الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب من لم ير الوضوء إلا من المخرجين، من القبل والدبر:
Bab: Is bare mein ke ba’z logon ke nazdeek sirf peshab aur pakhanah ki raah se kuch nikalne se wudu tootta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 176
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يزال العبد في صلاة ما كان في المسجد ينتظر الصلاة، ما لم يحدث"، فقال رجل اعجمي: ما الحدث يا ابا هريرة؟ قال: الصوت يعني الضرطة.
Hum se Adam bin Abi Iyaas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn-e-Abi Zi’b ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sa’eed Al-Maqburi ne bayan kiya, woh Abu Hurairah se riwayat karte hain, woh kehte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke bandah us waqt tak Namaz hi mein rehta hai jab tak woh Masjid mein Namaz ka intezaar karta hai. Taa-waqt-ye-ki woh hadas na kare. Ek ’ajami aadmi ne poocha ke aye Abu Hurairah! Hadas kya cheez hai? Unhon ne farmaaya ke hawa jo peeche se khaarij ho. (Jise ’urf-e-aam mein goz maarna kehte hain).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 445
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه الذي صلى فيه، ما لم يحدث تقول: اللهم اغفر له اللهم ارحمه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya ke kaha humein Malik ne Abul Zinad se , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab tak tum apne musalle par jahan tum ne namaz parhi thi , baithe raho aur riyah kharij na karo to malaika tum par barabar darood bhejte rehte hain . Kehte hain Allahumma ighfir lahu Allahumma irhamhu aye Allah! is ki maghfirat kijiye , aye Allah! is par reham kijiye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 477
حدثنا مسدد، قال: حدثنا ابو معاوية، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"صلاة الجميع تزيد على صلاته في بيته، وصلاته في سوقه خمسا وعشرين درجة، فإن احدكم إذا توضا فاحسن واتى المسجد لا يريد إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفعه الله بها درجة وحط عنه خطيئة حتى يدخل المسجد، وإذا دخل المسجد كان في صلاة ما كانت تحبسه وتصلي يعني عليه الملائكة ما دام في مجلسه الذي يصلي فيه، اللهم اغفر له اللهم ارحمه ما لم يحدث فيه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Abu Muawiya ne Amash ke wastay se , unhon ne Abu Saleh Dhakwan se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , jamaat ke sath namaz parhne mein ghar ke andar ya bazaar dukan waghera mein namaz parhne se pachees guna sawab zyada milta hai . Kyunke jab koi shakhs tum mein se wudu kare aur is ke aadab ka lihazz rakhe phir masjid mein sirf namaz ki gharz se aaye to is ke har qadam par Allah Taala ek darja is ka buland karta hai aur ek gunah is se maaf karta hai . Is tarah woh masjid ke andar aaye ga . Masjid mein aane ke baad jab tak namaz ke intizar mein rahe ga . Isay namaz hi ki halat mein shumar kiya jaye ga aur jab tak is jagah baitha rahe ga jahan is ne namaz parhi hai to farishtay is ke liye rehmat khudawandi ki duayen karte hain Allahumma ighfir lahu , Allahumma irhamhu aye Allah! is ko bakhsh de , aye Allah! is par reham kar . Jab tak ke riyah kharij kar ke woh farishton ko takleef na de .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 566
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، ان عائشة اخبرته، قالت:" اعتم رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة بالعشاء، وذلك قبل ان يفشو الإسلام، فلم يخرج، حتى قال عمر: نام النساء والصبيان فخرج، فقال لاهل المسجد: ما ينتظرها احد من اهل الارض غيركم".
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth ne Aqeel ke wastay se bayan kiya , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne Urwah se ke Aisha raziyallahu anha ne unhein khabar di ke ek raat Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne isha ki namaz der se parhi . Yeh Islam ke phelnay se pehle ka waqia hai . Aap salla Allahu alaihi wa sallam is waqt tak bahar tashreef nahi laye jab tak Umar raziyallahu anhu ne yeh na farmaya ke auraten aur bache sab so gaye . Pas aap salla Allahu alaihi wa sallam tashreef laye aur farmaya ke tumhare ilawa duniya mein koi bhi insaan is namaz ka intizar nahi karta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 572
حدثنا عبد الرحيم المحاربي، قال: حدثنا زائدة، عن حميد الطويل، عن انس، قال:" اخر النبي صلى الله عليه وسلم صلاة العشاء إلى نصف الليل، ثم صلى، ثم قال: قد صلى الناس وناموا، اما إنكم في صلاة ما انتظرتموها"، وزاد ابن ابي مريم اخبرنا يحيى بن ايوب، حدثني حميد، سمع انسا كاني انظر إلى وبيص خاتمه ليلتئذ.
Hum se Abdur Raheem Muharibi ne bayan kiya , kaha hum se Zaida ne Humaid Taweel se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne ek din isha ki namaz aadhi raat gaye parhi . Aur farmaya ke doosre log namaz parh kar so gaye honge . Yani doosri masajid mein parhne wale musalman aur tum log jab tak namaz ka intizar karte rahe goya sare waqt namaz hi parhte rahe . Ibn Maryam ne is mein yeh zyada kiya ke humein Yahya bin Ayyub ne khabar di . Kaha mujh se Humaid Taweel ne bayan kiya , unhon ne Anas raziyallahu anhu se yeh suna , goya is raat aap ki anguthi ki chamak ka naqsha is waqt bhi meri nazron ke samne chamak raha hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 600
حدثنا عبد الله بن الصباح، قال: حدثنا ابو علي الحنفي، حدثنا قرة بن خالد، قال: انتظرنا الحسن، وراث علينا حتى قربنا من وقت قيامه فجاء، فقال: دعانا جيراننا هؤلاء، ثم قال: قال انس بن مالك: انتظرنا النبي صلى الله عليه وسلم ذات ليلة حتى كان شطر الليل يبلغه، فجاء فصلى لنا ثم خطبنا، فقال:" الا إن الناس قد صلوا ثم رقدوا، وإنكم لم تزالوا في صلاة ما انتظرتم الصلاة"، قال الحسن: وإن القوم لا يزالون بخير ما انتظروا الخير، قال قرة: هو من حديث انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Sabah ne bayan kiya , kaha hum se Abu Ali Ubaidullah Hanafi ne , kaha hum se Qurra bin Khalid Sadoosi ne , unhon ne kaha ke ek din Hassan Basri rahimahullah ne bari der ki . Aur hum aap ka intizar karte rahe . Jab un ke uthne ka waqt qareeb ho gaya to aap aaye aur butor mazrat farmaya ke mere un parosion ne mujhe bula liya tha is liye der ho gayi phir batlaya ke Anas bin Malik raziyallahu anhu ne kaha tha ke hum ek raat Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ka intizar karte rahe . Taqreeban aadhi raat ho gayi to aap salla Allahu alaihi wa sallam tashreef laye , phir humein namaz parhayi . Is ke baad khutba diya . Pas aap ne farmaya ke doosron ne namaz parh li aur so gaye . Lekin tum log jab tak namaz ke intizar mein rahe ho goya namaz hi ki halat mein rahe ho . Imam Hassan Basri rahimahullah ne farmaya ke agar log kisi khair ke intizar mein baithe rahen to woh bhi khair ki halat hi mein hain . Qurra bin Khalid ne kaha ke Hassan ka yeh qaul bhi Anas raziyallahu anhu ki hadees ka hai jo unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 647
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا الاعمش، قال: سمعت ابا صالح، يقول: سمعت ابا هريرة، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" صلاة الرجل في الجماعة تضعف على صلاته في بيته وفي سوقه خمسا وعشرين ضعفا، وذلك انه إذا توضا فاحسن الوضوء، ثم خرج إلى المسجد لا يخرجه إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفعت له بها درجة وحط عنه بها خطيئة، فإذا صلى لم تزل الملائكة تصلي عليه ما دام في مصلاه، اللهم صل عليه اللهم ارحمه، ولا يزال احدكم في صلاة ما انتظر الصلاة".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Wahid ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Amash ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Abu Saleh se suna , unhon ne kaha ke main ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aadmi ki jamaat ke saath namaaz ghar mein ya bazaar mein parhne se pachees darja zyada behtar hai . Wajah yeh hai ke jab ek shakhs wuzu karta hai aur us ke tamam aadab ko malhooz rakh kar achhi tarah wuzu karta hai phir masjid ka raasta pakarta hai aur siwa namaaz ke aur koi doosra irada us ka nahi hota , to har qadam par us ka ek darja barhta hai aur ek gunah maaf kiya jata hai aur jab namaaz se farigh ho jata hai to farishtay us waqt tak us ke liye barabar duayen kartay rehtay hain jab tak woh apne musallay par baitha rahe . Kehtay hain «Allahumma salli alayhi , Allahumma irhamhu» Aye Allah! is par apni rehmaten naazil farma . Aye Allah! is par rehm kar aur jab tak tum namaaz ka intizaar kartay raho goya tum namaaz hi mein mashghool ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 648
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، وابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" تفضل صلاة الجميع، صلاة احدكم وحده بخمس وعشرين جزءا، وتجتمع ملائكة الليل وملائكة النهار في صلاة الفجر"، ثم يقول ابو هريرة: فاقرءوا إن شئتم: إن قرءان الفجر كان مشهودا سورة الإسراء آية 78.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shoaib ne , unhon ne kaha hum se Zuhri ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Saeed bin Musayyab aur Abu Salama bin Abdur Rahman ne khabar di ke Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alayhi wasallam se suna Aap salla Allahu alayhi wasallam ne farmaya ke jamaat se namaaz akele parhne se pachees darja zyada behtar hai . Aur raat din ke farishtay Fajr ki namaaz mein jama hotay hain . Phir Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne farmaya ke agar tum parhna chaho to (Surah Bani Israel) ki yeh aayat parho «Inna quraanal fajri kaana mashhooda» yani Fajr mein Quran Paak ki tilawat par farishtay haazir hotay hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 659
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:"الملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه ما لم يحدث اللهم اغفر له اللهم ارحمه، لا يزال احدكم في صلاة ما دامت الصلاة تحبسه، لا يمنعه ان ينقلب إلى اهله إلا الصلاة".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya Imam Malik se , unhon ne Abuz Zinad se , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke malaika tum mein se us namazi ke liye us waqt tak yun dua kartay rehtay hain . Jab tak (namaaz parhne ke baad) woh apne musallay par baitha rahe «Allahumma ighfir lahu , Allahumma irhamhu» ke aye Allah! is ki maghfirat kar . Aye Allah! is par rehm kar . Tum mein se woh shakhs jo sirf namaaz ki wajah se ruka hua hai . Ghar jane se siwa namaaz ke aur koi cheez us ke liye maani nahi , to us ka (yeh saara waqt) namaaz hi mein shumaar ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 661
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن حميد، قال:" سئل انس، هل اتخذ رسول الله صلى الله عليه وسلم خاتما؟، فقال: نعم، اخر ليلة صلاة العشاء إلى شطر الليل، ثم اقبل علينا بوجهه بعد ما صلى، فقال: صلى الناس ورقدوا ولم تزالوا في صلاة منذ انتظرتموها"، قال: فكاني انظر إلى وبيص خاتمه.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke hum se Ismail bin Jafar ne byaan kiya Humayd Taweel se , unhon ne kaha ke Anas bin Malik razi Allahu anhu se darkhwast kiya gaya ke kya Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne koi angoothi pehni hai ? Aap ne farmaya ke haan! ek raat Isha ki namaaz mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aadhi raat tak der ki . Namaaz ke baad hamari taraf mutawajjah huay aur farmaya , log namaaz parh kar so chuke hon ge . Aur tum log us waqt tak namaaz hi ki haalat mein thay jab tak tum namaaz ka intizaar kartay rahe . Anas razi Allahu anhu ne farmaya jaise us waqt main Aap salla Allahu alaihi wasallam ki angoothi ki chamak dekh raha hoon (yani Aap salla Allahu alaihi wasallam ki angoothi ki chamak ka sama meri aankhon mein hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 848
وقال لنا آدم، حدثنا شعبة، عن ايوب، عن نافع، قال: كان ابن عمر يصلي في مكانه الذي صلى فيه الفريضة وفعله القاسم ويذكر عن ابي هريرة رفعه لا يتطوع الإمام في مكانه ولم يصح.
Aur hum se Aadam bin Abi Iyaas ne kaha ke un se Shubah ne byaan kiya un se Ayyub Sakhtiyani ne un se Nafi ne , farmaya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma (nafl) usi jagah par parhte thay aur jis jagah farz parhte aur Qasim bin Muhammad bin Abi Bakr ne bhi isi tarah kiya hai aur Abu Hurayrah razi Allahu anhu se marfooan riwayat hai ke imam apni (farz parhne ki) jagah par nafl na parhe aur yeh sahi nahi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2119
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" صلاة احدكم في جماعة تزيد على صلاته في سوقه، وبيته، بضعا وعشرين درجة، وذلك بانه إذا توضا فاحسن الوضوء، ثم اتى المسجد، لا يريد إلا الصلاة، لا ينهزه إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفع بها درجة، او حطت عنه بها خطيئة، والملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه الذي يصلي فيه: اللهم صل عليه، اللهم ارحمه، ما لم يحدث فيه ما لم يؤذ فيه، وقال احدكم في صلاة ما كانت الصلاة تحبسه".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Jareer ne bayan kiya, un se Amash ne, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jama'at ke sath kisi ki namaz bazaar mein ya apne ghar mein namaz parhne se darjon mein kuch oopar bees darjay zyada fazeelat rakhti hai. Kyunke jab ek shakhs achi tarah wuzu karta hai phir masjid mein sirf namaz ke irada se aata hai. Namaz ke siwa aur koi cheez usay le jane ka ba'is nahi banti to jo bhi qadam wo utthata hai is se ek darja is ka buland hota hai ya is ki wajah se ek gunah is ka maaf hota hai aur jab tak ek shakhs apne musalle par baitha rehta hai jis par is ne namaz parhi hai to farishte barabar is ke liye rahmat ki duaien yun karte rehte hain «Allahumma salli alaihi, Allahumma-ar-hamhu» ”Ae Allah! is par apni rahmatien nazil farma, ae Allah is par raham farma.“ Ye is waqt tak hota rehta hai jab tak wo wuzu torr kar farishton ko takleef na pohanchaye jitni dair tak bhi aadmi namaz ki wajah se ruka rehta hai wo sab namaz hi mein shumar hota hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3229
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا محمد بن فليح، حدثنا ابي، عن هلال بن علي، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن احدكم في صلاة ما دامت الصلاة تحبسه والملائكة، تقول: اللهم اغفر له وارحمه ما لم يقم من صلاته او يحدث".
Hum se Ibrahim Bin-ul-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Falih ne bayan kiya, un se mere baap ne bayan kiya, un se Hilal Bin Ali ne, un se Abdur Rahman Bin Abi Amra ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Koi shakhs namaz ki wajah se jab tak kahin thehra rahega us ka ye sara waqt namaz mein shumar hoga aur Malaika us ke liye ye dua karte raheinge ke Ae Allah! Is ki maghfirat farma, aur is par apni rehmat nazil kar (is waqt tak) jab tak wo namaz se farigh ho kar apni jagah se uth na jaye ya baat na kare."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4717
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، وابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" فضل صلاة الجميع على صلاة الواحد خمس وعشرون درجة، وتجتمع ملائكة الليل وملائكة النهار في صلاة الصبح". يقول ابو هريرة: اقرءوا إن شئتم وقرءان الفجر إن قرءان الفجر كان مشهودا سورة الإسراء آية 78.
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq bin Hammam ne byaan kiya , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Abu Salamah bin Abdur Rahman bin Auf aur Saeed bin Musayyab aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tanha namaz parhne ke muqable mein jama'at se namaz parhne ki fazeelat pachees guna zyada hai aur subah ki namaz mein raat ke aur din ke farishte ikathe ho jate hain . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke agar tumhara jee chahe to yeh aayat parh lo «wa qur-aanal fajri inna qur-aanal fajri kana mash-hoodan» yani Fajr mein qirat e Quran zyada kiya karo kyunke yeh namaz farishton ki haziri ka waqt hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5869
حدثنا عبدان، اخبرنا يزيد بن زريع، اخبرنا حميد، قال: سئل انس هل اتخذ النبي صلى الله عليه وسلم خاتما؟ قال: اخر ليلة صلاة العشاء إلى شطر الليل، ثم اقبل علينا بوجهه فكاني انظر إلى وبيص خاتمه، قال:" إن الناس قد صلوا وناموا وإنكم لم تزالوا في صلاة ما انتظرتموها".
Hum se Abdan ne bayan kiya , kaha hum ko Yazid bin Zuray ne khabar di , kaha hum ko Humayd ne khabar di , kaha unhon ne ke Anas razi Allahu anhu se poochha gaya kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne angoothi banwayi thi ? Unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek raat Isha ki namaz aadhi raat mein parhayi . Phir chehra mubarak hamari taraf kiya , jaise ab bhi main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki angoothi ki chamak dekh raha hoon . Farmaya ke bahut se log namaz parh kar so chuke hon ge lekin tum is waqt bhi namaz mein ho jab tak tum namaz ka intizar karte rahe ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة