الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْعُرَفَاءِ لِلنَّاسِ:
Logon ke chaudhri ya naqeeb banana.
Hadith Number: 7177
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، حدثني إسماعيل بن إبراهيم، عن عمه موسى بن عقبة، قال ابن شهاب: حدثني عروة بن الزبير، انمروان بن الحكم، والمسور بن مخرمة، اخبراه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال حين اذن لهم المسلمون في عتق سبي هوازن:" إني لا ادري من اذن منكم ممن لم ياذن، فارجعوا حتى يرفع إلينا عرفاؤكم امركم، فرجع الناس، فكلمهم عرفاؤهم، فرجعوا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاخبروه ان الناس قد طيبوا واذنوا".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail bin Ibrahim ne bayan kiya, un se un ke chacha Musa bin Uqba ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Urwa bin Zubair ne bayan kiya aur unhein Marwan bin Hakam aur Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhum ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne, jab musalmanon ne qabila-e-Hawazin ke qaidiyoon ko ijazat di to farmaya ke mujhe nahi maloom ke tum mein se kis ne ijazat di hai aur kis ne nahi di hai. Pas wapas jao aur tumhara maamla hamare paas tumhare naqeeb ya chaudhry aur tumhare sardar layein. Chunancha log wapas chale gaye aur un ke zimmedaron ne un se baat ki aur phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko aa kar ittela di ke logon ne dili khushi se ijazat de di hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنْ ثَنَاءِ السُّلْطَانِ، وَإِذَا خَرَجَ قَالَ غَيْرَ ذَلِكَ:
Badshah ke saamne munh dar munh khushamad karna, peeth peechhe us ko bura kehna mana hai.
Hadith Number: 7178
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عاصم بن محمد بن زيد بن عبد الله بن عمر، عن ابيه، قال اناس لابن عمر: إنا ندخل على سلطاننا، فنقول لهم خلاف ما نتكلم إذا خرجنا من عندهم، قال:" كنا نعدها نفاقا".
`Hum se Abu Nu'aim Fazl bin Dukain ne bayan kiya, kaha hum se Aasim bin Muhammad bin Zaid bin Abdullah bin Umar ne, aur un se un ke walid ne ke kuch logon ne Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne kaha ke hum apne hakimoon ke paas jate hain aur un ke haqq mein wo baatein kehte hain ke bahar aane ke baad hum is ke khilaf kehte hain. Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne kaha ke hum ise nifaq kehte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7179
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن عراك، عن ابي هريرة، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:"إن شر الناس ذو الوجهين، الذي ياتي هؤلاء بوجه وهؤلاء بوجه".
`Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Yazid bin Abi Habib ne, un se Irak ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke bad-tareen wo shakhs do-rukha hai, kisi ke samne is ka ek rukh hota hai aur doosre ke samne doosra rukh bart-ta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَضَاءِ عَلَى الْغَائِبِ:
Ek tarafa faisla karne ka bayaan.
Hadith Number: 7180
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، ان هندا، قالت للنبي صلى الله عليه وسلم: إن ابا سفيان رجل شحيح فاحتاج ان آخذ من ماله، قال:" خذي ما يكفيك وولدك بالمعروف".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, unhein Hisham ne, unhein un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne ke Hind ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kaha ke (un ke shohar) Abu Sufyan bakheel hain aur mujhe un ke maal mein se lene ki zaroorat hoti hai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke dastoor ke mutabiq itna le liya karo jo tumhare aur tumhare bachon ke liye kafi ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ قُضِيَ لَهُ بِحَقِّ أَخِيهِ فَلاَ يَأْخُذْهُ، فَإِنَّ قَضَاءَ الْحَاكِمِ لاَ يُحِلُّ حَرَامًا وَلاَ يُحَرِّمُ حَلاَلاً:
Agar kisi shakhs ko haakim dusre Musalman bhai ka maal na-haq dila de to us ko na le kyunke haakim ke faisle se na haraam halaal ho sakta hai na halaal haraam ho sakta hai.
Hadith Number: 7181
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان زينب بنت ابي سلمة اخبرته، ان ام سلمة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، اخبرتها، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه" سمع خصومة بباب حجرته فخرج إليهم، فقال: إنما انا بشر وإنه ياتيني الخصم، فلعل بعضكم ان يكون ابلغ من بعض، فاحسب انه صادق فاقضي له بذلك، فمن قضيت له بحق مسلم، فإنما هي قطعة من النار فلياخذها، او ليتركها".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Urwa bin Zubair ne khabar di, unhein Zainab bint Abi Salama ne khabar di aur unhein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zauja Umm-e-Salama Radi Allahu Anha ne khabar di. Aap ne apne hujre ke darwaze par jhagde ki aawaz suni to bahar un ki taraf nikle. Phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein bhi ek insan hoon aur mere paas log muqaddame le kar aate hain. Mumkin hai un mein se ek fareeq doosre fareeq se bolne mein zyada umda ho aur mein yaqeen kar loon ki wahi saccha hai aur is tarah is ke muwafiq faisla kar doon. Pas jis shakhs ke liye bhi mein kisi musalman ka haqq dila doon to wo jahannum ka ek tukda hai wo chahe ise le ya chhod de, mein is ko dar-haqiqat dozakh ka ek tukda dila raha hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7182
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، انها قالت: كان عتبة بن ابي وقاص عهد إلى اخيه سعد بن ابي وقاص ان ابن وليدة زمعة مني فاقبضه إليك، فلما كان عام الفتح اخذه سعد، فقال ابن اخي: قد كان عهد إلي فيه فقام إليه عبد بن زمعة، فقال: اخي وابن وليدة ابي ولد على فراشه، فتساوقا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال سعد: يا رسول الله، ابن اخي كان عهد إلي فيه، وقال عبد بن زمعة: اخي وابن وليدة ابي ولد على فراشه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هو لك يا عبد بن زمعة، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: الولد للفراش، وللعاهر الحجر، ثم قال لسودة بنت زمعة: احتجبي منه لما راى من شبهه بعتبة، فما رآها حتى لقي الله تعالى".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Urwa bin Zubair ne aur un se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zauja-e-mutahhara Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Utba bin Abi Waqas ne apne bhai Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu ko yeh wasiyyat ki thi ke Zam'a ki laundi (ka larka) mera hai. Tum ise apni parwarish mein le lena. Chunancha Fatah-e-Makkah ke din Saad Radi Allahu Anhu ne ise le liya aur kaha ke yeh mere bhai ka larka hai aur mujhe is ke baare mein unhon ne wasiyyat ki thi, phir Abd bin Zam'a khade hue aur kaha ke yeh mera bhai, mere walid ki laundi ka larka hai aur unhi ke firash par paida hua. Chunancha yeh donon Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas pahunche. Saad Radi Allahu Anhu ne kaha ke ya Rasul Allah! mere bhai ka larka hai, unhon ne mujhe is ki wasiyyat ki thi aur Abd bin Zam'a ne kaha ke mera bhai hai, mere walid ki laundi ka larka hai aur unhi ke firash par paida hua. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Abd bin Zam'a! yeh tumhara hai, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke baccha firash ka hota hai aur zaani ke liye patthar hai. Phir Aap ne Sawda bint Zam'a Radi Allahu Anhu se kaha ke is larke se parda kiya karo kyunke Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne larke ki Utba se mushabihat dekh li thi. Chunancha us ne Sawda Radi Allahu Anha ko maut tak nahi dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحُكْمِ فِي الْبِئْرِ وَنَحْوِهَا:
Kunwen aur is jaisi cheezon ke muqaddamaat faisla karna.
Hadith Number: 7183
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا سفيان، عن منصور، والاعمش، عن ابي وائل، قال: قال عبد الله، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يحلف على يمين صبر يقتطع مالا وهو فيها فاجر إلا لقي الله وهو عليه غضبان، فانزل الله: إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا سورة آل عمران آية 77.
`Hum se Ishaq bin Nafr ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, unhein Mansoor aur A'mash ne, un se Abu Wa'il ne bayan kiya ke Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jo shakhs aisi qasam khaye jo jhooti ho jis ke zariya wo kisi doosre ka maal maar le to Allah se wo is haal mein mile ga ke wo is par gazab-naak ho ga.“ Phir Allah Ta'ala ne yeh ayat (is ki tasdeeq mein) nazil farmayi «Innallazeena yashtaroona bi'ahdi-llahi wa aimanihim samanan qaleela» ”Bilashuba jo log Allah ke ahd aur is ki qasamoon ko thodi poonji ke badle khareedte hain“ al-Ayah.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7184
فجاء الاشعث، وعبد الله يحدثهم، فقال: في نزلت وفي رجل خاصمته في بئر، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: الك بينة، قلت: لا، قال: فليحلف، قلت: إذا يحلف، فنزلت: إن الذين يشترون بعهد الله سورة آل عمران آية 77.
Itne mein Ash'as Radi Allahu Anhu bhi aa gaye. Abhi Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu un se hadees bayan kar hi rahe thay. Unhon ne kaha ke mere hi baare mein yeh ayat nazil hui thi aur ek shakhs ke baare mein mera un se kunwein ke baare mein jhagda hua to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne (mujh se) kaha ke tumhare paas koi gawahi hai? Mein ne kaha ke nahi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke phir fareeq-e-mukhalif ki qasam par faisla ho ga. Mein ne kaha ke phir to yeh (jhooti) qasam kha le ga. Chunancha ayat «Innallazeena yashtaroona bi'ahdi-llahi» ”Bilashuba jo log Allah ke ahd ko“ ilkh nazil hui.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَضَاءِ فِي كَثِيرِ الْمَالِ وَقَلِيلِهِ:
Na-haq maal udane mein jo wa'eed hai woh thode aur bohot dono maalon ko shaamil hai.
Hadith Number: Q7185
وقال ابن عيينة عن ابن شبرمة القضاء في قليل المال وكثيره سواء
Aur Ibn Uyaina ne bayan kiya, un se Shubruma (Kufa ke qazi) ne ke dawa thoda ho ya bahut sab ka faisla yaksan hai.
Hadith Number: 7185
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني عروة بن الزبير، ان زينب بنت ابي سلمة، اخبرته، عن امها ام سلمة، قالت: سمع النبي صلى الله عليه وسلم جلبة خصام عند بابه، فخرج عليهم، فقال:" إنما انا بشر وإنه ياتيني الخصم، فلعل بعضا ان يكون ابلغ من بعض اقضي له بذلك واحسب انه صادق، فمن قضيت له بحق مسلم فإنما هي قطعة من النار فلياخذها، او ليدعها".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Urwa bin Zubair ne, unhein Zainab bint Abi Salama Radi Allahu Anha ne khabar di, un se un ki walida Umm-e-Salama Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne apne darwaze par jhagda karne walon ki aawaz suni aur un ki taraf nikle. Phir un se farmaya ke mein tumhare hi jaisa insan hoon, mere paas log muqaddama le kar aate hain, mumkin hai ek fareeq doosre se zyada umda bolne wala ho aur mein is ke liye is haqq ka faisla kar doon aur yeh samjhoon ke mein ne faisla sahih kiya hai (halanke wo sahih na ho) to jis ke liye mein kisi musalman ka haqq ka faisla kar doon to bilashuba yeh faisla jahannum ka ek tukda hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة