الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِتْمَامِ التَّكْبِيرِ فِي السُّجُودِ:
Bab: Sajde ke waqt bhi poore taur par takbeer kehna.
Hadith Number: 786
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد، عن غيلان بن جرير، عن مطرف بن عبد الله، قال:" صليت خلف علي بن ابي طالب رضي الله عنه انا وعمران بن حصين، فكان إذا سجد كبر وإذا رفع راسه كبر وإذا نهض من الركعتين كبر، فلما قضى الصلاة اخذ بيدي عمران بن حصين، فقال: قد ذكرني هذا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم، او قال لقد صلى بنا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم".
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , unhon ne Ghaylan bin Jareer se byaan kiya , unhon ne Mutarrif bin Abdullah bin Shikhayr se , unhon ne kaha ke main ne aur Imran bin Husayn ne Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ke peeche namaaz parhi . To woh jab bhi sajda karte to takbeer kehtay . Isi tarah jab sar uthate to takbeer kehtay . Jab do rakaton ke baad uthate to takbeer kehtay . Jab namaaz khatam hui to Imran bin Husayn ne mera haath pakar kar kaha ke Ali razi Allahu anhu ne aaj Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz yaad dilayi , ya yeh kaha ke is shakhs ne hum ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz ki tarah aaj namaaz parhayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 787
حدثنا عمرو بن عون، قال: حدثنا هشيم، عن ابي بشر، عن عكرمة، قال:" رايت رجلا عند المقام يكبر في كل خفض ورفع وإذا قام وإذا وضع، فاخبرت ابن عباس رضي الله عنه، قال: اوليس تلك صلاة النبي صلى الله عليه وسلم لا ام لك".
Hum se Amr bin Awn ne byaan kiya , kaha ke hamein Hisham bin Bashir ne Abu Bishr Hafs bin Abi Wahshiyyah se khabar di , unhon ne Ikrimah se , unhon ne byaan kiya ke main ne ek shakhs ko maqaam Ibrahim mein (namaaz parhte huay) dekha ke har jhukne aur uthne par woh takbeer kehta tha . Isi tarah kharay hote waqt aur baithte waqt bhi . Main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko is ki ittila di . Aap ne farmaya , are teri maan mare! kya yeh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki si namaaz nahi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّكْبِيرِ إِذَا قَامَ مِنَ السُّجُودِ:
Bab: Jab sajda kar ke khara ho to takbeer kahe.
Hadith Number: 788
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: اخبرنا همام، عن قتادة، عن عكرمة، قال:" صليت خلف شيخ 0بمكة فكبر ثنتين وعشرين تكبيرة، فقلت لابن عباس: إنه احمق، فقال: ثكلتك امك، سنة ابي القاسم صلى الله عليه وسلم"، وقال موسى حدثنا ابان، حدثنا قتادة، حدثنا عكرمة.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Humam bin Yahya ne Qatadah se byaan kiya , woh Ikrimah se , kaha ke main ne Makkah mein ek boodhe ke peeche (Zuhr ki) namaaz parhi . Unhon ne (tamam namaaz mein) bayees takbeerein kahin . Is par main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se kaha ke yeh boodha bilkul be aqal maloom hota hai Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya tumhari maan tumhein roye yeh to Abu Qasim salla Allahu alaihi wasallam ki sunnat hai . Aur Musa bin Ismail ne yun bhi byaan kiya ke hum se Aban ne byaan kiya , ke kaha hum se Qatadah ne , unhon ne kaha ke hum se Ikrimah ne yeh hadees byaan ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 789
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو بكر بن عبد الرحمن بن الحارث، انه سمع ابا هريرة، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قام إلى الصلاة يكبر حين يقوم، ثم يكبر حين يركع، ثم يقول: سمع الله لمن حمده حين يرفع صلبه من الركعة، ثم يقول وهو قائم ربنا لك الحمد"، قال عبد الله بن صالح: عن الليث، ولك الحمد، ثم يكبر حين يهوي، ثم يكبر حين يرفع راسه، ثم يكبر حين يسجد، ثم يكبر حين يرفع راسه، ثم يفعل ذلك في الصلاة كلها حتى يقضيها ويكبر حين يقوم من الثنتين بعد الجلوس.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth bin Saad ne Aqeel bin Khalid ke wastay se byaan kiya , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne kaha ke mujhe Abu Bakr bin Abdur Rahman bin Haarith ne khabar di ke unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se suna , unhon ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab namaaz ke liye kharay hote to takbeer kehtay . Phir jab ruku karte tab bhi takbeer kehtay thay . Phir jab sar uthate to «sami Allahu liman hamidah» kehtay aur kharay hi kharay «rabbana lakal hamd» kehtay . Phir jab (doosre) sajde ke liye jhukte tab takbeer kehtay aur jab sajde se sar uthate tab bhi takbeer kehtay . Isi tarah Aap tamam namaaz poori kar lete thay . Qadah oola se uthne par bhi takbeer kehtay thay . (is hadees mein) Abdullah bin Saleh ne Layth ke wastay se (bajaye «rabbana lakal hamd» ke) «rabbana wa lakal hamd» naql kiya hai . ( «rabbana lakal hamd» kahe ya «rabbana wa lakal hamd» waw ke saath har do tareeqa durust hai) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَضْعِ الأَكُفِّ عَلَى الرُّكَبِ فِي الرُّكُوعِ:
Bab: Is bare mein ke ruku’ mein haath ghutnon par rakhna.
Hadith Number: Q790
وقال ابو حميد في اصحابه: امكن النبي صلى الله عليه وسلم يديه من ركبتيه.
Aur Abu Hameed ne apne saathiyon ke saamne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ruku mein apne donon haathon ghatnon par jamaye .
Hadith Number: 790
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن ابي يعفور، قال: سمعت مصعب بن سعد، يقول:" صليت إلى جنب ابي فطبقت بين كفي ثم وضعتهما بين فخذي، فنهاني ابي وقال: كنا نفعله فنهينا عنه وامرنا ان نضع ايدينا على الركب".
Hum se Abul Waleed Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , Abu Yafur Akbar se , unhon ne byaan kiya ke main ne Musab bin Saad se suna , unhon ne kaha ke main ne apne walid ke pehlu mein namaaz parhi aur apni donon hatheliyon ko mila kar raanon ke darmiyan rakh liya . Is par mere baap ne mujhe toka aur farmaya ke hum bhi pehle isi tarah karte thay . Lekin baad mein is se rok diye gaye aur hukm hua ke hum apne haathon ko ghatnon par rakhen .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَمْ يُتِمَّ الرُّكُوعَ:
Bab: Agar ruku’ achhi tarah itminan se na kare to namaz na ho gi.
Hadith Number: 791
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، عن سليمان، قال: سمعت زيد بن وهب، قال:" راى حذيفة رجلا لا يتم الركوع والسجود، قال: ما صليت، ولو مت مت على غير الفطرة التي فطر الله محمدا صلى الله عليه وسلم عليها".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha Mujhe Hukm ne Ibn Abi Layla se khabar di , unhon ne Bara bin Aazib razi Allahu anhu se , unhon ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ruku o sujood , donon sajdon ke darmiyan ka waqfa aur jab ruku se sar uthate to taqreeban sab barabar thay . Siwa qiyam aur tashahhud ke qaud ke .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِوَاءِ الظَّهْرِ فِي الرُّكُوعِ:
Bab: Ruku’ mein peeth ko barabar karna (sar ooncha neech na rakhna).
Hadith Number: Q792
وقال ابو حميد في اصحابه: ركع النبي صلى الله عليه وسلم، ثم هصر ظهره.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne Ubaydullah Umari se byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Saeed bin Abi Saeed Maqabri ne apne walid se byaan kiya , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam masjid mein tashreef le gaye . Itne mein ek shakhs aaya aur namaaz parhne laga . Namaaz ke baad us ne aa kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko salam kiya , Aap ne salam ka jawab de kar farmaya ke wapas ja kar dobara namaaz parh , kyunke tune namaaz nahi parhi . Chunanchay us ne dobara namaaz parhi aur wapas aa kar phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ko salam kiya , Aap ne is marteba bhi yahi farmaya ke dobara ja kar namaaz parh , kyunke tune namaaz nahi parhi . Teen baar isi tarah hua . Aakhir us shakhs ne kaha ke us Zaat ki qasam! jis ne Aap ko maboos kiya . Main to is se achhi namaaz nahi parh sakta . Is liye Aap mujhe sikhlaiye . Aap ne farmaya jab tu namaaz ke liye khara ho to (pehle) takbeer keh phir Quran Majeed se jo kuch tujh se ho sake parh , us ke baad ruku kar aur poori tarah ruku mein chala ja . Phir sar utha aur poori tarah khara ho ja . Phir jab tu sajda kare to poori tarah sajde mein chala ja . Phir (sajde se) sar utha kar achhi tarah baith ja . Dobara bhi isi tarah sajda kar . Yahi tareeqa namaaz ke tamam (rakaton mein) ikhtiyar kar .
بَابُ حَدِّ إِتْمَامِ الرُّكُوعِ وَالاِعْتِدَالِ فِيهِ وَالاِطْمَأْنِينَةِ:
Bab: Ruku’ poori tarah karne ki aur us par i’tidal wa tuma’neenat ki hadd.
Hadith Number: 792
حدثنا بدل بن المحبر، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني الحكم، عن ابن ابي ليلى، عن البراء، قال:" كان ركوع النبي صلى الله عليه وسلم وسجوده وبين السجدتين، وإذا رفع راسه من الركوع ما خلا القيام والقعود قريبا من السواء".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha Mansoor bin Mutamir ne byaan kiya , unhon ne Abud Duha Muslim bin Subayh se , unhon ne Masrooq se , unhon ne Aishah razi Allahu anha se , unhon ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ruku aur sajde mein «Subhanaka Allahumma rabbana wa bihamdika , Allahumma ighfir lee» parhaya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَمْرِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الَّذِي لاَ يُتِمُّ رُكُوعَهُ بِالإِعَادَةِ:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka us shakhs ko namaz dobara parhne ka hukm dena jis ne ruku’ poori tarah nahi kiya tha.
Hadith Number: 793
حدثنا مسدد، قال: اخبرني يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، قال: حدثنا سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة،" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل المسجد، فدخل رجل فصلى ثم جاء فسلم على النبي صلى الله عليه وسلم فرد النبي صلى الله عليه وسلم عليه السلام، فقال: ارجع فصل فإنك لم تصل، فصلى ثم جاء فسلم على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: ارجع فصل فإنك لم تصل ثلاثا، فقال: والذي بعثك بالحق فما احسن غيره فعلمني، قال: إذا قمت إلى الصلاة فكبر ثم اقرا ما تيسر معك من القرآن، ثم اركع حتى تطمئن راكعا، ثم ارفع حتى تعتدل قائما، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تطمئن جالسا، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم افعل ذلك في صلاتك كلها".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibn Abi Zib ne byaan kiya , unhon ne Saeed Maqabri se byaan kiya , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab «sami Allahu liman hamidah» kehtay to us ke baad «Allahumma rabbana wa lakal hamd» bhi kehtay . Isi tarah jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku karte aur sar uthate to takbeer kehtay . Donon sajdon se kharay hote waqt bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam «Allahu akbar» kaha karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة