الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ هَلْ يَجُوزُ لِلْحَاكِمِ أَنْ يَبْعَثَ رَجُلاً وَحْدَهُ لِلنَّظَرِ فِي الأُمُورِ:
Kya haakim ke liye jaiz hai ke woh kisi ek shakhs ko muamlaat ki dekh bhaal ke liye bheje.
Show diacritics
Hadith Number: 7194
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابي هريرة، وزيد بن خالد الجهني، قالا:" جاء اعرابي، فقال: يا رسول الله، اقض بيننا بكتاب الله، فقام خصمه، فقال: صدق، فاقض بيننا بكتاب الله، فقال الاعرابي: إن ابني كان عسيفا على هذا، فزنى بامراته، فقالوا لي: على ابنك الرجم، ففديت ابني منه بمائة من الغنم ووليدة، ثم سالت اهل العلم، فقالوا: إنما على ابنك جلد مائة وتغريب عام، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: لاقضين بينكما بكتاب الله، اما الوليدة والغنم فرد عليك وعلى ابنك جلد مائة وتغريب عام، واما انت يا انيس لرجل فاغد على امراة هذا، فارجمها"، فغدا عليها انيس، فرجمها.
`Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zi'b ne bayan kiya, kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Abdullah ne aur un se Abu Hurairah aur Zaid bin Khalid Juhani Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke ek dehati aaye aur arz kiya: ya Rasul Allah! hamara faisla Kitab Allah ke mutabiq kar dijiye. Phir doosre fareeq khade hue aur unhon ne bhi kaha ke yeh sahih kehte hain, hamara faisla Kitab Allah se kar dijiye. Phir dehati ne kaha mera larka is shakhs ke yahan mazdoor tha, phir us ne is ki biwi ke saath zina kar liya to logon ne mujh se kaha ke tumhare larke ka hukm ise rajm karna hai lekin mein ne apne larke ki taraf se sau bakriyon aur ek baandi ka fidya de diya. Phir mein ne ahl-e-ilm se poocha to unhon ne kaha ke tumhare larke ko sau kode maare jayein ge aur ek saal ke liye shehar badar ho ga. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein tumhare darmiyan Allah ki kitab ke mutabiq faisla karoon ga. Baandi aur bakriyan to tumhein wapas milein gi aur tere larke ki saza sau kode aur ek saal ke liye jala watan hona hai aur Unais (jo ek sahabi thay) se farmaya ke tum is ki biwi ke paas jao aur ise rajm karo. Chunancha Unais Radi Allahu Anhu is ke paas gaye aur ise rajm kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَرْجَمَةِ الْحُكَّامِ، وَهَلْ يَجُوزُ تُرْجُمَانٌ وَاحِدٌ:
Haakim ke saamne mutarjim ka rehna aur kya ek hi shakhs tarjumani ke liye kaafi hai.
Show diacritics
Hadith Number: 7195
وقال خارجة بن زيد بن ثابت عن زيد بن ثابت، ان النبي صلى الله عليه وسلم امره ان يتعلم كتاب اليهود حتى كتبت للنبي صلى الله عليه وسلم كتبه واقراته كتبهم إذا كتبوا إليه، وقال عمر وعنده علي وعبد الرحمن، وعثمان ماذا تقول هذه، قال عبد الرحمن بن حاطب، فقلت تخبرك بصاحبها الذي صنع بها، وقال ابو جمرة: كنت اترجم بين ابن عباس وبين الناس، وقال بعض الناس لا بد للحاكم من مترجمين
`Kharija bin Zaid bin Sabit ne apne walid Zaid bin Sabit Radi Allahu Anhu se bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne hukm diya ke Yahudiyoon ki tahreer seekhein, yahan tak ke mein Yahudiyoon ke naam Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke khutoat likhta tha aur jab Yahudi Aap ko likhte to un ke khutoat Aap ko parh kar sunata tha. Umar Radi Allahu Anhu ne Abdur Rahman bin Hatib se poocha, is waqt un ke paas Ali, Abdur Rahman aur Usman Radi Allahu Anhum bhi maujood thay ke yeh laundi kya kehti hai? Abdur Rahman bin Hatib ne kaha ke Ameerul Momineen yeh Aap ko is ke mutalliq batati hai jis ne is ke saath zina kiya hai. (jo Yargoos naam ka gulam tha) aur Abu Jamra ne kaha ke mein Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma aur logon ke darmiyan tarjumani karta tha aur baaz logon (Imam Muhammad aur Imam Shafi'i) ne kaha ke hakim ke liye do tarjumoon ka hona zaroori hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7196
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني عبيد الله بن عبد الله، ان عبد الله بن عباس اخبره، ان ابا سفيان بن حرب اخبره،" ان هرقل ارسل إليه في ركب من قريش، ثم قال لترجمانه: قل لهم إني سائل هذا فإن كذبني فكذبوه، فذكر الحديث، فقال للترجمان: قل له: إن كان ما تقول حقا فسيملك موضع قدمي هاتين".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di unhein Zuhri ne, unhein Ubaidullah bin Abdullah ne khabar di aur unhein Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne khabar di ke Abu Sufyan bin Harb ne unhein khabar di ke Heraclius ne unhein Quraish ki ek jamaat ke saath bula bheja, phir apne tarjuman se kaha, un se kaho ke mein un ke baare mein poochon ga. Agar yeh mujh se jhoot baat kahe to ise jhutla dein. Phir poori hadees bayan ki is se kaho ke agar tumhari baatein sahih hain to wo shakhs is mulk ka bhi ho jaye ga jo is waqt mere qadmon ke neeche hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مُحَاسَبَةِ الإِمَامِ عُمَّالَهُ:
Imaam ka apne aamilon se hisaab talab karna.
Show diacritics
Hadith Number: 7197
حدثنا محمد، اخبرنا عبدة، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن ابي حميد الساعدي، ان النبي صلى الله عليه وسلم" استعمل ابن الاتبية على صدقات بني سليم، فلما جاء إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم وحاسبه، قال: هذا الذي لكم وهذه هدية اهديت لي، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: فهلا جلست في بيت ابيك وبيت امك حتى تاتيك هديتك إن كنت صادقا؟، ثم قام رسول الله صلى الله عليه وسلم، فخطب الناس، وحمد الله واثنى عليه، ثم قال: اما بعد، فإني استعمل رجالا منكم على امور مما ولاني الله، فياتي احدكم، فيقول: هذا لكم وهذه هدية اهديت لي، فهلا جلس في بيت ابيه وبيت امه حتى تاتيه هديته إن كان صادقا، فوالله لا ياخذ احدكم منها شيئا، قال هشام: بغير حقه إلا جاء الله يحمله يوم القيامة، الا فلاعرفن ما جاء الله رجل ببعير له رغاء، او ببقرة لها خوار، او شاة تيعر، ثم رفع يديه حتى رايت بياض إبطيه الا هل بلغت".
`Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Abda bin Sulaiman ne khabar di, un se Hisham bin Urwa ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se Abu Humaid Sa'idi ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Ibn al-Lutbiyya ko Bani Sulaim ke sadqa ki wasooli ke liye aamil banaya. Jab wo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke paas (wasooli kar ke) aaye aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un se hisab talab farmaya to unhon ne kaha yeh to Aap logon ka hai aur yeh mujhe hadiya mein diya gaya hai. Is par Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke phir tum apne maan baap ke ghar kyun na baithe rahe, agar tum sacche ho to wahan bhi tumhare paas hadiya aata. Phir Aap khade hue aur logon ko khutba diya. Aap ne hamd o sana ke baad farmaya, Amma ba'du! mein kuch logon ko baaz un kaamon ke liye aamil banata hoon jo Allah Ta'ala ne mujhe saunpe hain, phir tum mein se koi ek aata hai aur kehta hai ke yeh maal tumhara hai aur yeh hadiya hai jo mujhe diya gaya hai. Agar wo saccha hai to phir kyun na wo apne baap ya apni maan ke ghar mein baitha raha taake wahin is ka hadiya pahunch jata. Pas Allah ki qasam! tum mein se koi agar is maal mein se koi cheez le ga. Hisham ne aage ka mazmoon is tarah bayan kiya ke bila haqq ke to qayamat ke din Allah Ta'ala ise is tarah laye ga ke wo is ko uthaye hue ho ga. Aagah ho jao ke mein ise pehchan loon ga jo Allah ke paas wo shakhs le kar aaye ga, oont jo aawaz nikal raha ho ga ya gaye jo apni aawaz nikal rahi ho gi ya bakri jo apni aawaz nikal rahi ho gi. Phir Aap ne apne haath uthaye yahan tak ke mein ne Aap ke baghlon ki safaidi dekhi aur farmaya kya mein ne pahuncha diya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بِطَانَةِ الْإِمَامِ وَأَهْلِ مَشُورَتِهِ الْبِطَانَةُ الدُّخَلَاءُ:
Imaam ka khaas musheer jisay "bitaana" bhi kehte hain yani raaz daar dost.
Show diacritics
Hadith Number: 7198
حدثنا اصبغ، اخبرنا ابن وهب، اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي سعيد الخدري، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما بعث الله من نبي، ولا استخلف من خليفة إلا كانت له بطانتان: بطانة تامره بالمعروف وتحضه عليه، وبطانة تامره بالشر وتحضه عليه، فالمعصوم من عصم الله تعالى"، وقال سليمان، عن يحيى، اخبرني ابن شهاب بهذا، وعن ابن ابي عتيق، وموسى، عن ابن شهاب، مثله، وقال شعيب، عن الزهري: حدثني ابو سلمة، عن ابي سعيد، قوله، وقال الاوزاعي، ومعاوية بن سلام: حدثني الزهري، حدثني ابو سلمة، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال ابن ابي حسين، وسعيد بن زياد، عن ابي سلمة، عن ابي سعيد، قوله، وقال عبيد الله بن ابي جعفر، حدثني صفوان، عن ابي سلمة، عن ابي ايوب، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم.
`Hum se Asbagh ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Wahb ne khabar di, unhein Yunus ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Abu Salama ne aur unhein Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Allah ne jab bhi koi Nabi bheja ya kisi ko khalifa banaya to is ke saath do rafeeq thay ek to unhein naiki ke liye kehta aur is par ubharta aur doosra unhein burayi ke liye kehta aur is par ubharta. Pas masoom wo hai jise Allah bachaye rakkhe.“ Aur Sulaiman bin Bilal ne is hadees ko Yahya bin Said Ansari se riwayat kiya, kaha mujh ko Ibn Shihab ne khabar di (is ko Ismaili ne wasal kiya) aur Ibn Abi Ateeq aur Musa bin Uqba se bhi, in donon ne Ibn Shihab se yahi hadees (is ko Baihaqi ne wasal kiya) aur Shuaib bin Abi Hamza ne Zuhri se yun riwayat ki, mujh se Abu Salama ne bayan kiya, unhon ne Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se un ka qaul (yaani hadees ko mauqoofun naql kiya) aur Imam Awza'i aur Muawiya bin Salam ne kaha, mujh se Zuhri ne bayan kiya, kaha mujh se Abu Salama bin Abdur Rahman ne, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se, unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se aur Abdullah bin Abdur Rahman bin Abi Husain aur Said bin Ziyad ne is ko Abu Salama se riwayat kiya ‘, unhon ne Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se mauqoofun (yaani Abu Said ka qaul) aur Abdullah bin Abi Jafar ne kaha, mujh se Safwan bin Saleem ne bayan kiya, unhon ne Abu Salama se, unhon ne Abu Ayub se, kaha mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَيْفَ يُبَايِعُ الإِمَامُ النَّاسَ:
Imaam logon se kin baaton par baayat le?
Show diacritics
Hadith Number: 7199
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن يحيى بن سعيد، قال: اخبرني عبادة بن الوليد، اخبرني ابي، عن عبادة بن الصامت، قال:" بايعنا رسول الله صلى الله عليه وسلم على السمع والطاعة في المنشط والمكره.
`Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Yahya bin Said ne, unhon ne kaha ke mujh ko Ubada bin al-Waleed ne khabar di, unhein un ke walid ne khabar di, un se Ubada bin Samit Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se Aap ki sunne aur ita'at karne ki bai'at ki, khushi aur na-khushi donon halatoon mein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7200
وان لا ننازع الامر اهله، وان نقوم او نقول بالحق حيثما كنا، لا نخاف في الله لومة لائم".
Aur is shart par ke jo shakhs sardari ke layiq ho ga (maslan Quraish mein se ho aur shara par qaim ho) is ki sardari qabool kar lein ge is se jhagda na karein aur yeh ke hum haqq ko le kar khade hon ge ya haqq baat kahein ge jahan bhi hon aur Allah ke raste mein malamat karne wale ki malamat ki parwah na karein ge.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7201
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا حميد، عن انس رضي الله عنه،" خرج النبي صلى الله عليه وسلم في غداة باردة والمهاجرون، والانصار يحفرون الخندق، فقال:" اللهم إن الخير خير الآخره فاغفر للانصار والمهاجره، فاجابوا نحن الذين بايعوا محمدا على الجهاد ما بقينا ابدا.
`Hum se Umar bin Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Khalid bin Haris ne bayan kiya, unhon ne hum se Hamid ne bayan kiya aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم sardi mein subah ke waqt bahar nikle aur Muhajireen aur Ansar khandaq khod rahe thay, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Allah! khair to Aakhirat hi ki khair hai. Pas Ansar o Muhajireen ki magfirat kar de.“ Is ka jawab logon ne diya ke hum wo hain jinhon ne Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم se jihad par bai'at ki hai hamesha ke liye jab tak wo zinda hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7202
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" كنا إذا بايعنا رسول الله صلى الله عليه وسلم على السمع والطاعة، يقول لنا: فيما استطعتم".
`Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Abdullah bin Dinar ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke jab hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se sunne aur ita'at karne ki bai'at karte to Aap hum se farmate ke jitni tumhein taqat ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7203
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، حدثنا عبد الله بن دينار، قال: شهدت ابن عمر حيث اجتمع الناس على عبد الملك، قال:" كتب اني اقر بالسمع والطاعة لعبد الله عبد الملك امير المؤمنين على سنة الله وسنة رسوله ما استطعت، وإن بني قد اقروا بمثل ذلك".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Sufyan ne, un se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya kaha ke mein is waqt Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ke paas maujood tha jab sab log Abdul Malik bin Marwan se bai'at ke liye jama ho gaye. Bayan kiya ke unhon ne Abdul Malik ko likha ke ”Mein sunne aur ita'at karne ka iqrar karta hoon Abdullah Abdul Malik Ameerul Momineen ke liye Allah ke deen aur is ke Rasul ki sunnat ke mutabiq jitni bhi mujh mein quwwat ho gi aur yeh ke mere larke bhi is ka iqrar karte hain.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة