الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ عَمُودِ الْفُسْطَاطِ تَحْتَ وِسَادَتِهِ:
Khwaab mein dere ka sutoon takiye ke neeche dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: Q7015
n
(Note: Is baab mein hadees nahi hai)


بَابُ الإِسْتَبْرَقِ وَدُخُولِ الْجَنَّةِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein reshmi kapra dekhna aur behisht mein daakhil hona.
Show diacritics
Hadith Number: 7015
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" رايت في المنام كان في يدي سرقة من حرير لا اهوي بها إلى مكان في الجنة إلا طارت بي إليه، فقصصتها على حفصة.
`Hum se Mu'alla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Ayub ne, un se Nafi' ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne khwab mein dekha ke goya mere haath mein resham ka ek tukda hai aur mein jannat mein jis jagah jaana chahta hoon wo mujhe uda kar wahan pahuncha deta hai. Mein ne is ka zikr Hafsa Radi Allahu Anha se kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7016
فقصتها حفصة على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: إن اخاك رجل صالح، او قال: إن عبد الله رجل صالح".
Aur Hafsa Radi Allahu Anha ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is khwab ka zikr kiya. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tumhara bhai mard-e-naik ya farmaya ke Abdullah naik aadmi hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَيْدِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein qaid (yani qaidi banna) dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7017
حدثنا عبد الله بن صباح، حدثنا معتمر، سمعت عوفا، حدثنا محمد بن سيرين، انه سمع ابا هريرة، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اقترب الزمان لم تكد تكذب رؤيا المؤمن، ورؤيا المؤمن جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة، وما كان من النبوة فإنه لا يكذب"، قال محمد: وانا اقول هذه، قال: وكان يقال: الرؤيا ثلاث: حديث النفس، وتخويف الشيطان، وبشرى من الله، فمن راى شيئا يكرهه فلا يقصه على احد، وليقم فليصل، قال: وكان يكره الغل في النوم، وكان يعجبهم القيد، ويقال: القيد ثبات في الدين، وروى قتادة، ويونس، وهشام، وابو هلال، عن ابن سيرين، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وادرجه بعضهم كله في الحديث، وحديث عوف ابين، وقال يونس: لا احسبه إلا عن النبي صلى الله عليه وسلم في القيد، قال ابو عبد الله: لا تكون الاغلال إلا في الاعناق.
`Hum se Abdullah bin Sabah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mu'tamir ne bayan kiya, unhon ne kaha mein ne Auf se suna, un se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jab qayamat qareeb ho gi to momin ka khwab jhoota nahi ho ga aur momin ka khwab nabuwwat ke chhiyalees (46) hisson mein se ek hissa hai.“ Muhammad bin Sireen Rahimahullah (jo ke ilm-e-ta'beer ke bahut bade aalim thay) ne kaha ke nabuwwat ka hissa jhoot nahi ho sakta. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu kehte thay ke khwab teen tarah ke hain. Dil ke khayalat, shaitan ka darana aur Allah ki taraf se khushkhabri. Pas agar koi shakhs khwab mein buri cheez dekhta hai to use chahiye ke is ka zikr kisi se na kare aur khada ho kar namaz parhne lage. Muhammad bin Sireen ne kaha ke Abu Hurairah Radi Allahu Anhu khwab mein tauq ko napasand karte thay aur qaid dekhne ko accha samajhte thay aur kaha gaya hai ke qaid se murad deen mein sabit-qadami hai. Aur Qatada, Yunus, Hisham aur Abu Hilal ne Ibn Sireen se naql kiya hai, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se, unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Aur baaz ne yeh sari riwayat hadees mein shumar ki hai lekin Auf ki riwayat zyada wazeh hai aur Yunus ne kaha ke qaid ke baare mein riwayat ko mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki hadees hi samajhta hoon. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke tauq hamesha gardanon hi mein hote hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْعَيْنِ الْجَارِيَةِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein paani ka behta chashma dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7018
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن خارجة بن زيد بن ثابت، عن ام العلاء، وهي امراة من نسائهم بايعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، قالت:" طار لنا عثمان بن مظعون في السكنى حين اقترعت الانصار على سكنى المهاجرين، فاشتكى، فمرضناه حتى توفي، ثم جعلناه في اثوابه، فدخل علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: رحمة الله عليك ابا السائب فشهادتي عليك لقد اكرمك الله، قال وما يدريك؟، قلت: لا ادري والله، قال: اما هو فقد جاءه اليقين إني لارجو له الخير من الله، والله ما ادري وانا رسول الله ما يفعل بي ولا بكم، قالت ام العلاء: فوالله لا ازكي احدا بعده، قالت: ورايت لعثمان في النوم عينا تجري، فجئت رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكرت ذلك له، فقال: ذاك عمله يجري له".
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Kharija bin Sabit ne aur un se Umm-e-Ala Radi Allahu Anha ne bayan kiya jo unhi ki ek khatoon hain ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se bai'at ki thi. Unhon ne bayan kiya ke jab Ansar ne Muhajireen ke qiyam ke liye qur'a andazi ki to Usman bin Maz'oon Radi Allahu Anhu ka naam hamare yahan theharne ke liye nikla. Phir wo bimar pad gaye, hum ne un ki teemardari ki lekin un ki wafat ho gayi. Phir hum ne unhein un ke kapron mein lapait diya. Is ke baad Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم hamare ghar tashreef laye to mein ne kaha: Abu al-Sa'ib! tum par Allah ki rehmaton hon, meri gawahi hai ke tumhein Allah Ta'ala ne izzat bakhshi hai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tumhein yeh kaise maloom hua? Mein ne arz kiya: Allah ki qasam mujhe maloom nahi hai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is ke baad farmaya ke jahan tak in ka talluq hai to yaqeeni baat (maut) un tak pahunch chuki hai aur mein Allah se un ke liye khair ki umeed rakhta hoon lekin Allah ki qasam mein Rasul Allah hoon aur is ke bawajood mujhe maloom nahi ke mere saath kya maamla kiya jaye ga. Umm-al-Ala Radi Allahu Anha ne kaha ke wallah! is ke baad mein kisi insan ki paki nahi bayan karoon gi. Unhon ne bayan kiya ke mein ne Usman Radi Allahu Anhu ke liye khwab mein ek jaari chashma dekha tha. Chunancha mein ne hazir ho kar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is ka zikr kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh in ka naik amal hai jis ka sawab in ke liye jaari hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَزْعِ الْمَاءِ مِنَ الْبِئْرِ حَتَّى يَرْوَى النَّاسُ:
Khwaab mein kunwen se paani kheenchne yahan tak ke log serab ho jaayen.
Show diacritics
Hadith Number: Q7019
رواه ابو هريرة عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Ise Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se riwayat kiya.


Show diacritics
Hadith Number: 7019
حدثنا يعقوب بن إبراهيم بن كثير، حدثنا شعيب بن حرب، حدثنا صخر بن جويرية، حدثنا نافع، ان ابن عمر رضي الله عنهما حدثه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا على بئر انزع منها، إذ جاء ابو بكر، وعمر، فاخذ ابو بكر الدلو، فنزع ذنوبا او ذنوبين وفي نزعه ضعف، فغفر الله له، ثم اخذها عمر بن الخطاب من يد ابي بكر، فاستحالت في يده غربا، فلم ار عبقريا من الناس يفري فريه حتى ضرب الناس بعطن".
`Hum se Yaqub bin Ibrahim bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Shuaib bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Sakhr bin Juwairiya ne bayan kiya, kaha hum se Nafi' ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”(Khwab mein) mein ek kunwein se pani kheench raha tha ke Abu Bakr aur Umar bhi aa gaye. Ab Abu Bakr ne dowl le liya aur ek ya do dowl pani kheencha. Un ke kheenchne mein kamzori thi. Allah Ta'ala un ki magfirat kare Aameen. Is ke baad Umar bin Khattab ne ise Abu Bakr ke haath se le liya aur wo dowl un ke haath mein bada dowl ban gaya. Mein ne Umar jaisa pani kheenchne mein kisi ko mahir nahi dekha. Unhon ne khoob pani nikala yahan tak ke logon ne oonton ke liye pani se hauz bhar liye.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَزْعِ الذَّنُوبِ وَالذَّنُوبَيْنِ مِنَ الْبِئْرِ بِضَعْفٍ:
Kunwen se ek ya do dol paani kamzori ke saath kheencha.
Show diacritics
Hadith Number: 7020
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا موسى بن عقبة، عن سالم، عن ابيه، عن رؤيا النبي صلى الله عليه وسلم في ابي بكر،وعمر، قال:" رايت الناس اجتمعوا، فقام ابو بكر فنزع ذنوبا او ذنوبين وفي نزعه ضعف، والله يغفر له، ثم قام ابن الخطاب، فاستحالت غربا، فما رايت من الناس من يفري فريه حتى ضرب الناس بعطن".
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhair ne bayan kiya, kaha hum se Musa ne bayan kiya, un se Salim ne, un se un ke walid ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Abu Bakr o Umar Radi Allahu Anhuma ke khwab ke silsile mein farmaya ke mein ne logon ko dekha ke jama ho gaye hain phir Abu Bakr khade hue aur ek ya do dowl pani kheencha aur un ke kheenchne mein kamزوری thi, Allah un ki magfirat kare. Phir Umar bin Khattab khade hue aur wo bada dowl ban gaya. Mein ne logon mein se kisi ko itni maharat ke saath pani nikalte nahi dekha yahan tak ke logon ne hauz bhar liye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7021
حدثنا سعيد بن عفير، حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني سعيد، ان ابا هريرة اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم رايتني على قليب وعليها دلو فنزعت منها ما شاء الله، ثم اخذها ابن ابي قحافة فنزع منها ذنوبا او ذنوبين، وفي نزعه ضعف، والله يغفر له، ثم استحالت غربا، فاخذها عمر بن الخطاب، فلم ار عبقريا من الناس ينزع نزع عمر بن الخطاب حتى ضرب الناس بعطن".
`Hum se Said bin Afir ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Said ne khabar di, unhein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne khabar di ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke mein ne apne aap ko ek kunwein par dekha. Is par ek dowl tha. Jitna Allah ne chaha mein ne is mein se pani kheencha, phir is dowl ko Ibn Abi Quhafa ne le liya aur unhon ne bhi ek ya do dowl kheenchne aur un ke kheenchne mein kamzori thi, Allah un ki magfirat kare phir wo bada dowl ban gaya aur ise Umar bin Khattab ne utha liya. Mein ne kisi mahir ko Umar bin Khattab ki tarah kheenchte nahi dekha yahan tak ke unhon ne logon ke liye oonton ke hauz bhar diye. Logon ne apne oonton ko seerab kar ke apne thanon par le ja kar bitha diya.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِسْتِرَاحَةِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein aaram karna.
Show diacritics
Hadith Number: 7022
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا نائم رايت اني على حوض اسقي الناس، فاتاني ابو بكر فاخذ الدلو من يدي ليريحني، فنزع ذنوبين، وفي نزعه ضعف، والله يغفر له، فاتى ابن الخطاب، فاخذ منه فلم يزل ينزع حتى تولى الناس والحوض يتفجر".
`Hum se Ishaq bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha humein Abdur Razzaq ne khabar di, un se Ma'mar ne, un se Hammam ne unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke mein ne khwab dekha ke mein hauz par hoon aur logon ko seerab kar raha hoon phir mere paas Abu Bakr aaye aur mujhe aaram dene ke liye dowl mere haath se le liya phir unhon ne do dowl kheencha un ke kheenchne mein kamzori thi, Allah un ki magfirat kare. Phir Umar bin Khattab aaye aur un se dowl le liya aur barabar kheenchte rahe yahan tak ke log seerab ho kar chal diye aur hauz se pani lab-a-lab ubal raha tha.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة