الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لاَ تَرْجِعُوا بَعْدِي كُفَّارًا، يَضْرِبُ بَعْضُكُمْ رِقَابَ بَعْضٍ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmana "mere baad ek dusre ki gardan maar kar kaafir na ban jaana".
Hadith Number: 7076
حدثنا عمر بن حفص، حدثني ابي حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، قال: قال عبد الله، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" سباب المسلم فسوق، وقتاله كفر".
`Hum se Umar bin Hafs ne bayan kiya, kaha mujh se mere walid ne bayan kiya, kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Shaqeeq ne bayan kiya, kaha ke Abdullah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Musalman ko gaali dena fisq hai aur is ko qatl karna kufr hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7077
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، اخبرني واقد بن محمد، عن ابيه، عن ابن عمر، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
`Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, kaha mujh ko Waqid ne khabar di, unhein un ke walid ne aur unhein Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne, unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mere baad kufr ki taraf na laut jaana ke ek doosre ki gardan maarne lago.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7078
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، حدثنا قرة بن خالد، حدثنا ابن سيرين، عن عبد الرحمن بن ابي بكرة، عن ابي بكرة، وعن رجل آخر هو افضل في نفسي من عبد الرحمن بن ابي بكرة، عن ابي بكرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" خطب الناس، فقال: الا تدرون اي يوم هذا؟، قالوا: الله ورسوله اعلم، قال: حتى ظننا انه سيسميه بغير اسمه، فقال: اليس بيوم النحر؟، قلنا: بلى يا رسول الله، قال: اي بلد هذا؟ اليست بالبلدة الحرام؟، قلنا: بلى يا رسول الله، قال: فإن دماءكم، واموالكم، واعراضكم، وابشاركم، عليكم حرام كحرمة يومكم هذا، في شهركم هذا، في بلدكم هذا، الا هل بلغت؟، قلنا: نعم، قال: اللهم اشهد، فليبلغ الشاهد الغائب، فإنه رب مبلغ يبلغه لمن هو اوعى له فكان كذلك، قال: لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض، فلما كان يوم حرق ابن الحضرمي حين حرقه جارية بن قدامة، قال: اشرفوا على ابي بكرة، فقالوا: هذا ابو بكرة يراك، قال: عبد الرحمن فحدثتني امي، عن ابي بكرة، انه قال: لو دخلوا علي ما بهشت بقصبة".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Qurra bin Khalid ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Sireen ne bayan kiya, un se Abdur Rahman bin Abi Bakra ne bayan kiya aur ek doosre shakhs (Hamid bin Abdur Rahman) se bhi suna jo meri nazar mein Abdur Rahman bin Abi Bakra se acche hain aur un se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul صلی اللہ علیہ وسلم ne logon ko Yaum-un-Nahr ko khutba diya aur farmaya ”Tumhein maloom hai yeh kaun sa din hai?“ Logon ne kaha ke Allah aur us ke Rasul ko zyada ilm hai. Bayan kiya ke (is ke baad Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khamoshi se) hum yeh samjhe ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم is ka koi aur naam rakkhein ge. Lekin Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kya yeh qurbani ka din (Yaum-un-Nahr) nahi hai?“ Hum ne arz kiya: kyun nahi, ya Rasul Allah! Aap ne phir poocha ”Yeh kaun sa shehar hai? Kya yeh al-Balda (Makkah Mukarrama) nahi hai?“ Hum ne arz kiya: kyun nahi, ya Rasul Allah! Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Phir tumhara khoon, tumhare maal, tumhari izzat aur tumhari khaal tum par isi tarah hurmat wale hain jis tarah is din ki hurmat is mahine aur is shehar mein hai. Kya mein ne pahuncha diya?“ Hum ne kaha ji haan. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Allah! gawah rehna. Pas mera yeh paigam maujood log gair-maujood logon ko pahuncha dein kyunke bahut se pahunchane wale is paigam ko is tak pahunchayein ge jo is ko zyada mahfooz rakhne wala ho ga.“ Chunancha aisa hi hua aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere baad kafir na ho jaana ke baaz baaz ki gardan maarne lago.“ Phir jab wo din aaya jab Abdullah Amr bin Hazrami ko Jariya bin Qudama ne ek makan mein gher kar jala diya to Jariya ne apne lashkar walon se kaha zara Abu Bakra ko to jhaanko wo kis khayal mein hai. Unhon ne kaha yeh Abu Bakra maujood hain tum ko dekh rahe hain. Abdur Rahman bin Abi Bakra kehte hain mujh se meri walida Hala bint Galeez ne kaha ke Abu Bakra ne kaha agar yeh log (teen Jariya ke lashkar wale) mere ghar mein bhi ghus aayein aur mujh ko maarne lagein to mein un par ek baans ki chhari bhi nahi chalaoon ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7079
حدثنا احمد بن إشكاب، حدثنا محمد بن فضيل، عن ابيه، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا ترتدوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
`Hum se Ahmad bin Ishkab ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammad bin Fuzail ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya, un se Ikrima ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere baad kafir na ho jaana ke tum mein baaz baaz ki gardan maarne lage.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7080
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن علي بن مدرك، سمعت ابا زرعة بن عمرو بن جرير، عن جده جرير، قال: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع:" استنصت الناس، ثم قال: لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ali bin Mudrik ne bayan kiya, kaha mein ne Abu Zur'a bin Amr bin Jareer se suna, un se un ke dada Jareer Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne mujh se Hujjat-ul-Wada ke mauqe par farmaya ke logon ko khamosh kar do. Phir Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mere baad kafir na ho jaana ke tum ek doosre ki gardan maarne lag jao.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَكُونُ فِتْنَةٌ الْقَاعِدُ فِيهَا خَيْرٌ مِنَ الْقَائِمِ:
Ek aisa fitna uthe ga jis se baithne wala khare rehne wale se behtar ho ga.
Hadith Number: 7081
حدثنا محمد بن عبيد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة. ح قال إبراهيم،وحدثني صالح بن كيسان، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ستكون فتن القاعد فيها خير من القائم، والقائم فيها خير من الماشي، والماشي فيها خير من الساعي، من تشرف لها تستشرفه، فمن وجد منها ملجا او معاذا فليعذ به".
`Hum se Muhammad bin Ubaidullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se Abu Salama bin Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Ibrahim bin Saad ne kaha ke mujh se Salih bin Kaisan ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Said bin al-Musayyib ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”An-qareeb aise fitne barpa hon ge jin mein baithne wala khade hone wale se behtar ho ga aur khada hone wala in mein chalne wale se behtar ho ga aur chalne wala in mein daudne wale se behtar ho ga, jo door se un ki taraf jhaank kar bhi dekhe ga to wo in ko bhi samait lein ge. Is waqt jis kisi ko koi panah ki jagah mil jaye ya bachao ka maqaam mil sake wo is mein chala jaye.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7082
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ستكون فتن القاعد فيها خير من القائم، والقائم خير من الماشي، والماشي فيها خير من الساعي، من تشرف لها تستشرفه، فمن وجد ملجا او معاذا فليعذ به".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Abu Salama bin Abdur Rahman ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Aise fitne barpa hon ge ke in mein baithne wala khade hone wale se behtar ho ga aur khada hone wala chalne wale se behtar ho ga aur chalne wala daudne wale se behtar ho ga. Agar koi in ki taraf door se bhi jhaank kar dekhe ga to wo ise bhi samait lein ge aise waqt jo koi is se koi panah ki jagah pa le ise is ki panah le leni chahiye.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا الْتَقَى الْمُسْلِمَانِ بِسَيْفَيْهِمَا:
Jab do Musalman apni talwaarein le kar ek dusre se bhar jaayen to un ke liye kya hukm hai?
Hadith Number: 7083
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا حماد، عن رجل لم يسمه، عن الحسن، قال: خرجت بسلاحي ليالي الفتنة فاستقبلني ابو بكرة،فقال:" اين تريد، قلت: اريد نصرة ابن عم رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إذا تواجه المسلمان بسيفيهما فكلاهما من اهل النار، قيل: فهذا القاتل فما بال المقتول؟، قال: إنه اراد قتل صاحبه"، قال حماد بن زيد: فذكرت هذا الحديث لايوب،ويونس بن عبيد، وانا اريد ان يحدثاني به، فقالا: إنما روي هذا الحديث الحسن، عن الاحنف بن قيس، عن ابي بكرة، حدثنا سليمان، حدثنا حماد بهذا، وقال مؤمل، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ايوب، ويونس، وهشام، ومعلى بن زياد، عن الحسن، عن الاحنف، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ورواه معمر، عن ايوب، ورواه بكار بن عبد العزيز، عن ابيه، عن ابي بكرة، وقال غندر: حدثنا شعبة، عن منصور، عن ربعي بن حراش، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ولم يرفعه سفيان، عن منصور.
`Hum se Abdullah bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se ek shakhs ne jis ka naam nahi bataya, un se Imam Hasan Basri ne bayan kiya ke mein ek martaba baahmi fasadaat ke dinon mein apne hathiyar laga kar nikla to Abu Bakra Radi Allahu Anhu se raste mein mulaqat ho gayi. Unhon ne poocha kahan jaane ka irada hai? Mein ne kaha ke mein Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke chacha ke larke ki (jang-e-jamal o siffeen mein) madad karni chahta hoon, unhon ne kaha laut jao. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya hai ke jab do musalman apni talwaron ko le kar aamne saamne muqabla par aa jayein to donon dozakhi hain. Poocha gaya yeh to qatil tha, maqtool ne kya kiya (ke wo bhi naari ho gaya)? Farmaya ke wo bhi apne muqabil ko qatl karne ka irada kiye hue tha. Hammad bin Zaid ne kaha ke phir mein ne yeh hadees Ayub aur Yunus bin Ubaid se zikr ki, mera maqsad tha ke yeh donon bhi mujh se yeh hadees bayan karein, in donon ne kaha ke is hadees ki riwayat Hasan Basri ne Ahnaf bin Qais se aur unhon ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu se ki. Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya kaha hum se Hammad bin Zaid ne yahi hadees bayan ki aur Mu'ammal bin Hisham ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, kaha hum se Ayub, Yunus, Hisham aur Mu'alla bin Ziyad ne Imam Hasan Basri se bayan kiya, un se Ahnaf bin Qais aur in se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne aur un se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne aur is ki riwayat Ma'mar ne bhi Ayub se ki hai aur is ki riwayat Bakkar bin Abdul Aziz ne apne baap se ki aur un se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne aur Ghandar ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Rib'ee bin Harash ne, un se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Aur Sufyan Sauri ne bhi is hadees ko Mansoor bin Mu'tamir se riwayat kiya, phir yeh riwayat marfoo'a nahi hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَيْفَ الأَمْرُ إِذَا لَمْ تَكُنْ جَمَاعَةٌ:
Jab (Musalmanon ki) jamaat na ho to muamla kaisa ho ga?
Hadith Number: 7084
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا ابن جابر، حدثني بسر بن عبيد الله الحضرمي، انه سمع ابا إدريس الخولاني، انه سمع حذيفة بن اليمان، يقول:" كان الناس يسالون رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الخير، وكنت اساله عن الشر مخافة ان يدركني، فقلت: يا رسول الله، إنا كنا في جاهلية وشر، فجاءنا الله بهذا الخير فهل بعد هذا الخير من شر؟، قال: نعم، قلت: وهل بعد ذلك الشر من خير؟، قال: نعم، وفيه دخن، قلت: وما دخنه؟، قال: قوم يهدون بغير هديي تعرف منهم وتنكر، قلت: فهل بعد ذلك الخير من شر؟، قال: نعم، دعاة على ابواب جهنم من اجابهم إليها قذفوه فيها، قلت: يا رسول الله، صفهم لنا، قال: هم من جلدتنا، ويتكلمون بالسنتنا، قلت: فما تامرني إن ادركني ذلك، قال: تلزم جماعة المسلمين وإمامهم، قلت: فإن لم يكن لهم جماعة ولا إمام؟، قال: فاعتزل تلك الفرق كلها، ولو ان تعض باصل شجرة حتى يدركك الموت وانت على ذلك".
`Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Waleed bin Muslim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Jaber ne bayan kiya, un se Busr bin Ubaidullah al-Khasrami ne bayan kiya, unhon ne Abu Idrees Khaulani se suna, unhon ne Huzaifa bin al-Yaman Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke log Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se khair ke baare mein poocha karte thay lekin mein shar ke baare mein poochta tha. Is khauf se ke kahin meri zindagi mein hi shar na paida ho jaye. Mein ne poocha: ya Rasul Allah! hum jahiliyat aur shar ke daur mein thay phir Allah Ta'ala ne humein is khair se nawaza to kya is khair ke baad phir shar ka zamana ho ga? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke haan. Mein ne poocha: kya is shar ke baad phir khair ka zamana aaye ga? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya haan lekin is khair mein kamzori ho gi. Mein ne poocha ke kamzori kya ho gi? Farmaya ke kuch log hon ge jo mere tariqe ke khilaf chalein ge, un ki baaz baatein acchi hon gi lekin baaz mein tum burayi dekho ge. Mein ne poocha kya phir daur-e-khair ke baad daur-e-shar aaye ga? Farmaya ke haan jahannum ki taraf se bulane wale dozakh ke darwazon par khade hon ge, jo un ki baat maan le ga wo is mein unhein jhatak dein ge. Mein ne kaha: ya Rasul Allah! un ki kuch sifat bayan kijiye. Farmaya ke wo hamare hi jaise hon ge aur hamari hi zaban (Arabi) bolein ge. Mein ne poocha: phir agar mein ne wo zamana paya to Aap mujhe un ke baare mein kya hukm dete hain? Farmaya ke musalmanon ki jama'at aur un ke imam ke saath rehna. Mein ne kaha ke agar musalmanon ki jama'at na ho aur na un ka koi imam ho? Farmaya ke phir in tamam logon se alag ho kar khwah tumhein jangal mein ja kar darakhton ki jadein chabani padein yahan tak ke isi halat mein tumhari maut aa jaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ كَرِهَ أَنْ يُكَثِّرَ سَوَادَ الْفِتَنِ وَالظُّلْمِ:
Jis ne mufsidoon aur zaalimon ki jamaat ko barhaana naapasand kiya.
Hadith Number: 7085
حدثنا عبد الله بن يزيد، حدثنا حيوة وغيره، قال: حدثنا ابو الاسود، وقال الليث، عن ابي الاسود، قال:" قطع على اهل المدينة بعث، فاكتتبت فيه، فلقيت عكرمة، فاخبرته، فنهاني اشد النهي، ثم قال: اخبرني ابن عباس: ان اناسا من المسلمين كانوا مع المشركين يكثرون سواد المشركين على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فياتي السهم فيرمى، فيصيب احدهم فيقتله، او يضربه فيقتله، فانزل الله تعالى: إن الذين توفاهم الملائكة ظالمي انفسهم سورة النساء آية 97.
`Hum se Abdullah bin Yazid ne bayan kiya, kaha hum se Haiwa bin Shuraih wagaira ne bayan kiya ke hum se Abul Aswad ne bayan kiya, ya Laith ne Abul Aswad se bayan kiya ke ahl-e-Madinah ka ek lashkar tayyar kiya gaya (yaani Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhuma ke zamana mein Sham walon se muqabla karne ke liye) aur mera naam is mein likh diya gaya. Phir mein Ikrima se mila aur mein ne unhein khabar di to unhon ne mujhe shirkat se sakhti ke saath mana kiya. Phir kaha ke Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne mujhe khabar di hai ke kuch musalman jo mushrikeen ke saath rehte thay wo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke khilaf (gazawat) mein mushrikeen ki jama'at ki ziyadati ka baais bante. Phir koi teer aata aur in mein se kisi ko lag jata aur qatl kar deta ya unhein koi talwar se qatl kar deta, phir Allah Ta'ala ne yeh ayat nazil ki «Innallazeena tawaffahum-ul-mala'ikatu zalimee anfusihim» ”Bila shakk wo log jin ko farishte faut karte hain is haal mein ke wo apni jaanon par zulm karne wale hote hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة