الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْقَصْرِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein mahal dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7023
حدثنا سعيد بن عفير، حدثني الليث، حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال اخبرني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة، قال: بينا نحن جلوس عند رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم رايتني في الجنة فإذا امراة تتوضا إلى جانب قصر، قلت: لمن هذا القصر؟، قالوا: لعمر بن الخطاب، فذكرت غيرته، فوليت مدبرا"، قال ابو هريرة: فبكى عمر بن الخطاب، ثم قال: اعليك بابي انت وامي يا رسول الله اغار.
`Hum se Said bin Afir ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, kaha mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Said bin Musayyib ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas baithe thay ke Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke mein ne apne aap ko jannat mein dekha. Mein ne dekha ke jannat ke mahal ke ek kinare ek aurat wuzu kar rahi hai. Mein ne poocha: yeh mahal kis ka hai? Bataya ke Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ka. Phir mein ne un ki gairat yaad ki aur wahan se laut gaya.“ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu is par ro pade aur arz kiya: ya Rasul Allah! mere maan baap Aap par qurban hon, kya mein Aap par gairat karoon ga?


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7024
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا معتمر بن سليمان، حدثنا عبيد الله بن عمر، عن محمد بن المنكدر، عن جابر بن عبد الله، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" دخلت الجنة فإذا انا بقصر من ذهب، فقلت: لمن هذا؟، فقالوا: لرجل من قريش، فما منعني ان ادخله يا ابن الخطاب إلا ما اعلم من غيرتك"، قال: وعليك اغار يا رسول الله.
`Hum se Amr bin Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mu'tamir bin Sulaiman ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Umar ne bayan kiya, un se Muhammad bin Munkadir ne aur un se Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein jannat mein dakhil hua to wahan ek sone ka mahal mujhe nazar aaya. Mein ne poocha yeh kis ka hai? Kaha ke Quraish ke ek shakhs ka. Ae Ibn al-Khattab! mujhe is ke andar jaane se tumhari gairat ne rook diya hai jise mein khoob jaanta hoon.“ Umar Radi Allahu Anhu ne arz kiya: ya Rasul Allah! kya mein Aap par gairat karoon ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْوُضُوءِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein kisi ko wuzu karte dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7025
حدثني يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة، قال: بينما نحن جلوس عند رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم رايتني في الجنة فإذا امراة تتوضا إلى جانب قصر، فقلت: لمن هذا القصر؟، فقالوا:لعمر، فذكرت غيرته فوليت مدبرا، فبكى عمر، وقال: عليك بابي انت وامي يا رسول الله اغار".
`Mujh se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Said bin Musayyib ne khabar di aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke paas baithe hue thay. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke mein ne apne aap ko jannat mein dekha wahan ek aurat ek mahal ke kinare wuzu kar rahi thi. Mein ne poocha yeh mahal kis ka hai? Kaha Umar Radi Allahu Anhu ka. Phir mein ne un ki gairat yaad ki aur wahan se laut kar chala aaya.“ Is par Umar Radi Allahu Anhu ro diye aur arz kiya: ya Rasul Allah! mere maan baap Aap par fida hon, kya Aap par gairat karoon ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الطَّوَافِ بِالْكَعْبَةِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein Kaaba ka tawaaf karna.
Show diacritics
Hadith Number: 7026
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني سالم بن عبد الله بن عمر، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا نائم رايتني اطوف بالكعبة، فإذا رجل آدم سبط الشعر بين رجلين ينطف راسه ماء، فقلت: من هذا؟، قالوا: ابن مريم، فذهبت التفت فإذا رجل احمر جسيم جعد الراس اعور العين اليمنى كان عينه عنبة طافية، قلت: من هذا؟، قالوا: هذا الدجال اقرب الناس به شبها ابن قطن، وابن قطن رجل من بني المصطلق من خزاعة".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne khabar di, unhein Salim bin Abdullah ibn Umar ne khabar di, un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke mein ne apne aap ko Ka'ba ka tawaf karte dekha. Achanak ek sahab nazar aaye, gandum goon baal latke hue thay aur do aadmiyon ke darmiyan (sahara liye hue thay) un ke sar se pani tapak raha tha. Mein ne poocha yeh kaun hain? Kaha ke Isa ibn-e-Maryam Alaihis Salam, phir mein muda to ek doosra shakhs surkh, bhaari jism wala, ghoongriyale baal wala aur ek aankh se kana jaise is ki aankh par khushk angoor ho nazar aaya. Mein ne poocha yeh kaun hain? Kaha ke yeh Dajjal hai. Is ki surat Abdul Uzza bin Qatan se bahut milti thi.“ Yeh Abdul Uzza bin Qatan Mutlaq mein tha jo qabila-e-Khuza'a ki ek shakh hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا أَعْطَى فَضْلَهُ غَيْرَهُ فِي النَّوْمِ:
Jab kisi ne apna bacha hua doodh khwaab mein kisi aur ko diya.
Show diacritics
Hadith Number: 7027
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني حمزة بن عبد الله بن عمر، ان عبد الله بن عمر، قال:سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن فشربت منه حتى إني لارى الري يجري، ثم اعطيت فضله عمر، قالوا: فما اولته يا رسول الله؟، قال: العلم".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, unhein Hamza bin Abdullah bin Umar ne khabar di ke Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne bayan kiya ke mein soya hua tha ke doodh ka ek pyala mere paas laya gaya aur mein ne is mein se itna piya ke seerabi ko mein ne har rag o pay mein paya. Phir mein ne apna bacha hua doodh Umar ko de diya. Logon ne poocha: Ae Allah ke Rasul! Aap ne is ki ta'beer kya ki? Farmaya ke ilm is ki ta'beer hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الأَمْنِ وَذَهَابِ الرَّوْعِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein aadmi apne taa'in be-dar dekhe.
Show diacritics
Hadith Number: 7028
حدثني عبيد الله بن سعيد، حدثنا عفان بن مسلم، حدثنا صخر بن جويرية، حدثنا نافع، ان ابن عمر، قال:" إن رجالا من اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم كانوا يرون الرؤيا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فيقصونها على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فيقول فيها رسول الله صلى الله عليه وسلم ما شاء الله، وانا غلام حديث السن وبيتي المسجد قبل ان انكح، فقلت في نفسي: لو كان فيك خير لرايت مثل ما يرى هؤلاء، فلما اضطجعت ذات ليلة، قلت: اللهم إن كنت تعلم في خيرا فارني رؤيا، فبينما انا كذلك إذ جاءني ملكان في يد كل واحد منهما مقمعة من حديد يقبلان بي إلى جهنم وانا بينهما ادعو الله اللهم إني اعوذ بك من جهنم، ثم اراني لقيني ملك في يده مقمعة من حديد، فقال: لن تراع، نعم الرجل انت لو كنت تكثر الصلاة، فانطلقوا بي حتى وقفوا بي على شفير جهنم، فإذا هي مطوية كطي البئر له قرون كقرن البئر بين كل قرنين ملك بيده مقمعة من حديد وارى فيها رجالا معلقين بالسلاسل رءوسهم اسفلهم عرفت فيها رجالا من قريش، فانصرفوا بي عن ذات اليمين،
`Mujh se Ubaidullah bin Said ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Affan bin Muslim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sakhr bin Juwairiya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Nafi' ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sahabah mein se kuch log Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke ahd mein khwab dekhte thay aur ise Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se bayan karte thay, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم is ki ta'beer dete jaisa ke Allah chahta. Mein is waqt nau-umr tha aur mera ghar masjid thi yeh meri shadi se pehle ki baat hai. Mein ne apne dil mein socha ke agar tujh mein koi khair hoti to tu bhi in logon ki tarah khwab dekhta. Chunancha jab mein ek raat leta to mein ne kaha: Ae Allah! agar Tu mere andar koi khair o bhalayi jaanta hai to mujhe koi khwab dikha. Mein isi haal mein (so gaya aur mein ne dekha ke) mere paas do farishte aaye, in mein se har ek ke haath mein lohe ka hathoda tha aur wo mujhe jahannum ki taraf le chale. Mein in donon farishton ke darmiyan mein tha aur Allah se dua karta ja raha tha ke Ae Allah! mein jahannum se Teri panah maangta hoon phir mujhe dikhaya gaya (khwab hi mein) ke mujh se ek aur farishta mila jis ke haath mein lohe ka ek hathoda tha aur us ne kaha daro nahi tum kitne acche aadmi ho agar tum namaz zyada parhte. Chunancha wo mujhe le kar chale aur jahannum ke kinare par le ja kar mujhe khada kar diya to jahannum ek gol kunwein ki tarah thi aur kunwein ke matkon ki tarah is ke bhi matke thay aur har do matkon ke darmiyan ek farishta tha. Jis ke haath mein lohe ka ek hathoda tha aur mein ne is mein kuch log dekhe jinhein zanjeeron mein latka diya gaya tha aur un ke sar neeche thay. (aur paon oopar) in mein se baaz Quraish ke logon ko mein ne pehchana bhi, phir wo mujhe dayein taraf le kar chale.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7029
فقصصتها على حفصة، فقصتها حفصة على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إن عبد الله رجل صالح لو كان يصلي من الليل"، فقال نافع: فلم يزل بعد ذلك يكثر الصلاة.
`Baad mein, mein ne is ka zikr apni behn Hafsa Radi Allahu Anha se kiya aur unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh (sun kar) farmaya, Abdullah mard-e-naik hai, (agar raat ko tahajjud parhta hota) Nafi' kehte hain ke Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne jab se yeh khwab dekha wo nafl namaz bahut parha karte thay. Matke jin par mooth ki lakriyan khadi karte hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الأَخْذِ عَلَى الْيَمِينِ فِي النَّوْمِ:
Khwaab mein daahine taraf le jaate dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7030
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر، قال:" كنت غلاما شابا عزبا في عهد النبي صلى الله عليه وسلم، وكنت ابيت في المسجد، وكان من راى مناما قصه على النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت: اللهم إن كان لي عندك خير فارني مناما يعبره لي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فنمت، فرايت ملكين اتياني فانطلقا بي فلقيهما ملك آخر، فقال لي: لن تراع، إنك رجل صالح، فانطلقا بي إلى النار فإذا هي مطوية كطي البئر وإذا فيها ناس قد عرفت بعضهم، فاخذا بي ذات اليمين، فلما اصبحت، ذكرت ذلك لحفصة.
`Mujh se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne, un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke zamana mein naujawan gair shadi shuda tha to Masjid-e-Nabwi mein sota tha aur jo shakhs bhi khwab dekhta wo Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is ka tazkira karta. Mein ne socha: Ae Allah! agar Tere nazdeek mujh mein koi khair hai to mujhe bhi koi khwab dikha jis ki Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم mujhe ta'beer dein. Phir mein soya aur mein ne do farishte dekhe jo mere paas aaye aur mujhe le chale. Phir in donon se teesra farishta bhi aa mila aur us ne mujh se kaha ke daro nahi tum naik aadmi ho. Phir wo donon farishte mujhe jahannum ki taraf le gaye to wo kunwein ki tarah tah-ba-tah thi aur is mein kuch log thay jin mein se baaz ko mein ne pehchana bhi, phir wo donon farishte mujhe dayein taraf le chale, jab subah hui to mein ne is tazkira apni behn Hafsa Radi Allahu Anha se kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7031
فزعمت حفصة انها قصتها على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" إن عبد الله رجل صالح لو كان يكثر الصلاة من الليل"، قال الزهري: وكان عبد الله بعد ذلك يكثر الصلاة من الليل.
Ummul Momineen Hafsa Radi Allahu Anha ne jab Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se is khwab ka zikr kiya to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Abdullah naik mard hai. Kash wo raat mein namaz zyada parha karta. Zuhri ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke is farman ke baad wo raat mein nafli namaz bahut parha karte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَدَحِ فِي النَّوْمِ:
Khwaab mein piyaala dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7032
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن حمزة بن عبد الله، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينا انا نائم اتيت بقدح لبن فشربت منه، ثم اعطيت فضلي عمر بن الخطاب، قالوا: فما اولته يا رسول الله؟، قال: العلم".
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Hamza bin Abdullah ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein soya hua tha ke mere paas doodh ka pyala laya gaya. Mein ne is mein se piya phir mein ne apna bacha hua Umar bin Khattab ko de diya. Logon ne poocha: ya Rasul Allah! Aap ne is ki ta'beer kya li? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke ilm se ta'beer li.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة