الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ ذِكْرِ الدَّجَّالِ:
Dajjaal ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7123
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، اراه عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعور عين اليمنى كانها عنبة طافية".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya kaha hum se Wuhaib ne kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne unhon ne Nafi' se unhon ne Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha mein samajhta hoon ke Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se riwayat ki Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Dajjal dahni aankh se kana ho ga is ki aankh kya hai goya phoola hua angoor.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7124
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" يجيء الدجال حتى ينزل في ناحية المدينة ثم ترجف المدينة ثلاث رجفات، فيخرج إليه كل كافر ومنافق".
`Hum se Saad bin Hafs ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shaiban ne bayan kiya, un se Yahya ne bayan kiya, un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Dajjal aaye ga aur Madinah ke ek kinare qiyam kare ga, phir Madinah teen martaba kanpe ga aur is ke nateoje mein har kafir aur munafiq nikal kar is ki taraf chala jaye ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7125
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن جده، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"لا يدخل المدينة رعب المسيح الدجال ولها يومئذ سبعة ابواب على كل باب ملكان".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Uwaisi ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Abdur Rahman bin Auf ke dada ne bayan kiya, unhon ne Abu Bakra se unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Madinah walon par Dajjal ka ru'b nahi pade ga is din Madinah ke saat darwaze hon ge har darwaze par do farishte (pehra dete) hon ge.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7126
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا محمد بن بشر، حدثنا مسعر، حدثنا سعد بن إبراهيم، عن ابيه، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يدخل المدينة رعب المسيح لها يومئذ سبعة ابواب على كل باب ملكان"، قال: وقال ابن إسحاق، عن صالح بن إبراهيم،عن ابيه، قال: قدمت البصرة، فقال لي ابو بكرة: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم بهذا.
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Bishr ne bayan kiya, kaha hum se Mis'ar ne bayan kiya, un se Saad bin Ibrahim ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Madinah par Maseeh Dajjal ka ru'b nahi pade ga. Is waqt is ke saat darwaze hon ge aur har darwaze par pehra-dar do farishte hon ge.“ Ali bin Abdullah ne kaha ke Muhammad bin Ishaq ne Salih bin Ibrahim se riwayat kiya, un se un ke walid Ibrahim bin Abdur Rahman bin Auf ne bayan kiya ke mein Basra gaya to mujh se Abu Bakra Radi Allahu Anhu ne yahi hadees bayan ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7127
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم، عن صالح، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" قام رسول الله صلى الله عليه وسلم في الناس، فاثنى على الله بما هو اهله، ثم ذكر الدجال، فقال: إني لانذركموه وما من نبي إلا وقد انذره قومه، ولكني ساقول لكم فيه قولا لم يقله نبي لقومه، إنه اعور، وإن الله ليس باعور".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim ne bayan kiya, un se Salih ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Salim bin Abdullah ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم logon mein khade hue aur Allah ki tareef is ki shan ke mutabiq bayan ki. Phir Dajjal ka zikr farmaya ke mein tumhein is se darata hoon aur koi Nabi aisa nahi guzra jis ne apni qaum ko is se na daraya ho, albatta mein tumhein is ke baare mein ek baat batata hoon jo kisi Nabi ne apni qaum ko nahi batayi thi aur wo yeh ke wo kana ho ga aur Allah Ta'ala kana nahi hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7128
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن سالم، عن عبد الله بن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم اطوف بالكعبة، فإذا رجل آدم سبط الشعر ينطف او يهراق راسه ماء، قلت: من هذا؟، قالوا: ابن مريم، ثم ذهبت التفت فإذا رجل جسيم احمر، جعد الراس، اعور العين كان عينه عنبة طافية، قالوا: هذا الدجال، اقرب الناس به شبها ابن قطن، رجل من خزاعة".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Salim ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua (khwab mein) Ka'ba ka tawaf kar raha tha ke ek sahab jo gandum goon thay aur un ke sar ke baal seedhe thay aur sar se pani tapak raha tha (un par meri nazar padi) mein ne poocha yeh kaun hain? Mere saath ke logon ne bataya ke yeh Isa ibn-e-Maryam Alaihimas-Salam hain phir mein ne mud kar dekha to mote shakhs par nazar padi jo surkh tha is ke baal ghoongriyale thay, ek aankh ka kana tha, is ki ek aankh angoor ki tarah uthi hui thi. Logon ne bataya ke yeh Dajjal hai. Is ki surat Abdul Uzza bin Qatan se bahut milti thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7129
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، عن عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يستعيذ في صلاته من فتنة الدجال".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne, un se Urwa ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap apni namaz mein Dajjal ke fitne se panah mangte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7130
حدثنا عبدان، اخبرني ابي، عن شعبة، عن عبد الملك، عن ربعي، عن حذيفة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال في الدجال:"إن معه ماء ونارا، فناره ماء بارد، وماؤه نار"، قال ابو مسعود: انا سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
`Hum se Abdan ne bayan kiya ke mujhe mere walid ne khabar di, unhein Shu'ba ne, unhein Abdul Malik ne, unhein Rib'ee ne aur un se Huzaifa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Dajjal ke baare mein farmaya ke is ke saath pani aur aag ho gi aur is ki aag thanda pani ho gi aur pani aag ho ga. Abu Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne bhi yeh hadees Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suni hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7131
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ما بعث نبي إلا انذر امته الاعور الكذاب، الا إنه اعور، وإن ربكم ليس باعور، وإن بين عينيه مكتوب: كافر"، فيه ابو هريرة، وابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Qatada ne aur un se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jo Nabi bhi maboos kiya gaya to unhon ne apni qaum ko kaane jhoote se daraya, aagah raho ke wo kana hai aur tumhara Rabb kana nahi hai. Aur is ki donon aankhon ke darmiyan ”Kafir“ likha hua hai.“ Is baab mein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu aur Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bhi Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se yeh hadees riwayat ki hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَدْخُلُ الدَّجَّالُ الْمَدِينَةَ:
Dajjaal Madinah ke andar nahin daakhil ho sake ga.
Show diacritics
Hadith Number: 7132
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، ان ابا سعيد، قال: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما حديثا طويلا عن الدجال فكان فيما يحدثنا به انه، قال:" ياتي الدجال وهو محرم عليه ان يدخل نقاب المدينة، فينزل بعض السباخ التي تلي المدينة، فيخرج إليه يومئذ رجل وهو خير الناس، او من خيار الناس، فيقول: اشهد انك الدجال الذي حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم حديثه، فيقول الدجال: ارايتم إن قتلت هذا ثم احييته هل تشكون في الامر؟، فيقولون: لا، فيقتله، ثم يحييه، فيقول: والله ما كنت فيك اشد بصيرة مني اليوم، فيريد الدجال ان يقتله فلا يسلط عليه".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Ubaidullah bin Abdullah bin Utba bin Masood ne khabar di, un se Abu Said Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke ek din Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se Dajjal ke mutalliq ek taweel hadees bayan ki. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke irshadat mein yeh bhi tha ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Dajjal aaye ga aur is ke liye na-mumkin ho ga ke Madinah ki ghaatiyoon mein dakhil ho. Chunancha wo Madinah Munawwara ke qareeb kisi shor wali zameen par qiyam kare ga. Phir is din is ke paas ek mard-e-momin jaye ga aur wo afzal-tareen logon mein se ho ga. Aur is se kahe ga ke mein gawahi deta hoon is baat ki jo Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se bayan farmaya tha. Is par Dajjal kahe ga kya tum dekhte ho agar mein ise qatl kar doon aur phir zinda karoon to kya tumhein mere maamla mein shakk o shubha baqi rahe ga? Is ke paas wale log kahein ge ke nahi, chunancha wo is sahab ko qatl kar de ga aur phir ise zinda kar de ga. Ab wo sahab kahein ge ke wallah! aaj se zyada mujhe tere maamle mein pehle itni baseerat hasil na thi. Is par Dajjal phir unhein qatl karna chahe ga lekin is martaba ise maar na sake ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة