الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ لَمْ يَسْأَلِ الإِمَارَةَ أَعَانَهُ اللَّهُ:
Jisay bin maange sardaari mile to Allah us ki madad kare ga.
Hadith Number: 7146
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا جرير بن حازم، عن الحسن، عن عبد الرحمن بن سمرة، قال: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" يا عبد الرحمن بن سمرة، لا تسال الإمارة، فإنك إن اعطيتها عن مسالة وكلت إليها، وإن اعطيتها عن غير مسالة اعنت عليها، وإذا حلفت على يمين، فرايت غيرها خيرا منها فكفر عن يمينك وات الذي هو خير".
`Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Hazim ne bayan kiya, un se Hasan ne aur un se Abdur Rahman bin Samura Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Abdur Rahman! hukumat ke talib na banna kyunke agar tumhein mangne ke baad hukumat mili to tum is ke hawale kar diye jao ge aur wo tumhein bila mange mili to is mein tumhari (Allah ki taraf se) madad ki jaye gi aur agar tum ne qasam kha li ho phir is ke siwa doosri cheez mein bhalayi dekho to apni qasam ka kaffara ada kar do aur wo kaam karo jis mein bhalayi ho.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ سَأَلَ الإِمَارَةَ وُكِلَ إِلَيْهَا:
Jo shakhs maang kar hukoomat le us ko usi ke supurd kar diya gaya.
Hadith Number: 7147
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا يونس، عن الحسن، قال: حدثني عبد الرحمن بن سمرة، قال: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا عبد الرحمن بن سمرة، لا تسال الإمارة، فإن اعطيتها عن مسالة وكلت إليها، وإن اعطيتها عن غير مسالة اعنت عليها، وإذا حلفت على يمين، فرايت غيرها خيرا منها فات الذي هو خير وكفر عن يمينك".
`Hum se Abu Ma'mar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yunus ne bayan kiya, un se Hasan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Samura Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke un se Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Abdur Rahman ibn Samura! hukumat talab mat karna kyunke agar tumhein mangne ke baad ameeri mili to tum is ke hawale kar diye jao ge aur agar tumhein mange bagair mili to is mein tumhari madad ki jaye gi aur agar tum kisi baat par qasam kha lo aur phir is ke siwa doosri cheez mein bhalayi dekho to wo karo jis mein bhalayi ho aur apni qasam ka kaffara ada kar do.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ الْحِرْصِ عَلَى الإِمَارَةِ:
Hukoomat aur sardaari ki hirs karna makrooh hai.
Hadith Number: 7148
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنكم ستحرصون على الإمارة وستكون ندامة يوم القيامة، فنعم المرضعة وبئست الفاطمة"، وقال محمد بن بشار: حدثنا عبد الله بن حمران، حدثنا عبد الحميد بن جعفر، عن سعيد المقبري، عن عمر بن الحكم، عن ابي هريرة قوله.
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Zi'b ne bayan kiya, un se Said Maqburi ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Tum hukumat ka lalach karo ge aur yeh qayamat ke din tumhare liye baais-e-nadamat ho gi. Pas kya hi behtar hai doodh pilane wali aur kya hi buri hai doodh chhudane wali.“ Aur Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Humran ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Hameed ne bayan kiya, un se Said al-Maqburi ne, un se Umar bin Hakam ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne apna qaul (mauqoofun) naql kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7149
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال:" دخلت على النبي صلى الله عليه وسلم انا ورجلان من قومي، فقال احد الرجلين: امرنا يا رسول الله، وقال الآخر مثله، فقال: إنا لا نولي هذا من ساله، ولا من حرص عليه".
`Hum se Muhammad bin al-Ala ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraida ne, un se Abu Burda ne aur un se Abu Musa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein apni qaum ke do aadmiyon ko le kar hazir hua. In mein se ek ne kaha ke ya Rasul Allah! humein kahin ka hakim bana dijiye aur doosre ne bhi yahi khwahish zahir ki. Is par Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke hum aise shakhs ko yeh zimmedari nahi saunpte jo ise talab kare aur na ise dete hain jo is ka harees ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اسْتُرْعِيَ رَعِيَّةً فَلَمْ يَنْصَحْ:
Jo shakhs raiyyat ka haakim bane aur un ki khair khwahi na kare us ka azaab.
Hadith Number: 7150
حدثنا ابو نعيم، حدثنا ابو الاشهب، عن الحسن، ان عبيد الله بن زياد عاد معقل بن يسار في مرضه الذي مات فيه، فقال له معقل: إني محدثك حديثا سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" ما من عبد استرعاه الله رعية فلم يحطها بنصيحة إلا لم يجد رائحة الجنة".
`Hum se Abu Nu'aim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abul Ash-hab ne bayan kiya, un se Hasan ne ke Ubaidullah bin Ziyad, Ma'qil bin Yasar Radi Allahu Anhu ki ayadat ke liye is marz mein aaye jis mein un ka intiqal hua to Ma'qil bin Yasar Radi Allahu Anhu ne un se kaha ke mein tumhein ek hadees sunata hoon jo mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suni thi. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya tha ”Jab Allah Ta'ala kisi bande ko kisi ra'iyat ka hakim banata hai aur wo khair-khwahi ke saath is ki hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi paye ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7151
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا حسين الجعفي، قال زائدة، ذكره عن هشام، عن الحسن، قال: اتينا معقل بن يسار نعوده، فدخل علينا عبيد الله، فقال له معقل: احدثك حديثا سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" ما من وال يلي رعية من المسلمين فيموت وهو غاش لهم إلا حرم الله عليه الجنة".
`Hum se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum ko Husain al-Ju'fee ne khabar di ke Za'ida ne bayan kiya, un se Hisham ne aur un se Hasan ne bayan kiya ke hum Ma'qil bin Yasar Radi Allahu Anhu ki ayadat ke liye un ke paas gaye phir Ubaidullah bhi aaye to Ma'qil Radi Allahu Anhu ne un se kaha ke mein tum se ek aisi hadees bayan karta hoon jise mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna tha. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke agar koi shakhs musalmanon ka hakim banaya gaya aur us ne un ke maamla mein khiyanat ki aur isi halat mein mar gaya to Allah Ta'ala is par jannat ko haram kar deta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ شَاقَّ شَقَّ اللَّهُ عَلَيْهِ:
Jo shakhs Allah ke bandon ko sataye (mushkil mein phansaye) Allah us ko sataye ga (mushkil mein phansaye ga).
Hadith Number: 7152
حدثنا إسحاق الواسطي، حدثنا خالد، عن الجريري، عن طريف ابي تميمة، قال: شهدت صفوان، وجندبا واصحابه وهو يوصيهم، فقالوا: هل سمعت من رسول الله صلى الله عليه وسلم شيئا؟، قال: سمعته، يقول:" من سمع سمع الله به يوم القيامة، قال: ومن يشاقق يشقق الله عليه يوم القيامة، فقالوا: اوصنا، فقال: إن اول ما ينتن من الإنسان بطنه، فمن استطاع ان لا ياكل إلا طيبا فليفعل، ومن استطاع ان لا يحال بينه وبين الجنة بملء كفه من دم اهراقه فليفعل"، قلت لابي عبد الله: من يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، جندب، قال: نعم جندب.
`Hum se Ishaq Wasiti ne bayan kiya, kaha hum se Khalid ne, un se Jareeri ne, un se Zareef Abu Tamima ne bayan kiya ke mein Safwan aur Jundub aur un ke sathiyoon ke paas maujood tha. Safwan apne sathiyoon (shagirdon) ko wasiyyat kar rahe thay, phir (Safwan aur un ke sathiyoon ne Jundub Radi Allahu Anhu se) poocha: kya Aap ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se kuch suna hai? Unhon ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko yeh kehte suna hai ke jo logon ko riyakari ke taur par dikhane ke liye kaam kare ga Allah qayamat ke din is ki riyakari ka haal logon ko suna de ga aur farmaya ke jo logon ko takleef mein mubtala kare ga Allah Ta'ala qayamat ke din ise takleef mein mubtala kare ga, phir in logon ne kaha ke humein koi wasiyyat kijiye. Unhon ne kaha ke sab se pehle insan ke jism mein is ka pait sadta hai pas jo koi taqat rakhta ho ke paak o tayyib ke siwa aur kuch na khaye to ise aisa hi karna chahiye aur jo koi taqat rakhta ho wo chullu bhar lahu baha kar (yaani na-haqq khoon kar ke) apne aap ko bahisht mein jaane se rooke. Jareeri kehte hain ke mein ne Abu Abdullah se poocha, kaun sahab is hadees mein yeh kehte hain ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna? Kya Jundub kehte hain? Unhon ne kaha ke haan wahi kehte hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَضَاءِ وَالْفُتْيَا فِي الطَّرِيقِ:
Chalte chalte raaste mein koi faisla karna aur fatwa dena.
Hadith Number: Q7153
وقضى يحيى بن يعمر في الطريق. وقضى الشعبي على باب داره.
Yahya bin Yamar ne rasta mein faisla kiya aur Shabi ne apne ghar ke darwaze par faisla kiya.
Hadith Number: 7153
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن سالم بن ابي الجعد، حدثنا انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" بينما انا والنبي صلى الله عليه وسلم خارجان من المسجد، فلقينا رجل عند سدة المسجد، فقال: يا رسول الله، متى الساعة؟، قال النبي صلى الله عليه وسلم: ما اعددت لها؟، فكان الرجل استكان، ثم قال: يا رسول الله، ما اعددت لها كبير صيام، ولا صلاة، ولا صدقة، ولكني احب الله ورسوله، قال: انت مع من احببت".
`Hum se Usman bin Abi Shaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Jareer ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Salim bin Abi al-Jad ne bayan kiya aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم masjid se nikal rahe thay ke ek shakhs masjid ki chaukhat par aa kar hum se mila aur daryaft kiya: ya Rasul Allah! qayamat kab hai? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Tum ne qayamat ke liye kya tayyari ki hai?“ Is par wo shakhs khamosh sa ho gaya, phir us ne kaha: ya Rasul Allah! mein ne bahut zyada roze, namaz aur sadqa qayamat ke liye nahi tayyar kiye hain lekin mein Allah aur us ke Rasul se muhabbat rakhta hoon. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Tum is ke saath ho ge jis se tum muhabbat rakhte ho.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا ذُكِرَ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَمْ يَكُنْ لَهُ بَوَّابٌ:
Yeh bayaan ke Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka koi darbaan nahin tha.
Hadith Number: 7154
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا عبد الصمد، حدثنا شعبة، حدثنا ثابت البناني، قال: سمعت انس بن مالك، يقول لامراة من اهله: تعرفين فلانة؟، قالت: نعم، قال: فإن النبي صلى الله عليه وسلم مر بها وهي تبكي عند قبر، فقال:" اتقي الله واصبري، فقالت: إليك عني، فإنك خلو من مصيبتي، قال: فجاوزها ومضى، فمر بها رجل، فقال: ما قال لك رسول الله صلى الله عليه وسلم؟، قالت: ما عرفته، قال: إنه لرسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: فجاءت إلى بابه فلم تجد عليه بوابا، فقالت: يا رسول الله، والله ما عرفتك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إن الصبر عند اول صدمة".
`Hum se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum ko Abdus Samad ne khabar di, kaha hum se Shu'ba ne, kaha hum se Sabit al-Banani ne bayan kiya, un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke wo apne ghar ki ek aurat se keh rahe thay fulani ko pehchanti ho? Unhon ne kaha ke haan. Batlaya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم is ke paas se guzre aur wo ek qabr ke paas ro rahi thi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Allah se dar aur sabr kar. Is aurat ne jawab diya. Aap mere paas se chale jao, meri museebat Aap par nahi padi hai. Bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم wahan se hatt gaye aur chale gaye. Phir ek sahab idhar se guzre aur un se poocha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne tum se kya kaha tha? Is aurat ne kaha ke mein ne unhein pehchana nahi. In sahab ne kaha ke wo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم thay. Phir wo aurat Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hui. Unhon ne Aap ke yahan koi darban nahi paya phir arz kiya: ya Rasul Allah! mein ne Aap ko pehchana nahi (tha). Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke sabr to sadma ke shuru mein hi hota hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة