الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْمُكْثِ بَيْنَ السَّجْدَتَيْنِ:
Bab: Dono sajdon ke beech mein thehrna.
Hadith Number: 821
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه، قال: إني لا آلو ان اصلي بكم كما رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي بنا، قال ثابت:" كان انس يصنع شيئا لم اركم تصنعونه، كان إذا رفع راسه من الركوع قام حتى يقول القائل قد نسي، وبين السجدتين حتى يقول القائل قد نسي".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne Thabit se byaan kiya , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se , unhon ne farmaya ke main ne jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko namaaz parhte dekha tha bilkul isi tarah tum logon ko namaaz parhane mein kisi qism ki koi kami nahi chhorta hoon . Thabit ne byaan kiya ke Anas bin Malik razi Allahu anhu ek aisa amal karte thay jisay main tumhein karte nahi dekhta . Jab woh ruku se sar uthate to itni der tak kharay rehte ke dekhne wala samajhta ke bhool gaye hain aur isi tarah donon sajdon ke darmiyan itni der tak baithte rehte ke dekhne wala samajhta ke bhool gaye hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَفْتَرِشُ ذِرَاعَيْهِ فِي السُّجُودِ:
Bab: Is bare mein ke namazi sajde mein apne dono baazuon ko (janwar ki tarah) zameen par na bichhaye.
Hadith Number: Q822
وقال ابو حميد: سجد النبي صلى الله عليه وسلم ووضع يديه غير مفترش ولا قابضهما.
Aur Abu Hameed ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sajda kiya aur donon haathon zameen par rakhe baazu nahi bichhaye na un ko pehlu se milaya .
Hadith Number: 822
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعتدلوا في السجود، ولا يبسط احدكم ذراعيه انبساط الكلب".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Qatadah se suna , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sajde mein itidaal ko malhooz rakho aur apne baazu kuton ki tarah na phelaaya karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اسْتَوَى قَاعِدًا فِي وِتْرٍ مِنْ صَلاَتِهِ ثُمَّ نَهَضَ:
Bab: Is shakhs ke bare mein jo shakhs namaz ki taaq rak’at (pehli aur teesri) mein thori der baithe aur phir uth jaye.
Hadith Number: 823
حدثنا محمد بن الصباح، قال: اخبرنا هشيم، قال: اخبرنا خالد الحذاء، عن ابي قلابة، قال: اخبرنا مالك بن الحويرث الليثي،" انه راى النبي صلى الله عليه وسلم يصلي فإذا كان في وتر من صلاته لم ينهض حتى يستوي قاعدا".
Hum se Muhammad bin Sabah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Hisham ne khabar di , unhon ne kaha hamein Khalid Haza ne khabar di , Abu Qilabah se , unhon ne byaan kiya ke mujhe Malik bin Huwayrith Laythi razi Allahu anhu ne khabar di ke Aap ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko namaaz parhte dekha . Aap salla Allahu alaihi wasallam jab taaq rakat mein hote to us waqt tak na uthate jab tak thori der baith na lete .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَيْفَ يَعْتَمِدُ عَلَى الأَرْضِ إِذَا قَامَ مِنَ الرَّكْعَةِ:
Bab: Is bare mein ke rak’at se uthate waqt zameen ka kis tarah se sahara le.
Hadith Number: 824
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، قال:" جاءنا مالك بن الحويرث فصلى بنا في مسجدنا هذا، فقال: إني لاصلي بكم وما اريد الصلاة، ولكن اريد ان اريكم كيف رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي، قال ايوب: فقلت لابي قلابة: وكيف كانت صلاته؟ قال: مثل صلاة شيخنا هذا يعني عمرو بن سلمة، قال ايوب: وكان ذلك الشيخ يتم التكبير، وإذا رفع راسه عن السجدة الثانية جلس واعتمد على الارض ثم قام".
Hum se Muali bin Asad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya , unhon ne Ayyub Sakhtiyani se , unhon ne Abu Qilabah se , unhon ne byaan kiya ke Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu hamare yahan tashreef laye aur Aap ne hamari is masjid mein namaaz parhayi . Aap ne farmaya ke main namaaz parha raha hoon lekin meri niyat kisi farz ki adaigi nahi hai balkay main sirf tum ko yeh dikhana chahta hoon ke Nabi Karim kis tarah namaaz parha karte thay . Ayyub Sakhtiyani ne byaan kiya ke main ne Abu Qilabah se poocha ke Malik razi Allahu anhu kis tarah namaaz parhte thay ? To unhon ne farmaya ke hamare Shaykh Amr bin Salamah ki tarah . Ayyub ne byaan kiya ke Shaykh tamam takbeerat kehtay thay aur jab doosre sajde se sar uthate to thori der baithte aur zameen ka sehaara le kar phir uthate .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يُكَبِّرُ وَهْوَ يَنْهَضُ مِنَ السَّجْدَتَيْنِ:
Bab: Jab do rak’aten parh kar uthe to takbeer kahe.
Hadith Number: Q825
وكان ابن الزبير يكبر في نهضته.
Aur Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma teesri rakat ke liye uthate waqt takbeer kaha karte thay .
Hadith Number: 825
حدثنا يحيى بن صالح، قال: حدثنا فليح بن سليمان، عن سعيد بن الحارث، قال:" صلى لنا ابو سعيد فجهر بالتكبير حين رفع راسه من السجود وحين سجد وحين رفع وحين قام من الركعتين"، وقال: هكذا رايت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Yahya bin Saleh ne byaan kiya , kaha ke hum se Fulayh bin Sulayman ne , unhon ne Saeed bin Haarith se , unhon ne kaha ke hamein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne namaaz parhayi aur jab unhon ne sajde se sar uthaya to pukaar kar takbeer kahi phir jab sajda kiya to aisa hi kiya phir sajde se sar uthaya to bhi aisa hi kiya isi tarah jab do rakatein parh kar kharay huay us waqt bhi Aap ne buland awaaz se takbeer kahi aur farmaya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko isi tarah karte dekha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 826
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا حماد بن زيد، قال: حدثنا غيلان بن جرير، عن مطرف، قال: صليت انا وعمران صلاة خلفعلي بن ابي طالب رضي الله عنه،" فكان إذا سجد كبر، وإذا رفع كبر، وإذا نهض من الركعتين كبر"، فلما سلم اخذ عمران بيدي، فقال: لقد صلى بنا هذا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم، او قال: لقد ذكرني هذا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ghaylan bin Jareer ne byaan kiya , unhon ne Mutarrif bin Abdullah se , unhon ne kaha ke main ne aur Imran bin Husayn razi Allahu anhuma ne Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ki iqtida mein namaaz parhi . Aap ne jab sajda kiya , sajde se sar uthaya do rakaton ke baad kharay huay to har marteba takbeer kahi . Jab Aap ne salam pher diya to Imran bin Husayn ne mera haath pakar kar kaha ke unhon ne waqai hamein Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki tarah namaaz parhayi hai , ya yeh kaha ke mujhe unhon ne Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz yaad dila di .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سُنَّةِ الْجُلُوسِ فِي التَّشَهُّدِ:
Bab: Tashahhud mein baithne ka masnoon tareeqa.
Hadith Number: Q827
وكانت ام الدرداء تجلس في صلاتها جلسة الرجل وكانت فقيهة.
Umm Darda razi Allahu anha faqeeha thi aur woh namaaz mein (ba waqt tashahhud) mardon ki tarah baithti thi .
Hadith Number: 827
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن عبد الله بن عبد الله، انه اخبره، انه كان يرى عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يتربع في الصلاة إذا جلس ففعلته، وانا يومئذ حديث السن فنهاني عبد الله بن عمر وقال:" إنما سنة الصلاة ان تنصب رجلك اليمنى وتثني اليسرى، فقلت: إنك تفعل ذلك، فقال: إن رجلي لا تحملاني".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne byaan kiya , unhon ne Imam Malik rahimahullah se , unhon ne Abdur Rahman bin Qasim ke wastay se byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Abdullah se unhon ne khabar di ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ko woh hamesha dekhte ke Aap namaaz mein charzano baithte hain main abhi naw umar tha main ne bhi isi tarah karna shuru kar diya lekin Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne is se roka aur farmaya ke namaaz mein sunnat yeh hai ke (tashahhud mein) daayan paon khara rakhe aur bayan phela de main ne kaha ke Aap to isi (meri) tarah karte hain Aap bole ke (kamzori ki wajah se) mere paon mera bojh nahi utha pate .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة