الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ:
...
Hadith Number: 7222
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عبد الملك، سمعت جابر بن سمرة، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" يكون اثنا عشر اميرا، فقال كلمة لم اسمعها، فقال ابي، إنه قال: كلهم من قريش".
`Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Ghandar Muhammad bin Jafar ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba bin Hajjaj ne bayan kiya, un se Abdul Malik bin Umair ne, unhon ne Jabir bin Samura Radi Allahu Anhu se suna ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke (meri ummat mein) baara ameer hon ge, phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne koi aisi baat farmayi jo mein ne nahi suni, baad mein mere walid ne bataya ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh farmaya ke wo sab ke sab Quraish khandan se hon ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7223

بَابُ إِخْرَاجِ الْخُصُومِ وَأَهْلِ الرِّيَبِ مِنَ الْبُيُوتِ بَعْدَ الْمَعْرِفَةِ:
Jhagda aur fisq o fujoor karne walon ko maloom hone ke baad gharon se nikaalna.
Hadith Number: Q7224
وقد اخرج عمر اخت ابي بكر حين ناحت.
Umar Radi Allahu Anhu ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu ki behn (Umm-e-Farwa) ko is waqt (ghar se) nikal diya tha jab wo (Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu par) noha kar rahi theen.
Hadith Number: 7224
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" والذي نفسي بيده لقد هممت ان آمر بحطب يحتطب، ثم آمر بالصلاة فيؤذن لها، ثم آمر رجلا فيؤم الناس، ثم اخالف إلى رجال فاحرق عليهم بيوتهم، والذي نفسي بيده لو يعلم احدكم انه يجد عرقا سمينا، او مرماتين حسنتين لشهد العشاء"، قال محمد بن يوسف: قال يونس: قال محمد بن سليمان: قال ابو عبد الله: مرماه ما بين خلف الشاة من اللحم مثل منساة وميضاة الميم مخفوضه.
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abuz Zinad ne, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai! mera irada hua ke mein lakriyon ke jama karne ka hukm doon, phir namaz ke liye azan dene ka, phir kisi se kahoon ke wo logon ko namaz parhaye aur mein is ke bajaye un logon ke paas jaoon (jo jamaat mein shareek nahi hote) aur unhein un ke gharon samait jala doon. Qasam hai is zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai ke tum se kisi ko agar yeh umeed ho ke wahan moti haddi ya do «mirmaata hayyasnataini» bakri ke khur ke darmiyan ka gosht mile ga to wo zaroor (namaz-e-) Isha mein shareek ho.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ لِلإِمَامِ أَنْ يَمْنَعَ الْمُجْرِمِينَ وَأَهْلَ الْمَعْصِيَةِ مِنَ الْكَلاَمِ مَعَهُ وَالزِّيَارَةِ وَنَحْوِهِ:
Kya imaam ke liye jaiz hai ke woh mujrimon aur gunahgaaron ko apne saath baat cheet karne aur mulaqaat waghera karne se rok de.
Hadith Number: 7225
حدثني يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن كعب بن مالك، ان عبد الله بن كعب بن مالك، وكان قائد كعب من بنيه حين عمي، قال: سمعت كعب بن مالك، قال:" لما تخلف عن رسول الله صلى الله عليه وسلم في غزوة تبوك، فذكر حديثه، ونهى رسول الله صلى الله عليه وسلم المسلمين عن كلامنا، فلبثنا على ذلك خمسين ليلة، وآذن رسول الله صلى الله عليه وسلم بتوبة الله علينا".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Abdur Rahman bin Abdullah bin Ka'b bin Malik ne ke Abdullah bin Ka'b bin Malik, Ka'b bin Malik Radi Allahu Anhu ke nabina ho jaane ke zamane mein un ke sab larkon mein yahi raste mein un ke saath chalte thay, (unhon) ne bayan kiya ke mein ne Ka'b bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne kaha ke jab wo Gazwa-e-Tabook mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke saath nahi ja sakte thay, phir unhon ne apna poora waqia bayan kiya aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne musalmanon ko hum se guftagu karne se rook diya tha to hum pachaas din isi halat mein rahe, phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne elaan kiya ke Allah ne hamari tauba qabool kar li hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة