الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ قَامَ لِجَنَازَةِ يَهُودِيٍّ:
Bab: Is shakhs ke bare mein jo yahoodi ka janaza dekh kar khara ho gaya.
Show diacritics
Hadith Number: 1313
وقال ابو حمزة، عن الاعمش عن عمرو، عن ابن ابي ليلى , قال: كنت مع قيس وسهل رضي الله عنهما , فقالا: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم، وقال زكرياء: عن الشعبي، عن ابن ابي ليلى: كان ابو مسعود وقيس يقومان للجنازة.
Aur Abu Hamzah ne Amash se byaan kiya ‘ un se Amr ne ‘ un se Ibn Abi Layla ne ke main Qays aur Sahl razi Allahu anhuma ke saath tha . In donon ne byaan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay . Aur Zakariya ne kaha un se Shabi ne aur un se Ibn Abi Layla ne ke Abu Masood aur Qays razi Allahu anhuma janaza ke liye kharay ho jaate thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حَمْلِ الرِّجَالِ الْجِنَازَةَ دُونَ النِّسَاءِ:
Bab: Is bare mein ke auraten nahi balke mard hi janaze ko uthayen.
Show diacritics
Hadith Number: 1314
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا الليث، عن سعيد المقبري، عن ابيه، انه سمع ابا سعيد الخدري رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا وضعت الجنازة واحتملها الرجال على اعناقهم، فإن كانت صالحة قالت: قدموني، وإن كانت غير صالحة قالت: يا ويلها اين يذهبون بها يسمع صوتها كل شيء، إلا الإنسان ولو سمعه صعق".
Hum se Abdul Aziz ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Saeed Maqburi ne byaan kiya ‘ un se un ke baap Kaysan ne ke unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab mayyat charpayi par rakkhi jaati hai aur mard ise kandhon par uthate hain to agar woh nek ho to kehta hai ke mujhe aage le chalo . Lekin agar nek nahin to kehta hai haye barbadi! mujhe kahan liye ja rahe ho . Is awaaz ko insaan ke siwa tamam Allah ki makhlooq sunti hai . Agar insaan kahin sun paye to be-hosh ho jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السُّرْعَةِ بِالْجِنَازَةِ:
Bab: Janaze ko jald le chalna.
Show diacritics
Hadith Number: Q1315
وقال انس رضي الله عنه: انتم مشيعون وامش بين يديها وخلفها وعن يمينها وعن شمالها , وقال غيره: قريبا منها.
Aur Anas razi Allahu anhu ne kaha ke tum janaze ko pahuncha dene wale ho tum is ke saamne bhi chal sakte ho peeche bhi ‘ dayein bhi aur bayein bhi ‘ sab taraf chal sakte ho aur Anas razi Allahu anhu ke siwa aur logon ne kaha janaze ke qareeb chalna chahiye .


Show diacritics
Hadith Number: 1315
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان , قال: حفظناه من الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" اسرعوا بالجنازة فإن تك صالحة فخير تقدمونها إليه، وإن يك سوى ذلك فشر تضعونه عن رقابكم".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Sufyan ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum ne Zuhri se sun kar yeh hadees yaad ki ‘ unhon ne Saeed bin Musayyib se aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke janaza le kar jald chala karo kyonke agar woh nek hai to tum is ko bhalayi ki taraf nazdeek kar rahe ho aur agar is ke siwa hai to ek shar hai jise tum apni gardanon se utarte ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ الْمَيِّتِ وَهُوَ عَلَى الْجِنَازَةِ قَدِّمُونِي:
Bab: Nek mayyit charpai par kehta hai ke mujhe aage barhaye chalo (jald dafnao).
Show diacritics
Hadith Number: 1316
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، حدثنا سعيد، عن ابيه، انه سمع ابا سعيد الخدري رضي الله عنه , قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم , يقول:" إذا وضعت الجنازة فاحتملها الرجال على اعناقهم، فإن كانت صالحة قالت: قدموني، وإن كانت غير صالحة قالت لاهلها: يا ويلها اين يذهبون بها , يسمع صوتها كل شيء، إلا الإنسان ولو سمع الإنسان لصعق".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Saeed Maqburi ne byaan kiya . Un se un ke waalid (Kaysan) ne aur unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna ‘ Aap ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmaya karte thay ke jab mayyat charpayi par rakkhi jaati hai aur log ise kandhon par uthate hain is waqt agar woh marne wala nek hota hai to kehta hai ke mujhe jald aage barhaye chalo . Lekin agar nek nahin hota to kehta hai ke haye barbadi! mujhe kahan liye ja rahe ho . Is ki yeh awaaz insaan ke siwa har Allah ki makhlooq sunti hai . Kahin agar insaan sun paye to be-hosh ho jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ صَفَّ صَفَّيْنِ أَوْ ثَلاَثَةً عَلَى الْجِنَازَةِ خَلْفَ الإِمَامِ:
Bab: Imam ke peechhe janaza ki namaz ke liye do ya teen saffain karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1317
حدثنا مسدد، عن ابي عوانة , عن قتادة، عن عطاء، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم صلى على النجاشي، فكنت في الصف الثاني او الثالث".
Hum se Musaddad ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Abu Awanah Waddah Yashkuri ne byaan kiya ‘ un se Qatadah ne byaan kiya ‘ un se Ata ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Najashi ki namaaz-e-janaza parhi to main doosri ya teesri saff mein tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصُّفُوفِ عَلَى الْجِنَازَةِ:
Bab: Janazah ki namaz mein safain baandhna.
Show diacritics
Hadith Number: 1318
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا معمر، عن الزهري، عن سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال:" نعى النبي صلى الله عليه وسلم إلى اصحابه النجاشي، ثم تقدم فصفوا خلفه فكبر اربعا".
Hum se Musaddad ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Mamar ne ‘ un se Zuhri ne ‘ un se Saeed ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne ashaab ko Najashi ki wafat ki khabar sunayi ‘ phir Aap salla Allahu alaihi wasallam aage barh gaye aur logon ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche saffein bana lein ‘ phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne chaar martaba takbir kahi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1319
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، حدثنا الشيباني، عن الشعبي , قال: اخبرني من شهد النبي صلى الله عليه وسلم اتى على قبر منبوذ فصفهم , وكبر اربعا"، قلت: يا ابا عمرو من حدثك؟ قال: ابن عباس رضي الله عنهما.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shaybani ne ‘ un se Shabi ne byaan kiya ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek qabr par aaye jo aur qabron se alag thalag thi . Sahaba Kiram razi Allahu anhum ne saff bandi ki aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne chaar takbirain kahein . Main ne poocha ke yeh hadees Aap se kis ne byaan ki hai ? Unhon ne bataya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1320
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم , قال: اخبرني عطاء، انه سمع جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" قد توفي اليوم رجل صالح من الحبش، فهلم فصلوا عليه , قال: فصففنا، فصلى النبي صلى الله عليه وسلم عليه ونحن صفوف"، قال: ابو الزبير، عن جابر، كنت في الصف الثاني.
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya ‘ kaha ke hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di ke unhein Ibn Jurayj ne khabar di ‘ unhon ne byaan kiya ke mujhe Ata bin Abi Rabah ne khabar di ‘ unhon ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aaj Habsh ke ek mard-e-salih (Najashi Habsh ke baadshah) ka intiqal ho gaya hai . Aao un ki namaaz-e-janaza parho . Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir hum ne saff bandi kar li aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ki namaaz-e-janaza parhayi . Hum saff baandhe kharay thay . Abu al-Zubayr ne Jabir razi Allahu anhu ke hawala se naqal kiya ke main doosri saff mein tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صُفُوفِ الصِّبْيَانِ مَعَ الرِّجَالِ عَلَى الْجَنَائِزِ:
Bab: Janazay ki namaz mein bachay bhi mardon ke barabar kharay hon.
Show diacritics
Hadith Number: 1321
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الشيباني، عن عامر، عن ابن عباس رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم مر بقبر قد دفن ليلا , فقال: متى دفن هذا؟ , قالوا: البارحة، قال: افلا آذنتموني؟ , قالوا: دفناه في ظلمة الليل فكرهنا ان نوقظك، فقام فصففنا خلفه، قال: ابن عباس وانا فيهم، فصلى عليه".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdul Wahid ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shaybani ne byaan kiya ‘ un se Aamir ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ka guzar ek qabr par hua . Mayyat ko abhi raat hi dafnaya gaya tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke dafan kab kiya gaya hai ? Logon ne kaha ke guzishta raat . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe kyon nahin itla karayi ? Logon ne arz kiya ke andheri raat mein dafan kiya gaya ‘ is liye hum ne Aap ko jagana munasib nahin samjha . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay ho gaye aur hum ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche saffein bana lein . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main bhi unhein mein tha (nabaligh tha lekin) namaaz-e-janaza mein shirkat ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة