الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يَدْخُلُ الدَّجَّالُ الْمَدِينَةَ:
Dajjaal Madinah ke andar nahin daakhil ho sake ga.
Show diacritics
Hadith Number: 7133
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نعيم بن عبد الله المجمر، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"على انقاب المدينة ملائكة لا يدخلها الطاعون ولا الدجال".
`Hum se Abdullah bin Maslama ne bayan kiya, un se Imam Malik ne bayan kiya, un se Nu'aim bin Abdullah bin al-Mujammir ne bayan kiya, aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Madinah Munawwara ke raaston par farishte pehra dete hain na yahan ta'oon aa sakti hai aur na Dajjal aa sakta hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7134
حدثني يحيى بن موسى، حدثنا يزيد بن هارون، اخبرنا شعبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" المدينة ياتيها الدجال، فيجد الملائكة يحرسونها، فلا يقربها الدجال، قال: ولا الطاعون إن شاء الله".
`Mujh se Yahya bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yazid bin Haroon ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shu'ba ne khabar di, unhein Qatada ne, unhein Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Dajjal Madinah tak aaye ga to yahan farishton ko is ki hifazat karte hue paye ga chunancha na Dajjal is ke qareeb aa sakta hai aur na ta'oon, in sha Allah.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يَأْجُوجَ وَمَأْجُوجَ:
Ya'jooj o Ma'jooj ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7135
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري. ح وحدثنا إسماعيل، حدثني اخي، عن سليمان، عن محمد بن ابي عتيق، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، ان زينب بنت ابي سلمة حدثته، عن ام حبيبة بنت ابي سفيان، عن زينب بنت جحش، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" دخل عليها يوما فزعا، يقول: لا إله إلا الله، ويل للعرب من شر قد اقترب، فتح اليوم من ردم ياجوج وماجوج مثل هذه، وحلق بإصبعيه الإبهام والتي تليها، قالت زينب بنت جحش: فقلت: يا رسول الله، افنهلك وفينا الصالحون؟، قال: نعم، إذا كثر الخبث".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, (doosri sanad) aur Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se mere bhai Abdul Hameed ne, un se Sulaiman bin Bilal ne, un se Muhammad bin Abi Ateeq ne, un se Ibn Shihab ne, un se Urwa bin Zubair ne, un se Zainab bint Abi Salama ne bayan kiya, un se Umm-e-Habiba bint Abi Sufyan Radi Allahu Anhum ne aur un se Zainab bint Jahsh Radi Allahu Anha ne ke ek din Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم un ke paas ghabraye hue dakhil hue, Aap صلی اللہ علیہ وسلم farma rahe thay ke tabahi hai Arabon ke liye is burayi se jo qareeb aa chuki hai. Aaj Yajuj Majuj ki deewar se itna khul gaya hai aur Aap ne apne angoothe aur is ki qareeb wali ungli ko mila kar ek halqa banaya. Itna sun kar Zainab bin Jahsh Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke mein ne arz kiya: ya Rasul Allah! to kya hum is ke bawajood halak ho jayein ge ke hum mein naik saaleh log bhi zinda hon ge? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke haan jab burayi bahut barh jaye gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7136
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"يفتح الردم، ردم ياجوج وماجوج مثل هذه" وعقد وهيب تسعين.
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya, un se Abdullah bin Taus ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ” «Sadd» yaani Yajuj Majuj ki deewar itni khul gayi hai.“ Wuhaib ne nabbay ka ishaara kar ke batlaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة