الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ تَقُومُ السَّاعَةُ حَتَّى يُغْبَطَ أَهْلُ الْقُبُورِ:
Qiyamat qaim na ho gi yahan tak ke log qabr walon par rashk na karen.
Hadith Number: 7115
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى يمر الرجل بقبر الرجل، فيقول: يا ليتني مكانه".
`Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abuz Zinad ne, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat qaim na ho gi yahan tak ke ek shakhs doosre ki qabr ke paas se guzre ga aur kahe ga, kaash! mein isi ki jagah hota.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَغْيِيرِ الزَّمَانِ حَتَّى يَعْبُدُوا الأَوْثَانَ:
Qiyamat ke qareeb zamaane ka badalna yahan tak ke woh log buton ki ibaadat karenge.
Hadith Number: 7116
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: قال سعيد بن المسيب، اخبرني ابو هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى تضطرب اليات نساء دوس على ذي الخلصة"، وذو الخلصة: طاغية دوس التي كانوا يعبدون في الجاهلية.
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Said bin al-Musayyib ne bayan kiya aur unhein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke qayamat qaim nahi ho gi yahan tak ke qabila-e-Daus ki aurton ka Zul-Khulasa ka (tawaf karte hue) chotad se chotad chhile aur Zul-Khulasa qabila-e-Daus ka butt tha jis ko wo zamana-e-jahiliyat mein pooja karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7117
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثني سليمان، عن ثور، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى يخرج رجل من قحطان يسوق الناس بعصاه".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman ne bayan kiya, un se Abul Gais ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi yahan tak ke Qahtan ka ek shakhs (badshah ban kar) nikle ga aur logon ko apne dande se haanke ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ خُرُوجِ النَّارِ:
Qurb-e-qiyamat aag ka nikalna.
Hadith Number: Q7118
وقال انس، قال النبي صلى الله عليه وسلم: اول اشراط الساعة نار تحشر الناس من المشرق إلى المغرب
Aur Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat ki pehli alamat-on mein se ek aag hai jo logon ko mashriq se magrib ki taraf haank kar le jaye gi.“
Hadith Number: 7118
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال سعيد بن المسيب: اخبرني ابو هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى تخرج نار من ارض الحجاز تضيء اعناق الإبل ببصرى".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha Shuaib ne khabar di, unhon ne kaha humein Zuhri ne khabar di ke Said bin al-Musayyib ne bayan kiya ke mujhe Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat qaim na ho gi yahan tak ke sar-zameen-e-Hijaz se ek aag nikle gi aur Busra mein oonton ki gardanon ko roshan kar de gi.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7119
حدثنا عبد الله بن سعيد الكندي، حدثنا عقبة بن خالد، حدثنا عبيد الله، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن جده حفص بن عاصم، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يوشك الفرات ان يحسر عن كنز من ذهب، فمن حضره فلا ياخذ منه شيئا"،
`Hum se Abdullah bin Said al-Kindi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Uqba bin Khalid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ubaidullah ne bayan kiya, un se Khubaib bin Abdur Rahman ne bayan kiya, un se un ke dada Hafs bin Aasim ne bayan kiya ‘ un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”An-qareeb darya-e-Furat se sone ka ek khzana nikle ga pas jo koi wahan maujood ho wo is mein se kuch na le.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7119M
قال عقبة:وحدثنا عبيد الله، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله، إلا انه قال: يحسر عن جبل من ذهب.
`Uqba ne bayan kiya ke hum se Ubaidullah ne bayan kiya, un se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne isi tarah farmaya. Albatta unhon ne yeh alfaz kahe ke (Furat se) sone ka ek pahad zahir ho ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
...
Hadith Number: 7120
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، حدثنا معبد، سمعت حارثة بن وهب، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:"تصدقوا، فسياتي على الناس زمان يمشي الرجل بصدقته فلا يجد من يقبلها"، قال مسدد: حارثة اخو عبيد الله بن عمر لامه، قاله ابو عبد الله.
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Abi Kaseer ne bayan kiya, un se Shu'ba ne, un se Ma'bad ne bayan kiya, unhon ne Harisa bin Wahb Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Sadqa karo kyunke an-qareeb logon par ek aisa zamana aaye ga jab ek shakhs apna sadqa le kar phire ga aur koi ise lene wala nahi mile ga.“ Musaddad ne bayan kiya ke Harisa Ubaidullah bin Umar ke maan shareek bhai thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7121
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:"لا تقوم الساعة حتى تقتتل فئتان عظيمتان يكون بينهما مقتلة عظيمة، دعوتهما واحدة، وحتى يبعث دجالون كذابون قريب من ثلاثين، كلهم يزعم انه رسول الله، وحتى يقبض العلم، وتكثر الزلازل، ويتقارب الزمان، وتظهر الفتن، ويكثر الهرج: وهو القتل، وحتى يكثر فيكم المال فيفيض حتى يهم رب المال من يقبل صدقته وحتى يعرضه عليه، فيقول الذي يعرضه عليه: لا ارب لي به، وحتى يتطاول الناس في البنيان، وحتى يمر الرجل بقبر الرجل، فيقول: يا ليتني مكانه، وحتى تطلع الشمس من مغربها، فإذا طلعت ورآها الناس، يعني آمنوا اجمعون، فذلك حين لا ينفع نفسا إيمانها لم تكن آمنت من قبل او كسبت في إيمانها خيرا، ولتقومن الساعة وقد نشر الرجلان ثوبهما بينهما، فلا يتبايعانه، ولا يطويانه، ولتقومن الساعة وقد انصرف الرجل بلبن لقحته فلا يطعمه، ولتقومن الساعة وهو يليط حوضه فلا يسقي فيه، ولتقومن الساعة وقد رفع اكلته إلى فيه فلا يطعمها".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, kaha hum se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak do azeem jama'atein jang na karein gi. In donon jama'aton ke darmiyan badi khoon-rezi ho gi. Halanke donon ka dawa ek hi ho ga aur yahan tak ke bahut se jhoote Dajjal bheje jayein ge. Taqreeban tees Dajjal. In mein se har ek dawa kare ga ke wo Allah ka Rasul hai aur yahan tak ke ilm utha liya jaye ga aur zalzalon ki kasrat ho gi aur zamana qareeb ho jaye ga aur fitne zahir ho jayein ge aur haraj barh jaye ga aur haraj se murad qatl hai aur yahan tak ke tumhare paas maal ki kasrat ho jaye gi balki beh pade ga aur yahan tak ke sahab-e-maal ko is ka fikr daman-geer ho ga ke is ka sadqa qabool kaun kare aur yahan tak ke wo pesh kare ga lekin jis ke samne pesh kare ga wo kahe ga ke mujhe is ki zaroorat nahi hai aur yahan tak ke log badi badi imaraton par aapas mein fakhr karein ge. Ek se ek barh charh kar imaratein banayein ge aur yahan tak ke ek shakhs doosre ki qabr se guzre ga aur kahe ga ke kash mein bhi isi jagah hota aur yahan tak ke sooraj magrib se nikle ga. Pas jab wo is tarah tulu ho ga aur log dekh lein ge to sab iman le aayein ge lekin yeh wo waqt ho ga jab kisi aise shakhs ko is ka iman lana faida na pahunchaye ga jo pehle se iman na laya ho ya us ne apne iman ke saath acche kaam na kiye hon aur qayamat achanak is tarah qaim ho jaye gi ke do aadmiyon ne apne darmiyan kapra phaila rakkha ho ga aur ise abhi bech na paye hon ge na lapait paye hon ge aur qayamat is tarah barpa ho jaye gi ke ek shakhs apni oontni ka doodh nikal kar wapas hua ho ga ke ise kha bhi na paya ho ga aur qayamat is tarah qaim ho jaye gi ke wo apne hauz ko durust kar raha ho ga aur is mein se pani bhi na piya ho ga aur qayamat is tarah qaim ho jaye gi ke us ne apna luqma munh ki taraf uthaya ho ga aur abhi ise khaya bhi na ho ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذِكْرِ الدَّجَّالِ:
Dajjaal ka bayaan.
Hadith Number: 7122
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، حدثنا إسماعيل، حدثني قيس، قال: قال لي المغيرة بن شعبة:" ما سال احد النبي صلى الله عليه وسلم عن الدجال اكثر ما سالته، وإنه قال لي: ما يضرك منه، قلت: لانهم يقولون إن معه جبل خبز ونهر ماء، قال: هو اهون على الله من ذلك".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha mujh se Ismail ne bayan kiya, un se Qais ne bayan kiya, ke mujh se Mugira bin Shu'ba Radi Allahu Anhu ne kaha ke Dajjal ke baare mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se jitna mein ne poocha itna kisi ne nahi poocha aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mujh se farmaya tha ke is se tumhein kya nuqsan pahunche ga. Mein ne arz kiya ke log kehte hain ke is ke saath roti ka pahad aur pani ki nahr ho gi, farmaya ke wo Allah par is se bhi zyada aasan hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة