الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ ظُهُورِ الْفِتَنِ:
Fitnon ke zaahir hone ka bayaan.
Hadith Number: 7066
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن واصل، عن ابي وائل، عن عبد الله، واحسبه رفعه، قال:" بين يدي الساعة ايام الهرج، يزول فيها العلم، ويظهر فيها الجهل"، قال ابو موسى: والهرج: القتل بلسان الحبشة.
`Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghandar ne, kaha hum se Shu'ba ne, un se Wasil ne, un se Abu Wa'il ne aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne aur mera khayal hai ke is hadees ko unhon ne marfoo'an bayan kiya, kaha ke qayamat se pehle «Haraj» ke din hon ge, in mein ilm khatm ho jaye ga aur jahalat galib ho gi. Abu Musa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Habshi zaban mein «Haraj» ba-ma'ni qatl hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7067
وقال ابو عوانة، عن عاصم، عن ابي وائل،عن الاشعري، انه قال لعبد الله: تعلم الايام التي ذكر النبي صلى الله عليه وسلم ايام الهرج، نحوه قال ابن مسعود: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول: من شرار الناس من تدركهم الساعة وهم احياء.
`Aur Abu Awana ne bayan kiya, un se Aasim ne, un se Abu Wa'il ne aur un se Abu Musa Ash'ari Radi Allahu Anhu ne ke unhon ne Abdullah Radi Allahu Anhu se kaha Aap wo hadees jaante hain jo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne «Haraj» ke dinon wagaira ke mutalliq bayan ki. Ibn Masood Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein ne Aap صلی اللہ علیہ وسلم ko yeh farmate suna tha ke wo bad-bakht-tareen logon mein se hon ge jin ki zindagi mein qayamat aaye gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَأْتِي زَمَانٌ إِلاَّ الَّذِي بَعْدَهُ شَرٌّ مِنْهُ:
Har zamaane ke baad dusre aane wale zamaane ka is se badtar aana.
Hadith Number: 7068
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن الزبير بن عدي، قال: اتينا انس بن مالك، فشكونا إليه ما نلقى من الحجاج، فقال:"اصبروا، فإنه لا ياتي عليكم زمان إلا الذي بعده شر منه حتى تلقوا ربكم، سمعته من نبيكم صلى الله عليه وسلم".
`Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, un se Zubair bin Adi ne bayan kiya ke, hum Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ke paas aaye aur un se Hajjaj ke tarz-e-amal ki shikayat ki, unhon ne kaha ke sabr karo kyunke tum par jo daur bhi aata hai to is ke baad aane wala daur is se bhi bura ho ga yahan tak ke tum apne Rabb se ja milo. Mein ne yeh tumhare Nabi صلی اللہ علیہ وسلم se suna hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7069
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري. ح وحدثنا إسماعيل، حدثني اخي، عن سليمان بن بلال، عن محمد بن ابي عتيق،عن ابن شهاب، عن هند بنت الحارث الفراسية، ان ام سلمة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" استيقظ رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة فزعا، يقول: سبحان الله، ماذا انزل الله من الخزائن، وماذا انزل من الفتن، من يوقظ صواحب الحجرات، يريد ازواجه لكي يصلين، رب كاسية في الدنيا عارية في الآخرة".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne. (doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha) aur hum se Ismail ne bayan kiya, un se un ke bhai ne bayan kiya, un se Sulaiman ne, un se Muhammad bin Aqeeq ne, un se Ibn Shihab ne ‘ un se Hind bint al-Haris al-Firasiya ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zauja-e-mutahhara Umm-e-Salama Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke ek raat Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ghabraye hue bidaar hue aur farmaya Allah ki zaat paak hai. Allah Ta'ala ne kya kya khazane nazil kiye hain aur kitne fitne utare hain in hujra waliyon ko koi bidaar kyun na kare Aap ki murad azwaj-e-mutahharat se thi taake yeh namaz parhein. Bahut se duniya mein kapre bareek pehne waliyan aakhirat mein nangi hon gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ حَمَلَ عَلَيْنَا السِّلاَحَ فَلَيْسَ مِنَّا» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmana "jo hum Musalmanon par hathiyaar uthaye woh hum mein se nahin hai".
Hadith Number: 7070
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من حمل علينا السلاح فليس منا".
`Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhein Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi' ne aur unhein Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jis ne hum musalmanon par hathiyar uthaya wo hum se nahi hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7071
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من حمل علينا السلاح فليس منا".
`Hum se Muhammad bin al-Ala ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraid ne, un se Abu Burda ne aur un se Abu Musa Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jis ne hum musalmanon par hathiyar uthaya wo hum se nahi hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7072
حدثنا محمد، اخبرنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يشير احدكم على اخيه بالسلاح، فإنه لا يدري لعل الشيطان ينزع في يده فيقع في حفرة من النار".
`Hum se Muhammad bin Yahya Zuhli (ya Muhammad bin Rafi) ne bayan kiya, kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di, unhein Ma'mar ne, unhein Hammam ne, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Koi shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na kare kyunke wo nahi jaanta mumkin hai shaitan ise is ke haath se chhudwa de aur phir wo kisi musalman ko maar kar is ki wajah se jahannum ke gaddhe mein gir pade.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7073
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: قلت لعمرو: يا ابا محمد، سمعت جابر بن عبد الله، يقول:" مر رجل بسهام في المسجد، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم: امسك بنصالها، قال: نعم".
`Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, kaha ke mein ne Amr bin Dinar se kaha Abu Muhammad! tum ne Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma se suna hai ke unhon ne bayan kiya ke ek sahab teer le kar masjid mein se guzre to un se Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke teer ki nauk ka khayal rakkho. Amr ne kaha ji haan mein ne suna hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7074
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو بن دينار، عن جابر،" ان رجلا مر في المسجد باسهم قد ابدى نصولها، فامر ان ياخذ بنصولها لا يخدش مسلما".
`Hum se Abu Nu'man ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Amr bin Dinar ne aur un se Jabir Radi Allahu Anhu ne ke ek sahab masjid mein teer le kar guzre jin ke phal bahar ko nikle hue thay to unhein hukm diya gaya ke un ki nauk ka khayal rakkhein ke wo kisi musalman ko zakhmi na kar dein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7075
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا مر احدكم في مسجدنا، او في سوقنا ومعه نبل، فليمسك على نصالها، او قال: فليقبض بكفه ان يصيب احدا من المسلمين منها شيء".
`Hum se Muhammad bin al-Ala ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraid ne, un se Abu Burda ne aur un se Abu Musa Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jab tum mein se koi hamari masjid mein ya hamare bazaar mein guzre aur is ke paas teer hon to ise chahiye ke is ki nauk ka khayal rakkhe.“ Ya Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke apne haath se unhein thaame rahe. Kahin kisi musalman ko is se koi takleef na pahunche.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة