الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ:
...
Show diacritics
Hadith Number: 7105
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن شقيق بن سلمة، كنت جالسا مع ابي مسعود، وابي موسى، وعمار، فقال ابو مسعود:" ما من اصحابك احد إلا لو شئت لقلت فيه غيرك، وما رايت منك شيئا منذ صحبت النبي صلى الله عليه وسلم اعيب عندي من استسراعك في هذا الامر، قال عمار: يا ابا مسعود، وما رايت منك ولا من صاحبك هذا شيئا منذ صحبتما النبي صلى الله عليه وسلم اعيب عندي من إبطائكما في هذا الامر، فقال ابو مسعود وكان موسرا: يا غلام، هات حلتين، فاعطى إحداهما ابا موسى والاخرى عمارا، وقال: روحا فيه إلى الجمعة".
`Hum se Abdan ne bayan kiya, un se Abu Hamza ne bayan kiya, un se A'mash ne, un se Shaqeeq bin Salama ne ke mein Abu Masood, Abu Musa aur Ammar Radi Allahu Anhum ke saath baitha hua tha. Abu Masood Radi Allahu Anhu ne Ammar Radi Allahu Anhu se kaha hamare saath wale jitne log hain mein agar chahoon to tumhare siwa in mein se har ek ka kuch na kuch aib bayan kar sakta hoon. (lekin tum ek be-aib ho) aur jab se tum ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki suhbat ikhtiyar ki, mein ne koi aib ka kaam tumhara nahi dekha. Ek yahi aib ka kaam dekhta hoon, tum is daur mein yaani logon ko jang ke liye uthane mein jaldi kar rahe ho. Ammar Radi Allahu Anhu ne kaha Abu Masood Radi Allahu Anhu tum se aur tumhare saathi Abu Musa Ash'ari se jab se tum donon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki suhbat ikhtiyar ki hai mein ne koi aib ka kaam is se zyada nahi dekha jo tum donon is kaam mein dair kar rahe ho. Is par Abu Masood Radi Allahu Anhu ne kaha aur wo maaldar aadmi thay ke gulam! do hille lao. Chunancha unhon ne ek hilla Abu Musa Radi Allahu Anhu ko diya aur doosra Ammar Radi Allahu Anhu ko aur kaha ke Aap donon bhai kapre pehn kar Jumua parhne chalein.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7106

Hadith Number: 7107

بَابُ إِذَا أَنْزَلَ اللَّهُ بِقَوْمٍ عَذَابًا:
Jab Allah kisi qaum par azaab naazil karta hai (to sab qism ke log is mein shaamil ho jaate hain).
Show diacritics
Hadith Number: 7108
حدثنا عبد الله بن عثمان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، اخبرني حمزة بن عبد الله بن عمر، انه سمع ابن عمر رضي الله عنهما، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا انزل الله بقوم عذابا اصاب العذاب من كان فيهم، ثم بعثوا على اعمالهم".
`Hum se Abdullah bin Usman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, unhein Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Hamza bin Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne khabar di aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jab Allah kisi qaum par azab nazil karta hai to azab in sab logon par aata hai jo is qaum mein hote hain phir unhein un ke amaal ke mutabiq uthaya jaye ga.“

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِلْحَسَنِ بْنِ عَلِيٍّ: «إِنَّ ابْنِي هَذَا لَسَيِّدٌ وَلَعَلَّ اللَّهَ أَنْ يُصْلِحَ بِهِ بَيْنَ فِئَتَيْنِ مِنَ الْمُسْلِمِينَ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka Hasan Razi Allah anhu ke mutalliq farmana "mera yeh beta sardar hai aur yaqeenan Allah Pak is ke zariye Musalmanon ki do jamaaton mein sulah karaye ga".
Show diacritics
Hadith Number: 7109
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا إسرائيل ابو موسى، ولقيته بالكوفة وجاء إلى ابن شبرمة، فقال: ادخلني على عيسى فاعظه، فكان ابن شبرمة خاف عليه فلم يفعل، قال: حدثنا الحسن، قال: لما سار الحسن بن علي رضي الله عنهما إلى معاوية بالكتائب، قال عمرو بن العاص لمعاوية: ارى كتيبة لا تولي حتى تدبر اخراها، قال معاوية: من لذراري المسلمين؟، فقال: انا، فقال عبد الله بن عامر، وعبد الرحمن بن سمرة: نلقاه، فنقول له: الصلح، قال الحسن: ولقد سمعت ابا بكرة، قال: بينا النبي صلى الله عليه وسلم" يخطب جاء الحسن، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: ابني هذا سيد، ولعل الله ان يصلح به بين فئتين من المسلمين".
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, kaha hum se Israil Abu Musa ne bayan kiya aur meri in se mulaqat Kufa mein hui thi. Wo Ibn Shubruma ke paas aaye aur kaha ke mujhe Isa (Mansoor ke bhai aur Kufa ke wali) ke paas le chalo taake mein ise nasihat karoon. Galiban Ibn Shubruma ne khauf mahsoos kiya aur nahi le gaye. Unhon ne is par bayan kiya ke hum se Hasan Basri ne bayan kiya ke jab Hasan bin Ali, Ameer Muawiya Radi Allahu Anhum ke khilaf lashkar le kar nikle to Amr bin al-Aas ne Ameer Muawiya Radi Allahu Anhu se kaha ke mein aisa lashkar dekhta hoon jo is waqt tak wapas nahi ja sakta jab tak apne muqabil ko bhaga na le. Phir Ameer Muawiya Radi Allahu Anhu ne kaha ke musalmanon ke ahl o ayal ka kaun kafeel ho ga? Jawab diya ke mein, phir Abdullah bin Aamir aur Abdur Rahman bin Samura ne kaha ke hum Syedna Hasan Radi Allahu Anhu se milte hain (aur un se sulah ke liye kehte hain), Hasan Basri ne kaha ke mein ne Abu Bakra Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم khutba de rahe thay ke Hasan Radi Allahu Anhu aaye to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mera yeh beta syed hai aur umeed hai ke is ke zariya Allah musalmanon ki do jama'aton mein sulah kara de ga.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7110
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: قال عمرو، اخبرني محمد بن علي، ان حرملة مولى اسامة اخبره، قال عمرو: قد رايت حرملة، قال: ارسلني اسامة إلى علي، وقال: إنه سيسالك الآن، فيقول: ما خلف صاحبك، فقل له: يقول لك: لو كنت في شدق الاسد لاحببت ان اكون معك فيه، ولكن هذا امر لم اره، فلم يعطني شيئا، فذهبت إلى حسن، وحسين، وابن جعفر فاوقروا لي راحلتي.
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha ke Amr ne bayan kiya, unhein Muhammad bin Ali ne khabar di, unhein Usama Radi Allahu Anhu ke gulam Harmala ne khabar di, Amr ne bayan kiya ke mein ne Harmala ko dekha tha. Harmala ne bayan kiya ke mujhe Usama ne Ali Radi Allahu Anhu ke paas bheja aur mujh se kaha, is waqt tum se Ali Radi Allahu Anhu poochein ge ke tumhare saathi (Usama Radi Allahu Anhu) jang-e-jamal o siffeen se kyun peeche reh gaye thay to un se kehna ke unhon ne Aap se kaha hai ke agar Aap sher ke munh mein hon tab bhi mein is mein bhi Aap ke saath rahoon lekin yeh maamla hi aisa hai yaani musalmanon ki aapas ki jang to (is mein shirkat sahih) nahi maloom hui (Harmala kehte hain ke) chunancha unhon ne koi cheez nahi di. Phir mein Hasan, Husain aur Abdullah bin Jafar Radi Allahu Anhum ke paas gaya to unhon ne meri sawari par itna maal ladwa diya jitna ke oont utha na sakta tha.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا قَالَ عِنْدَ قَوْمٍ شَيْئًا ثُمَّ خَرَجَ فَقَالَ بِخِلاَفِهِ:
Koi shakhs logon ke saamne ek baat kahe phir us ke paas se nikal kar dusri baat kahe (to yeh dagha baazi hai).
Show diacritics
Hadith Number: 7111
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، قال: لما خلع اهل المدينة يزيد بن معاوية جمع ابن عمر حشمه وولده، فقال: إني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" ينصب لكل غادر لواء يوم القيامة، وإنا قد بايعنا هذا الرجل على بيع الله ورسوله، وإني لا اعلم غدرا اعظم من ان يبايع رجل على بيع الله ورسوله ثم ينصب له القتال، وإني لا اعلم احدا منكم خلعه، ولا بايع في هذا الامر إلا كانت الفيصل بيني وبينه".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Ayub ne, un se Nafi' ne ke jab ahl-e-Madinah ne Yazid bin Muawiya ki bai'at se inkar kiya to Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne apne khadimon aur larkon ko jama kiya aur kaha ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna hai, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke har gadr karne wale ke liye qayamat ke din ek jhanda khada kiya jaye ga aur hum ne is shakhs (Yazid) ki bai'at, Allah aur us ke Rasul ke naam par ki hai aur mere ilm mein koi gadr is se barh kar nahi hai ke kisi shakhs se Allah aur us ke Rasul ke naam par bai'at ki jaye aur phir is se jang ki jaye aur dekho Madinah walo! tum mein se jo koi Yazid ki bai'at ko tode aur doosre kisi se bai'at kare to mujh mein aur is mein koi talluq nahi raha, mein is se alag hoon.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7112
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابو شهاب، عن عوف، عن ابي المنهال، قال: لما كان ابن زياد ومروان بالشام، ووثب ابن الزبير بمكة، ووثب القراء بالبصرة، فانطلقت مع ابي إلى ابي برزة الاسلمي حتى دخلنا عليه في داره وهو جالس في ظل علية له من قصب، فجلسنا إليه، فانشا ابي يستطعمه الحديث، فقال: يا ابا برزة، الا ترى ما وقع فيه الناس، فاول شيء سمعته تكلم به:" إني احتسبت عند الله اني اصبحت ساخطا على احياء قريش، إنكم يا معشر العرب كنتم على الحال الذي علمتم من الذلة والقلة والضلالة، وإن الله انقذكم بالإسلام وبمحمد صلى الله عليه وسلم حتى بلغ بكم ما ترون وهذه الدنيا التي افسدت بينكم، إن ذاك الذي بالشام والله إن يقاتل إلا على الدنيا، وإن هؤلاء الذين بين اظهركم والله إن يقاتلون إلا على الدنيا، وإن ذاك الذي بمكة والله إن يقاتل إلا على الدنيا".
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shihab ne bayan kiya, un se Jauf ne bayan kiya, un se Abul Minhal ne bayan kiya ke jab Abdullah bin Ziyad aur Marwan Sham mein thay aur Ibn Zubair Radi Allahu Anhu ne Makkah mein aur Khawarij ne Basra mein qabza kar liya tha to mein apne walid ke saath Abu Barza Aslami Radi Allahu Anhu ke paas gaya. Jab hum in ke ghar mein ek kamre ke saye mein baithe hue thay jo baans ka bana hua tha, hum in ke paas baith gaye aur mere walid in se baat karne lage aur kaha: Ae Abu Barza! Aap nahi dekhte log kin baaton mein aafat aur ikhtilaf mein ulajh gaye hain. Mein ne un ki zaban se sab se pehli baat yeh suni ke mein jo in Quraish ke logon se naraz hoon to mahz Allah ki raza-mandi ke liye, Allah mera ajr dene wala hai. Arab ke logo! tum jaante ho pehle tumhara kya haal tha tum gumrahi mein giriftar thay, Allah ne Islam ke zariya aur Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ke zariya tum ko is buri halat se najat di. Yahan tak ke tum is rutbe ko pahunche. (duniya ke hakim aur sardar ban gaye) phir isi duniya ne tum ko kharab kar diya. Dekho! yeh shakhs jo Sham mein hakim ban baitha hai yaani Marwan duniya ke liye lad raha hai. Yeh log jo tumhare samne hain. (Khawarij) wallah! yeh log sirf duniya ke liye lad rahe hain aur wo jo Makkah mein hai Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhuma, wallah! wo bhi sirf duniya ke liye lad raha hai.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7113
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، عن واصل الاحدب، عن ابي وائل، عن حذيفة بن اليمان، قال:" إن المنافقين اليوم شر منهم على عهد النبي صلى الله عليه وسلم كانوا يومئذ يسرون، واليوم يجهرون".
`Hum se Adam bin Abi Ayas ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Wasil Ahdab ne, un se Abu Wa'il ne aur un se Huzaifa bin al-Yaman ne bayan kiya ke aaj kal ke munafiq Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke zamane ke munafiqeen se bad-tareen hain. Is waqt chhupate thay aur aaj is ka khullam-khulla izhaar kar rahe hain.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7114
حدثنا خلاد، حدثنا مسعر، عن حبيب بن ابي ثابت، عن ابي الشعثاء، عن حذيفة، قال:" إنما كان النفاق على عهد النبي صلى الله عليه وسلم، فاما اليوم فإنما هو الكفر بعد الإيمان".
`Hum se Khallad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mis'ar ne bayan kiya, un se Habib bin Abi Sabit ne bayan kiya, un se Abul Sha'sa ne bayan kiya aur un se Huzaifa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke zamana mein nifaq tha aaj to iman ke baad kufr ikhtiyar karna hai.

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة