الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْمَيِّتِ يُعْرَضُ عَلَيْهِ بِالْغَدَاةِ وَالْعَشِيِّ:
Mayyit ko dono waqt subah aur shaam us ka thikana batlaya jata hai.
Hadith Number: 1379
حدثنا إسماعيل , قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال:" إن احدكم إذا مات عرض عليه مقعده بالغداة , والعشي، إن كان من اهل الجنة فمن اهل الجنة، وإن كان من اهل النار فمن اهل النار، فيقال هذا مقعدك حتى يبعثك الله يوم القيامة".
Hum se Ismail ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik rahimahullah ne yeh hadees byaan ki ‘ unhon ne kaha ke hum se Nafi ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se koi shakhs mar jata hai to is ka thikana ise subah o shaam dikhaya jata hai . Agar woh Jannati hai to Jannat walon mein aur jo Dozakhi hai to Dozakh walon mein . Phir kaha jata hai yeh tera thikana hai yahan tak ke Qayamat ke din Allah tujh ko uthaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَلاَمِ الْمَيِّتِ عَلَى الْجَنَازَةِ:
Mayyit ka charpai par baat karna.
Hadith Number: 1380
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابيه، انه سمع ابا سعيد الخدري رضي الله عنه , يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إذا وضعت الجنازة فاحتملها الرجال على اعناقهم، فإن كانت صالحة , قالت: قدموني، قدموني، وإن كانت غير صالحة , قالت: يا ويلها، اين يذهبون بها؟ يسمع صوتها كل شيء إلا الإنسان، ولو سمعها الإنسان لصعق".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya ‘ un se Saeed bin Abi Saeed ne byaan kiya ‘ un se un ke baap ne byaan kiya ‘ un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab janaza tayyar ho jata hai phir mard us ko apni gardnon par utha lete hain to agar woh murda naik ho to kehta hai ke haan aage liye chalo mujhe barhaye chalo aur agar naik nahi hota to kehta hai . Haaye re kharabi! Mera janaza kahan liye ja rahe ho . Is awaaz ko insaan ke siwa tamam Allah ki makhlooq sunti hai . Agar kahin insaan sun payein to behosh ho jayein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا قِيلَ فِي أَوْلاَدِ الْمُسْلِمِينَ:
Muslimon ki naabaaligh aulaad kahan rahegi?
Hadith Number: Q1381
قال ابو هريرة رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم , من مات له ثلاثة من الولد لم يبلغوا الحنث كان له حجابا من النار او دخل الجنة.
Aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya ke jis ke teen nabaligh bacche mar jayein to yeh bacche us ke liye dozakh se rok (rukawat) ban jayeinge ya yeh kaha ke woh Jannat mein dakhil ho ga .
Hadith Number: 1381
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابن علية، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما من الناس مسلم يموت , له ثلاثة من الولد لم يبلغوا الحنث، إلا ادخله الله الجنة بفضل رحمته إياهم".
Hum se Yaqub bin Ibrahim ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Ismail bin Alayyah ne byaan kiya ‘ un se Abdul Aziz bin Suhaib ne byaan kiya aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis musalman ke bhi teen nabaligh bacche mar jayein to Allah Ta'ala apne fazl o rahmat se jo in baccho par kare ga ‘ un ko behisht mein le jaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1382
حدثنا ابو الوليد , حدثنا شعبة، عن عدي بن ثابت، انه سمع البراء رضي الله عنه , قال:" لما توفي إبراهيم عليه السلام، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إن له مرضعا في الجنة".
Hum se Abul Waleed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah ne byaan kiya ‘ un se Adi bin Thabit ne byaan kiya ‘ unhon ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne farmaya ke jab Ibrahim (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahibzade) ka intiqaal hua to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke behisht mein un ke liye ek doodh pilane wali hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا قِيلَ فِي أَوْلاَدِ الْمُشْرِكِينَ:
Mushrikeen ki naabaaligh aulaad ka bayaan.
Hadith Number: 1383
حدثني حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهم , قال:" سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم عن اولاد المشركين، فقال: الله إذ خلقهم اعلم بما كانوا عاملين".
Hum se Habban bin Musa Marwazi ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ kaha ke humein Shubah ne khabar di ‘ unhein Abu Bishr Jafar ne ‘ unhein Saeed bin Jubair ne ‘ un ko Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mushrikon ke nabaligh baccho ke baare mein poocha gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne jab unhein paida kiya tha isi waqt woh khoob jaanta tha ke yeh kya amal kareinge .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1384
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري , قال: اخبرني عطاء بن يزيد الليثي , انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه , يقول:" سئل النبي صلى الله عليه وسلم عن ذراري المشركين، فقال: الله اعلم بما كانوا عاملين".
Hum se Abul Yaman Hakam bin Nafi ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shuayb ne Zuhri se khabar di ‘ unhon ne kaha ke mujhe Ata bin Yazid Laythi ne khabar di ‘ unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ‘ Aap ne farmaya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se mushrikon ke nabaligh baccho ke baare mein poocha gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah khoob jaanta hai jo bhi woh amal karne wale hue .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1385
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" كل مولود يولد على الفطرة، فابواه يهودانه او ينصرانه او يمجسانه كمثل البهيمة تنتج البهيمة، هل ترى فيها جدعاء؟".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya ‘ un se Ibn Abi Zi'b ne ‘ un se Zuhri ne ‘ un se Abu Salamah bin Abdul Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya har baccha ki paidaish fitrat par hoti hai phir us ke maan baap usay Yahudi ya Nasrani ya Majusi bana dete hain bilkul is tarah jaise jaanwar ke bacche sahih salam hote hain . Kya tum ne (paidaishi taur par) koi un ke jism ka hissa kata hua dekha hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
...
Hadith Number: 1386
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جرير بن حازم، حدثنا ابو رجاء، عن سمرة بن جندب , قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا صلى صلاة اقبل علينا بوجهه , فقال: من راى منكم الليلة رؤيا؟ , قال: فإن راى احد قصها، فيقول: ما شاء الله، فسالنا يوما , فقال: , هل راى احد منكم رؤيا؟ , قلنا: لا، قال: لكني رايت الليلة رجلين اتياني، فاخذا بيدي فاخرجاني إلى الارض المقدسة، فإذا رجل جالس ورجل قائم بيده كلوب من حديد، قال بعض اصحابنا: عن موسى، إنه يدخل ذلك الكلوب في شدقه حتى يبلغ قفاه، ثم يفعل بشدقه الآخر مثل ذلك، ويلتئم شدقه هذا فيعود فيصنع مثله، قلت: ما هذا؟ , قالا: انطلق، فانطلقنا حتى اتينا على رجل مضطجع على قفاه ورجل قائم على راسه بفهر او صخرة فيشدخ به راسه، فإذا ضربه تدهده الحجر فانطلق إليه لياخذه، فلا يرجع إلى هذا حتى يلتئم راسه، وعاد راسه كما هو , فعاد إليه فضربه، قلت: من هذا؟ , قالا: انطلق، فانطلقنا إلى ثقب مثل التنور اعلاه ضيق , واسفله واسع يتوقد تحته نارا، فإذا اقترب ارتفعوا حتى كاد ان يخرجوا، فإذا خمدت رجعوا فيها وفيها رجال ونساء عراة، فقلت: من هذا؟ , قالا: انطلق، فانطلقنا حتى اتينا على نهر من دم فيه رجل قائم على وسط النهر، قال يزيد: ووهب بن جرير، عن جرير بن حازم، وعلى شط النهر رجل بين يديه حجارة، فاقبل الرجل الذي في النهر فإذا اراد ان يخرج رمى الرجل بحجر في فيه فرده حيث كان، فجعل كلما جاء ليخرج رمى في فيه بحجر فيرجع كما كان، فقلت: ما هذا؟ قالا: انطلق، فانطلقنا حتى انتهينا إلى روضة خضراء فيها شجرة عظيمة وفي اصلها شيخ وصبيان، وإذا رجل قريب من الشجرة بين يديه نار يوقدها، فصعدا بي في الشجرة وادخلاني دارا لم ار قط احسن منها فيها رجال شيوخ , وشباب , ونساء , وصبيان، ثم اخرجاني منها فصعدا بي الشجرة فادخلاني دارا هي احسن وافضل فيها شيوخ وشباب، قلت: طوفتماني الليلة فاخبراني عما رايت، قالا: نعم، اما الذي رايته يشق شدقه فكذاب يحدث بالكذبة فتحمل عنه حتى تبلغ الآفاق فيصنع به إلى يوم القيامة، والذي رايته يشدخ راسه فرجل علمه الله القرآن فنام عنه بالليل ولم يعمل فيه بالنهار يفعل به إلى يوم القيامة، والذي رايته في الثقب فهم الزناة، والذي رايته في النهر آكلوا الربا والشيخ في اصل الشجرة إبراهيم عليه السلام والصبيان حوله فاولاد الناس والذي يوقد النار مالك خازن النار، والدار الاولى التي دخلت دار عامة المؤمنين، واما هذه الدار فدار الشهداء وانا جبريل وهذا ميكائيل فارفع راسك فرفعت راسي فإذا فوقي مثل السحاب، قالا: ذاك منزلك، قلت: دعاني ادخل منزلي، قالا: إنه بقي لك عمر لم تستكمله فلو استكملت اتيت منزلك".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha hum se Jarir bin Hazim ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Rajaa Imran bin Tamim ne byaan kiya aur un se Samurah bin Jundub razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam namaaz (Fajr) parhne ke baad (umooman) hamari taraf munh kar ke baith jate aur poochte ke aaj raat kisi ne koi khwab dekha ho to byaan karo . Rawi ne kaha ke agar kisi ne koi khwab dekha hota to usay woh byaan kar deta aur Aap salla Allahu alaihi wasallam is ki tabeer Allah ko jo manzoor hoti byaan farmate . Ek din Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mamool ke mutabiq hum se daryaft farmaya kya aaj raat kisi ne tum mein koi khwab dekha hai ? Hum ne arz ki ke kisi ne nahi dekha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya lekin maine aaj raat ek khwab dekha hai ke do aadmi mere paas aaye . Unhon ne mere haath thaam liye aur woh mujhe Arze Muqaddas ki taraf le gaye . (aur wahan se aalam-e-baala ki mujh ko sair karayi) wahan kya dekhta hoon ke ek shakhs to baitha hua hai aur ek shakhs khara hai aur us ke haath mein (Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha ke) hamare baaz as'haab ne (ghaliban Abbas bin Fadil Isqati ne Musa bin Ismail se yun riwayat kiya hai) lohe ka aankas tha jisay woh baithne wale ke jabre mein daal kar us ke sar ke peeche tak cheer deta phir doosre jabre ke saath bhi isi tarah karta tha . Is dauran mein us ka pehla jabra sahih aur apni asli haalat par aa jata aur phir pehle ki tarah woh usay dobara cheerta . Maine poocha ke yeh kya ho raha hai ? Mere saath ke dono aadmiyon ne kaha ke aage chalein . Chunanche hum aage barhe to ek aise shakhs ke paas aaye jo sar ke bal leta hua tha aur doosra shakhs ek bara sa patthar liye us ke sar par khara tha . Is patthar se woh lete hue shakhs ke sar ko kachal deta tha . Jab woh us ke sar par patthar maarta to sar par lag kar woh patthar door chala jata aur woh usay ja kar utha laata . Abhi patthar le kar wapas bhi nahi aata tha ke sar dobara durust ho jata . Bilkul waisa hi jaise pehle tha . Wapas aa kar woh phir usay maarta . Maine poocha ke yeh kaun log hain ? Un dono ne jawab diya ke abhi aur aage chalein . Chunanche hum aage barhe to ek tanoor jaise garhay ki taraf chale . Jis ke oopar ka hissa to tang tha lekin neeche se khoob farakh . Neeche aag bharak rahi thi . Jab aag ke sholay bharak kar oopar ko uthte to is mein jalne wale log bhi oopar uth aate aur aisa maloom hota ke ab woh bahar nikal jayeinge lekin jab sholay dab jate to woh log bhi neeche chale jate . Is tanoor mein nange mard aur auraten thi . Maine is mauqe par bhi poocha ke yeh kya hai ? Lekin is martaba bhi jawab yahi mila kaha ke abhi aur aage chalein ‘ hum aage chale . Ab hum khoon ki ek nahar ke oopar thay nahar ke andar ek shakhs khara tha aur is ke beech mein (Yazid bin Haroon aur Wahab bin Jarir ne Jarir bin Hazim ke wasta se «wastahu an-nahara» ke bajaye «shatt an-nahara» nahar ke kinare ke alfaaz naqal kiye hain) ek shakhs tha . Jis ke saamne patthar rakha hua hai . Nahar ka aadmi jab bahar nikalna chahta to patthar wala shakhs us ke munh par itni zor se patthar maarta ke woh apni pehli jagah par chala jata aur isi tarah jab bhi woh nikalne ki koshish karta woh shakhs us ke munh par patthar itni hi zor se phir maarta ke woh apni asli jagah par nahar mein chala jata . Maine poocha yeh kya ho raha hai ? Unhon ne jawab diya ke abhi aur aage chalein . Chunanche hum aur aage barhe aur ek hare bhare bagh mein aaye . Jis mein ek bahut bara darakht tha is darakht ki jar mein ek bari umr wale buzurg baithe hue thay aur un ke saath kuch bacche bhi baithe hue thay . Darakht se qareeb hi ek shakhs apne aage aag sulga raha tha . Woh mere dono saathi mujhe le kar is darakht par charhe . Is tarah woh mujhe ek aise ghar mein le gaye ke is se zyada haseen o khoobsurat aur babarkat ghar maine kabhi nahi dekha tha . Is ghar mein boorhe , jawan ‘ auraten aur bacche (sab hi qism ke log) thay . Mere saathi mujhe is ghar se nikal kar phir ek aur darakht par charha kar mujhe ek aur doosre ghar mein le gaye jo nihayat khoobsurat aur behtar tha . Is mein bhi bahut se boorhe aur jawan thay . Maine apne saathiyon se kaha tum logon ne mujhe raat bhar khoob sair karayi . Kya jo kuch maine dekha is ki tafseel bhi kuch batlao ge ? Unhon ne kaha haan woh jo Aap ne dekha tha is aadmi ka jabra lohe ke aankas se phara ja raha tha to woh jhoota aadmi tha jo jhooti baatein byaan kiya karta tha . Is se woh jhooti baatein doosre log sunte . Is tarah ek jhooti baat door door tak phail jaya karti thi . Isay Qayamat tak yahi azaab hota rahe ga . Jis shakhs ko Aap ne dekha ke is ka sar kachla ja raha tha to woh ek aisa insaan tha jisay Allah Ta'ala ne Quran ka ilm diya tha lekin woh raat ko para sota rehta aur din mein is par amal nahi karta tha . Isay bhi yeh azaab Qayamat tak hota rahe ga aur jinhein Aap ne tanoor mein dekha to woh zina kaar thay . Aur jis ko Aap ne nahar mein dekha woh sood khwar tha aur woh buzurg jo darakht ki jar mein baithe hue thay woh Ibrahim alaihis salam thay aur un ke ard-gird wale bacche ‘ logon ki nabaligh aulaad thi aur jo shakhs aag jala raha tha woh Dozakh ka darogha tha aur woh ghar jis mein Aap pehle dakhil hue Jannat mein aam momino ka ghar tha aur yeh ghar jis mein Aap ab khare hain ‘ yeh shuhada ka ghar hai aur main Jibrail hoon aur yeh mere saath Mikaeel hain . Accha ab apna sar uthao maine jo sar uthaya to kya dekhta hoon ke mere oopar baadal ki tarah koi cheez hai . Mere saathiyon ne kaha ke yeh Aap ka makan hai . Is par maine kaha ke phir mujhe apne makan mein jaane do . Unhon ne kaha ke abhi Aap ki umr baaqi hai jo Aap ne poori nahi ki agar Aap woh poori kar lete to apne makan mein aa jate .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَوْتِ يَوْمِ الاِثْنَيْنِ:
Peer ke din marne ki fazeelat ka bayaan.
Hadith Number: 1387
حدثنا معلى بن اسد , حدثنا وهيب، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: دخلت على ابي بكر رضي الله عنه , فقال:" في كم كفنتم النبي صلى الله عليه وسلم؟ , قالت: في ثلاثة اثواب بيض سحولية ليس فيها قميص ولا عمامة، وقال لها: في اي يوم توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ , قالت: يوم الاثنين، قال: فاي يوم هذا؟ , قالت: يوم الاثنين، قال: ارجو فيما بيني وبين الليل فنظر إلى ثوب عليه كان يمرض فيه به ردع من زعفران، فقال: اغسلوا ثوبي هذا وزيدوا عليه ثوبين فكفنوني فيها، قلت: إن هذا خلق، قال: إن الحي احق بالجديد من الميت إنما هو للمهلة، فلم يتوف حتى امسى من ليلة الثلاثاء، ودفن قبل ان يصبح".
Hum se Mualla bin Asad ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya ‘ un se Hisham bin Urwah ne ‘ un se un ke baap ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke main (walid majid) Abu Bakr razi Allahu anhu ki khidmat mein (un ki marad-ul-maut mein) hazir hui to Aap ne poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko tum logon ne kitne kapron ka kafan diya tha ? Aisha razi Allahu anha ne jawab diya ke teen safaid dhule hue kapron ka . Aap ko kafan mein qameez aur amama nahi diya gaya tha aur Abu Bakr razi Allahu anhu ne un se yeh bhi poocha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ki wafat kis din hui thi . Unhon ne jawab diya ke Peer ke din . Phir poocha ke aaj kaun sa din hai ? Unhon ne kaha aaj Peer ka din hai . Aap ne farmaya ke phir mujhe bhi umeed hai ke ab se raat tak main bhi ruxat ho jaon ga . Is ke baad Aap ne apna kapra dekha jisay marad ke dauran mein Aap pehen rahe thay . Is kapre par zafraan ka dhabba laga hua tha . Aap ne farmaya mere is kapre ko dho lena aur is ke saath do aur mila lena phir mujhe kafan unhein ka dena . Maine kaha ke yeh to purana hai . Farmaya ke zinda aadmi naye (kapre) ka murde se zyada mustahiq hai ‘ yeh to peep aur khoon ki nazar ho jaye ga . Phir Mangal ki raat ka kuch hissa guzarne par Aap ka intiqaal hua aur subah hone se pehle Aap ko dafan kiya gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة