الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْحُلْمُ مِنَ الشَّيْطَانِ:
Bura khwaab shaitaan ki taraf se hota hai.
Show diacritics
Hadith Number: 7005
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، ان ابا قتادة الانصاري، وكان من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم وفرسانه، قال سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" الرؤيا من الله، والحلم من الشيطان، فإذا حلم احدكم الحلم يكرهه، فليبصق عن يساره وليستعذ بالله منه فلن يضره".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Abu Salama ne aur un se Abu Qatada Ansari Radi Allahu Anhu ne jo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke sahabi aur Aap ke sheh-sawaron mein se thay unhon ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke acche khwab Allah ki taraf se hote hain aur bure shaitan ki taraf se pas tum mein jo koi bura khwab dekhe jo ise napasand ho to use chahiye ke apni bayein taraf thooke aur is se Allah ki panah maange wo ise hargiz nuqsan nahi pahuncha sake ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اللَّبَنِ:
Doodh ko khwaab mein dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7006
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، اخبرني حمزة بن عبد الله، ان ابن عمر، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن، فشربت منه حتى إني لارى الري يخرج من اظفاري، ثم اعطيت فضلي، يعني عمر، قالوا: فما اولته يا رسول الله، قال: العلم".
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Hamza bin Abdullah ne khabar di, un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein soya hua tha ke mere paas doodh ka ek pyala laya gaya aur mein ne is ka doodh piya. Yahan tak ke is ki seerabi ka asar mein ne apne nakhunon mein zahir hota dekha, is ke baad mein ne is ka bacha hua de diya. Aap ka ishara Umar Radi Allahu Anhu ki taraf tha sahabah ne poocha: Aap ne is ki ta'beer kya ki ya Rasul Allah? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ilm.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا جَرَى اللَّبَنُ فِي أطرافه أَوْ أَظَافِيرِهِ:
Jab doodh kisi ke aza o naakhunon se phoot nikle to kya ta'beer hai?
Show diacritics
Hadith Number: 7007
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، حدثني حمزة بن عبد الله بن عمر، انه سمع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن فشربت منه حتى إني لارى الري يخرج من اطرافي، فاعطيت فضلي عمر بن الخطاب، فقال من حوله: فما اولت ذلك يا رسول الله؟، قال: العلم".
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, un se Yaqub bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha un se mere walid Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne, un se Hamza bin Abdullah bin Umar ne bayan kiya aur unhon ne Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se suna kaha ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, mein soya hua tha ke mere paas doodh ka ek pyala laya gaya aur mein ne is mein se piya, yahan tak ke mein ne seerabi ka asar apne atraf mein numayan dekha. Phir mein ne is ka bacha hua Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ko diya jo sahabah wahan maujood thay, unhon ne poocha ke ya Rasul Allah! Aap ne is ki ta'beer kya ki? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ilm murad hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَمِيصِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein qamees dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7008
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثني ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: حدثني ابو امامة بن سهل، انه سمع ابا سعيد الخدري، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينما انا نائم رايت الناس يعرضون علي وعليهم قمص منها ما يبلغ الثدي ومنها ما يبلغ دون ذلك، ومر علي عمر بن الخطاب وعليه قميص يجره، قالوا: ما اولته يا رسول الله؟، قال: الدين".
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, un se Yaqub bin Ibrahim ne bayan kiya, un se un ke walid ne, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Abu Umama bin Sahl ne bayan kiya, unhon ne Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ko bayan karte suna ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke mein ne dekha ke log mere samne pesh kiye ja rahe hain wo qamees pehne hue hain. In mein baaz ki qamees to sirf seene tak ki hai aur baaz ki is se badi hai aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ke paas se guzre to un ki qamees zameen se ghasat rahi thi. Sahabah ne poocha: ya Rasul Allah! Aap ne is ki kya ta'beer ki? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke deen.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ جَرِّ الْقَمِيصِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein kurte ka gheesatna.
Show diacritics
Hadith Number: 7009
حدثنا سعيد بن عفير، حدثني الليث، حدثني عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني ابو امامة بن سهل، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، انه قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم رايت الناس عرضوا علي وعليهم قمص فمنها ما يبلغ الثدي ومنها ما يبلغ دون ذلك، وعرض علي عمر بن الخطاب وعليه قميص يجتره، قالوا: فما اولته يا رسول الله؟ قال: الدين".
`Hum se Said bin Afir ne bayan kiya, kaha mujh se Laith bin Saad ne bayan kiya, kaha mujh se Aqeel ne bayan kiya, kaha un se Ibn Shihab ne, kaha mujh ko Abu Umama bin Sahl ne khabar di aur un se Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein soya hua tha ke mein ne logon ko apne samne pesh hote dekha. Wo qamees pehne hue thay, in mein baaz ki qamees to seene tak ki thi aur baaz ki is se badi thi aur mere samne Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu pesh kiye gaye to un ki qamees (zameen se) ghasat rahi thi. Sahabah ne poocha: ya Rasul Allah! Aap ne is ki ta'beer kya ki? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke deen is ki ta'beer hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخُضَرِ فِي الْمَنَامِ وَالرَّوْضَةِ الْخَضْرَاءِ:
Khwaab mein sabzi ya hara bhara baagh dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7010
حدثنا عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا حرمي بن عمارة، حدثنا قرة بن خالد، عن محمد بن سيرين، قال: قال قيس بن عباد" كنت في حلقة فيها سعد بن مالك، وابن عمر، فمر عبد الله بن سلام، فقالوا: هذا رجل من اهل الجنة، فقلت له: إنهم قالوا: كذا وكذا، قال: سبحان الله، ما كان ينبغي لهم ان يقولوا ما ليس لهم به علم، إنما رايت كانما عمود وضع في روضة خضراء فنصب فيها وفي راسها عروة وفي اسفلها منصف، والمنصف الوصيف، فقيل: ارقه، فرقيته حتى اخذت بالعروة، فقصصتها على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يموت عبد الله وهو آخذ بالعروة الوثقى".
`Hum se Abdullah bin Muhammad al-Ju'fee ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Harami bin Amara ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Qurra bin Khalid ne bayan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, un se Qais bin Abbad ne bayan kiya ke mein ek halqa mein baitha tha jis mein Saad bin Malik aur Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma baithe hue thay. Wahan se Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu guzre to logon ne kaha ke yeh ahl-e-jannat mein se hain. Mein ne un se kaha ke wo is tarah ki baat keh rahe hain. Aap ne farmaya, Subhan Allah un ke liye munasib nahi ke wo aisi baat kahein jis ka unhein ilm nahi hai. Mein ne khwab mein dekha tha ke ek sutoon ek hare bhare bagh mein nasab kiya hua hai is sutoon ke oopar ke sire par ek halqa ( «Urwa») laga hua tha aur neeche «Munsif» tha. «Munsif» se murad khadim hai phir kaha gaya ke is par chadh jao mein chadh gaya aur mein ne halqa pakad liya, phir mein ne is ka tazkira Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Abdullah ka jab intiqal ho ga to wo «al-Urwat-ul-Wusqa» ko pakde hue hon ge.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَشْفِ الْمَرْأَةِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein aurat ka munh kholna.
Show diacritics
Hadith Number: 7011
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اريتك في المنام مرتين، إذا رجل يحملك في سرقة من حرير، فيقول: هذه امراتك فاكشفها، فإذا هي انت، فاقول: إن يكن هذا من عند الله يمضه".
`Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya, un se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mujhe tum khwab mein do martaba dikhayi gayeen. Ek shakhs tumhein resham ke ek tukre mein uthaye liye ja raha tha, us ne mujh se kaha ke yeh Aap ki biwi hain, un ke (chehre se) parda hatao. Mein ne parda uthaya ke wo tum theen. Mein ne socha ke agar yeh khwab Allah ki taraf se hai to wo khud hi anjam tak pahunchaye ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ثِيَابِ الْحَرِيرِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein resham ke kapre ka dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7012
حدثنا محمد، اخبرنا ابو معاوية، اخبرنا هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اريتك قبل ان اتزوجك مرتين، رايت الملك يحملك في سرقة من حرير، فقلت له: اكشف، فكشف، فإذا هي انت، فقلت: إن يكن هذا من عند الله يمضه، ثم اريتك يحملك في سرقة من حرير، فقلت: اكشف، فكشف فإذا هي انت، فقلت: إن يك هذا من عند الله يمضه".
`Hum se Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abu Muawiya ne khabar di, kaha hum ko Hisham ne khabar di, unhein un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Tum se shadi karne se pehle mujhe tum do martaba dikhayi gayeen, mein ne dekha ke ek farishta tumhein resham ke ek tukre mein uthaye hue hai. Mein ne us se kaha ke kholo us ne khola to wo tum theen. Mein ne kaha ke agar yeh Allah ke paas se hai to wo khud hi ise anjam tak pahunchaye ga. Phir mein ne tumhein dekha ke farishta tumhein resham ke ek tukre mein uthaye hue hai. Mein ne kaha ke kholo! us ne khola to is mein tum theen, phir mein ne kaha ke yeh to Allah ki taraf se hai jo zaroor poora ho ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَفَاتِيحِ فِي الْيَدِ:
Haath mein kunjiyan khwaab mein dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7013
حدثنا سعيد بن عفير، حدثنا الليث، حدثني عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بعثت بجوامع الكلم، ونصرت بالرعب، وبينا انا نائم اتيت بمفاتيح خزائن الارض فوضعت في يدي"، قال ابو عبد الله: وبلغني ان جوامع الكلم، ان الله يجمع الامور الكثيرة التي كانت تكتب في الكتب قبله في الامر الواحد والامرين او نحو ذلك.
`Hum se Said bin Afir ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Said bin Musayyib ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein «Jawami'ul Kalim» ke saath maboos kiya gaya hoon aur meri madad ru'b ke zariya ki gayi hai aur mein soya hua tha ke zameen ke khazanon ki kunjiyaan mere paas layi gayeen aur mere haath mein unhein rakh diya gaya aur Muhammad ne bayan kiya ke mujh tak yeh baat pahunchi hai ke «Jawami'ul Kalim» se murad yeh hai ke bahut se umoor jo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se pehle kitabon mein likhe hue thay, un ko Allah Ta'ala ne ek ya do umoor ya isi jaise mein jama kar diya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّعْلِيقِ بِالْعُرْوَةِ وَالْحَلْقَةِ:
Kunde ya halqe ko (khwaab mein) pakar kar us se latak jaana.
Show diacritics
Hadith Number: 7014
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا ازهر، عن ابن عون. ح وحدثني خليفة، حدثنا معاذ، حدثنا ابن عون، عن محمد، حدثنا قيس بن عباد، عن عبد الله بن سلام، قال:" رايت كاني في روضة ووسط الروضة عمود في اعلى العمود عروة، فقيل لي، ارقه، قلت، لا استطيع، فاتاني وصيف فرفع ثيابي، فرقيت، فاستمسكت بالعروة، فانتبهت وانا مستمسك بها، فقصصتها على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: تلك الروضة روضة الإسلام، وذلك العمود عمود الإسلام، وتلك العروة عروة الوثقى، لا تزال مستمسكا بالإسلام حتى تموت".
`Mujh se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Azhar ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Aun ne (doosri sanad) Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke aur mujh se Khalifa ne bayan kiya, un se Mu'az ne bayan kiya, un se Ibn Aun ne bayan kiya, un se Muhammad ne, un se Qais bin Abbad ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne (khwab) dekha ke goya mein ek bagh mein hoon aur bagh ke beech mein ek sutoon hai jis ke oopar ke sire par ek halqa hai. Kaha gaya ke is par chadh jao. Mein ne kaha ke mein is ki taqat nahi rakhta. Phir mere paas khadim aaya aur us ne mere kapre chadh diye phir mein oopar chadh gaya aur mein ne halqa pakad liya, abhi mein ise pakde hi hue tha ke aankh khul gayi. Phir mein ne is ka zikr Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke wo bagh Islam ka bagh tha aur wo sutoon Islam ka sutoon tha aur wo halqa «al-Urwat-ul-Wusqa» tha, tum hamesha Islam par mazbooti se jame raho ge yahan tak ke tumhari wafat ho jaye gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة