الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْقِرَاءَةِ فِي الْعَصْرِ:
Bab: Namaz-e-asr mein qira’at ka bayan.
Hadith Number: 762
حدثنا المكي بن إبراهيم، عن هشام، عن يحيى بن ابي كثير، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا في الركعتين من الظهر والعصر بفاتحة الكتاب وسورة سورة، ويسمعنا الآية احيانا".
Hum se Makki bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne Hisham Dastuwai se , unhon ne Yahya bin Abi Kathir se , unhon ne Abdullah bin Abi Qatadah se , unhon ne apne baap Abu Qatadah razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Zuhr aur Asr ki do rakaton mein Surah Fatihah aur ek ek surat parhte thay . Aur Aap salla Allahu alaihi wasallam kabhi kabhi koi aayat hamein suna bhi diya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِرَاءَةِ فِي الْمَغْرِبِ:
Bab: Namaz-e-maghrib mein qira’at ka bayan.
Hadith Number: 763
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه قال: إن ام الفضل سمعته وهو يقرا" والمرسلات عرفا، فقالت: يا بني، والله لقد ذكرتني بقراءتك هذه السورة إنها لآخر ما سمعت من رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرا بها في المغرب".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik ne Ibn Shihab se khabar di , unhon ne Muhammad bin Jubayr bin Mutim se , unhon ne apne baap (Jubayr bin Mutim) se , unhon ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Maghrib mein Surah Tur parhte huay suna tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 764
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن ابن ابي مليكة، عن عروة بن الزبير، عن مروان بن الحكم، قال: قال لي زيد بن ثابت: ما لك تقرا في المغرب بقصار، وقد سمعت النبي صلى الله عليه وسلم" يقرا بطول الطوليين".
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , kaha ke hum se Mutamir bin Sulayman ne byaan kiya apne baap se , unhon ne Bakr bin Abdullah se , unhon ne Abu Rafe se , unhon ne byaan kiya ke main ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu ke saath Isha ki namaaz parhi . Is mein Aap ne «Iza samaa unshaqqat» parhi aur sajda (tilawat) kiya . Main ne un se is ke mutalliq maloom kiya to batlaya ke main ne Abu Qasim salla Allahu alayhi wasallam ke peeche bhi (is aayat mein tilawat ka) sajda kiya hai aur zindagi bhar mein is mein sajda karoon ga , yahan tak ke main Aap salla Allahu alaihi wasallam se mil jaoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْجَهْرِ فِي الْمَغْرِبِ:
Bab: Namaz-e-maghrib mein buland awaaz se Quran parhna (chahiye).
Hadith Number: 765
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه، قال:" سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم قرا في المغرب بالطور".
Hum se Abul Waleed Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya Adi bin Thabit se , unhon ne byaan kiya ke main ne Bara bin Aazib se suna ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna . Aap salla Allahu alaihi wasallam safar mein thay ke Isha ki do pehli rakaton mein se kisi ek rakat mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne «Wat teeni waz zaytoon» parhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْجَهْرِ فِي الْعِشَاءِ:
Bab: Namaz-e-isha mein buland awaaz se Quran parhna.
Hadith Number: 766
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا معتمر، عن ابيه، عن بكر، عن ابي رافع، قال:" صليت مع ابي هريرة العتمة، فقرا: إذا السماء انشقت سورة الانشقاق آية 1، فسجد فقلت له: قال: سجدت خلف ابي القاسم صلى الله عليه وسلم فلا ازال اسجد بها حتى القاه".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha ke hum se Teemi ne Abu Bakr se , unhon ne Abu Rafe se , unhon ne kaha ke main ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu ke saath Isha parhi , Aap ne «Iza samaa unshaqqat» aur sajda kiya . Is par main ne kaha ke yeh sajda kaisa hai ? Aap ne jawab diya ke is surat mein main ne Abu Qasim salla Allahu alayhi wasallam ke peeche sajda kiya tha . Is liye main bhi hamesha is mein sajda karoon ga , yahan tak ke Aap se mil jaoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 767
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن عدي، قال: سمعت البراء،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان في سفر فقرا في العشاء في إحدى الركعتين بالتين والزيتون".
Hum se Khalad bin Yahya ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Masar bin Kidam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Adi bin Thabit ne kaha . Unhon ne Bara razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Isha mein «Wat teeni waz zaytoon» parhte suna . Main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam se zyada achhi awaaz ya achhi qiraat wala kisi ko nahi paya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِرَاءَةِ فِي الْعِشَاءِ بِالسَّجْدَةِ:
Bab: Namaz-e-isha mein sajdah ki soorah parhna.
Hadith Number: 768
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يزيد بن زريع، قال: حدثني التيمي، عن بكر، عن ابي رافع، قال:" صليت مع ابي هريرة العتمة، فقرا: إذا السماء انشقت سورة الانشقاق آية 1، فسجد فقلت: ما هذه؟ قال: سجدت بها خلف ابي القاسم صلى الله عليه وسلم فلا ازال اسجد بها حتى القاه".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne Abu Aun Muhammad bin Abdullah Thaqafi se byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Jabir bin Samurah se suna , unhon ne byaan kiya ke Amirul Momineen Umar razi Allahu anhu ne Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu se kaha ke Aap ki shikayat Kufa walon ne tamam hi baaton mein ki hai , yahan tak ke namaaz mein bhi . Unhon ne kaha ke mera amal to yeh hai ke pehli do rakaton mein qiraat lambi karta hoon aur doosri do mein mukhtasar jis tarah main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke peeche namaaz parhi thi us mein kisi qism ki kami nahi karta . Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke sach kehte ho . Tum se umeed bhi isi ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِرَاءَةِ فِي الْعِشَاءِ:
Bab: Namaz-e-isha mein qira’at ka bayan.
Hadith Number: 769
حدثنا خلاد بن يحيى، قال: حدثنا مسعر، قال: حدثنا عدي بن ثابت، سمع البراء رضي الله عنه، قال:" سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقرا: والتين والزيتون في العشاء، وما سمعت احدا احسن صوتا منه او قراءة".
Aur Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Surah Tur parhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يُطَوِّلُ فِي الأُولَيَيْنِ وَيَحْذِفُ فِي الأُخْرَيَيْنِ:
Bab: Isha ki pehli do rak’aten lambi aur aakhiri do rak’aten mukhtasar karni chahiyein.
Hadith Number: 770
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن ابي عون، قال: سمعت جابر بن سمرة، قال: قال عمر لسعد: لقد شكوك في كل شيء حتى الصلاة، قال:" اما انا فامد في الاوليين واحذف في الاخريين، ولا آلو ما اقتديت به من صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: صدقت ذاك الظن بك او ظني بك".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Siyar bin Salamah ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke main apne baap ke saath Abu Barzah Aslami Sahabi razi Allahu anhu ke paas gaya . Hum ne Aap se namaaz ke waqton ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Zuhr ki namaaz sooraj dhalne par parhte thay . Asr jab parhte to Madinah ke intehai kinaare tak ek shakhs chala jata . Lekin sooraj ab bhi baqi rehta . Maghrib ke mutalliq jo kuch Aap ne kaha woh mujhe yaad nahi raha aur Isha ke liye tehayi raat tak der karne mein koi haraj mehsoos nahi karte thay aur Aap is se pehle sone ko aur is ke baad baat cheet karne ko naapasand karte thay . Jab namaaz subah se farigh hote to har shakhs apne qareeb baithe huay ko pehchaan sakta tha . Aap donon rakaton mein ya ek mein saath se le kar sau tak aayatein parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِرَاءَةِ فِي الْفَجْرِ:
Bab: Namaz-e-fajr mein Quran Shareef parhna.
Hadith Number: Q771
وقالت ام سلمة: قرا النبي صلى الله عليه وسلم بالطور
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Ismail bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hamein Abdul Malik ibn Jurayj ne khabar di , kaha ke mujhe Ata bin Abi Rabah ne khabar di ke unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se suna , woh farmate thay ke har namaaz mein Quran Majeed ki tilawat ki jayegi . Jin mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamein Quran sunaya tha hum bhi tumhein un mein sunayen ge aur jin namazon mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aahista qiraat ki hum bhi un mein aahista hi qiraat karenge aur agar Surah Fatihah hi parho jab bhi kaafi hai , lekin agar zyada parh lo to aur behtar hai .