الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَاتَّقُوا فِتْنَةً لاَ تُصِيبَنَّ الَّذِينَ ظَلَمُوا مِنْكُمْ خَاصَّةً}:
Allah Taala ka (Surat Al-Anfaal mein) yeh farmana ke "daro us fitne se jo zaalimon par khaas nahin rehta (balkeh zaalim o ghair-zaalim aam khaas sab is mein pas jaate hain)".
Hadith Number: Q7048
وما كان النبي صلى الله عليه وسلم يحذر من الفتن.
Aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم jo apni ummat ko fitnon se darate is ka zikr.
Hadith Number: 7048
حدثنا علي بن عبد الله حدثنا بشر بن السري حدثنا نافع بن عمر عن ابن ابي مليكة قال قالت اسماء عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: «انا على حوضي انتظر من يرد علي، فيؤخذ بناس من دوني فاقول امتي. فيقول لا تدري، مشوا على القهقرى» . قال ابن ابي مليكة اللهم إنا نعوذ بك ان نرجع على اعقابنا او نفتن.
`Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Bishr bin Surri ne bayan kiya, kaha hum se Nafi' bin Umar ne bayan kiya, un se Ibn Abi Mulaika ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”(Qayamat ke din) mein Hauz-e-Kausar par hoon ga aur apne paas aane walon ka intezar karta rahoon ga phir (Hauz-e-Kausar) par kuch logon ko mujh tak pahunchne se pehle hi giriftar kar liya jaye ga to mein kahoon ga ke yeh to meri ummat ke log hain. Jawab mile ga ke Aap ko maloom nahi yeh log ulte paon phir gaye thay.“ Ibn Abi Mulaika is hadees ko riwayat karte waqt dua karte ”Ae Allah! hum Teri panah maangte hain ke hum ulte paon phir jayein ya fitna mein pad jayein.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7049
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن مغيرة، عن ابي وائل، قال: قال عبد الله، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" انا فرطكم على الحوض، ليرفعن إلي رجال منكم، حتى إذا اهويت لاناولهم اختلجوا دوني، فاقول: اي رب، اصحابي، يقول: لا تدري ما احدثوا بعدك".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne, un se Abu Wa'il ke gulam Mugira ibn Miqsam ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Hauz-e-Kausar par tum logon ka pesh-khaima hoon ga aur tum mein se kuch log meri taraf aayein ge jab mein unhein (hauz ka pani) dene ke liye jhukoon ga to unhein mere samne se kheench liya jaye ga. Mein kahoon ga Ae mere Rabb! yeh to meri ummat ke log hain. Allah Ta'ala farmaye ga Aap ko maloom nahi ke unhon ne Aap ke baad deen mein kya kya nayi baatein nikal li theen.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7050
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن ابي حازم، قال: سمعت سهل بن سعد، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" انا فرطكم على الحوض، فمن ورده شرب منه، ومن شرب منه لم يظما بعده ابدا، ليرد علي اقوام اعرفهم ويعرفوني، ثم يحال بيني وبينهم، قال ابو حازم: فسمعني النعمان بن ابي عياش وانا احدثهم هذا، فقال: هكذا سمعت سهلا، فقلت: نعم، قال: وانا اشهد على ابي سعيد الخدري لسمعته يزيد فيه، قال: إنهم مني، فيقال: إنك لا تدري ما بدلوا بعدك، فاقول: سحقا سحقا لمن بدل بعدي".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub bin Abdur Rahman ne bayan kiya, in se Abu Hazim Salama bin Dinar ne bayan kiya, kaha ke mein ne Sahl bin Saad se suna, wo kehte thay ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم farmate thay ke mein Hauz-e-Kausar par tum se pehle rahoon ga jo wahan pahunche ga to is ka pani piye ga aur jo is ka pani pi le ga wo is ke baad kabhi pyasa nahi ho ga. Mere paas aise log bhi aayein ge jinhein mein pehchanta hoon ga aur wo mujhe pehchante hon ge phir mere aur un ke darmiyan parda daal diya jaye ga. Abu Hazim ne bayan kiya ke Numan bin Abi Ayash ne bhi suna ke mein un se yeh hadees bayan kar raha hoon to unhon ne kaha ke kya tu ne Sahl Radi اللہُ عنہ se isi tarah yeh hadees suni thi? Mein ne kaha ke haan. Unhon ne kaha ke mein gawahi deta hoon ke mein ne Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se yeh hadees isi tarah suni thi. Abu Said is mein itna barhate thay ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh log mujh mein se hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is waqt kaha jaye ga ke Aap ko maloom nahi ke Aap ke baad unhon ne kya tabdiliyaan kar di theen? Mein kahoon ga ke doori ho doori ho un ke liye jinhon ne mere baad deen mein tabdiliyaan kar di theen.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7051
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن ابي حازم، قال: سمعت سهل بن سعد، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" انا فرطكم على الحوض، فمن ورده شرب منه، ومن شرب منه لم يظما بعده ابدا، ليرد علي اقوام اعرفهم ويعرفوني، ثم يحال بيني وبينهم، قال ابو حازم: فسمعني النعمان بن ابي عياش وانا احدثهم هذا، فقال: هكذا سمعت سهلا، فقلت: نعم، قال: وانا اشهد على ابي سعيد الخدري لسمعته يزيد فيه، قال: إنهم مني، فيقال: إنك لا تدري ما بدلوا بعدك، فاقول: سحقا سحقا لمن بدل بعدي".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub bin Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Abu Hazim Salama bin Dinar ne bayan kiya, kaha ke mein ne Sahl bin Saad se suna, wo kehte thay ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم farmate thay ke mein Hauz-e-Kausar par tum se pehle rahoon ga jo wahan pahunche ga to is ka pani piye ga aur jo is ka pani pi le ga wo is ke baad kabhi pyasa nahi ho ga. Mere paas aise log bhi aayein ge jinhein mein pehchanta hoon ga aur wo mujhe pehchante hon ge phir mere aur un ke darmiyan parda daal diya jaye ga. Abu Hazim ne bayan kiya ke Numan bin Abi Ayash ne bhi suna ke mein un se yeh hadees bayan kar raha hoon to unhon ne kaha ke kya tu ne Sahl Radi Allahu Anhu se isi tarah yeh hadees suni thi? Mein ne kaha ke haan. Unhon ne kaha ke mein gawahi deta hoon ke mein ne Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se yeh hadees isi tarah suni thi. Abu Said is mein itna barhate thay ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh log mujh mein se hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is waqt kaha jaye ga ke Aap ko maloom nahi ke Aap ke baad unhon ne kya tabdiliyaan kar di theen? Mein kahoon ga ke doori ho doori ho un ke liye jinhon ne mere baad deen mein tabdiliyaan kar di theen.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «سَتَرَوْنَ بَعْدِي أُمُورًا تُنْكِرُونَهَا» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmana "mere baad tum baaz kaam dekho ge jo tum ko bure lagen ge".
Hadith Number: Q7052
وقال عبد الله بن زيد قال النبي صلى الله عليه وسلم اصبروا حتى تلقوني على الحوض
Aur Abdullah bin Zaid bin Aamir ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne (Ansar se) yeh bhi farmaya ke tum in kaamon par sabr karna yahan tak ke tum Hauz-e-Kausar par aa kar mujh se milo.
Hadith Number: 7052
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد القطان، حدثنا الاعمش، حدثنا زيد بن وهب، سمعت عبد الله، قال: قال لنا رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنكم سترون بعدي اثرة وامورا تنكرونها، قالوا: فما تامرنا يا رسول الله؟، قال: ادوا إليهم حقهم وسلوا الله حقكم".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Said ne bayan kiya, kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Zaid bin Wa'hb ne bayan kiya, unhon ne Abdullah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se farmaya ”Tum mere baad baaz kaam aise dekho ge jo tum ko bure lagein ge.“ Sahabah ne arz kiya: ya Rasul Allah! Aap is silsile mein kya hukm farmate hain? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Unhein in ka haqq ada karo aur apna haqq Allah se maango.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7053
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الوارث، عن الجعد، عن ابي رجاء، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من كره من اميره شيئا فليصبر، فإنه من خرج من السلطان شبرا مات ميتة جاهلية".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, un se Abdul Waris bin Said ne bayan kiya, un se Ja'd Sayrafi ne, un se Abu Raja Atardi ne aur un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jo shakhs apne ameer mein koi napasand baat dekhe to sabr kare (khalifa) ki ita'at se agar koi balisht bhar bhi bahar nikla to is ki maut jahiliyat ki maut ho gi.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7054
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن الجعد ابي عثمان، حدثني ابو رجاء العطاردي، قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من راى من اميره شيئا يكرهه فليصبر عليه، فإنه من فارق الجماعة شبرا فمات إلا مات ميتة جاهلية".
`Hum se Abu Nu'man ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Ja'd Abi Usman ne bayan kiya, un se Abu Raja al-Atardi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se suna, un se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jis ne apne ameer ki koi napasand cheez dekhi to ise chahe ke sabr kare is liye ke jis ne jama'at se ek balisht bhar judayi ikhtiyar ki aur isi haal mein mara to wo jahiliyat ki si maut mare ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7055
حدثنا إسماعيل، حدثني ابن وهب، عن عمرو، عن بكير، عن بسر بن سعيد، عن جنادة بن ابي امية، قال:" دخلنا على عبادة بن الصامت وهو مريض، قلنا: اصلحك الله، حدث بحديث ينفعك الله به سمعته من النبي صلى الله عليه وسلم، قال: دعانا النبي صلى الله عليه وسلم، فبايعناه.
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, un se Amr bin Haris ne, un se Bukair bin Abdullah ne, un se Busr bin Said ne, un se Junada bin Abi Umayya ne bayan kiya ke hum Ubada bin Samit Radi Allahu Anhu ki khidmat mein pahunche wo mareez thay aur hum ne arz kiya: Allah Ta'ala Aap ko sehat ata farmaye. Koi hadees bayan kijiye jis ka nafa Aap ko Allah Ta'ala pahunchaye. Unhon ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se Lailat-ul-Aqaba mein suna hai ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne humein bulaya aur hum ne Aap se bai'at ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة