الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِذَا بَقِيَ فِي حُثَالَةٍ مِنَ النَّاسِ:
Jab koi bure logon mein reh jaaye to kya kare?
Hadith Number: 7086
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا الاعمش، عن زيد بن وهب، حدثنا حذيفة، قال: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم حديثين، رايت احدهما وانا انتظر الآخر، حدثنا:" ان الامانة نزلت في جذر قلوب الرجال، ثم علموا من القرآن، ثم علموا من السنة، وحدثنا عن رفعها، قال: ينام الرجل النومة فتقبض الامانة من قلبه، فيظل اثرها مثل اثر الوكت، ثم ينام النومة، فتقبض، فيبقى فيها اثرها مثل اثر المجل كجمر دحرجته على رجلك، فنفط، فتراه منتبرا وليس فيه شيء، ويصبح الناس يتبايعون فلا يكاد احد يؤدي الامانة، فيقال: إن في بني فلان رجلا امينا، ويقال للرجل: ما اعقله، وما اظرفه، وما اجلده، وما في قلبه مثقال حبة خردل من إيمان، ولقد اتى علي زمان ولا ابالي ايكم بايعت، لئن كان مسلما رده علي الإسلام، وإن كان نصرانيا رده علي ساعيه، واما اليوم فما كنت ابايع إلا فلانا وفلانا".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Zaid bin Wa'hb ne bayan kiya, un se Huzaifa ne bayan kiya kaha hum se Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne do ahadees farmayi theen jin mein se ek to mein ne dekh li doosri ka intezar hai. Hum se Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya tha ke amanat logon ke dilon ki jadon mein nazil hui thi phir logon ne ise Quran se seekha, phir sunnat se seekha aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se amanat ke uth jaane ke mutalliq farmaya tha ke ek shakhs ek neend soye ga aur amanat is ke dil se nikal di jaye gi aur is ka nishan ek dhabbe jitna baqi reh jaye ga, phir wo ek neend soye ga aur phir amanat nikali jaye gi to is ke dil mein aable ki tarah is ka nishan baqi reh jaye ga, jaise tum ne koi chingari apne paon par gira li ho aur is ki wajah se aabla pad jaye, tum is mein sujan dekho ge lekin andar kuch nahi ho ga aur log khareed o farokht karein ge lekin koi amanat ada karne wala nahi ho ga. Phir kaha jaye ga ke falan qabile mein ek amanat-dar aadmi hai aur kisi ke mutalliq kaha jaye ga ke wo kis qadar aqlmand, kitna khush-taba', kitna dilawar aadmi hai halanke is ke dil mein rai ke daane ke barabar bhi iman na ho ga aur mujh par ek zamana guzar gaya aur mein is ki parwa nahi karta tha ke tum mein se kis ke saath mein lein dein karta hoon agar wo musalman hota to is ka Islam ise mere haqq ke ada karne par majboor karta aur agar wo Nasrani hota to is ke hakim log is ko dabate imandari par majboor karte. Lekin aaj kal to mein sirf falan falan logon se hi lein dein karta hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعَرُّبِ فِي الْفِتْنَةِ:
Fitna fasaad ke waqt jungle mein ja rehna.
Hadith Number: 7087
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حاتم، عن يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة بن الاكوع، انه دخل على الحجاج، فقال: يا ابن الاكوع، ارتددت على عقبيك تعربت؟، قال: لا، ولكن رسول الله صلى الله عليه وسلم، اذن لي في البدو"، وعن يزيد بن ابي عبيد، قال: لما قتل عثمان بن عفان، خرج سلمة بن الاكوع إلى الربذة، وتزوج هناك امراة، وولدت له اولادا، فلم يزل بها حتى قبل ان يموت بليال، فنزل المدينة.
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hatim ne bayan kiya, un se Yazid bin Abi Ubaid ne bayan kiya, un se Salama bin al-Akwa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke wo Hajjaj ke yahan gaye to us ne kaha ke Ae Ibn al-Akwa! tum gaon mein rehne lage ho kya ulte paon phir gaye? Kaha ke nahi balki Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe jangal mein rehne ki ijazat di thi. Aur Yazid bin Abi Ubaid se riwayat hai, unhon ne kaha ke jab Usman bin Affan Radi Allahu Anhu shaheed kiye gaye to Salama bin al-Akwa Radi Allahu Anhu Rabza chale gaye aur wahan ek aurat se shadi kar li aur wahan in ke bacche bhi paida hue. Wo barabar wahin par rahe, yahan tak ke wafat se chand din pehle Madinah aa gaye thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7088
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن ابي صعصعة، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، انه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يوشك ان يكون خير مال المسلم غنم يتبع بها شعف الجبال، ومواقع القطر يفر بدينه من الفتن".
`Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Malik ne khabar di, unhein Abdur Rahman bin Abdullah bin Abi Sa'sa'a ne, unhein un ke walid ne aur un se Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Wo waqt qareeb hai ke musalman ka behtareen maal wo bakriyan hon gi jinhein wo le kar pahadi ki chotiyon aur barish barasne ki jagahon par chala jaye ga. Wo fitnon se apne deen ki hifazat ke liye wahan bhag kar aa jaye ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعَوُّذِ مِنَ الْفِتَنِ:
Fitnon se panah maangna.
Hadith Number: 7089
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: سالوا النبي صلى الله عليه وسلم حتى احفوه بالمسالة،" فصعد النبي صلى الله عليه وسلم ذات يوم المنبر، فقال: لا تسالوني عن شيء إلا بينت لكم، فجعلت انظر يمينا وشمالا، فإذا كل رجل لاف راسه في ثوبه يبكي، فانشا رجل كان إذا لاحى يدعى إلى غير ابيه، فقال: يا نبي الله، من ابي، فقال: ابوك حذافة، ثم انشا عمر، فقال: رضينا بالله ربا، وبالإسلام دينا، وبمحمد رسولا، نعوذ بالله من سوء الفتن، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: ما رايت في الخير والشر كاليوم قط، إنه صورت لي الجنة والنار حتى رايتهما دون الحائط، فكان قتادة يذكر هذا الحديث عند هذه الآية: يايها الذين آمنوا لا تسالوا عن اشياء إن تبد لكم تسؤكم سورة المائدة آية 101.
`Hum se Mu'az bin Fazala ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, un se Qatada ne aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne logon se sawalat kiye aakhir jab log baar baar sawal karne lage to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mimbar par ek din chadhe aur farmaya ke aaj tum mujh se jo sawal bhi karo ge mein tumhein is ka jawab doon ga. Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke phir mein dayein bayein dekhne laga to har shakhs ka sar is ke kapre mein chhupa hua tha aur wo ro raha tha. Aakhir ek shakhs ne khamoshi todi. Is ka jab kisi se jhagda hota to unhein un ke baap ke siwa doosre baap ki taraf pukara jata. Unhon ne kaha: ya Rasul Allah! mere walid kaun hain? Farmaya tumhare walid Huzafa hain. Phir Umar Radi Allahu Anhu samne aaye aur arz kiya hum Allah se ke wo Rabb hai, Islam se ke wo deen hai, Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم se ke wo Rasul hain raazi hain aur aazmaish ki burayi se hum Allah ki panah maangte hain. Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein ne khair o shar aaj jaisa dekha, kabhi nahi dekha tha. Mere samne jannat o dozakh ki surat pesh ki gayi aur mein ne unhein deewar ke qareeb dekha. Qatada ne bayan kiya ke yeh baat is ayat ke saath zikr ki jati hai «Ya ayyuhallazeena amanoo la tas'aloo an ashya'a in tubda lakum tasu'kum» ke ”Ae logo! jo iman laye ho aisi cheezon ke baare mein sawal na karo agar wo zahir kar di jayein to tumhein buri maloom hon.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7090
وقال عباس النرسي، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، حدثنا قتادة، ان انسا حدثهم ان نبي الله صلى الله عليه وسلم بهذا، وقال: كل رجل لافا راسه في ثوبه يبكي، وقال: عائذا بالله من سوء الفتن، او قال: اعوذ بالله من سوءى الفتن.
`Aur Abbas al-Narsi ne bayan kiya, un se Yazid bin Zurai ne bayan kiya, un se Said ne bayan kiya, un se Qatada ne bayan kiya aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se yahi hadees bayan ki aur Anas Radi Allahu Anhu ne kaha har shakhs kapre mein apna sar lapete hue ro raha tha aur fitne se Allah ki panah maang raha tha ya yun keh raha tha ke mein Allah se fitne ki burayi se panah maangta hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7091
وقال لي خليفة،حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، ومعتمر، عن ابيه، عن قتادة، ان انسا حدثهم، عن النبي صلى الله عليه وسلم بهذا، وقال: عائذا بالله من شر الفتن.
`Aur mujh se Khalifa bin Khayyat ne bayan kiya, un se Yazid bin Zurai ne bayan kiya, un se Said o Mu'tamir ke walid ne Qatada se aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya phir yahi hadees Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se naql ki, is mein bajaye «Soo'» ke «Shar» ka lafz hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «الْفِتْنَةُ مِنْ قِبَلِ الْمَشْرِقِ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmana "fitna mashriq ki taraf se uthe ga".
Hadith Number: 7092
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، عن معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه" قام إلى جنب المنبر، فقال: الفتنة ها هنا الفتنة ها هنا من حيث يطلع قرن الشيطان، او قال قرن الشمس".
`Hum se Abdullah bin Muhammad Musnadi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha un se Ma'mar ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Salim ne, un se un ke walid ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mimbar ke ek taraf khade hue aur farmaya ”Fitna idhar hai, fitna idhar hai jidhar se shaitan ka seeng tulu hota hai ya sooraj ka seeng farmaya.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7093
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ليث، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم" وهو مستقبل المشرق، يقول: الا إن الفتنة ها هنا من حيث يطلع قرن الشيطان".
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Nafi' ne aur un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mashriq ki taraf rukh kiye hue thay aur farma rahe thay ”Aagah ho jao, fitna is taraf hai jidhar se shaitan ka seeng tulu hota hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7094
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا ازهر بن سعد، عن ابن عون، عن نافع، عن ابن عمر، قال: ذكر النبي صلى الله عليه وسلم:"اللهم بارك لنا في شامنا، اللهم بارك لنا في يمننا، قالوا: يا رسول الله، وفي نجدنا؟، قال: اللهم بارك لنا في شامنا، اللهم بارك لنا في يمننا، قالوا: يا رسول الله، وفي نجدنا؟، فاظنه قال في الثالثة: هناك الزلازل والفتن، وبها يطلع قرن الشيطان".
`Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Azhar bin Saad ne bayan kiya, un se Ibn Aun ne bayan kiya, un se Nafi' ne bayan kiya, un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Allah! hamare mulk Sham mein humein barkat de, hamare Yaman mein humein barkat de.“ Sahabah ne arz kiya aur hamare Najd mein? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne phir farmaya ”Ae Allah hamare Sham mein barkat de, humein hamare Yaman mein barkat de.“ Sahabah ne arz ki aur hamare Najd mein? Mera guman hai ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne teesri martaba farmaya ”Wahan zalzale aur fitne hain aur wahan shaitan ka seeng tulu ho ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7095
حدثنا إسحاق بن شاهين الواسطي، حدثنا خالد، عن بيان، عن وبرة بن عبد الرحمن، عن سعيد بن جبير، قال:" خرج علينا عبد الله بن عمر، فرجونا ان يحدثنا حديثا حسنا، قال: فبادرنا إليه رجل، فقال: يا ابا عبد الرحمن حدثنا عن القتال في الفتنة، والله يقول: وقاتلوهم حتى لا تكون فتنة سورة البقرة آية 193، فقال: هل تدري ما الفتنة ثكلتك امك؟، إنما كان محمد صلى الله عليه وسلم يقاتل المشركين وكان الدخول في دينهم فتنة، وليس كقتالكم على الملك".
`Hum se Ishaq bin Shaheen Wasiti ne bayan kiya, kaha hum se Khalaf bin Abdullah Tahhan ne bayan kiya, un se Bayan bin Baseer ne, un se Wabra bin Abdur Rahman ne, un se Said bin Jubair ne bayan kiya ke Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma hamare paas aaye to hum ne umeed ki ke wo hum se koi acchi baat karein ge. Itne mein ek sahab Hakeem naami hum se pehle un ke paas pahunch gaye aur poocha: Ae Abu Abdur Rahman! hum se zamana-e-fitna mein qital ke mutalliq hadees bayan kijiye. Allah Ta'ala farmata hai tum in se jang karo yahan tak ke fitna baqi na rahe. Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne kaha tumhein maloom bhi hai ke fitna kya hai? Tumhari maan tumhein roye. Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم fitna rafa' karne ke liye mushrikeen se jang karte thay, shirk mein padna yeh fitna hai. Kya Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki ladayi tum logon ki tarah badshahat hasil karne ke liye hoti thi?
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة