الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ يُقَدَّمُ فِي اللَّحْدِ:
Baghli qabr mein kaun aage rakha jaaye.
Show diacritics
Hadith Number: Q1347
وسمي اللحد لانه في ناحية وكل جائر ملحد ملتحدا معدلا ولو كان مستقيما كان ضريحا.
Imam Bukhari rahimahullah ne kaha ke baghli qabr ko Lahad is liye kaha gaya ke yeh ek kone mein hoti hai aur har «jair» (apni jagah se hati hui cheez) ko mulhid kahein ge . Isi se hai (Surah al-Kahf mein) lafz «multahada» yani panah ka kona aur agar qabr seedhi (sandooki) ho to ise «dhareeh» kehte hain .


Show diacritics
Hadith Number: 1347
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا ليث بن سعد، حدثني ابن شهاب، عن عبد الرحمن بن كعب بن مالك، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يجمع بين الرجلين من قتلى احد في ثوب واحد، ثم يقول: ايهم اكثر اخذا للقرآن؟، فإذا اشير له إلى احدهما قدمه في اللحد , وقال: انا شهيد على هؤلاء، وامر بدفنهم بدمائهم، ولم يصل عليهم، ولم يغسلهم".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ unhon ne kaha ke humein Layth bin Saad ne khabar di . Unhon ne kaha ke mujh se Ibn Shihab ne byaan kiya ‘ un se Abdur Rahman bin Ka'ab bin Malik ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Uhud ke do do shaheed mardon ko ek hi kapray mein kafan dete aur poochte ke in mein Quran kis ne zyada yaad kiya hai , phir jab kisi ek taraf ishaara kar diya jata to Lahad mein isi ko aage barhate aur farmate jaate ke main in par gawah hoon . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne khoon samait unhein dafan karne ka hukm diya , na un ki namaaz-e-janaza parhi aur na unhein ghusl diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1348
اخبرنا الاوزاعي، عن الزهري، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول لقتلى احد: اي هؤلاء اكثر اخذا للقرآن؟ , فإذا اشير له إلى رجل قدمه في اللحد قبل صاحبه، وقال جابر: فكفن ابي وعمي في نمرة واحدة.
Phir humein Imam Awzai ne khabar di . Unhein Zuhri ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam poochte jaate thay ke in mein Quran zyada kis ne haasil kiya hai ? Jis ki taraf ishaara kar diya jata Aap salla Allahu alaihi wasallam Lahad mein isi ko doosre se aage barhate . Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke mere waalid aur chacha ko ek hi kambal mein kafan diya gaya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: Q1349
وقال سليمان بن كثير: حدثني الزهري، حدثني من سمع جابرا رضي الله عنه.
Aur Sulayman bin Kaseer ne byaan kiya ke mujh se Zuhri ne byaan kiya ‘ un se is shakhs ne byaan kiya jinhon ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna tha .


بَابُ الإِذْخِرِ وَالْحَشِيشِ فِي الْقَبْرِ:
Azkhir aur sookhi ghaas qabr mein bichhana.
Show diacritics
Hadith Number: 1349
حدثنا محمد بن عبد الله بن حوشب، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" حرم الله مكة فلم تحل لاحد قبلي ولا لاحد بعدي، احلت لي ساعة من نهار لا يختلى خلاها، ولا يعضد شجرها، ولا ينفر صيدها، ولا تلتقط لقطتها إلا لمعرف"، فقال العباس رضي الله عنه: إلا الإذخر لصاغتنا وقبورنا؟، فقال: إلا الإذخر، وقال ابو هريرة رضي الله عنه: عن النبي صلى الله عليه وسلم: لقبورنا وبيوتنا، وقال ابان بن صالح: عن الحسن بن مسلم، عن صفية بنت شيبة، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم مثله، وقال مجاهد: عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما لقينهم وبيوتهم.
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Haushab ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abdul Wahhab ne byaan kiya . Kaha hum se Khalid Hazza ne ‘ un se Ikrima ne ‘ un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne Makkah ko haram kiya hai . Na mujh se pehle kisi ke liye (yahan qatl o khoon) halal tha aur na mere baad ho ga aur mere liye bhi thori der ke liye (Fatah Makkah ke din) halal hua tha . Pas na is ki ghaas ukhaari jaye na is ke darakht qalam kiye jayein . Na yahan ke jaanwaroon ko (shikaar ke liye) bhagaya jaye aur siwa is shakhs ke jo elaan karna chahta ho (ke yeh giri hui cheez kis ki hai) kisi ke liye wahan se koi giri hui cheez uthani jaiz nahin . Is par Abbas razi Allahu anhu ne kaha ”lekin is se Idhkhir ka istishna kar dijiye ke yeh hamare sunaroon ke aur hamari qabroon mein kaam aati hai .“ Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke magar Idhkhir ki ijazat hai . Abu Hurairah razi Allahu anhu ki Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat mein hai . ”Hamari qabroon aur gharon ke liye .“ Aur Aban bin Salih ne byaan kiya ‘ un se Hasan bin Muslim ne ‘ un se Safiya bint Shaybah ne ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se isi tarah suna tha . Aur Mujahid ne Tawoos ke wasta se byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne yeh alfaz byaan kiye . Hamare Qayn (loharoon) aur gharon ke liye (Idhkhir ukharna haram se) jaiz kar dijiye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يُخْرَجُ الْمَيِّتُ مِنَ الْقَبْرِ وَاللَّحْدِ لِعِلَّةٍ:
Bab ke mayyit ko kisi khaas wajah se qabr ya lahad se baahar nikala ja sakta hai?
Show diacritics
Hadith Number: 1350
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال عمرو سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , قال:" اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم عبد الله بن ابي بعد ما ادخل حفرته، فامر به فاخرج، فوضعه على ركبتيه، ونفث عليه من ريقه، والبسه قميصه"، فالله اعلم , وكان كسا عباسا قميصا، قال سفيان: وقال ابو هارون: وكان على رسول الله صلى الله عليه وسلم قميصان، فقال له ابن عبد الله: يا رسول الله، البس ابي قميصك الذي يلي جلدك؟ قال سفيان: فيرون ان النبي صلى الله عليه وسلم البس عبد الله قميصه مكافاة لما صنع.
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Sufyan ne byaan kiya ‘ Amr ne kaha ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye to Abdullah bin Ubayy (munafiq) ko is ki qabr mein dala ja chuka tha . Lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ke irshad par ise qabr se nikal liya gaya . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ise apne ghutno par rakh kar luaab-e-dahan is ke munh mein dala aur apna kurta ise pehnaya . Ab Allah hi behtar jaanta hai . (ghaliban marne ke baad ek munafiq ke saath is ehsan ki wajah yeh thi ke) unhon ne Abbas razi Allahu anhu ko ek qamees pehnayi thi (Ghazwa-e-Badr mein jab Abbas razi Allahu anhu Musalmanon ke qaidi ban kar aaye thay) Sufyan ne byaan kiya ke Abu Haroon Musa bin Abi Isa kehte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke istemal mein do kurtay thay . Abdullah ke larke (jo momin mukhlis thay razi Allahu anhu) ne kaha ke ya Rasool Allah! mere waalid ko Aap woh qamees pehna dijiye jo Aap salla Allahu alaihi wasallam ke jasad-e-athar ke qareeb rehti hai . Sufyan ne kaha log samajhte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna kurta is ke kurtay ke badal pehna diya jo us ne Abbas razi Allahu anhu ko pehnaya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1351
حدثنا مسدد، اخبرنا بشر بن المفضل، حدثنا حسين المعلم، عن عطاء، عن جابر رضي الله عنه , قال: لما حضر احد دعاني ابي من الليل , فقال:" ما اراني إلا مقتولا في اول من يقتل من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، وإني لا اترك بعدي اعز علي منك غير نفس رسول الله صلى الله عليه وسلم، فإن علي دينا فاقض , واستوص باخواتك خيرا , فاصبحنا فكان اول قتيل , ودفن معه آخر في قبر، ثم لم تطب نفسي ان اتركه مع الآخر فاستخرجته بعد ستة اشهر، فإذا هو كيوم وضعته هنية غير اذنه".
Hum se Musaddad ne byaan kiya ‘ kaha ke hum ko Bishr bin Mufaddal ne khabar di ‘ kaha ke hum se Husayn Mualim ne byaan kiya ‘ un se Ata bin Abi Rabah ne ‘ un se Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab jang-e-Uhud ka waqt qareeb aa gaya to mujhe mere baap Abdullah ne raat ko bula kar kaha ke mujhe aisa dikhayi deta hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ashaab mein sab se pehla maqtool main hi hoon ga aur dekho Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke siwa doosra koi mujhe (apne azeezon aur waarisoon mein) tum se zyada azeez nahin hai ‘ main maqrooz hoon is liye tum mera qarz ada kar dena aur apni (nau) behenon se achha sulook karna . Chunanche jab subah hui to sab se pehle mere waalid hi shaheed huay . Qabr mein Aap ke saath main ne ek doosre shakhs ko bhi dafan kiya tha . Par mera dil nahin maana ke unhein doosre saahib ke saath yoon hi qabr mein rehne doon . Chunanche chhay maheene ke baad main ne un ki laash ko qabr se nikala dekha to sirf kaan thora sa galne ke siwa baaqi saara jism isi tarah tha jaise dafan kiya gaya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1352
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سعيد بن عامر، عن شعبة، عن ابن ابي نجيح، عن عطاء، عن جابر رضي الله عنه , قال:" دفن مع ابي رجل، فلم تطب نفسي حتى اخرجته، فجعلته في قبر على حدة".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Saeed bin Aamir ne byaan kiya ‘ un se Shubah ne ‘ un se Ibn Abi Najeeh ne ‘ un se Ata bin Abi Rabah aur un se Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mere baap ke saath ek hi qabr mein ek aur sahabi (Jabir razi Allahu anhu ke chacha) dafan thay . Lekin mera dil is par raazi nahin ho raha tha . Is liye main ne un ki laash nikal kar doosri qabr mein dafan kar di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اللَّحْدِ وَالشَّقِّ فِي الْقَبْرِ:
Baghli ya sandooqi qabr banana.
Show diacritics
Hadith Number: 1353
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا الليث بن سعد , قال: حدثني ابن شهاب، عن عبد الرحمن بن كعب بن مالك، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يجمع بين رجلين من قتلى احد، ثم يقول: ايهم اكثر اخذا للقرآن؟، فإذا اشير له إلى احدهما قدمه في اللحد , فقال: انا شهيد على هؤلاء يوم القيامة، فامر بدفنهم بدمائهم، ولم يغسلهم".
Hum se Abdan ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ unhon ne kaha humein Layth bin Saad ne khabar di ‘ unhon ne kaha ke mujh se Ibn Shihab ne byaan kiya . Un se Abdur Rahman bin Ka'ab bin Malik ne ‘ aur un se Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Uhud ke shuhada ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek kafan mein do do ko ek saath kar ke poochte thay ke Quran kis ko zyada yaad tha . Phir jab kisi ek taraf ishaara kar diya jata to baghli qabr mein ise aage kar diya jata . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke main Qayamat ko in (ke iman) par gawah banoon ga . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne unhein baghair ghusl diye khoon samait dafan karne ka hukm diya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا أَسْلَمَ الصَّبِيُّ فَمَاتَ هَلْ يُصَلَّى عَلَيْهِ وَهَلْ يُعْرَضُ عَلَى الصَّبِيِّ الإِسْلاَمُ:
Ek bacha Islam laya phir us ka intiqaal ho gaya, to kya us ki namaz janaza parhi jaayegi? Aur kya bache ke saamne Islam ki dawat pesh ki ja sakti hai?
Show diacritics
Hadith Number: Q1354
وقال الحسن وشريح وإبراهيم وقتادة إذا اسلم احدهما فالولد مع المسلم وكان ابن عباس رضي الله عنهما مع امه من المستضعفين , ولم يكن مع ابيه على دين قومه , وقال الإسلام: يعلو ولا يعلى.
Hasan ‘ Shurayh ‘ Ibrahim aur Qatadah rahimahumullah ne kaha ke waalidain mein se jab koi Islam laye to un ka bacha bhi Musalman samjha jaye ga . Ibn Abbas razi Allahu anhuma bhi apni waalida ke saath (Musalman samjhe gaye thay aur Makkah ke) kamzor Musalmanon mein se thay . Aap apne waalid ke saath nahin thay jo abhi tak apni qaum ke deen par qaim thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka irshad hai ke Islam ghalib rehta hai maghloob nahin ho sakta .