الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ السُّجُودِ عَلَى سَبْعَةِ أَعْظُمٍ:
Bab: Saat haddiyon par sajda karna.
Show diacritics
Hadith Number: 811
حدثنا آدم، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن عبد الله بن يزيد الخطمي، حدثنا البراء بن عازب وهو غير كذوب، قال: كنا نصلي خلف النبي صلى الله عليه وسلم، فإذا قال:" سمع الله لمن حمده، لم يحن احد منا ظهره حتى يضع النبي صلى الله عليه وسلم جبهته على الارض".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Israel ne Abu Ishaq se byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Yazid se , unhon ne kaha ke hum se Bara bin Aazib razi Allahu anhu ne byaan kiya , woh jhoot nahi bol sakte thay . Aap ne farmaya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki iqtida mein namaaz parhte thay . Jab Aap «sami Allahu liman hamidah» kehtay (yani ruku se sar uthate) to hum mein se koi us waqt tak apni peeth na jhukata jab tak Aap salla Allahu alaihi wasallam apni peshani zameen par na rakh dete .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السُّجُودِ عَلَى الأَنْفِ:
Bab: Sajda mein naak bhi zameen se lagana.
Show diacritics
Hadith Number: 812
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن عبد الله بن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" امرت ان اسجد على سبعة اعظم على الجبهة، واشار بيده على انفه واليدين والركبتين واطراف القدمين ولا نكفت الثياب والشعر".
Hum se Muali bin Asad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Taus se , unhon ne apne baap se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya mujhe saat aza par sajda karne ka hukm hua hai . Peshani par aur apne haath se naak ki taraf ishaare kiya aur donon haath aur donon ghatne aur donon paon ki ungliyon par . Is tarah ke hum na kapre sametein na baal .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السُّجُودِ عَلَى الأَنْفِ وَالسُّجُودِ عَلَى الطِّينِ:
Bab: Sajda karte hue keechad mein bhi naak zameen par lagana.
Show diacritics
Hadith Number: 813
حدثنا موسى، قال: حدثنا همام، عن يحيى، عن ابي سلمة، قال: انطلقت إلى ابي سعيد الخدري، فقلت: الا تخرج بنا إلى النخل نتحدث، فخرج، فقال: قلت: حدثني ما سمعت من النبي صلى الله عليه وسلم في ليلة القدر، قال:" اعتكف رسول الله صلى الله عليه وسلم عشر الاول من رمضان واعتكفنا معه، فاتاه جبريل، فقال: إن الذي تطلب امامك فاعتكف العشر الاوسط فاعتكفنا معه، فاتاه جبريل، فقال: إن الذي تطلب امامك، فقام النبي صلى الله عليه وسلم خطيبا صبيحة عشرين من رمضان، فقال: من كان اعتكف مع النبي صلى الله عليه وسلم فليرجع فإني اريت ليلة القدر وإني نسيتها وإنها في العشر الاواخر في وتر، وإني رايت كاني اسجد في طين وماء وكان سقف المسجد جريد النخل وما نرى في السماء شيئا، فجاءت قزعة فامطرنا فصلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم حتى رايت اثر الطين والماء على جبهة رسول الله صلى الله عليه وسلم، وارنبته تصديق رؤياه".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Humam bin Yahya ne Yahya bin Abi Kathir se byaan kiya , unhon ne Abu Salamah bin Abdur Rahman se , unhon ne byaan kiya ke main Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ki khidmat mein haazir hua . Main ne arz ki ke falan nakhlastaan mein kyun na chalen seer bhi karenge aur kuch baatein bhi karenge . Chunanchay Aap tashreef le chale . Abu Salamah ne byaan kiya ke main ne raah mein kaha ke shab qadr se mutalliq Aap ne agar kuch Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai to usay byaan kijiye . Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ramzan ke pehle ashre mein itikaf kiya aur hum bhi Aap ke saath itikaf mein baith gaye , lekin Jibreel alayhis salam ne aa kar bataya ke Aap jis ki talash mein hain (shab qadr) woh aage hai . Chunanchay Aap ne doosre ashre mein bhi itikaf kiya aur Aap ke saath hum ne bhi . Jibreel alayhis salam dobara aye aur farmaya ke Aap jis ki talash mein hain woh (raat) aage hai . Phir Aap ne beesween Ramzan ki subah ko khutba diya . Aap ne farmaya ke jis ne mere saath itikaf kiya ho woh dobara kare . Kyunke shab qadr mujhe maloom ho gayi lekin main bhool gaya aur woh aakhri ashra ki taaq raaton mein hai aur main ne khud ko keechad mein sajda karte dekha . Masjid ki chhat khajoor ki daaliyon ki thi . Mutla bilkul saaf tha ke itne mein ek patla sa baadal ka tukra aaya aur barsne laga . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hum ko namaaz parhayi aur main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki peshani aur naak par keechad ka asar dekha . Aap ka khwab sachcha ho gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عَقْدِ الثِّيَابِ وَشَدِّهَا وَمَنْ ضَمَّ إِلَيْهِ ثَوْبَهُ إِذَا خَافَ أَنْ تَنْكَشِفَ عَوْرَتُهُ:
Bab: (Namaz mein) kapron mein girah lagana aur baandhna kaisa hai aur jo shakhs sharmgah ke khul jane ke khauf se kapre ko jism se lapait le to kya hukm hai?
Show diacritics
Hadith Number: 814
حدثنا محمد بن كثير، قال: اخبرنا سفيان، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، قال:" كان الناس يصلون مع النبي صلى الله عليه وسلم وهم عاقدوا ازرهم من الصغر على رقابهم، فقيل للنساء: لا ترفعن رءوسكن حتى يستوي الرجال جلوسا".
Hum se Muhammad bin Kathir ne byaan kiya , kaha ke hamein Sufyan ne Abu Hazim Salamah bin Dinar ke wastay se khabar di , unhon ne Sahl bin Saad se , unhon ne kaha ke kuch log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath tahband chhote hone ki wajah se unhein gardanon se baandh kar namaaz parhte thay aur auraton se keh diya gaya tha ke jab tak mard achhi tarah baith na jayen tum apne saron ko (sajde se) na uthao .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَكُفُّ شَعَرًا:
Bab: Is bare mein ke namazi (sajde mein) baalon ko na semete.
Show diacritics
Hadith Number: 815
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد وهو ابن زيد، عن عمرو بن دينار، عن طاوس، عن ابن عباس، قال:" امر النبي صلى الله عليه وسلم ان يسجد على سبعة اعظم ولا يكف ثوبه ولا شعره".
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , Aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko hukm tha ke saat haddiyon par sajda karen aur baal aur kapre na sametein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَكُفُّ ثَوْبَهُ فِي الصَّلاَةِ:
Bab: Is bayan mein ke namaz mein kapra na semetna chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 816
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو عوانة، عن عمرو، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" امرت ان اسجد على سبعة لا اكف شعرا ولا ثوبا".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Awanah Waddah ne , Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne Taus se , unhon ne Ibn Abbas se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya mujhe saat haddiyon par is tarah sajda ka hukm hua hai ke na baal sametoon aur na kapre .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّسْبِيحِ وَالدُّعَاءِ فِي السُّجُودِ:
Bab: Sajde mein tasbeeh aur dua ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 817
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن سفيان، قال: حدثني منصور، عن مسلم، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، انها قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يكثر ان يقول في ركوعه وسجوده سبحانك اللهم ربنا وبحمدك اللهم اغفر لي يتاول القرآن".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne , Sufyan Thauri se , unhon ne kaha ke mujh se Mansoor bin Mutamir ne Muslim bin Subayh se byaan kiya , unhon ne Masrooq se , un se Aishah Siddiqah razi Allahu anha ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sajda aur ruku mein aksar yeh parhaya karte thay . «Subhanaka Allahumma rabbana wa bihamdika , Allahumma ighfir lee» (is dua ko parh kar) Aap Quran ke hukm par amal karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُكْثِ بَيْنَ السَّجْدَتَيْنِ:
Bab: Dono sajdon ke beech mein thehrna.
Show diacritics
Hadith Number: 818
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة ان مالك بن الحويرث قال لاصحابه: الا انبئكم صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" وذاك في غير حين صلاة، فقام ثم ركع فكبر، ثم رفع راسه فقام هنية، ثم سجد، ثم رفع راسه هنية فصلى صلاة عمرو بن سلمة شيخنا هذا، قال ايوب: كان يفعل شيئا لم ارهم يفعلونه، كان يقعد في الثالثة والرابعة.
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub Sakhtiyani se byaan kiya , unhon ne Abu Qilabah Abdullah bin Zaid se , ke Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu ne apne saathiyon se kaha ke main tumhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz kyun na sikha doon . Abu Qilabah ne kaha yeh namaaz ka waqt nahi tha (magar Aap hamein sikhane ke liye) kharay huay . Phir ruku kiya aur takbeer kahi phir sar uthaya aur thori der kharay rahe . Phir sajda kiya aur thori der ke liye sajde se sar uthaya aur phir sajda kiya aur sajde se thori der ke liye sar uthaya . Unhon ne hamare Shaykh Amr bin Salamah ki tarah namaaz parhi Ayyub Sakhtiyani ne kaha ke woh Amr bin Salamah namaaz mein ek aisi cheez kiya karte thay ke doosre logon ko is tarah karte main ne nahi dekha . Aap teesri ya chothi rakat par (sajde se farigh ho kar kharay hone se pehle) baithte thay . (yani jalsa istirahat karte thay) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 819
قال: فاتينا النبي صلى الله عليه وسلم فاقمنا عنده، فقال: لو رجعتم إلى اهليكم صلوا صلاة كذا، في حين كذا صلوا صلاة كذا، في حين كذا فإذا حضرت الصلاة فليؤذن احدكم وليؤمكم اكبركم".
(phir namaaz sikhlane ke baad Malik bin Huwayrith ne byaan kiya ke) hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huay aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ke yahan thehray rahe Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (behtar hai) tum apne gharon ko wapas jao . Dekho yeh namaaz falan waqt aur yeh namaaz falan waqt parhna . Jab namaaz ka waqt ho jaye to ek shakhs tum mein se azaan de aur jo tum mein bara ho woh namaaz parhaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 820
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، قال: حدثنا ابو احمد محمد بن عبد الله الزبيري، قال: حدثنا مسعر، عن الحكم، عن عبد الرحمن بن ابي ليلى، عن البراء، قال:" كان سجود النبي صلى الله عليه وسلم وركوعه وقعوده بين السجدتين قريبا من السواء".
Hum se Muhammad bin Abdur Raheem Saaqah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Ahmad Muhammad bin Abdullah Zubayri ne kaha ke hum se Masar bin Kidam ne Hukm Atibah Kufi se unhon ne Abdur Rahman bin Abi Layla se unhon ne Bara bin Aazib razi Allahu anhu se unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka sajda , ruku aur donon sajdon ke darmiyan baithne ki miqdaar taqreeban barabar hoti thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة