الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِذَا طَارَ الشَّيْءُ فِي الْمَنَامِ:
Jab khwaab mein koi cheez urti hui nazar aaye.
Show diacritics
Hadith Number: 7033
حدثني سعيد بن محمد ابو عبد الله الجرمي، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن عبيدة بن نشيط، قال: قال عبيد الله بن عبد الله، سالت عبد الله بن عباس رضي الله عن رؤيا رسول الله صلى الله عليه وسلم التي ذكر.
`Mujh se Said bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yaqub bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Abu Ubaida bin Nasheet ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Abdullah ne bayan kiya ke mein ne Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke is khwab ke mutalliq poocha jo unhon ne bayan kiya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7034
فقال ابن عباس: ذكر لي ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم رايت انه وضع في يدي سواران من ذهب ففظعتهما وكرهتهما، فاذن لي، فنفختهما فطارا، فاولتهما كذابين يخرجان"، فقال عبيد الله: احدهما العنسي الذي قتله فيروز باليمن، والآخر مسيلمة.
`To Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha ke mujh se kaha gaya hai ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein ne khwab mein dekha ke do sone ke kangan mere haath mein rakkhe gaye hain to mujhe is se takleef pahunchi aur nagawar hui phir mujhe ijazat di gayi aur mein ne un par phoonk maari aur wo donon ud gaye. Mein ne is ki ta'beer li ke do jhoote paida hon ge. Ubaidullah ne bayan kiya ke in mein se ek to al-Ansi tha jise Yaman mein Feroz ne qatl kiya aur doosra Musailama.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا رَأَى بَقَرًا تُنْحَرُ:
Jab gaaye ko khwaab mein zabah hote dekhe.
Show diacritics
Hadith Number: 7035
حدثني محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن جده ابي بردة، عن ابي موسى، اراه عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" رايت في المنام اني اهاجر من مكة إلى ارض بها نخل، فذهب وهلي إلى انها اليمامة او هجر فإذا هي المدينة يثرب، ورايت فيها بقرا والله خير فإذا هم المؤمنون يوم احد، وإذا الخير ما جاء الله من الخير وثواب الصدق الذي آتانا الله به بعد يوم بدر".
`Mujh se Muhammad bin al-Ala ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraida ne, un se un ke dada Abu Burda ne, un se Abu Musa Radi Allahu Anhu ne mera khayal hai ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya mein ne khwab dekha ke mein Makkah se ek aisi zameen ki taraf hijrat kar raha hoon jahan khajoorein hain. Mera zehen is taraf gaya ke yeh jagah Yamama hai ya Hajar. Lekin baad mein maloom hua ke Madinah yaani Yasrib hai aur mein ne khwab mein gaye dekhi (zibah ki hui) aur yeh aawaz suni ke koi keh raha hai ke aur Allah ke yahan hi khair hai to is ki ta'beer un musalmanon ki surat mein aayi jo jang-e-Uhud mein shaheed hue aur khair wo hai jo Allah Ta'ala ne khair aur sacchayi ke sawab ki surat mein diya yaani wo jo humein Allah Ta'ala ne jang-e-Badr ke baad (doosri futuhaat ki surat mein) di.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّفْخِ فِي الْمَنَامِ:
Khwaab mein phoonk maarte dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7036
حدثني إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، قال: هذا ما حدثنا به ابو هريرة، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" نحن الآخرون السابقون.
`Mujh se Ishaq bin Ibrahim al-Hanzali ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, un se Hammam bin Munabbih ne bayan kiya ke yeh wo hadees hai jo hum se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan ki ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Hum sab ummaton se aakhri ummat (waqt ke aitibar se) aur sab ummaton se pehli ummat (jannat mein dakhla ke aitibar se) hain.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7037
وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: بينا انا نائم إذ اوتيت خزائن الارض فوضع في يدي سواران من ذهب، فكبرا علي واهماني، فاوحي إلي ان انفخهما، فنفختهما فطارا، فاولتهما الكذابين اللذين انا بينهما، صاحب صنعاء، وصاحب اليمامة".
Aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein soya hua tha ke zameen ke khazane mere paas laye gaye aur mere haath mein do sone ke kangan rakh diye gaye jo mujhe bahut shaaq guzre. Phir mujhe wahi ki gayi ke mein un par phoonk maroon mein ne phoonka to wo ud gaye. Mein ne un ki ta'beer do jhooton se li jin ke darmiyan mein mein hoon ek Sana'a ka aur doosra Yamama ka.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا رَأَى أَنَّهُ أَخْرَجَ الشَّيْءَ مِنْ كُورَةٍ فَأَسْكَنَهُ مَوْضِعًا آخَرَ:
Jab kisi ne dekha ke us ne koi cheez kisi taaq se nikaali aur usay dusri jagah rakh diya.
Show diacritics
Hadith Number: 7038
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، حدثني اخي عبد الحميد، عن سليمان بن بلال، عن موسى بن عقبة، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" رايت كان امراة سوداء ثائرة الراس خرجت من المدينة حتى قامت بمهيعة وهي الجحفة، فاولت ان وباء المدينة نقل إليها".
`Hum se Ismail bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se mere bhai Abdul Hameed ne bayan kiya, un se Sulaiman bin Bilal ne bayan kiya, un se Musa bin Uqba ne bayan kiya un se Salim bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne apne walid Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke mein ne dekha jaise ek siyah aurat praganda baal, Madinah se nikli aur Muhay'a mein ja kar khadi ho gayi. Muhay'a Juhfa ko kehte hain. Mein ne is ki yeh ta'beer li ke Madinah ki waba Juhfa naami basti mein chali gayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَرْأَةِ السَّوْدَاءِ:
Siyaah aurat ko khwaab mein dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7039
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، حدثنا فضيل بن سليمان، حدثنا موسى، حدثني سالم بن عبد الله، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، في رؤيا النبي صلى الله عليه وسلم في المدينة" رايت امراة سوداء ثائرة الراس خرجت من المدينة حتى نزلت بمهيعة، فتاولتها ان وباء المدينة نقل إلى مهيعة وهي الجحفة".
`Hum se Abu Bakr al-Muqaddami ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Fuzail bin Sulaiman ne bayan kiya ‘ un se Musa ne bayan kiya, un se Salim bin Abdullah ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke Madinah mein khwab ke silsile mein ke (Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya) ”Mein ne ek praganda baal, siyah aurat dekhi ke wo Madinah se nikal kar Muhay'a chali gayi. Mein ne is ki ta'beer li ke Madinah ki waba Muhay'a muntaqil ho gayi hai.“ Muhay'a yaani al-Juhfa ko kehte hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَرْأَةِ الثَّائِرَةِ الرَّأْسِ:
Paraaganda baal aurat khwaab mein dekhna.
Show diacritics
Hadith Number: 7040
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثني ابو بكر بن ابي اويس، حدثني سليمان، عن موسى بن عقبة، عن سالم، عن ابيه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" رايت امراة سوداء ثائرة الراس خرجت من المدينة حتى قامت بمهيعة، فاولت ان وباء المدينة نقل إلى مهيعة وهي الجحفة".
`Mujh se Ibrahim bin al-Munzir ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Abu Bakr bin Abi Uwais ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Sulaiman ne bayan kiya, un se Musa bin Uqba ne bayan kiya, un se Salim ne bayan kiya, un se un ke walid Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mein ne ek praganda baal, kaali aurat dekhi jo Madinah se nikli aur Muhay'a mein ja kar thehar gayi. Mein ne is ki ta'beer yeh li ke Madinah ki waba Muhay'a yaani muntaqil ho gayi.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا هَزَّ سَيْفًا فِي الْمَنَامِ:
Jab khwaab mein talwaar hilaye.
Show diacritics
Hadith Number: 7041
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد بن عبد الله بن ابي بردة، عن جده ابي بردة، عن ابي موسى، اراه عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" رايت في رؤياي اني هززت سيفا فانقطع صدره، فإذا هو ما اصيب من المؤمنين يوم احد، ثم هززته اخرى فعاد احسن ما كان، فإذا هو ما جاء الله به من الفتح واجتماع المؤمنين".
`Hum se Muhammad bin al-Ala ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraid bin Abdullah ibn Abi Burda ne bayan kiya, un se un ke dada Abu Burda ne aur un se Abu Musa Radi Allahu Anhu ne mujh ko yaqeen hai ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne yun farmaya ke mein ne ek talwar hilayi to wo beech se toot gayi. Is ki ta'beer Uhud ki jang mein musalmanon ke shaheed hone ki surat mein samne aayi phir dobara mein ne ise hilaya to wo pehle se bhi acchi shakal mein ho gayi. Is ki ta'beer fatah aur musalmanon ke ittefaq o ijtima ki surat mein samne aayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ كَذَبَ فِي حُلُمِهِ:
Jhoota khwaab bayaan karne ki saza.
Show diacritics
Hadith Number: 7042
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من تحلم بحلم لم يره كلف ان يعقد بين شعيرتين ولن يفعل، ومن استمع إلى حديث قوم وهم له كارهون او يفرون منه صب في اذنه الآنك يوم القيامة، ومن صور صورة عذب وكلف ان ينفخ فيها وليس بنافخ"، قال سفيان: وصله لنا ايوب، وقال قتيبة: حدثنا ابو عوانة، عن قتادة، عن عكرمة، عن ابي هريرة، قوله من كذب في رؤياه، وقال شعبة، عن ابي هاشم الرماني، سمعت عكرمة، قال ابو هريرة: قوله من صور صورة، ومن تحلم، ومن استمع. حدثنا إسحاق، حدثنا خالد، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال: من استمع، ومن تحلم، ومن صور نحوه، تابعه هشام، عن عكرمة، عن ابن عباس قوله.
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, un se Ayub ne, un se Ikrima ne, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jis ne aisa khwab bayan kiya jo us ne dekha na ho to ise do jau ke do daanon ko qayamat ke din jodne ke liye kaha jaye ga aur wo ise hargiz nahi kar sake ga (is liye maar khata rahe ga) aur jo shakhs doosre logon ki baat sunne ke liye kaan lagaye jo ise pasand nahi karte ya is se bhagte hain to qayamat ke din is ke kaanon mein seesa pighla kar dala jaye ga aur jo koi tasveer banaye ga ise azab diya jaye ga aur is par zor diya jaye ga ke is mein rooh bhi dale jo wo nahi kar sake ga. Aur Sufyan ne kaha ke hum se Ayub ne yeh hadees mausooolan bayan ki aur Qutaiba bin Said ne bayan kiya, hum se Abu Awana ne, un se Qatada ne, un se Ikrima ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke jo apne khwab ke silsile mein jhoot bole. Aur Shu'ba ne kaha, un se Abu Hashim al-Rummani ne, unhon ne Ikrima se suna aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne (ka qaul mauqoofun) jo shakhs moorat banaye, jo shakhs jhoota khwab bayan kare, jo shakhs kaan laga kar doosron ki baatein sune. Hum se Ishaq Wasiti ne bayan kiya, kaha hum se Khalid Tahhan ne bayan kiya, un se Khalid Hazza ne, un se Ikrima ne aur un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke jo kisi ki baat kaan laga kar sunne ke peeche laga aur jis ne galat khwab bayan kiya aur jis ne tasveer banayi (aisi hi hadees naql ki mauqoofun Ibn Abbas se) Khalid Hazza ke saath is hadees ko Hisham bin Hassan Firdousi ne bhi Ikrima se, unhon ne Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se mauqoofun riwayat kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة