar ke baal kholne mein koi haraj nahin .