الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «سَتَرَوْنَ بَعْدِي أُمُورًا تُنْكِرُونَهَا» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmana "mere baad tum baaz kaam dekho ge jo tum ko bure lagen ge".
Show diacritics
Hadith Number: 7056
فقال فيما اخذ علينا: ان بايعنا على السمع والطاعة في منشطنا ومكرهنا، وعسرنا ويسرنا، واثرة علينا، وان لا ننازع الامر اهله إلا ان تروا كفرا بواحا عندكم من الله فيه برهان".
`Unhon (Ubada bin Samit) ne bayan kiya ke jin baaton ka Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne hum se ahd liya tha in mein yeh bhi tha ke khushi o nagawari, tangi aur kushadagi aur apni haqq-talfi mein bhi ita'at o farman-bardari karein aur yeh bhi ke hukmranon ke saath hukumat ke baare mein is waqt tak jhagda na karein jab tak un ko a'laniya kufr karte na dekh lein. Agar wo a'laniya kufr karein to tum ko Allah ke paas se daleel mil jaye gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7057
حدثنا محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، عن اسيد بن حضير،" ان رجلا اتى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، استعملت فلانا ولم تستعملني؟، قال: إنكم سترون بعدي اثرة فاصبروا حتى تلقوني".
`Hum se Muhammad bin Ar'ara ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Qatada ne, un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne aur un se Usaid bin Huzair Radi Allahu Anhu ne, ek sahab (khud Usaid) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya: ya Rasul Allah! Aap ne falan Amr bin al-Aas ko hakim bana diya aur mujhe nahi banaya. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tum log Ansari mere baad apni haqq-talfi dekho ge to qayamat tak sabr karna yahan tak ke tum mujh se aa milo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «هَلاَكُ أُمَّتِي عَلَى يَدَيْ أُغَيْلِمَةٍ سُفَهَاءَ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmaya "meri ummat ki tabaahi chand bewaqoof larkon ke haathon ho gi".
Show diacritics
Hadith Number: 7058
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عمرو بن يحيى بن سعيد بن عمرو بن سعيد، قال: اخبرني جدي، قال:" كنت جالسا مع ابي هريرة في مسجد النبي صلى الله عليه وسلم بالمدينة ومعنا مروان، قال ابو هريرة: سمعت الصادق المصدوق، يقول:" هلكة امتي على يدي غلمة من قريش"، فقال مروان: لعنة الله عليهم غلمة، فقال ابو هريرة: لو شئت ان اقول بني فلان وبني فلان لفعلت، فكنت اخرج مع جدي إلى بني مروان حين ملكوا بالشام، فإذا رآهم غلمانا احداثا، قال لنا: عسى هؤلاء ان يكونوا منهم، قلنا: انت اعلم.
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Amr bin Yahya bin Said ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe mere dada Said ne khabar di, kaha ke mein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ke paas Madinah Munawwara mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki masjid mein baitha tha aur hamare saath Marwan bhi tha. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein ne Sadiq o Masdooq se suna hai Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke meri ummat ki tabahi Quraish ke chand larkon ke haath se ho gi. Marwan ne is par kaha un par Allah ki la'nat ho. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne kaha ke agar mein un ke khandan ke naam le kar batlana chahoon to batla sakta hoon. Phir jab Bani Marwan Sham ki hukumat par qabiz ho gaye to mein apne dada ke saath un ki taraf jata tha. Jab wahan unhon ne naujawan larkon ko dekha to kaha ke shayad yeh unhi mein se hon. Hum ne kaha ke Aap ko zyada ilm hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «وَيْلٌ لِلْعَرَبِ مِنْ شَرٍّ قَدِ اقْتَرَبَ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmana "ek bala se jo qareeb aa gayi hai Arab ki kharabi hone wali hai".
Show diacritics
Hadith Number: 7059
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا ابن عيينة، انه سمع الزهري، عن عروة، عن زينب بنت ام سلمة، عن ام حبيبة، عن زينب بنت جحش رضي الله عنهن، انها قالت: استيقظ النبي صلى الله عليه وسلم من النوم محمرا وجهه، يقول:" لا إله إلا الله ويل للعرب من شر قد اقترب، فتح اليوم من ردم ياجوج وماجوج مثل هذه، وعقد سفيان تسعين او مائة، قيل: انهلك وفينا الصالحون؟، قال: نعم، إذا كثر الخبث".
`Hum se Malik bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, unhon ne Zuhri se suna, unhon ne Urwa se, unhon ne Zainab bint Umm-e-Salama Radi Allahu Anha se, unhon ne Umm-e-Habiba Radi Allahu Anha se aur unhon ne Zainab bint Jahsh Radi Allahu Anha se ke unhon ne bayan kiya Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم neend se bidaar hue to Aap ka chehra surkh tha aur Aap صلی اللہ علیہ وسلم farma rahe thay Allah ke siwa koi mabood nahi. Arabon ki tabahi is bala se ho gi jo qareeb hi aa lagi hai. Aaj Yajuj Majuj ki deewar mein se itna surakh ho gaya aur Sufyan ne nabbay ya sau ke adad ke liye ungli baandhi poocha gaya kya hum is ke bawajood halak ho jayein ge ke hum mein saaliheen bhi hon ge? Farmaya haan! jab burayi barh jaye gi (to aisa hi ho ga).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7060
حدثنا ابو نعيم، حدثنا ابن عيينة، عن الزهري. ح وحدثني محمود، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن عروة،عن اسامة بن زيد رضي الله عنهما، قال:" اشرف النبي صلى الله عليه وسلم على اطم من آطام المدينة، فقال: هل ترون ما ارى؟، قالوا: لا، قال: فإني لارى الفتن تقع خلال بيوتكم كوقع القطر".
`Hum se Abu Nu'aim Fazl bin Dukain ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, un se Zuhri ne (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke aur mujh se Mahmood bin Gailan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di, unhein Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Urwa ne aur un se Usama bin Zaid Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Madinah ke teelon mein se ek teele par chadhe phir farmaya ke mein jo kuch dekhta hoon tum bhi dekhte ho? Logon ne kaha ke nahi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein fitnon ko dekha hoon ke wo barish ke qatron ki tarah tumhare gharon mein dakhil ho rahe hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ظُهُورِ الْفِتَنِ:
Fitnon ke zaahir hone ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 7061
حدثنا عياش بن الوليد، اخبرنا عبد الاعلى، حدثنا معمر، عن الزهري، عن سعيد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يتقارب الزمان، وينقص العمل، ويلقى الشح، وتظهر الفتن، ويكثر الهرج، قالوا: يا رسول الله، ايم هو؟، قال: القتل القتل"، وقال شعيب، ويونس، والليث، وابن اخي الزهري، عن الزهري، عن حميد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
`Hum se Ayash bin al-Waleed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abdula'la ne khabar di, unhon ne kaha hum se Ma'mar ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Suwaid bin Musayyib ne bayan kiya, un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Zamana qareeb hota jaye ga aur amal kam hota jaye ga aur lalach dilon mein daal diya jaye ga aur fitne zahir hone lagein ge aur «Haraj» ki kasrat ho jaye gi.“ Logon ne sawal kiya: ya Rasul Allah! yeh «Haraj» kya cheez hai? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke qatl! qatl! . Aur Yunus aur Laith aur Zuhri ke bhatije ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Hamid ne, un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7062
حدثنا مسدد، حدثنا عبيد الله بن موسى، عن الاعمش، عن شقيق، قال: كنت مع عبد الله، وابي موسى، فقالا: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن بين يدي الساعة لاياما ينزل فيها الجهل، ويرفع فيها العلم، ويكثر فيها الهرج والهرج، القتل".
`Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya, kaha hum se A'mash ne, un se Shaqeeq ne bayan kiya ke mein Abdullah bin Masood aur Abu Musa Radi Allahu Anhuma ke saath tha, in donon hazrat ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat ke din se pehle aise din hon ge jin mein jahalat utre pade gi aur ilm utha liya jaye ga aur «Haraj» barh jaye ga aur «Haraj» qatl hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7063
حدثنا مسدد، حدثنا عبيد الله بن موسى، عن الاعمش، عن شقيق، قال: كنت مع عبد الله، وابي موسى، فقالا: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن بين يدي الساعة لاياما ينزل فيها الجهل، ويرفع فيها العلم، ويكثر فيها الهرج والهرج، القتل".
`Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya, kaha hum se A'mash ne, un se Shaqeeq ne bayan kiya ke mein Abdullah bin Masood aur Abu Musa Radi Allahu Anhuma ke saath tha, in donon hazrat ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat ke din se pehle aise din hon ge jin mein jahalat utre pade gi aur ilm utha liya jaye ga aur «Haraj» barh jaye ga aur «Haraj» qatl hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7064
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، قال: جلس عبد الله، وابو موسى فتحدثا، فقال ابو موسى، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن بين يدي الساعة اياما يرفع فيها العلم وينزل فيها الجهل، ويكثر فيها الهرج والهرج، القتل".
`Hum se Umar bin Hafs ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se mere walid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A'mash ne bayan kiya, un se Shaqeeq ne bayan kiya ke Abdullah bin Masood aur Abu Musa Radi Allahu Anhuma baithe aur guftagu karte rahe phir Abu Musa Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Qayamat se pehle aise din aayein ge jin mein ilm utha liya jaye ga aur jahalat utre pade gi aur «Haraj» ki kasrat ho jaye gi aur «Haraj» qatl hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7065
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي وائل، قال: إني لجالس مع عبد الله، وابي موسى رضي الله عنهما، فقال ابو موسى: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم مثله، والهرج بلسان الحبشة: القتل.
`Hum se Qutaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se A'mash ne bayan kiya aur un se Abu Wa'il ne bayan kiya ke mein Abdullah bin Masood aur Abu Musa Radi Allahu Anhuma ke saath baitha hua tha to Abu Musa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna isi tarah. «Haraj» Habsha ki zaban mein qatl ko kehte hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة