الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {إِنَّ رَحْمَةَ اللَّهِ قَرِيبٌ مِنَ الْمُحْسِنِينَ}:
Allah Taala ke is irshaad ke baare mein rawaayaat ke "bilashuba Allah ki rehmat neko kaaron se qareeb hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7449
حدثنا عبيد الله بن سعد بن إبراهيم، حدثنا يعقوب، حدثنا ابي، عن صالح بن كيسان، عن الاعرج، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اختصمت الجنة والنار إلى ربهما، فقالت الجنة: يا رب، ما لها لا يدخلها إلا ضعفاء الناس وسقطهم، وقالت النار: يعني اوثرت بالمتكبرين، فقال الله تعالى للجنة: انت رحمتي، وقال للنار: انت عذابي، اصيب بك من اشاء ولكل واحدة منكما ملؤها، قال: فاما الجنة فإن الله لا يظلم من خلقه احدا وإنه ينشئ للنار من يشاء، فيلقون فيها، فتقول: هل من مزيد سورة ق آية 30 ثلاثا حتى يضع فيها قدمه، فتمتلئ ويرد بعضها إلى بعض وتقول: قط قط قط".
Hum se Ubaidullah bin Saad bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne, kaha mujh se meere walid ne, in se Salih bin Kaysan ne, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jannat wa dozakh ne apne Rabb ke huzoor mein jhagra kiya. Jannat ne kaha: Ae Rabb! kiya haal hai ke mujh mein kamzor aur gire pare log hi dakhil hon ge aur dozakh ne kaha ke mujh mein to dakhla ke liye mutakab-biron ko khaas kar diya gaya hai. Is par Allah Ta'ala ne jannat se kaha ke tu meri rahmat hai aur jahannum se kaha ke tu mera azab hai. Tere zariye main jise chahta hoon is mein mubtala karta hoon aur tum mein se har ek ki bharti hone wali hai. Kaha ke jahan tak jannat ka talluq hai to Allah apni makhlooq mein kisi par zhulm nahi kare ga aur dozakh ki is tarah se ke Allah apni makhlooq mein se jis ko chahe ga dozakh ke liye paida kare ga woh is mein daali jaye gi is ke baad bhi dozakh kahe gi aur kuch makhlooq hai (main abhi khali hoon) teen baar aisa hi ho ga, aakhir Parvardigar apna paon is mein rakh de ga, is waqt woh bhar jaye gi, ek par ek ulat kar simat jaye gi, kehne lage gi bas bas bas main bhar gayi.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7450
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ليصيبن اقواما سفع من النار بذنوب اصابوها عقوبة، ثم يدخلهم الله الجنة بفضل رحمته، يقال لهم: الجهنميون"، وقال همام: حدثنا قتادة، حدثنا انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Hafs bin Umar Haudhi ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Dastawai ne bayan kiya, in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kuch log in gunahon ki wajah se jo unhon ne kiye hon ge, aag se jhulsa jayein ge yeh in ki saza ho gi. Phir Allah apni rahmat se unhein jannat mein dakhil kare ga aur unhein «jahannumiy-yoona» kaha jaye ga.“ Aur Humam ne bayan kiya, in se Qatadah ne, in se Anas razi Allahu anhune Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam se yahi hadees bayan ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {إِنَّ اللَّهَ يُمْسِكُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ أَنْ تَزُولاَ}:
Allah Taala ka (Surat Faatir mein) yeh farmaan ke "bilashuba Allah aasmanon aur zameen ko thaame hue hai woh apni jagah se tal nahin sakte".
Show diacritics
Hadith Number: 7451
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، قال:" جاء حبر إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا محمد إن الله يضع السماء على إصبع، والارض على إصبع، والجبال على إصبع، والشجر والانهار على إصبع، وسائر الخلق على إصبع، ثم يقول بيده: انا الملك، فضحك رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال: وما قدروا الله حق قدره سورة الانعام آية 91.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Ibrahim ne, in se Alqama ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhune ke ek Yahudi aalim Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas aane aur kaha: Ae Muhammad! Qayamat ke din Allah Ta'ala aasmanon ko ek ungli par, zameen ko ek ungli par, paharon ko ek ungli par, darakht aur neharon ko ek ungli par aur tamam makhlooqat ko ek ungli par rakkhe ga. Phir apne hath se isharah kar ke kahe ga ke main hi badshah hoon. Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam hans diye aur yeh aayat parhi «wa maa qadarul-laaha haq-qa qadrihee» (jo Surah al-Zumar mein hai).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا جَاءَ فِي تَخْلِيقِ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَغَيْرِهَا مِنَ الْخَلاَئِقِ:
Aasmanon aur zameen aur dusri makhlooq ke paida karne ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q7452
وهو فعل الرب تبارك وتعالى وامره، فالرب بصفاته وفعله وامره وكلامه وهو الخالق المكون غير مخلوق، وما كان بفعله وامره وتخليقه وتكوينه فهو مفعول مخلوق مكون.
Aur yeh paida karna Allah Tabarak wa Ta'ala ka ek fail aur is ka amar hai. Pas Allah Rabb-ul-Izzat apni sifaat, apne fail aur apne amar samait khaliq hai, wahi banane wala hai aur ghair-makhlooq hai aur jo cheez bhi is ke fail, is ke amar, is ki takh-leeq aur is ki tak-ween se bani hain woh sab makhlooq aur mukaw-wan hain.


Show diacritics
Hadith Number: 7452
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، اخبرني شريك بن عبد الله بن ابي نمر، عن كريب، عن ابن عباس، قال: بت في بيت ميمونة ليلة، والنبي صلى الله عليه وسلم عندها لانظر كيف صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم بالليل، فتحدث رسول الله صلى الله عليه وسلم مع اهله ساعة، ثم رقد، فلما كان ثلث الليل الآخر او بعضه قعد، فنظر إلى السماء، فقرا: إن في خلق السموات والارض إلى قوله لاولي الالباب سورة آل عمران آية 190، ثم قام، فتوضا واستن، ثم صلى إحدى عشرة ركعة، ثم اذن بلال بالصلاة، فصلى ركعتين ثم خرج، فصلى للناس الصبح".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, in se Abu al-Zinad ne, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairyah razi Allahu anhune ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab Allah Ta'ala makhlooq ko paida kar chuka to arsh ke oopar apne paas yeh likha ke meri rahmat meere ghussa se aage barh gayi hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ تَعَالَى: {وَلَقَدْ سَبَقَتْ كَلِمَتُنَا لِعِبَادِنَا الْمُرْسَلِينَ}:
Allah Taala ka farmaan (Surat As-Saaffaat mein) ke "hum to pehle hi apne bheje hue bandon ke baab mein yeh farma chuke hain ke ek roz un ki madad ho gi aur hamara hi lashkar ghaalib ho ga".
Show diacritics
Hadith Number: 7453
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: لما قضى الله الخلق كتب عنده فوق عرشه إن رحمتي سبقت غضبي".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne bayan kiya, unhon ne kaha hamako Muhammad bin Jafar ne khabar di, unhon ne kaha mujhe Shareek bin Abdullah bin Abi Namr ne khabar di, unhein Kuraib ne aur in se Ibn Abbas raziAllahu anhuma ne bayan kiya ke ek raat main ne Umm al-Momineen Maimoona razi Allahu anha ke ghar guzaari is raat Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam unhi ke paas thay. Mera maqsud raat mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaz dekhna thu. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne thori der to apni ahliya ke saath baat-cheet ki phir so gaye. Jab raat ka aakhri tihayi hissa ya baaz hissa baqi reh gaya to Aap uth baithe aur aasman ki taraf dekh kar yeh aayat parhi «in-na fee khal-qis-samaawaati wal-ardhi» ”bilashubha aasmanon aur zameen ki paidaish mein aql rakhne walon ke liye nishaniyaan hain“ phir uth kar Aap ne wuzu kiya aur miswak ki, phir gyarah raka-tein parhien, phir Bilal razi Allahu anhune namaz ke liye azan di aur Aap ne do rakaat namaz parhi, phir bahar aa gaye aur logon ko subah ki namaz parhayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7454
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الاعمش، سمعت زيد بن وهب، سمعت عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو الصادق المصدوق:" ان خلق احدكم يجمع في بطن امه اربعين يوما، او اربعين ليلة، ثم يكون علقة مثله، ثم يكون مضغة مثله، ثم يبعث إليه الملك، فيؤذن باربع كلمات، فيكتب رزقه، واجله، وعمله، وشقي ام سعيد، ثم ينفخ فيه الروح فإن احدكم ليعمل بعمل اهل الجنة حتى لا يكون بينها وبينه إلا ذراع، فيسبق عليه الكتاب، فيعمل بعمل اهل النار، فيدخل النار، وإن احدكم ليعمل بعمل اهل النار حتى ما يكون بينها وبينه إلا ذراع، فيسبق عليه الكتاب، فيعمل عمل اهل الجنة، فيدخلها".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Aamash ne bayan kiya, unhon ne kaha Zayd bin Wahb se suna aur unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhuse suna ke hamase Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bayan farmaya jo sadiq wa musad-diq hain ke insan ka nutfa maan ke pait mein chalis din aur raaton tak jama rehta hai phir woh khoon ki phatki ban jata hai, phir woh gosht ka lothra ho jata hai phir is ke baad farishta bheija jata hai aur usay char cheezon ka hukm hota hai. Chunanche woh is ki rozi, is ki maut, is ka amal aur yeh ke woh bad-bakht hai ya naik-bakht likh laita hai. Phir is mein rooh phoonkta hai aur tum mein se ek shakhs jannat walon ke se amal karta hai aur jab is ke aur jannat ke darmiyan sirf ek hath ka farq reh jata hai to is ki taqdeer ghalib aati hai aur woh dozakh walon ke amal karne lagta hai aur dozakh mein dakhil hota hai. Isi tarah ek shakhs dozakh walon ke amal karta hai aur jab is ke aur dozakh ke darmiyan sirf ek balisht ka fasila reh jata hai to taqdeer ghalib aati hai aur jannat walon ke kaam karne lagta hai, phir jannat mein dakhil hota hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7455
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا عمر بن ذر، سمعت ابي يحدث، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يا جبريل ما يمنعك ان تزورنا اكثر مما تزورنا، فنزلت وما نتنزل إلا بامر ربك له ما بين ايدينا وما خلفنا سورة مريم آية 64 إلى آخر الآية قال: كان هذا الجواب لمحمد صلى الله عليه وسلم.
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Amr bin Zharr ne bayan kiya, kaha hum ne apne walid Zharr bin Abdullah se suna, woh Saeed bin Jubayr se bayan karte thay aur woh Ibn Abbas raziAllahu anhuma se ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ae Jibrail! Aap ko hamare paas is se zyada aane mein kiya rukawat hai jitna Aap aate rehte hain? Is par yeh aayat nazil hui «wa maa natanaz-zalu il-laaa bi-amree rab-bik, lahoo maa baina aideena wa maa khalfanaa» ”aur hum nazil nahi hote lekin Aap ke Rabb ke hukm se, isi ka hai woh sab kuch jo hamare samne hai aur jo hamare peeche hai“ al-aaya. Bayan kiya ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ko yahi jawab aayat mein utra.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7456
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، قال:" كنت امشي مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في حرث بالمدينة وهو متكئ على عسيب، فمر بقوم من اليهود، فقال بعضهم لبعض: سلوه عن الروح؟ وقال بعضهم: لا تسالوه عن الروح، فسالوه، فقام متوكئا على العسيب وانا خلفه، فظننت انه يوحى إليه، فقال: ويسالونك عن الروح قل الروح من امر ربي وما اوتيتم من العلم إلا قليلا سورة الإسراء آية 85، فقال بعضهم لبعض: قد قلنا لكم لا تسالوه".
Hum se Yahya bin Jafar ne bayan kiya, kaha hum se Waki bin Jarrah ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Ibrahim Nakhai ne, in se Alqama ne aur in se Ibn Masood razi Allahu anhune ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Madinah ke ek khet mein ja raha thu aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ek khajoor ki chhari par tika laite jaate thay. Phir Aap Yahudiyon ki ek jama'at se guzre to in mein se baaz ne baaz se kaha ke in se rooh ke mutalliq poochho aur baaz ne kaha ke is ke mutalliq mat poochho. Aakhir unhon ne poochha to Aap chhari par tek laga kar khare ho gaye aur main Aap ke peeche thu. Main ne samajh liya ke Aap par wahi nazil ho rahi hai. Chunanche Aap ne yeh aayat parhi «wa yas-aloonaka an-ir-roohi qul-ir-roohu min amree rab-bee wa maaa ooteetum-minal-ilmi il-laa qaleelan» ”aur log Aap se rooh ke mutalliq poochte hain, keh dijiye ke rooh meere Rabb ke amar se aur tumhein ilm bahut thora diya gaya hai.“ Is par baaz Yahudiyon ne apne saathiyon se kaha ke hum ne kaha na thu ke mat poochho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7457
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" تكفل الله لمن جاهد في سبيله لا يخرجه إلا الجهاد في سبيله وتصديق كلماته بان يدخله الجنة او يرجعه إلى مسكنه الذي خرج منه مع ما نال من اجر او غنيمة".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, in se Abu al-Zinad ne, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairyah razi Allahu anhune ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis shakhs ne Allah ke raaste mein jihad kiya aur is ke liye nikalne ka maqsud is ke raaste mein jihad aur is ke kalam ki tasdeeq ke siwa aur kuch nahi thu to Allah is ka zhaamin hai ke usay jannat mein dakhil kare (agar woh shaheed ho gaya) ya sawab aur maal e ghaneemat ke saath usay wahien wapas lautaye jahan se woh aaya thu.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة