الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ رُؤْيَا يُوسُفَ:
Yusuf alaihis-salaam ke khwaab ka bayaan.
Hadith Number: Q6991-2
قال ابو عبد الله فاطر والبديع والمبدع والبارئ والخالق واحد من البدو بادية
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Yusuf mein) farmaya ”Jab Yusuf (Alaihis Salam) ne apne walid se kaha ke Ae mere walid! mein ne gyarah sitaron aur sooraj aur chand ko (khwab mein) dekha. Dekhta hoon ke wo mere aage sajda kar rahe hain. Wo bole: mere pyare bete! apne is khwab ko apne bhaiyon ke samne bayan na karna warna wo tumhari dushmani mein tum ko takleef dene ke liye koi chaal chal kar rahein ge. Beshak shaitan to insan ka khulla dushman hai aur isi tarah tumhara Parwardigar tumhein meri aulad mein se chun le ga aur tumhein khwabon ki ta'beer sikhaye ga aur jaise us ne apna ihsan mujh par aur tere dada par pehle poora kiya isi tarah tujh par aur Yaqub ki aulad par apna ihsan poora kare ga (paigambari ata kare ga) beshak tumhara Parwardigar bada ilm wala hai bada hikmat wala hai.“ Aur Allah Ta'ala ne (Surah Yusuf mein) farmaya ”Aur Yusuf (Alaihis Salam) ne kaha: Ae mere abba jaan! yeh mere pehle khwab ki ta'beer hai ise mere Parwardigar ne sach kar dikhaya aur usi ne mere saath kaisa ihsan is waqt kiya jab mujhe qaid-khana se nikala aur Aap sab ko jangal se le aaya aur baad is ke ke shaitan ne mere aur mere bhaiyon ke darmiyan fasad dalwa diya tha beshak mera Parwardigar jo chahta hai is ki umda tadbeer kar deta hai. Beshak wahi hai ilm wala, hikmat wala. Ae Rabb! Tu ne mujhe hukumat bhi di aur khwabon ki ta'beer ka ilm bhi diya. Ae aasmanon aur zameen ke Khaliq! Tu hi mera kaarsaz duniya o aakhirat mein hai. Mujhe duniya se apna farman-bardar bana kar utha aur mujhe saaliheen se mila de. «Fatir» «Badee'» , «Mubtadi'» , «Bari'» , «Khaliq» hum-ma'ni hain. «Bad'» , «Badi'ah» se hai yaani jangal aur dehat.
بَابُ رُؤْيَا إِبْرَاهِيمَ عَلَيْهِ السَّلاَمُ:
Ibrahim alaihis-salaam ke khwaab ka bayaan.
Hadith Number: Q6991
قال مجاهد اسلما سلما ما امرا به وتله وضع وجهه بالارض.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah al-Saffat mein) farmaya ”Pas jab Ismail, Ibrahim (Alaihimas-Salam) ke saath chalne phirne ke qabil hue to Ibrahim ne kaha Ae mere bete! mein khwab mein dekhta hoon ke mein tumhein zibah kar raha hoon pas tumhari kya raye hai? Ismail ne jawab diya: mere walid! Aap kijiye is ke mutabiq jo Aap ko hukm diya jata hai, Allah ne chaha to Aap mujhe sabr karne walon mein se payein ge. Pas jab wo donon tayyar ho gaye aur ise peshani ke bal ulta leta diya aur Hum ne ise aawaz di ke Ae Ibrahim! Tu ne apne khwab ko sach kar dikhaya bilashuba Hum isi tarah ihsan karne walon ko badla dete hain.“ Mujahid ne kaha ke «Aslama» ka matlab yeh hai ke donon jhuk gaye is hukm ke samne jo unhein diya gaya tha «Wa tallahu» yaani in ka munh zameen se laga diya, ondha leta diya.
بَابُ التَّوَاطُؤُ عَلَى الرُّؤْيَا:
Khwaab ka tawaarud yani ek hi khwaab kayi aadmi dekhen.
Hadith Number: 6991
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابن عمر رضي الله عنه، ان اناسا اروا ليلة القدر في السبع الاواخر، وان اناسا اروا انها في العشر الاواخر، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" التمسوها في السبع الاواخر".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Salim bin Abdullah ne, un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke kuch logon ko khwab mein Shab-e-Qadr (Ramzan ki) saat aakhri tareekhon mein dikhayi gayi aur kuch logon ko dikhayi gayi ke wo aakhri das tareekhon mein ho gi to Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ise aakhri saat tareekhon mein talash karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رُؤْيَا أَهْلِ السُّجُونِ وَالْفَسَادِ وَالشِّرْكِ:
Qaidiyon aur ahl-e-shirk o fasaad ke khwaab ka bayaan.
Hadith Number: Q6992
لقوله تعالى ودخل معه السجن فتيان قال احدهما إني اراني اعصر خمرا وقال الآخر إني اراني احمل فوق راسي خبزا تاكل الطير منه نبئنا بتاويله إنا نراك من المحسنين {36} قال لا ياتيكما طعام ترزقانه إلا نباتكما بتاويله قبل ان ياتيكما ذلكما مما علمني ربي إني تركت ملة قوم لا يؤمنون بالله وهم بالآخرة هم كافرون {37} واتبعت ملة آبائي إبراهيم وإسحاق ويعقوب ما كان لنا ان نشرك بالله من شيء ذلك من فضل الله علينا وعلى الناس ولكن اكثر الناس لا يشكرون {38} يا صاحبي السجن اارباب متفرقون سورة يوسف آية 36-39 وقال الفضيل عند قوله يا صاحبي السجن اارباب متفرقون خير ام الله الواحد القهار {39} ما تعبدون من دونه إلا اسماء سميتموها انتم وآباؤكم ما انزل الله بها من سلطان إن الحكم إلا لله امر الا تعبدوا إلا إياه ذلك الدين القيم ولكن اكثر الناس لا يعلمون {40} يا صاحبي السجن اما احدكما فيسقي ربه خمرا واما الآخر فيصلب فتاكل الطير من راسه قضي الامر الذي فيه تستفتيان {41} وقال للذي ظن انه ناج منهما اذكرني عند ربك فانساه الشيطان ذكر ربه فلبث في السجن بضع سنين {42} وقال الملك إني ارى سبع بقرات سمان ياكلهن سبع عجاف وسبع سنبلات خضر واخر يابسات يايها الملا افتوني في رؤياي إن كنتم للرؤيا تعبرون {43} قالوا اضغاث احلام وما نحن بتاويل الاحلام بعالمين {44} وقال الذي نجا منهما وادكر بعد امة انا انبئكم بتاويله فارسلون {45} يوسف ايها الصديق افتنا في سبع بقرات سمان ياكلهن سبع عجاف وسبع سنبلات خضر واخر يابسات لعلي ارجع إلى الناس لعلهم يعلمون {46} قال تزرعون سبع سنين دابا فما حصدتم فذروه في سنبله إلا قليلا مما تاكلون {47} ثم ياتي من بعد ذلك سبع شداد ياكلن ما قدمتم لهن إلا قليلا مما تحصنون {48} ثم ياتي من بعد ذلك عام فيه يغاث الناس وفيه يعصرون {49} وقال الملك ائتوني به فلما جاءه الرسول قال ارجع إلى ربك سورة يوسف آية 39-50. وادكر افتعل من ذكر امة قرن وتقرا امه نسيان، وقال ابن عباس يعصرون الاعناب والدهن تحصنون تحرسون
Allah Ta'ala ne farmaya ke ”Aur (Yusuf) ke saath jail-khana mein do aur jawan qaidi dakhil hue. Un mein se ek ne kaha ke mein khwab mein kya dekhta hoon ke mein angoor ka sheera nichod raha hoon aur doosre ne kaha ke mein kya dekhta hoon ke apne sar par khwan mein rotiyan uthaye hue hoon, is mein se parinde noch noch kar kha rahe hain. Aap hum ko in ki ta'beer batayie, beshak hum to Aap ko buzurgon mein se paate hain? Wo bole jo khana tum donon ke khane ke liye aata hai wo abhi aane na paye ga ke mein is ki ta'beer tum se bayan kar doon ga. Is se pehle ke khana tum donon ke paas aaye yeh is mein se hai jis ki mere Parwardigar ne mujhe taleem di hai mein to in logon ka mazhab pehle hi se chhode hue hoon jo Allah par iman nahi rakhte aur aakhirat ke wo inkari hain aur mein ne to apne buzurgon Ibrahim aur Yaqub aur Ishaq ka deen ikhtiyar kar rakha hai. Hum ko kisi tarah layiq nahi ke Allah ke saath hum kisi ko bhi shareek qarar dein. Yeh Allah ka fazl hai hamare oopar aur sab logon par lekin aksar log is ni'mat ka shukr ada nahi karte. Ae mere qaidi bhaiyo! juda juda bahut se mabood acche ya Allah akela accha jo sab par galib hai? Tum log to ise chhod kar bas chand farzi khudaon ki ibadat karte ho jin ke naam tum ne aur tumhare baap dadon ne rakh liye hain. Allah ne koi bhi daleel is par nahi utari. Hukm sirf Allah hi ka hai. Usi ne hukm diya hai ke siwa is ke kisi ki pooja paat na karo. Yahi deen seedha hai lekin aksar log ilm nahi rakhte. Ae mere dosto! tum mein se ek to apne aqa ko sharab mulazim ban kar pilaya kare ga aur raha doosra to ise suli di jaye gi. Phir is ke sar ko parinde khayein ge. Wo kaam isi tarah likha ja chuka hai jis ki babat tum donon pooch rahe ho aur donon mein se jis ke mutalliq rahayi ka yaqeen tha us se kaha ke mera bhi zikr apne aqa ke samne kar dena lekin ise apne aqa se zikr karna shaitan ne bhula diya to wo jail-khana mein kai saal tak rahe aur badshah ne kaha ke mein khwab mein kya dekhta hoon ke saat moti gayein hain aur unhein khaye jati hain saat dubli gayein aur saat baaliyan sabz aur saat hi khushk, Ae sardaro! mujhe is khwab ki ta'beer batao agar tum khwab ki ta'beer de lete ho. Unhon ne kaha ke yeh to pareshan khwab hain aur hum pareshan khwabon ki ta'beer ke mahir nahi hain aur do qaidiyon mein se jis ko rahayi mil gayi thi wo bola aur ise ek muddat ke baad yaad pada ke mein abhi is ki ta'beer laye deta hoon, zara mujhe jaane dijiye. Ae Yusuf! Ae khwabon ki sacchi ta'beer dene wale! hum logon ko matlab to batayie is khwab ka ke saat gayein moti hain aur unhein saat dubli gayein khaye jati hain aur saat baaliyan sabz hain aur saat hi khushk taake mein logon ke paas jaoon ke un ko bhi maloom ho jaye. (Yusuf Alaihis Salam ne) kaha tum saat saal barabar kashtkari kiye jao phir jo fasal kaato ise is ki baalon hi mein laga rehne do bajuz thodi miqdar ke ke isi ko khao phir is ke baad saat saal sakht aayein ge ke is zakhira ko khayein jayein ge jo tum ne jama kar rakkha hai bajuz is thodi miqdar ke jo tum beej ke liye rakh chhodo ge phir is ke baad ek saal aaye ga jis mein logon ke liye khoob barish ho gi aur is mein wo sheera bhi nichodein ge aur badshah ne kaha ke Yusuf ko mere paas lao phir jab qasidan ke paas pahuncha to (Yusuf Alaihis Salam ne) kaha ke apne aqa ke paas wapas jao. «Waddakara» , «Zikara» se ifti'aal ke wazan par hai. «Ummatin» (yaskoon meem) ba-ma'ni «Qarnun» yaani zamana hai aur baaz ne «Ummatan» (meem ke nasab ke saath) parha hai aur Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha ke «Ya'siroon» ka ma'ni angoor nichodein ge aur tail nikalein ge. «Tahnoon» ay «Tahrusoon» yaani hifazat karo ge.
Hadith Number: 6992
حدثنا عبد الله، حدثنا جويرية، عن مالك، عن الزهري، ان سعيد بن المسيب، وابا عبيد اخبراه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو لبثت في السجن ما لبث يوسف ثم اتاني الداعي لاجبته".
`Hum se Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Juwairiya ne bayan kiya, un se Imam Malik ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, unhein Said bin Musayyib aur Abu Ubaida ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Agar mein itne dinon qaid mein rehta jitne dinon Yusuf Alaihis Salam pade rahe aur phir mere paas qasid bulane aata to mein is ki dawat qabool kar leta.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ رَأَى النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي الْمَنَامِ:
Jis ne Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ko khwaab mein dekha.
Hadith Number: 6993
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري، حدثني ابو سلمة، ان ابا هريرة، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من رآني في المنام فسيراني في اليقظة، ولا يتمثل الشيطان بي"، قال ابو عبد الله، قال ابن سيرين: إذا رآه في صورته.
`Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, unhein Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, kaha mujh se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jis ne mujhe khwab mein dekha to kisi din mujhe bidari mein bhi dekhe ga aur shaitan meri surat mein nahi aa sakta. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Ibn Sireen ne bayan kiya ke jab Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko koi shakhs Aap ki surat mein dekhe.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6994
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا عبد العزيز بن مختار، حدثنا ثابت البناني، عن انس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من رآني في المنام فقد رآني، فإن الشيطان لا يتخيل بي، ورؤيا المؤمن جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة".
`Hum se Mu'alla bin Asad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Aziz bin Mukhtar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sabit Banani ne bayan kiya aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jis ne mujhe khwab mein dekha to us ne waqayi dekha kyunke shaitan meri surat mein nahi aa sakta aur momin ka khwab nabuwwat ke chhiyalees hisson mein se ek juz hota hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6995
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عبيد الله بن ابي جعفر، اخبرني ابو سلمة، عن ابي قتادة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الرؤيا الصالحة من الله، والحلم من الشيطان، فمن راى شيئا يكرهه فلينفث عن شماله ثلاثا، وليتعوذ من الشيطان، فإنها لا تضره، وإن الشيطان لا يتراءى بي".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Abi Jafar ne, kaha mujh ko Abu Salama Radi Allahu Anhu ne khabar di aur un se Abu Qatada Radi Allahu Anhu ne bayan kiya Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Acche khwab Allah ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se pas jo shakhs koi bura khwab dekhe to apne bayein taraf karwat le kar teen martaba thoo thoo kare aur shaitan se Allah ki panah maange wo is ko nuqsan nahi de ga aur shaitan kabhi meri shakal mein nahi aa sakta.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6996
حدثنا خالد بن خلي، حدثنا محمد بن حرب، حدثني الزبيدي، عن الزهري، قال ابو سلمة، قال ابو قتادة رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من رآني فقد راى الحق"، تابعه يونس، وابن اخي الزهري.
`Hum se Khalid bin Khali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammad bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Zubaidi ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Abu Salama Radi Allahu Anhu ne aur un se Abu Qatada Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jis ne mujhe dekha us ne haqq dekha.“ Is riwayat ki mutabi'at Yunus ne aur Zuhri ke bhatije ne ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6997
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، حدثني ابن الهاد، عن عبد الله بن خباب، عن ابي سعيد الخدري، سمع النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" من رآني فقد راى الحق، فإن الشيطان لا يتكونني".
`Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn al-Haad ne bayan kiya, un se Abdullah bin Khabbab ne bayan kiya, un se Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya, unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko yeh farmate suna ke jis ne mujhe dekha us ne haqq dekha kyunke shaitan mujh jaisa nahi ban sakta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة