الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَيُحَذِّرُكُمُ اللَّهُ نَفْسَهُ}:
Allah Taala ka (Surat Aal-e-Imran mein) irshaad "aur Allah apni zaat se tumhein daraata hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7404
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لما خلق الله الخلق كتب في كتابه وهو يكتب على نفسه وهو وضع عنده على العرش: إن رحمتي تغلب غضبي".
Hum se Abdan ne bayan kiya, in se Abu Hamza ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Salih ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab Allah Ta'ala ne makhlooq ko paida kiya to apni kitab mein usay likha, us ne apni zaat ke mutalliq bhi likha aur yeh ab bhi arsh par likha hua maujood hai «in-na rahmatee taghlibu ghazhabee» ke ”meri rahmat meere ghazhab par ghalib hai.““


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7405
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، سمعت ابا صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يقول الله تعالى:" انا عند ظن عبدي بي، وانا معه إذا ذكرني، فإن ذكرني في نفسه ذكرته في نفسي، وإن ذكرني في ملإ ذكرته في ملإ خير منهم، وإن تقرب إلي بشبر تقربت إليه ذراعا، وإن تقرب إلي ذراعا تقربت إليه باعا، وإن اتاني يمشي اتيته هرولة".
Hum se Umar bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne, kaha hum se Aamash ne, kaha main ne Abu Salih se suna aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala farmata hai ke main apne bande ke guman ke saath hoon aur jab woh mujhe apne dil mein yaad karta hai to main bhi usay apne dil mein yaad karta hoon aur jab woh mujhe majlis mein yaad karta hai to main usay is se behtar farishton ki majlis mein usay yaad karta hoon aur agar woh mujh se ek balisht qareeb aata hai to main is se ek hath qareeb ho jata hoon aur agar woh mujh se ek hath qareeb aata hai to main is se do hath qareeb ho jata hoon aur agar woh meri taraf chal kar aata hai to main is ke paas dour kar aa jata hoon.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {كُلُّ شَيْءٍ هَالِكٌ إِلاَّ وَجْهَهُ}:
Allah Taala ka (Surat Al-Qasas mein) irshaad "Allah ke munh ke siwa tamam cheezen mit jaane wali hain".
Show diacritics
Hadith Number: 7406
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو، عن جابر بن عبد الله، قال:" لما نزلت هذه الآية قل هو القادر على ان يبعث عليكم عذابا من فوقكم سورة الانعام آية 65، قال النبي صلى الله عليه وسلم: اعوذ بوجهك، فقال: او من تحت ارجلكم سورة الانعام آية 65، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اعوذ بوجهك، قال: او يلبسكم شيعا سورة الانعام آية 65، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: هذا ايسر".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Hammad ne bayan kiya, in se Amr ne aur in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke jab yeh aayat nazil hui «qul huwal-qaadiru alaaa ay-yab-asa alaikum azhaabam-min fauqikum» ”Aap keh dijiye ke woh qadir hai is par ke tum par tumhare oopar se azab nazil kare.“ To Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kaha ”main tere munh ki panah maangta hoon.“ Phir aayat ke yeh alfaz nazil huay «au min tahti arjulikum» ”woh tumhare oopar se tum par azab nazil kare ya tumhare paon ke neeche se azab aa jaye.“ To Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne phir yeh dua ki ke main tere munh ki panah chahta hoon. Phir yeh aayat nazil hui «au yalbisakum shiy-an» ”ya tumhein firqa-bandi mein mubtala kar de (ke yeh bhi azab ki qism hai)“ to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh aasaan hai ba-nisbat agle azabon ke.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَلِتُصْنَعَ عَلَى عَيْنِي} تُغَذَّى:
Allah Taala ka (Surat Taha mein) Musa alaihis-salaam se farmana ke "meri aankhon ke saamne tu parwarish paaye".
Show diacritics
Hadith Number: Q7407
وقوله جل ذكره: {تجري باعيننا}.
Allah Ta'ala ka irshad (Surah al-Qamar mein) «tajree bi-a-yuninaa» ”Nooh ki kashti hamari aankhon ke samne pani par teir rahi ku.“


Show diacritics
Hadith Number: 7407
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، عن عبد الله، قال: ذكر الدجال عند النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" إن الله لا يخفى عليكم، إن الله ليس باعور، واشار بيده إلى عينه، وإن المسيح الدجال اعور العين اليمنى كان عينه عنبة طافية".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Juwayriyah ne bayan kiya, in se Nafi ne bayan kiya aur in se Abdullah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas Dajjal ka zikr hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein achhi tarah maloom hai ke Allah kaana nahi hai aur Aap ne hath se apni aankh ki taraf isharah kiya aur Dajjal Maseeh ki dayein aankh kaani ho gi, jaise is ki aankh par angoor ka ek utha hua dana ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7408
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، اخبرنا قتادة، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما بعث الله من نبي إلا انذر قومه الاعور الكذاب إنه اعور، وإن ربكم ليس باعور مكتوب بين عينيه كافر".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hamako Qatadah ne khabar di, kaha main ne Anas razi Allahu anhu se suna aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ne jitne Nabi bheije in sab ne jhoote kaane Dajjal se apni qaum ko daraya, woh Dajjal kaana ho ga aur tumhara Rabb (aankhon wala hai) kaana nahi hai, is Dajjal ki donon aankhon ke darmiyan likha hua ho ga (lafz) Kaafir.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ: {هُوَ اللَّهُ الْخَالِقُ الْبَارِئُ الْمُصَوِّرُ}:
Allah Taala ka (Surat Al-Hashr mein) irshaad "wahi Allah har cheez ka paida karne wala aur har cheez ka naqsha khenchne wala hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7409
حدثنا إسحاق، حدثنا عفان، حدثنا وهيب، حدثنا موسى هو ابن عقبة، حدثني محمد بن يحيى بن حبان، عن ابن محيريز، عن ابي سعيد الخدري في غزوة بني المصطلق انهم اصابوا سبايا، فارادوا ان يستمتعوا بهن ولا يحملن النبي صلى الله عليه وسلم عن العزل؟، فقال:" ما عليكم ان لا تفعلوا فإن الله قد كتب من هو خالق إلى يوم القيامة" وقال مجاهد، عن قزعة، سمعت ابا سعيد، فقال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليست نفس مخلوقة إلا الله خالقها".
Hum se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Affan ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Musa bin Uqbah ne bayan kiya, kaha mujh se Muhammad bin Yahya bin Habban ne bayan kiya, in se Ibn Muhaireez ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Ghazwa e Banu al-Mustaliq mein unhein baandiyan ghaneemat mein milein to unhon ne chaha ke in se hum-bistari karein lekin hamal na thehre. Chunanche logon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se azhal ke mutalliq poochha: to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum azhal bhi karo to koi qabahat nahi magar Qayamat tak jis jaan ke mutalliq Allah Ta'ala ne paida hona likh diya hai woh zaroor paida ho kar rahe gi (is liye tumhara azhal karna bekar hai). Aur Mujahid ne Qaza-a se bayan kiya ke unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi bhi jaan jo paida honi hai, Allah Ta'ala zaroor usay paida kar ke rahe ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {لِمَا خَلَقْتُ بِيَدَيَّ}:
Allah Taala ne (shaitaan se) farmaya "tu ne is ko kyun sajda nahin kiya jisay mein ne apne dono haathon se banaya".
Show diacritics
Hadith Number: 7410
حدثني معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يجمع الله المؤمنين يوم القيامة، كذلك فيقولون: لو استشفعنا إلى ربنا حتى يريحنا من مكاننا هذا، فياتون آدم، فيقولون: يا آدم، اما ترى الناس، خلقك الله بيده، واسجد لك ملائكته، وعلمك اسماء كل شيء، اشفع لنا إلى ربنا حتى يريحنا من مكاننا هذا، فيقول: لست هناك ويذكر لهم خطيئته التي اصابها ولكن ائتوا نوحا، فإنه اول رسول بعثه الله إلى اهل الارض، فياتون نوحا، فيقول: لست هناكم ويذكر خطيئته التي اصاب ولكن ائتوا إبراهيم خليل الرحمن، فياتون إبراهيم، فيقول: لست هناكم ويذكر لهم خطاياه التي اصابها ولكن ائتوا موسى عبدا آتاه الله التوراة وكلمه تكليما، فياتون موسى، فيقول: لست هناكم ويذكر لهم خطيئته التي اصاب ولكن ائتوا عيسى عبد الله ورسوله وكلمته وروحه فياتون عيسى، فيقول: لست هناكم ولكن ائتوا محمدا صلى الله عليه وسلم عبدا غفر له ما تقدم من ذنبه وما تاخر، فياتوني، فانطلق، فاستاذن على ربي، فيؤذن لي عليه، فإذا رايت ربي وقعت له ساجدا، فيدعني ما شاء الله ان يدعني، ثم يقال لي: ارفع محمد، وقل يسمع، وسل تعطه، واشفع تشفع، فاحمد ربي بمحامد علمنيها، ثم اشفع، فيحد لي حدا، فادخلهم الجنة، ثم ارجع، فإذا رايت ربي وقعت ساجدا، فيدعني ما شاء الله ان يدعني، ثم يقال: ارفع محمد، وقل يسمع، وسل تعطه، واشفع تشفع، فاحمد ربي بمحامد علمنيها ربي ثم اشفع، فيحد لي حدا فادخلهم الجنة، ثم ارجع، فإذا رايت ربي وقعت ساجدا، فيدعني ما شاء الله ان يدعني، ثم يقال: ارفع محمد، قل يسمع، وسل تعطه، واشفع تشفع، فاحمد ربي بمحامد علمنيها ثم اشفع، فيحد لي حدا فادخلهم الجنة، ثم ارجع، فاقول: يا رب، ما بقي في النار إلا من حبسه القرآن ووجب عليه الخلود، قال النبي صلى الله عليه وسلم: يخرج من النار من قال: لا إله إلا الله وكان في قلبه من الخير ما يزن شعيرة، ثم يخرج من النار من قال: لا إله إلا الله وكان في قلبه من الخير ما يزن برة، ثم يخرج من النار من قال: لا إله إلا الله وكان في قلبه ما يزن من الخير ذرة".
Mujh se Maaz bin Fazhala ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Dastawai ne, unhon ne Qatadah bin Da-aama se, unhon ne Anas razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala Qayamat ke din isi tarah jaise hum duniya mein jama hote hain, momino ko ikat-tha kare ga (woh garmi waghaira se pareshan ho kar) kahein ge kaash hum kisi ki sifarish apne maalik ke paas le jaate taake hamain apni is halat se aaram milta. Chunanche sab mil kar Adam alaihissalam ke paas aayein ge. In se kahein ge Adam! Aap logon ka haal nahi dekhte kis bala mein giriftar hain. Aap ko Allah Ta'ala ne (khaas) apne hath se banaya aur farishton se Aap ko sajda karaya aur har cheez ke naam Aap ko batlaye (har lughat mein bolna baat karna sikh-laya) kuch sifarish kijiye taake hum logon ko is jagah se najat ho kar aaram mile. Kahein ge main is laiq nahi, un ko woh gunah yaad aa jaye ga jo unhon ne kiya thu (mamnoo darakht mein se khana). (Woh kahein ge) magar tum log aisa karo Nooh alaihissalam Paighambar ke paas jao woh pehle Paighambar hain jin ko Allah Ta'ala ne zameen walon ki taraf bheija thu. Aakhir woh log sab Nooh alaihissalam ke paas aayein ge, woh bhi yahi jawab dein ge, main is laiq nahi apni khata jo unhon ne (duniya mein) ki thi yaad karein ge. Kahein ge tum log aisa karo Paighambar Ibrahim alaihissalam ke paas jao jo Allah ke khaleel hain (log in ke paas jayein ge) woh bhi apni khatayein yaad kar ke kahein ge main is laiq nahi tum Musa alaihissalam Paighambar ke paas jao Allahne un ko Tauraat inayat farmayi, in se bol kar baatein kien. Yeh log Musa alaihissalam ke paas aayein ge woh bhi yahi kahein ge main is laiq nahi apni khata jo unhon ne duniya mein ki ku yaad karein ge magar tum aisa karo Esa alaihissalam Paighambar ke paas jao woh Allah ke bande, us ke Rasool, us ke khaas kalma aur khaas rooh hain. Yeh log Esa alaihissalam ke paas aayein ge woh kahein ge main is laiq nahi tum aisa karo Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke paas jao woh Allah ke aise bande hain jin ki agli pichhli khatayein sab bakhsh di gayi hain. Aakhir yeh sab log jama ho kar meere paas aayein ge. Main chaloon ga aur apne Parvardigar ki bargah mein hazir hone ki ijazat maangoon ga, mujhko ijazat mile gi. Main apne Parvardigar ko dekhte hi sajde mein gir paroon ga aur jab tak us ko manzhur hai woh mujhko sajde hi mein para rehne de ga. Is ke baad hukm ho ga ”Muhammad salla Allahu alaihi wasallam apna sar uthao aur arz karo tumhari arz suni jaye gi tumhari darkhast manzhur ho gi, tumhari sifarish maqbool ho gi is waqt main apne maalik ki aaisi aaisi tareefein karoon ga jo woh mujhko sikha chuka hai. (ya sikh-laye ga) phir logon ki sifarish shuru kar doon ga. Sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jaye gi. Main un ko bahisht mein le jaoon ga, phir laut kar apne Parvardigar ke paas hazir hoon ga aur usay dekhte hi sajde mein gir paroon ga jab tak Parvardigar chahe ga mujhko sajde hi mein para rehne de ga. Is ke baad irshad ho ga ”Muhammad apna sar uthao jo tum kaho ge suna jaye ga aur sifarish karo ge to qabool ho gi phir main apne Parvardigar ki aaisi tareefein karoon ga jo Allahne mujhko sikh-layien (ya sikh-laye ga) is ke baad sifarish kar doon ga lekin sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jaye gi. Main un ko bahisht mein le jaoon ga phir laut kar apne Parvardigar ke paas hazir hoon ga usay dekhte hi sajde mein gir paroon ga jab tak Parvardigar chahe ga mujhko sajde hi mein para rehne de-ga. Is ke baad irshad ho ga Muhammad apna sar uthao jo tum kaho ge suna jaye ga aur sifarish karo ge to qabool ho gi phir main apne Parvardigar ki aaisi tareefein karoon ga jo Allahne mujhko sikh-layien (ya sikh-laye ga) is ke baad sifarish shuru kar doon ga lekin sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jaye gi. Main un ko bahisht mein le jaoon ga phir laut kar apne Parvardigar ke paas hazir hoon ga. Arz karoon ga: ya paak Parvardigar! ab to dozakh mein aise hi log reh gaye hain jo Quran ke bamujib dozakh hi mein hamesha rehne ke laiq hain (yani kafir aur mushrik). Anas razi Allahu anhu ne kaha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke dozakh se woh log nikaal liye jayein ge jinon ne (duniya mein) Laa ilaaha illallaah kaha ho ga aur in ke dil mein ek jau barabar iman ho ga phir woh log bhi nikaal liye jayein ge jinon ne Laa ilaaha illallaah kaha ho ga aur in ke dil mein gehoon barabar iman ho ga. (Gehoon jau se chhota hota hai) phir woh bhi nikaal liye jayein ge jinon ne Laa ilaaha illallaah kaha ho ga aur in ke dil mein cheenty barabar (ya bhangey barabar) iman ho ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7411
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يد الله ملاى لا يغيضها نفقة سحاء الليل والنهار، وقال: ارايتم ما انفق منذ خلق السموات والارض فإنه لم يغض ما في يده، وقال: عرشه على الماء وبيده الاخرى الميزان يخفض ويرفع".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan ki kaha hamako Shuayb ne khabar di, kaha hamase Abu al-Zinad ne bayan kiya, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah ka hath bhara hua hai, usay raat din ki bakhshish bhi kam nahi karti, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kiya tumhein maloom hai ke jab us ne aasman o zameen paida kiye hain us ne kitna kharch kiya hai us ne bhi is mein koi kami nahi paida ki jo is ke hath mein hai aur farmaya ke is ka arsh pani par hai aur is ke doosre hath mein tarazu hai, jise woh jhukata aur uthata rehta hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7412
حدثنا مقدم بن محمد بن يحيى، قال: حدثني عمي القاسم بن يحيى، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إن الله يقبض يوم القيامة الارض وتكون السموات بيمينه، ثم يقول: انا الملك"، رواه سعيد، عن مالك.
Hum se Muqad-dam bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se hamare chacha Qasim bin Yahya ne bayan kiya, in se Ubaidullah ne bayan kiya, in se Nafi ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat ke din zameen is ki mut-thi mein ho gi aur aasman is ke dahne hath mein ho ga, phir kahe ga ke main badshah hoon.“ Is ki riwayat Saeed ne Malik se ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة