الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ يَسْتَقْبِلُ الإِمَامُ النَّاسَ إِذَا سَلَّمَ:
Bab: Imam jab salam pher chuke to logon ki taraf munh kare.
Hadith Number: 845
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا جرير بن حازم، قال: حدثنا ابو رجاء، عن سمرة بن جندب، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا صلى صلاة اقبل علينا بوجهه".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Jareer bin Hazim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Rajaa Imran bin Tamim ne Samurah bin Jundab razi Allahu anhu se naql kiya , unhon ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab namaaz (farz) parha chukte to hamari taraf munh karte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 846
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن صالح بن كيسان، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن زيد بن خالد الجهني، انه قال: صلى لنا رسول الله صلى الله عليه وسلم صلاة الصبح بالحديبية على إثر سماء كانت من الليلة، فلما انصرف اقبل على الناس فقال:"هل تدرون ماذا قال ربكم؟ قالوا: الله ورسوله اعلم، قال: اصبح من عبادي مؤمن بي وكافر، فاما من قال مطرنا بفضل الله ورحمته فذلك مؤمن بي وكافر بالكوكب، واما من قال بنوء كذا وكذا فذلك كافر بي ومؤمن بالكوكب".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , unhon ne Imam Malik se byaan kiya , unhon ne Saleh bin Kaysan se byaan kiya , un se Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah bin Masood ne byaan kiya , un se Zaid bin Khalid Juhani razi Allahu anhu ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamein Hudaybiyah mein subah ki namaaz parhayi aur raat ko barish ho chuki thi namaaz se farigh hone ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne logon ki taraf munh kiya aur farmaya maloom hai tumhare Rab ne kya farmaya hai . Logon ne kaha ke Allah aur us ke Rasool khoob jaante hain (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke) tumhare Rab ka irshaad hai ke subah hui to mere kuch bande mujh par imaan laye . Aur kuch mere munkir huay jis ne kaha ke Allah ke fazl aur us ki rehmat se hamare liye barish hui to woh mera momin hai aur sitaron ka munkir aur jis ne kaha ke falan taare ke falani jagah par aane se barish hui woh mera munkir hai aur sitaron ka momin .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 847
حدثنا عبد الله بن منير، سمع يزيد، قال: اخبرنا حميد، عن انس، قال: اخر رسول الله صلى الله عليه وسلم الصلاة ذات ليلة إلى شطر الليل، ثم خرج علينا فلما صلى اقبل علينا بوجهه، فقال:" إن الناس قد صلوا ورقدوا، وإنكم لن تزالوا في صلاة ما انتظرتم الصلاة".
Hum se Abdullah bin Munir ne byaan kiya , unhon ne Yazid bin Haroon se suna , unhein Humayd Zayli ne khabar di , aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ek raat (Isha ki) namaaz mein der farmayi taqreeban aadhi raat tak . Phir aakhir hijray se bahar tashreef laye aur namaaz ke baad hamari taraf munh kiya aur farmaya ke doosre log namaaz parh kar so chuke lekin tum log jab tak namaaz ka intizaar karte rahe goya ke namaaz mein rahe (yani tum ko namaaz ka sawab milta raha) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مُكْثِ الإِمَامِ فِي مُصَلاَّهُ بَعْدَ السَّلاَمِ:
Bab: Salam ke baad imam isi jagah thehr kar (nafl waghera) parh sakta hai.
Hadith Number: 848
وقال لنا آدم، حدثنا شعبة، عن ايوب، عن نافع، قال: كان ابن عمر يصلي في مكانه الذي صلى فيه الفريضة وفعله القاسم ويذكر عن ابي هريرة رفعه لا يتطوع الإمام في مكانه ولم يصح.
Aur hum se Aadam bin Abi Iyaas ne kaha ke un se Shubah ne byaan kiya un se Ayyub Sakhtiyani ne un se Nafi ne , farmaya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma (nafl) usi jagah par parhte thay aur jis jagah farz parhte aur Qasim bin Muhammad bin Abi Bakr ne bhi isi tarah kiya hai aur Abu Hurayrah razi Allahu anhu se marfooan riwayat hai ke imam apni (farz parhne ki) jagah par nafl na parhe aur yeh sahi nahi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 849
حدثنا ابو الوليد، حدثنا إبراهيم بن سعد، حدثنا الزهري، عن هند بنت الحارث، عن ام سلمة،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كانإذا سلم يمكث في مكانه يسيرا"، قال ابن شهاب: فنرى والله اعلم لكي ينفذ من ينصرف من النساء.
Hum se Abul Waleedah Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya unhon ne kaha ke hum se Zuhri ne Hind bint Haarith se byaan kiya un se Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab salam pherte to kuch der apni jagah par baithe rahte . Ibn Shihab ne kaha Allah behtar jaane hum to yeh samajhte hain ke yeh Aap is liye karte thay ke auraten pehle chal jayen .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 850
وقال ابن ابي مريم: اخبرنا نافع بن يزيد، قال: اخبرني جعفر بن ربيعة، ان ابن شهاب كتب إليه قال: حدثتني هند بنت الحارث الفراسية، عن ام سلمة زوج النبي صلى الله عليه وسلم وكانت من صواحباتها، قالت: كان يسلم فينصرف النساء فيدخلن بيوتهن من قبل ان ينصرف رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Aur Abu Saeed bin Abi Maryam ne kaha ke hamein Nafi bin Yazid ne khabar di unhon ne kaha ke mujh se Jafar bin Rabiah ne byaan kiya ke Ibn Shihab Zuhri ne unhein likh bhi bheja ke mujh se Hind bint Haarith Firasiyyah ne byaan kiya aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki paak biwi Umm Salamah razi Allahu anha ne (Hind un ki sohbat mein rehti thi) unhon ne farmaya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam salam pherte to auraten lot kar jane lagti aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke uthne se pehle apne gharon mein daakhil ho chuki hoti .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: Q851
وقال ابن وهب: عن يونس، عن ابن شهاب، اخبرتني هند الفراسية، وقال عثمان بن عمر، اخبرنا يونس، عن الزهري، حدثتني هند الفراسية، وقال الزبيدي، اخبرني الزهري، ان هند بنت الحارث القرشية اخبرته وكانت تحت معبد بن المقداد وهو حليف بني زهرة، وكانت تدخل على ازواج النبي صلى الله عليه وسلم، وقال شعيب: عن الزهري، حدثتني هند القرشية، وقال ابن ابي عتيق، عن الزهري، عن هند الفراسية، وقال الليث: حدثني يحيى بن سعيد، حدثه عن ابن شهاب، عن امراة من قريش حدثته، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Aur Ibn Wahb ne Yunus ke wastay se byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya aur unhein Hind bint Haarith Firasiyyah ne khabar di aur Usman bin Umar ne kaha ke hamein Yunus ne Zuhri se khabar di unhon ne kaha ke mujh se Hind Qurashiyyah ne byaan kiya Muhammad bin Waleed Zubaydi ne kaha ke mujh ko Zuhri ne khabar di ke Hind bint Haarith Qurashiyyah ne unhein khabar di . Aur woh Bano Zuhrah ke haleef Mabad bin Miqdad ki biwi thi aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki azwaj mutahharaat ki khidmat mein haazir hua karti thi aur Shoaib ne Zuhri se is hadees ko riwayat kiya , unhon ne kaha ke mujh se Hind Qurashiyyah ne hadees byaan ki , aur Ibn Abi Ateeq ne Zuhri ke wastay se byaan kiya aur un se Hind Firasiyyah ne byaan kiya . Layth ne kaha ke mujh se Yahya bin Saeed ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya aur un se Quraish ki ek aurat ne Nabi Karim se riwayat kar ke byaan kiya .
بَابُ مَنْ صَلَّى بِالنَّاسِ فَذَكَرَ حَاجَةً فَتَخَطَّاهُمْ:
Bab: Agar imam logon ko namaz parha kar kisi kaam ka khayal kare aur thehre nahi balke logon ki gardanen phalangta chala jaye to kya hai.
Hadith Number: 851
حدثنا محمد بن عبيد، قال: حدثنا عيسى بن يونس، عن عمر بن سعيد، قال: اخبرني ابن ابي مليكة، عن عقبة، قال: صليت وراء النبي صلى الله عليه وسلم بالمدينة العصر، فسلم ثم قام مسرعا فتخطى رقاب الناس إلى بعض حجر نسائه، ففزع الناس من سرعته فخرج عليهم فراى انهم عجبوا من سرعته، فقال:" ذكرت شيئا من تبر عندنا فكرهت ان يحبسني فامرت بقسمته".
Hum se Muhammad bin Ubaid ne byaan kiya , kaha ke hum se Isa bin Yunus ne Umar bin Saeed se yeh hadees byaan ki , unhon ne kaha ke mujhe Ibn Abi Mulaykah ne khabar di un se Uqbah bin Haarith razi Allahu anhu ne farmaya ke main ne Madinah mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki iqtida mein ek marteba Asr ki namaaz parhi . Salam pherne ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam jaldi se uth kharay huay aur safon ko cheerte huay Aap salla Allahu alaihi wasallam apni kisi biwi ke hijray mein gaye . Log Aap salla Allahu alaihi wasallam ki is tezi ki wajah se ghabra gaye . Phir jab Aap salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laye aur jaldi ki wajah se logon ke taajjub ko mehsoos farmaya to farmaya ke hamare paas ek sone ka dala (taqseem karne se) bach gaya tha mujhe us mein dil laga rehna bura maloom hua , main ne us ke baant dene ka hukm de diya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِنْفِتَالِ وَالاِنْصِرَافِ عَنِ الْيَمِينِ وَالشِّمَالِ:
Bab: Namaz parh kar daayen ya bayen dono taraf phir baithna ya lautna durust hai.
Hadith Number: Q852
وكان انس بن مالك ينفتل عن يمينه وعن يساره ويعيب على من يتوخى او من يعمد الانفتال عن يمينه
Aur Anas bin Malik razi Allahu anhu daayen aur bayen donon taraf murte thay . Aur agar koi daayen taraf khwah makhwah qasd kar ke murta to us par Aap itiraz karte thay .
Hadith Number: 852
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن سليمان، عن عمارة بن عمير، عن الاسود، قال: قال عبد الله:" لا يجعل احدكم للشيطان شيئا من صلاته يرى ان حقا عليه ان لا ينصرف إلا عن يمينه، لقد رايت النبي صلى الله عليه وسلم كثيرا ينصرف عن يساره".
Hum se Abul Waleed ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne Sulayman se byaan kiya , un se Umarah bin Umayr ne , un se Aswad bin Yazid ne byaan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne farmaya ke koi shakhs apni namaaz mein se kuch bhi shaytan ka hissa na lagaye is tarah ke daayni taraf hi lotna apne liye zaroori qaraar de le . Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko aksar bayen taraf se lotte dekha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة